Wednesday, July 8, 2009

unknown

jab panchi sare udd jaayein
har simt andhera cha jaaiye
jab guzri baatein yaad aayein
aur beete lamhe tadpayein
mat tanha tanha ghabrana
tum paas hamare aa jana
jab koi din mein shaam kare
ya lab ki hansi badnam kare
jab wehshat dil ka naam kare
ya aankh mein neend haraam kare
mat tanha tanha ghabrana
tum paas hamare aa jaana
dil preet hamari duhraaye
ya reet purani yaad aaye
jab milne ko bhi dil chahe
aur pyar bhara na dil paye
mat tanha tanha ghabrana
tum pas hamare aajana

No comments:

Post a Comment

wel come