Friday, July 3, 2009

meri zindgi bhi meri nahi

meri zindgi bhi meri nahi ye hazaar khanon mein bant gayi
mujhe ek muthi zameen de ye zameen kitni simat gayi
teri yaad aaye toh chup rahoon zara chup rahoon toh ghazal kahoon
ye ajab aag ki bail thi mere tan badan se lipat gayi
mujhe likhne wala likhe bhi kya, mujhe parhne wala padhe bhi kya
jahan mera naam likha gaya wahin roshnaye ulat gayi
na koi khushi na malal hai keh sabhi ka ek sa haal hai
tere sukh ke din bhi guzar gaye meri gham ki raat bhi kat gayi
meri band palkon pe toot kar koi phool raat bikhar gaya
mujhe siskio'n nr jaga diya meri kachi neend bhi uchat gayi

No comments:

Post a Comment

wel come