Friday, July 3, 2009

udas ho gaya safar


udas ho gaya safar
khili hui kali bhi roa padi lab-e-hisar-e-gham
fishar-e-gham bata gaya
khayal kham zindagi
ye subha subha mout si
ye sham sham zindagi
ye baam baam zindagi
khud aagahi ka shouq bhi hai
dhyaan mein racha hua
toh behisii ka ranj bhi
naseeb mein basa hua
ye bebasi ye bebasi
ye ashq ashq mikashi
thathak thathak gaya sama
khamoshiyan khamoshiyan
kisi ke rukh par ek pal bhi tiktiki
na jam saki
baras gayi jo chashm-e-dil
toh dil se bhi na tham saki
shab-e-panah aah mein najaane kab
badal gayi
subuk subuk sadaye dill
Chanan chanan radaye dil
hawa hawa khayal sab
juda juda malal sab
Khuda khuda sawal sab
Kabhi toh shah zindagi kabhi ghulam zindagi
ye subha subha maut si
ye shaam shaam zindagi
ye shaam shaam zindagi...........!!!!

No comments:

Post a Comment

wel come