Thursday, July 2, 2009

shabnam hun, surkh phulon pe bikhra hua hun main

shabnam hun, surkh phulon pe bikhra hua hun main
dil maum, aur dhoop mein baitha hua hun main
kuch der baad raakh milegi tumhen yahan
lau ban ke iss chirag se lipta hua hun main
duniya hai bepanah toh bharpoor zindgi
sahil ke paas dhoop mein leta hua hun main
do sakht khushk rotiyan kab se liye huye
pani ke intezaar mein baitha hua hun main
laadi utha ke ghaat pe jaane lage hiran
kaise ajeeb daur mein paida hua hun main
behtar hai laut jaaun main apni zameen par
kis aas par khalaaon mein latka hua hun main
nas nas mein phail jaaunga bimaar raat ki
palkon pe aaj sham se simta hua hun main
auraaq mein chupati thi aksar vo titliyan
shayad kisi kitab mein rakha hua hun main

No comments:

Post a Comment

wel come