Thursday, July 16, 2009

sameer kabir ki shayyiri

toota ye silsila toh mujhe sochna pada
mil kar huye juda toh mujhe sochna pada
pehle toh aetmaad[bharosa] har ek humsafar pe tha
jab kaafila chala toh mujhe sochna pada
tai kar chukka tha ab na piyunga kabhi magar
jaise hi din dhala toh mujhe sochna pada
kya jaane jitne rozano-dar[holes & doors] be-chirag thay
ghar mein diya jala toh mujhe sochna pada
jis aadmi ko kehte hain shayad ‘sameer’ log
uss shaks se mila toh mujhe sochna pada


No comments:

Post a Comment

wel come