Friday, July 3, 2009

musafir ke raste badalte rahe

musafir ke raste badalte rahe
muqaddar mein chalna tha chalte rahe
koi phool sa haath kandhe pe tha
mere haath sholon pe chalte rahe
mere raaston mein ujala raha
diye usski aankhon mein jalte rahe
muhabbat adawat waffa berukhi
kiraaye ke ghar the badalte rahe
suna hai unhen bhi hawa lag gayi
hawaaon ke rukh jo badalte rahe
woh kya tha jise hum ne thukra diya
magar umar bhar haath malte rahe

No comments:

Post a Comment

wel come