Friday, July 3, 2009

yehi nahin koi toofan meri talaash mein hai

yehi nahin koi toofan meri talaash mein hai
keh mausam-e-gham-e-janan meri talash mein hai
wisaal ruut hai magar dil ko aisa lagta hai
sitara-e-shab-e-hizran meri talaash mein hai

main faisle ke waqt se guzar chuka hoon magar
kisi ka deeda-e-hairaan meri talaash mein hai
yeh haqeen si aasoodgi bataati hai
ek qarya-e-viran meri talash mein hai

main teergi mein mohabbat ki kahani hoon
koi charagh sa unwaan meri talaash mein hai
yeh kaisa khaab tha dhadka sa lag gaya dil ko
keh ek shaks pareshan meri talaash mein hai

No comments:

Post a Comment

wel come