Thursday, July 2, 2009

saaye utre, panchi laute, baadal bhi chane wala hai

saaye utre, panchi laute, baadal bhi chane wala hai
lekin main tuuta taara toh ghar se jaane wala hai
phir subah hui aankhen kholen, kapde badle feete baandhen
uss shehr ke baare mein sochen jo shehr ab aane wala hai
kal shab ik viraan maszid mein uss ne mere aansu poonche
jo hum sab ki sookhi shaakhon par phool khilne wala hai
hum rair ke jalte zarron ko yeh dhoop hi chamkaye varna
dariya katraane wala hai, badal tarsaane wala hai
jugnu chamke toh main chonkun, tara nikle toh main sehmoon
jaise har koi mere hi ghar aag lagane wala hai
jis chappar ke neeche gaaon ke budhe huqqa peete hain
uss chat ko ek pagal ladka ab aag lagane wala hai
jis aaiine ko tum purse mein rakhe phirte thay, toot gaya
yeh dhoop ka sheesha aankhon par naize chamkaane wala hai

No comments:

Post a Comment

wel come