Sunday, August 23, 2009

bhagwan tujhe main khat likhta, par tera pata mallum nahin

bhagwan tujhe main khat likhta, par tera pata mallum nahin
buron ki jeet duniya mein, bhalaai thokarein khaaye
yahan kya ho raha maalik, ye kaise koi batalaye
roa roa likhta jag ki bipata, par tera pata mallum nahin

duniya mein tujhe bura lage ya bhala lage, teri duniya apne ko jammi nahin
kuch kehte huye darr lagta hai yahan, dushton ki kuch kammi nahin maalik
maalik tujhe main sab kuch samjhaata, par tera pata mallum nahin

mallum nahin mere sar pe dukhon ki gathari hai, raaton ko nahin main sota hun
kahin jaag uthe na padosi iss liye zor se nahin main rota hun
tere saamne baith ke main rota par, tera pata mallum nahin

nahin kuch kahun toh duniya kehti hai aansu na baha bakwaas na kar
aisi duniya mein mujhe rakh ke maalik, mera satyaanaas na kar
tere paas main khud hi aa jaata, par tera pata mallum nahin

vo kuch iss ada se milta hai

vo kuch iss ada se milta hai
dard jaise dawa se milta hai
be-muravvat sahi pa' kya kijiye
dil ussi bewaffa se milta hai
phail jaati hai aag jangle mein
jab bhi shola hawa se milta hai
hai vo aaludgi fazaon mein
zehar humko hawa se milta hai
usski athkheliyon ka kya kehna
khwab mein bhi ada se milta hai
har kali ko mijaaz sharmila
teri sharm-o-hayya se milta hai
zindgi mein sukoon mujhko 'zaheen'
jaane kiski dua se milta hai

koi tumsa na humsafar hoga

koi tumsa na humsafar hoga
jo mere gham se bekhabar hoga
tumko ye bhi khabar nahin shayad
tere bin koi deeda-tar hoga
zindgi chaar din ki hai phir tu
gham ka qissa bhi mukhtsar hoga
koi dega meri waffa ka sila
koi toh yaan pe maatbar hoga
iss jahan ka nahin hai vo shayad
chaand ka ghar bhi chaand par hoga
kaala til hai jo tere gaalon par
koi jaduu na kaargar hoga
teri chahat mein koi hoga 'seraj'
koi tera bhi muntazar hoga !

meri nakaami

dil mein nakaam hasratein le kar
apne seene mein chahatein le kar
jaane kitni umange saath liye
jaane kitne hi khwab saath liye
apni manzil talaash karne ko
chal diye besabab usse paane
vaada ussne kiya tha milne ka
vo chali aayi mujhse milne; magar
apne dil mein dabaye pyar mera
usska milna bhi aisa milna tha
gaiir se jaise koi milta hai
sochta tha ki uss se mil ke sabhi
zakhm apne tamaam bhar lunga
dil ka har dard ab milta lunga
vo mera zakhm bhar na paayi koi
dard dil ka mita na paayi koi
darr lage hai samaj se ussko
jhoothe reeti-riwaaz se ussko
aaj samjha hun pyar ki aukaat
pyar darta hai duniyadaari se
main ye kehta hun tumse ae logo
darr hai dil mein samaj tumko
jhoothe reeti-riwaaz ka tumko
toh ye bhoole se pyar mat karna
kyunki dil tuut'te hain pyar bhare
aur ab kya sunaaun main tumko
main chala aaya apne khwab liye
apni nakaam hasratein le kar
ussko illzam bhi toh doon kaise
vo mera pyar hai; meri jaan hai
vo meri dhadkanon mein; meri saanson mein
mere dil mein basi rahegi sada
jaise khushboo basi hai phoolon mein

har maslaa 'masal' se maslaa nahin jaata

har maslaa
'masal' se
maslaa nahin jaata
ho chaukhat pe sailaab
toh uss se lada nahin jaata

jab se suna
ki lakeeiron mein takdeer hai meri
mere haathon se
mera haath
mala nahin jaata

samandar mein mandir
kahin chhupa hai jaroor
bina juute utaare
uss mein utra nahin jaata

jab bhi sanwarti hain
bohat bhigadti hain julfein
kehin hain
kyun azad hamen rakha nahin jaata ?

