Thursday, July 2, 2009

yaad ab khud ko aa rahe hain hum

yaad ab khud ko aa rahe hain hum
kuch dinon tak khuda rahe hain hum
aarzu'on ke surkh phoolon se
dil ki basti saja rahe hain hum
aaj toh apni khaamshi mein bhi
teri aawaz paa rahe hain hum
baat kya hai ke phir zamane ko
yaad reh reh ke aa rahe hain hum
har bezuban gull mein chahkane lage hain hum
daulat gayi toh aur mehakne lage hain hum
ghurbat bura nasha hai issi ka asar na ho
ab baat baat par jo behakne lage hain hum
matti ki baas apne badan ki aseer thi
yeh tera qurb hai ke mehakne lage hain hum
duniya samjh rahi thi ke ab raakh ho chuke
kaisi hawa chala di - dehakne lage hain hum
jinki zubanein katt gayin phuulon ke naam par
unn bulbulon ki tarha chahkne lage hain hum

No comments:

Post a Comment

wel come