Friday, July 3, 2009

phirte hain kab se dar-ba-dar, main aur meri aavaargi


phirte hain kab se dar-ba-dar ab iss nagar ab uss nagar
ek dusre ke hamsafar main aur meri aavaargi
na aashna har rahguzar na meharban hai ek nazar
jaayen toh ab jaayen kidhar main aur meri aavaargi

ham bhi kabhi aabaad thay aise kahaan barbaad thay
be_fikr thay aazaad thay masaruur thay dilshaad thay
vo chaal aisi chal gaya hum bujh gaye dil jal gaya
nikle jala ke apna ghar mein aur meri aavaargi

vo maah-vash vo maah-ru vo maah-e-kaamil hu_ba_hu
thin jis ki baaten ku_ba_ku uss se ajab thi guftagu
phir yun hua vo kho gayi aur mujhko zid si ho gayi
laayenge ussko dhuund kar main aur meri aavaargi

ye dil hi tha jo seh gaya vo baat aisi kah gaya
kehne ko phir kya rah gaya ashkon ka darya beh gaya
jab keh kar vo dilbar gaya tere liye main mar gaya
rote hain ussko raat bhar main aur meri aavaargi

ab ghum uthayen kis liye ye dil jalayen kis liye
anshu bahaain kis liye yuun jaan gavaain kis liye
pesha na ho jis ka sitam dhoodenge ab aisa sanam
honge kahin toh kaar_gar main aur meri aavaargi

aasaar hain sab khot ke imkaan hain sab choat ke
ghar band hain sab kot ke ab khatam hai sab totake
qismat ka sab ye khel hai andher hi andher hai
aise hue hain be_asar main aur meri aavaargi

jab ham_dam-o-ham_raaz tha tab aur hi andaaz tha
ab soz hai tab saaz tha ab sharm hai tab naaz tha
ab mujhse ho toh ho bhi kya hai saath vo toh vo bhi kya
ek behunar ek besabar main aur meri aavaargi

No comments:

Post a Comment

wel come