mujhe hoti samjh
toh tumhen na batata ?
ki kuch hoti hai baatein
jinhen kaha nahin jaata !!

kai roz ho chuke hain mujhe apna ghar sajaaye

meri soch hai adhoori mere lafz hai paraaye
veh ghazal kahan se laaon jo tumhen pasand aaye ..
mere pyar ke bharam ko mere dastan-e-gham ko
kai log sun ke roye kai log muskuraaye ..
mere paas kuch dinon se mera aaiina nahin hai
kai roz ho chuke hain mujhe apna ghar sajaaye ..
kahin raaste mein uss ne mera haath choo liya tha
toh kalaaiyon ke kangan kai roz khankhanaaye ..
meri yeh tamnna 'bedil' kabhi ho saki na poori
ki main rooth jaaon jab bhi mujhe aa ke vo manaaye ..

mere hi lahu par

mere hi lahu par guzar auqaat karo ho
mujhse hi amiiron ki tarah baat karo ho
din ek sitam ek sitam raat karo ho
vo dost ho dushman ko bhi maat karo ho
ham khaaq_nashin tum sukhan_aaraai sar-e-baam
paas aa kar milo duur se kya baat karo ho
ham ko jo milaa hai vo tumhin se toh mila hai
hum aur bhula den tumhen kya baat karo ho
yun toh munh pher ke dekho bhi nahin ho
jab waqt pade hai toh madarat karo ho
na daman pe koi chiint na khanjar pe koi daag
tum qatl karo ho ke karaamaat karo ho
bakne do 'aajiz' ko jo bole hai bake hai
diwana hai diwane se kya baat karo ho

Ye soch ke milna

Ye soch ke milna ki jab miloge use,
Wo kuchh na kahega to kya kahoge use !
vo aayega toh apne aap mein kab aaoge tum,
vo chala gaya toh juda kis tarah karoge usse !
abhi dhoop hai jitna jii chahe dekh lo ussko,
chirag le ke kahan dhoondhte firoge usse !
vo raushni ki tarah, haath kaise aayega,
tamaam umra faqat dekhte rahoge usse !!

waise hi ...

tujhe hai mashq-e-sitam ka malaal, waise hi ...
hamari jaan hai, jaan par wabal, waise hi ...
chala tha zikr zamane mein bewaffai ka ...
so aa gaya tha tumhara khayal, waise hi ...
hum aa gaye hain teh-e-daam, usski qismat hai ...
wagrna ussne toh phenka tha jaal, waise hi ...
zamana humse bhala dushmani bhi kya karta ...
tu kar gaya hamen payemal, waise hi ...
mujhe bhi shonq na tha dastan sunane ka ...
faraz uss ne bhi pucha tha haal, waise hi ...

shabnam nahin mili

shabnam nahin mili na gire aasmaan ke phool
chadhti jawani sookh gaye gulsitaan ke phool
hum adhkhile rahe ke bahaaren nahin milin
ab kaise muskarayen ke hain hum khizaan ke phool
sookhe huye gulaab mile jab khuli kitaab
yun dil ke mere paas rahe mehrbaan ke phool
aansoo hamare hain ke sitare chamak gaye
dekho rukh-e jamaal par ye kahkashaan ke phool
raah-e adab pe chal diye le kar chiragh-e noor
sozaan hain rahguzar mein mere karwan ke phool
phoolen phalen mahakte rahen subho shaam roz
khushboo bikheren duniyan mein Hindostaan ke phool
hum phir kahenge tumse kisi roz aaye 'seraj'
hote nahin hain khatm meri dastan ke phool !

