Friday, July 3, 2009

yaad ki rahguzar jis pe issi surat se

yaad ki rahguzar jis pe issi surat se
muddatein beet gayi hain tumhen chalte chalte
khatam ho jaaye toh do char qadam aur chalo
mod padta hai jahan dasht-e-faramoshi ka
jis se aage na koi main hun na koi tum ho
saans thamein hain nigahen ke najaane kis dam
tum palat aao, guzar jaao, ya mud kar dekho
gar chah waqif hain nigahein ke ye sab dhokha hai
gar kahin tumse hum aagosh hoi phir se nazar
phoot niklegi wahan aur koi rahguzar
phir ussi tarhan jahan hoga muqabil paiham
saaya-e-zulf ka aur zumbish-e-bazoo ka safar
dosri baat bhi jhoothi hai ke dil jaanta hai
yahan koi mod, koi dashr, koi ghaat nahi
jis ke parde mein mera mah-e-rawa'n duub sake
tumse chalti rahe ye raah yunhi achcha hai
tumne mud kar bhi na dekha toh koi baat nahi

No comments:

Post a Comment

wel come