Thursday, July 2, 2009

qadam jamaana hai aur sab ke saath chalna hai

qadam jamaana hai aur sab ke saath chalna hai
hum apni raah ke pathar bhi hain aur dariya bhi
magar jo faasla pehle tha aur badhta gaya
main uss ke paas gaya vo idhar se guzra bhi
bohat zaheen-o-zamana shanaas tha lekin
vo raat bachon ki surat lipat ke roya bhi
yeh khushk shaakh na sarsabz ho saki uss ne
mujhe gale se lagaya palak se chuuma bhi
chiraag jalne se pehle hamen pohanchna hai
dhake huye hai pakaroon ko aaj kohra bhi
hazaron meel ke manzar hai iss nageene mein
zara sa aadmi dariya hai aur sehra bhi
wahi sharaara ke jis se jhulas gayi palkein
sitara ban ke meri raat mein vo chamka bhi
asar wahi hua aakhir agarche pehle pehal
hawa ka haath guloon ke badan pe phisla bhi
unhen toh hifz thay sab apne log naam benaam
hamin ko yaad na aaya kisi ka chehra bhi

No comments:

Post a Comment

wel come