kitna dushwaar tha

kitna dushwaar tha,duniya !...ye hunar aana bhi;
tujhse hi fasla rakhna....tujhe apnana bhi..
kaisi aadaab-e-numaaish ne lagaayeen shartein;
phool hona hi nahin....phool nazar aana bhi.
dil ki bigdi huyi aadat se... ye... ummid na thi;
bhool jaayega.... ye ek din.... tera yaad aana bhi.
jaane kab ....shahr ke raston ka badal jaaye mizaaj;
itna aasan toh nahin....laut ke ghar aana bhi.
aise rishte ka bharm rakhna koi khel nahin;
tera hona bhi nahin...aur...tera kehlana bhi.
khud ko pahchan ke dekhe toh... zara.. ye dariya;
bhool jaayega .....samandar ki taraf ....jaana bhi.
jaan-ne waalon ..ki iss bheed se ...kya hoga 'waseem;
iss mein... ye dekhiye....koi....mujhe pahchana bhi........

ek tamanna hai

ek tamanna hai fakat mujh pe meharban raho
tum kisi aur ko dekho to bura lagta hai
Mery chahat ka takaza hai mere sath raho
ghair ka hath jo thamo tu bura lagta hai
Arzo hai tere her roop ko her pal dekhon
tum mere pas sey utho tu bura lagta hai
Roz-e-shab aaj b perwa hai tumhari mujh ko
tum kisi aur ko socho tu bura lagta hai
Ye mery rooh tarasti hai tumhari khushbo ko
tum kahin aur ja k mehko to bura lagta hai

jo bhi dukh yaad na tha yaad aaya

jo bhi dukh yaad na tha yaad aaya
aaj kya jaaniye kya yaad aaya
phir koi haath hai dil par jaise
phir tera ahd-e-waffa yaad aaya
jis tarah dhund mein lipte huye phool
ek ek naqsh tera yaad aaya
aisi majbuuri ke aalm mein koi
yaad aaya bhi toh kya yaad aaya
ae rafiq sar-e-manzil jaakar
kya koi aablaapa[paer ke chhale] yaad aaya
yaad aaya tha bichadna tera
phir nahin yaad ke kya yaad aaya
jab koi zakhm bana daag bana
jab koi bhool gaya yaad aaya
ye muhbbat bhi hai kya rog 'faraz'
jisko bhuule vo sada yaad aaya

ramzaan

bezubanon ko jab vo zuban deta hai
padhne ko phir vo quran deta hai
bakshne pe aata hai jab ummat ke gunahon ko
tohfe mein gunahgaron ko ramzaan deta hai

lahu behta hua dekha

lahu behta hua dekha toh peena choot jayega
mere jaisi ghazal mat keh pasiina choot jayega
tumhari bewaffai toh hamen manzoor hai lekin
tumhare saath rehne se madiina choot jayega
hamen ae maut thode din ki mohlat chahiye tujhse
nahin toh humse rozo ka mahina choot jayega

yeh pagali

har ek awaaz ab urdu ko fariyaadi batati hai
yeh pagali phir bhi ab tak khud ko shezadi batati hai
kai baatein muhbbat sab ko buniyaadi batati hai
jo pardaadi batati thi vahi daadi batati hai
jahan pichle kai barson se kaale naag rehte hain
vahan ek ghonsla chidyon ka tha daadi batati hai
abhi tak yeh ilaaka hai ravadaari ke qabze mein
abhi firqaparasti kam hai abaadi batati hai
yahan viraaniyon ki ek muddat se hukumat hai
yahan se nafratein guzri hai barbaadi batati hai
lahu kaise bahaya jaaye yeh leader batate hain
lahu ka zayeka kaisa hai yeh khaadi batati hai
gulaami ne abhi tak mulaq ka peecha nahin choda
hamen phir qaid hona hai yeh azaadi batati hai
garibi kyun hamaare shehr se bahar nahin jaati
amiir-e-shehr ke ghar ki har ek shadi batati hai
main unn ankhon ke maikhane mein thodi der baitha tha
mujhe duniya nashe ka aaj tak aadi batati hai

zindgi ka surag

dard bhari zindgi ka surag dhoondhta hun
andhera bohat hai ek chiraag dhoondhta hun
banaya tha tamasha zindgi ka iss tarah
ki unn meharbanon mein ilaaz doondhta hun
koi inn andheron mein mere dil ka chirag jala de
main apne badnaseebi ka raaz dhoondhta hun
hasrat ka aaiina uss pathar dil ne tod diya
sheeshon ke unn tukdon mein main apna aaj dhoondhta hun
maazi ke talakh lamhon ne mujhe jhulsa diya
dil ko behalaane ka hasin khwaab dhoondhta hun

