Friday, July 3, 2009

soye shajar laraz uthey jaise ke darr gaye

soye shajar laraz uthey jaise ke darr gaye
kuch chandni ke phool zamiin par bikhar gaye
sheeshe ka taaj sar pe rakhe aa rahi thi raat
takraayi humse chand sitare bikhar gayi
vo khushk hont reit se nam maangte rahe
jinki talaash mein kai dariya guzar gaye
chaha tha main chand ki palkon ko chuum lun
honton pe mere subah ke taare bikhar gaye
mere labon pe chand ki qaashein laraz gayin
aankhon pe jaise raat ke gesu bikhar gaye
saahil pe ruk gaye thay zaar der ke liye
aankhon se dil mein kitne samandar utar gaye
jin par likhi hui thi muhbbat ki daastan
vo chaak chaak purze hawa mein bikhar gaye
paaya jo muskuraate huye keh uthi bahaar
jo zakhm pichle saal lagaye thay, bhar gaye
jin pe likhi hui thi mohbbat ki daastan
vo chaak chaak purze hawa mein bikhar gaye

No comments:

Post a Comment

wel come