Wednesday, July 8, 2009

unknown

mera haal-e-dil kuch aisa hai ke koi bata nahi sakta
sunte hain log par koi suna nahin sakta
hawaon pe likha hai maine qissa apni hayyat ka
ke koi lakh chahe bhi toh mita nahin sakta
hare k ki tamnna hai ke phoolon pe guzare zindgi
par raah mein pade kaanton ko koi hata nahin sakta
dil meindukh samoo ke kab tak haste rahoge
aankhon mein aise aansu ko koi chupa nahin sakta
lakh chahe inn mast melon mein gum ho jaaye
magar beete huye lamhon ko koi bhula nahin sakta
koi rooth jaaye tumse toh mana lena
ke jaane walon ko koi vapis bula nahin sakta
har roshan cheez ko paa lene ki aarzu na kar
ke suraj nikalta hai par usski taraf koi aankh utha nahin sakta
samandar ki lehron pe unnka naam likhta hoon
ke koi aag laga bhi de par jala nahin sakta

No comments:

Post a Comment

wel come