zindgi

zamana hum diwano se uljhana chhod de
zindgi humse ulajh kar aaj tak mushkil mein hai

tu kya gaya

tu kya gaya ki sabki nighaein badal gayi
sunta hun apne baare mein raayein nayi nayi

vo shaks

ab toh iss raah se vo shaks guzarta bhi nahin
ab kis ummid pe darwaaze se jhaanke koi

zid

agar ye zid hai ki mujhse dua salaam na ho
toh aisi raah se guzaro jo raah-e-aam na ho

bas ik qadam pada tha galat

bas ik qadam pada tha galat, raah-e-shonq mein
manzil tamaam umar hamen dhoondhti rahi

rakhshe-umr

rau mein hain rakhshe-umr kahan dekhiye thame
ne haath baagh par hain na pa hain raqaab mein

qadar insan ki

qadar insan ki ghat ghat ke yahan tak pohnchi
ab toh qeemat mein riayat bhi nahi kar sakte

ishq ki aisi rivayat

dil toh rota rahe aur aankh se aansu na bahe
ishq ki aisi rivayat ne dil tod diya

rukh hawaon ke

rukh hawaon ke dekhta hun main
rakh ke apne makan ki buniyaad

rukuaa

rukuaa[letter] chori se usse bheja hai anjaan ke haath
kaisi ruswai ho, padh jaaye jo darbaan ke haath

hum milenge qayamat mein

main jo kehta hun ki hum milenge qayamat mein tumhen
kis ruaanat[pride] se vo kehte hain ki hum hoor nahin

ye ruquaa kya

ye ruquaa[namaz ke liye jhukna] kya, ye qayaas kya, ye sajood kya, ye salaam kya
faqat ik fareb-e-niyaaz hai, jo na mehviyat ho namaaz mein

ye ilm ka sauda

ye ilm ka sauda, ye risaale, ye kitaaben
ik shaks ki yaadon ko bhulane ke liye hain

hum bhi sunate

haal-e-dil hum bhi sunate lekin
jab vo rukhsat hua tab yaad aaya

maut aayi thi

mere hote rishta qayam kar liya kyun gaiir se
maut aayi thi mujhe, kya marr gaya tha, main na tha

ruswa kiya hai

main zindgi ka bojh liye doob toh gaya
ruswa kiya hai laash ne paani pe tair kar

na wasaail na zaraaye

na wasaail, na zaraaye, na marasim, na rasuukh
kis tarah kaam tera, ae dil-e-nakaam bane

ruu-e-sukhan

ruu-e-sukhan kisi ki taraf aur nazar kahin
main unnke dekhne ki ada dekhta raha

rudaad-e-gham

na kyun ho iss ada par ishq ki khuddariyan sadqe
unnhen rudaad-e-gham sun sun ke hairat hoti jaati hai

ruuhfarsa khabar

dil, ki guzre dinon ka tha maara hua,
aane wale dinon se bhi darne laga
roz dashti hai ek ruuhfarsa[painful] khabar
roz suraj mujhe qatl karne laga

yaad-e-jaana

yaad-e-jaana bhi azab ruuhfiza aati hai
saans leta hun toh zannat ki hawa aati hai

ruuh zahid ki

maikade mein ruuh zahid ki kahin aati na ho
kal toh ek saagar tha gayab aaj ek bottal gayi

kis munh se

kis munh se apne aap ko kehta hai ishqbaaz
ae ruusiyah[paapi] tujhse toh, ye bhi na ho saka

rushnaas

thakan se apni zara rushnaas[jaankaar] hone de
vo apne saaye se lipatega aur roa lega

ru-ba-ru

kisi din mujhko mere ru-ba-ru la
izafa kar meri hairaniyon mein

umiide-ruunumai

unnse umiide-ruunumai hai
kya nigahon ki maut aayi hai

kal tak

kal tak kitne hamgame thay ab kitni khamoshi hai
pehle duniya thi ghar men ab duniya se ruuposhi[munh chupana] hai

