Saturday, July 18, 2009

sheen kaaf nizaam ki shayyiri

pehle zamin banti thi phir ghar bhi bant gaya
insane apne aap mein kitna simat gaya
ab kya hua ki khudko main pehchanta nahin
muddat hui ki rishte ka kuhra bhi chhat[clear] gaya
hum muntzir thay shaam se suraj ke dosto
lekin vo aaya sar pet oh qad apna ghat gaya
gaanvon ko chhod kart oh chale aaye shehr mein
jaayein kidhar ki shehr se bhi jii uchat gaya
kis se panah maangen, kahan jaayen, kya Karen
phir aaftab raat ka ghoonghat ulat gaya
sailabe-noor mein jo raha mujhse door-door
vo shaks phir andhere mein mujhse lipat gaya


No comments:

Post a Comment

wel come