Thursday, July 16, 2009

sameer kabir ki shayyiri

azeeb uss se bhi rishta hai kya kiya jaaye
vo sirf khwabon mein milta hai kya kiya jaaye
jahan jahan tere milne ka hai guman vahan
na zindgi hai na rasta hai kya kiya jaaye
galat nahin mujhe marne ka mashwara usska
vo mera dard samjhta hai kya kiya jaaye
kisi pea b kisi gham ka asar nahin hota
magar ye dil hai ki dukhta hai kya kiya jaaye
kammi na kit hi tavazon mein apne lekin
hamara zakhm hi gehra hai kya kiya jaaye
azeeb uss se bhi rishta hai kya kiya jaaye
vo sirf khwabon mein milta hai kya kiya jaaye

No comments:

Post a Comment

wel come