ashiqon ka qatal

gin gin ke roz karte hain vo ashiqon ka qatal
har roz unnke kuuche mein roz-e-shumaar hai

roz_afzuu

taraaqi par hai roz_afzuu khalish dard-e-muhbbat ki
jahan mehsuus hoti thi vahan maloom hoti hai

resha resha

sabhi hain paara paara, resha resha
pada hai kin girebaano ko seena

mere ahbaab se

mera maazi mere ahbaab se chhupata kaise
zakhm hi zakhm jo thay zism mein rozan[hole] ki tarah

rozgaar ke vaar

'zafar' ne kaise sahe honge rozgaar ke vaar
ye aadmi toh bada dhaan-paan lagta hai

khwab

jis tarah khwab mere ho gaye reza reza
iss tarah se na kabhi toot ke bikhre koi

surat teri dikha ke

surat teri dikha ke kahunga ye roz-e-hashr
aankhon ka kuch gunah, na dil ka qasoor tha

rozirasan hain shahr

phutpath par jo laash padi hai ussi ki hai
jis shaks ko yaqiin tha ki rozirasan[daily bread] hain shahr

ek uljhan sii

ajnabi logon mein ho tum aur itni door ho
ek uljhan sii raha karti hai rozana hamen

kya hamari namaaz

kya hamari namaaz, kya roza
baksh dene ke sau bahane hai

raub-o-daabe husn se

sii diye hain hont sab ke raub-o-daabe husn se
dekhna hai uss gali mein ja ke lab kholega kaun

barsaat ki awaaz

kisne khola hai hawa mein gesuon ko naaz se
narm rau barsaat ki awaaz aati hai mujhe

ghar ye mera hai

na saayeban, na angan, na chhat, na raushandaan
aur uss pe jo sabko ladai ki ghar ye mera hai

raushan_zamiir

ae dosto main kya koi raushan_zamiir tha
pehchanta jo sabka naqaabon ke shehr mein

dil ho raushan

chehra raushan hua toh kya hasil
dil ho raushan toh koi baat bhi hai

bijliyan

kya bijliyan pohnch gayi apne maqam par
kyun mujhko ashiyan ki jagah roshni mili

khizan rasida

zamiin se jinki jadein[roots] raabta badha na saki
bahaar mein vahi podhe khizan rasida rahe

charcha

maine jiyaa jo husn ko bakshi usska toh koi ikr nahi
lekin ghar ghar mein charcha hai aaj teri ranaai[beauty] ki

ik shaks

thi vo ik shaks ke tasvvur se
ab vo ranaai-e-khayal kahan

budhape mein

pii le agar budhape mein thodi si ae 'riyaz'
duniya pukar uthe koi rana jawan hai


raad-e-aah

jo raad[bijli ki kadak]-e-aah mere dil se gar nikal jaave
phate zamin ka jigar aasman dehal jaave


hamgam-e-nazaa

hamgam-e-nazaa dekh rha hun zamal-e-dost
parde uthe hain, waqt hai raaz-o-niyaaz[secret love-talk] ka
aabaad

raaz-e-hayaat

ye bhi achcha hua tujh par na khula raaz-e-hayaat
saans kehte hain jise nashtar-e-jaan ho jaata

raaz-e-sarbasta

aaj bhi uthta hai reh reh kar mere dil mein sawaal
raaz-e-sarbasta[secrect] hai hasti, ya khuli tehriir hai

raazi-ba-raza

main vo majboor ki raazi-ba-raza[kisi aur ki ichcha par rehna] ho jaaun
tu agar baab-e-asar hai toh dua ho jaaun

raast bazi

issi ko kehte hain bartaav raast bazi[honest] ka
dikhai kuch diya aur baad mein tu kya nikla

dhun ke pakke

dhun ke pakke azm ke rasikh,[atal] marna khel samjhte hain
tumne dekha diwane kis shan se su-e-daar gaye


jeena bhi dushwar

jeena bhi dushwar tha jisko
maut bhi ussko raas na aayi

rasha badan mein

rasha badan mein, surkh hain aankhein,jabiin pe bal
aaye kahan se aag-babuula bane huye


jehan-o-dil

na jehan-o-dil pe agar chodta main apne nakuush
toh mere ahd ka raavi mujhe kahan likhta


raaz-e-ramisho-rang

hum samjhte hain raaz-e-ramisho[geet]-rang
jahid-e-paakbaz kya jaane

aahu-e-ramkhurda

aise aahu-e-ramkhurda ki vehshat khoni mushkil thi
sehar kiya, ezaaz kiya, jin logo ne tujhko raam[submissive] kiya

tere kuuche mein

lut gaya vo tere kuuche mein rakha jisne qadam
iss tarah ki bhi kahin raahzani hoti hai ?

luutne ka imkaan

rahbhar ne rahzan se badhai hai dosti
manzil pe aa ke luutne ka imkaan abhi se hai


yun bhi

zindgi yun bhi guzar hi jaati
kyun tera raah-guzar yaad aaya

mazhabo-millat se

kadeem mazhabo-millat se gar nahi taskiin
toh phir nayi koi raah-e-nazaat paida kar

safar

bhole raahi ko toh mil jayega rasta lekin
vo musafir jo bhola baithe safar ko apne

bhes badal kar

har qadam soch samjhkar hi thaana hoga
raahzan bhes badal kar huye raahib, yaaro


ahd-e-hazir

rahro[musafir] badle nazar aate hain, rahbhar badle
ahd-e-hazir ne har ik baab ke daftar badle

be-raahravi

qaumon ko gumraah kiya hai
shayar ki be-raahravi[travel] ne

manzil

mere rahbhar mujhko gumraah kar de
suna hai ki manzil qareeb aa rayi hai

marne ke baad

marne ke baad aaye hain ye raahbhar jahan
mera qayas hai ki chale thay yahin se hum

nayi chaal

har qadam jisko nayi chaal na chalni aaye
vo toh rahzan bhi nahin rahnuma kya hoga


dard-o-aalam

ranj-o-kalaq hai, dard-o-aalam hai, hasrat hai nakaami hai
duuri mein uss rahat-e-jaan ki kya kya beaarami hai

muhbbat kabhi na ho

kya ye bhi zindgi hai ki raahat kabhi na ho
aisi bhi toh kisi se muhbbat kabhi na ho

talash-e-rizaq

talash-e-rizaq mein beta gaya samandar paar
magar vo qarz ki saugaat ghar mein chhod gaya


rizaale-chaman

auron ki samat dekh ke chalna hai gumrahi
apni taraf rizaale[log]-chaman dekh kar chalo

teri nigah

dil se teri nigah jigar tak utar gayi
dono ko ik ada mein razamand kar gayi

armaan bhare dil

armaan bhare dil khaaq huye aur maut ke taalib jeete hain
andher pe iss duniya ke hamen, aati hai hansi aur riqqat[rona] bhi

shokhi-e-rindana

zahid ye meri shokhi-e-rindana dekhna
rehmat ko baaton-baaton mein behla ke pii gaya

rindan-e-badanosh

rindan-e-badanosh ki chhaagal utha toh la
baadebahaar daud ke baadal utha toh la

imaan

mujhe dairo-haram se vasta kya, rindamsharb hun
vahi imaan hai jo kuch kahe piiremugaan mera

khuda ka naam

na paimaane khanakte hain na daur-e-jaam chalta hai
nayi duniya ke rindon mein khuda ka naam chalta hai


namuuse-paimaine-muhbbat

khaaq mein namuuse-paimaine-muhbbat mil gaye
uth gayi duniya se raahorasme yaari, haaye haaye

larza-bar-andaam

ye maikhana hai zahid-achche achche ladkhada jaayen
yahan toh har riyazat larza-bar-andaam aati hai


riyaaz-e-dahar

aah kya aaye riyaaz-e-dahar mein, hum kya gaye
zindgi ki shaakh pe phoole-phale, murjha gaye

riyakaari ke sajde

riyakaari[dikhava] ke sajde shekh le baithenge maszid ko
kisi din dekhna ho kar rahegi sarnagu vo bhi

duniya mein riyakaar

rote hain magar aankh se aansu nahi behte
hum sa koi duniya mein riyakaar nahin hai


gunah

ae 'adam' sab gunah kar lekin
doston se riya ki baat na kar

rafaqat

zindgi mere bichadne ka na kar itna malaal
umr bhar maine tujhe apni rafaqat di hai

rifaate-daar

tumhare baam se ab kam nahi hai rifaate[bulandi]-daar
jo dekhna ho toh dekho nazar utha ke mujhe

rida chini mere sar se

rida chini mere sar se magar main kya kehti
kata hua toh na tha haath mere bhai ka


ghar tera

kya hai rizvaan[sawrg ka chokidaar] se ladai hogi
ghar tera khuld mein gar yaad aaya

pari ki zulf

pari ki zulf mein uljha, ya rishe[beard]-waaiz mein
dile-gariib hua lukma imtihanon ka

Tuesday, August 11, 2009

sahn-e-gulshan

rihaai ki khabar kisne udaai sahn-e-gulshan mein
asiraane-qafas se toh saba kuch aur kehti hai

miyad-e-qaid

zindgi do din ki hai, lambi hai miyad-e-qaid
aaj aaya hai qafas mein, kal riha ho jayega

paigham-e-haq

jisne diya zamane ko paigham-e-haq 'zafar'
masluub ho gaya vo risaalat[message] ke bawjuud


rishta-e-jaan

gar na mil sake moti dard ke samandar mein
apne rishta-e-jaan mein sang hi piro lenge

gham-e-firaq

gham-e-firaq ke qisse, nashaate-wasl ka zikr
rivayatan hi sahi, koi baat toh karte

hamare saath

bula rahe ho hamen bhi magar khayal rahe
hamare saath hamari rivayatein hogi


baat hai ruswai ki

kaise keh doon ki mujhe chhod diya hai ussne
baat toh sach hai magar baat hai ruswai ki

ishq

ishq dil mein rahe toh ruswa ho
lab pe aaye toh raaz ho jaaye

faash ho jayenge

faash ho jayenge sab zuhado-ibaadat ke ruumuz[secret]
waaiz-e-shahr ka ab chaak girebaan hoga

saaz-e-shikasta

vo nagma-e-andoh ruuba[le kar bhagne wala] maang rahe hain
ek saaz-e-shikasta se sada maang rahe hain


zurm

kehne ko aadmi ka hai rutba bada aziim
uss admi ki qadr magar zurm ho gayi

main chup hun

fiza uddas hai, ruut muzmahil hai, main chup hun
jo ho sake toh chala aa, kisi ki khatir tu

adab-e-muhbbat

muhbbat tujhko adab-e-muhbbat khud sikha degi
zara ahishta ahishta udhar ruzhaan[jhukaav] paida kar

nazar

nazar uss husn par thehre toh akhir kis tarah thehre
kabhi vo phool ban jaaye kabhi rukhsaar ho jaaye


sadaqat

khudi sukraat ki ho ya ki ho rudaad gandhi ki
sadaqat zindgi ke morche par haar jaati hai

haqiiqate-ruud-e-hayat

jahan bhi mauj liye ja rahi hai behta chal
tujhe haqiiqate-ruud-e-[river]-hayat kya mallum


ae naseem-e-karam

dil ko chhuna na ae naseem-e-karam
ab ye dil raqushe-haboob hua

lab-e-baam

na chaho dikhana jo tum ruu[face]-e-zeba
diya hi jalakar lab-e-baam rakh do

nashsha-e-zar

vo bhi kuch kam nahi hai rustam se
nashsha-e-zar ki jo tarang mein hai


marr na saka

teshe bagaiir marr na saka kohkan 'asad'
sargashta-e-khumaare-rusumo[customs]-kay
ood tha

tera maqaam

saare jahan ke dil mein tera maqaam nikla
tu humse bhi jayda ruswa-e-aam nikla

madde_nazar

ho agar madde_nazar ruhaniyat ka itirqa
arsh par udhta hua irfaan ka parcham mile

khud parasti

khud parasti mit gayi qadre-muhbbat badh gayi
maatme-ahbaab hai taleem-e-ruhani mujhe

tumhare jalwe se

tumhare jalwe se pyar karna gulo-saman ne mujhe shikhaya
tumhari ruuyat[dekhna] se pehle koi zamale-khatirnashin nahi tha


lamha lamha

waqiyaat ishq ka tha lamha lamha ek sadi
har nafas mein maine ik rumaan paida kar diya

paigham

rupesh hua sunte hi paigham hamara
dhoondho koi qasid ko ki ab tak toh yahi tha

ik gauhar

hua hai ruunuma khud hi sare-mizgan 'zameer' akhir
vo ik gauhar jo aankhon ke khazine mein bachaya tha

takdduus

kya khandaan ka apne tujhse kahen takdduus
ruuhul amin ik adna darban hai hamara

dasht-e-gurbat

dasht-e-gurbat mein rulaate hai hamen yaad aa kar
ae vatan, tere gulon-sumbuulo-raihaan kya kya

guftgu

guftgu rekhta[scattered] mein humse na kar
ye hamari zaban hai pyaare

lafzon ke regzaar

lafzon ke regzaar mein mafhoom kho gaye
sab baat tolte hain koi chaanta nahin

roz-e-raushan

siyah nagiine ban ke dashti hai kirane
yahan kya koi roz-e-raushan guzaare


roz-e-mehshar

kyun mujhse roz-e-mehshar[qaymat ka din] ban gaya
dil ke khaaksatar mein ik shola tha jo bhadka hua

roz-e_zaza

bana roz-e_zaza jiski saza ko
meri qadre-gunahgaari toh dekho

roz-e-awwal

roz-e-awwal se khuun barasta hai
aur abhi tak zamiin pyasi hai

mera afsana

silsile roze azal se hai barabar zaari
nahin maloom kahan tak mera afsana hai

tishnagi

kabhi rege-rawaan se pyas bujh jaati hain rahroo ki
kabhi dariya ke haathon tishnagi taqseem hoti hai

meri uddan

meri uddan waqt se aage thi roz-e-shab
bimaar daur de na saka mera saath bhi


roz-e-siyah

kisi ka kab koi roz-e-siyah saath deta hai
ki tariqi mein saaya bhi juda hota hai insan se

usska vaada

usska vaada hai shab ko aane ka
din ye roz-e-hisab jaisa hai

roz-e-shumaar

vo aur honge, qayamat se jo darre 'mansha'
har ik din yahan roze shumaar jaisa hai

ruuhul kuudus

paata hun uss se daad kuch apne qalaam ki
ruuhul kuudus[zabreel] agarche mera humzuban nahin

ronaq-e-bazm

dil-e-muztar se puuch ae ronaq-e-bazm
main khud aaya nahin, laaya gaya hun

chirag-e-ronaq-e-bazm

admi ke bas mein kya hai jo kisi qabil bane
vo jise chahe, chirag-e-ronaq-e-bazm

bimaar ka haal

unnke dekhe se jo aa jaati hai munh par ronaq
vo samjhte hain ki bimaar ka haal achcha hai

raushni

sochte kya ho mere ghar mein diya koi nahin
raushni ye aa rahi hai rozane-diwaar se


rozan-e-zindan

vehshat ka sabab rozan-e-zindan toh nahi hai
mahar-o-mah-o-anzuum ko bujh kyun nahin dete

kasrat-e-khaar-e-rahe-shonq

kasrat-e-khaar-e-rahe-shonq illahi, tauba
kahin pohnche toh nahi roz-r-rizwan[paradise's garden] ke qareeb


ruuh jhulse

ruuh jhulse toh hawayein mehke
jism pighle toh raugan ban jaaye

guuncha-o-shiisha-o-saagar

guuncha-o-shiisha-o-saagar hi pe maukoof nahin
dil ke naam aur bhi hai dil ke lakab[upadi] aur bhi hai

buuton ke naaz

lakdkobe[to kick]-hawadis ka tehmmul kar nahi sakti
meri taqat, ki zaamin thi buuton ke naaz uthane ki

makduur ho ke

makduur ho ke khaaq se puuchon ki ae laeem[miser]
tune vo ganj-haaye-giran_maya kya kiye

ek jashn

phir linon ne barpa kiya
phir yazeedon ke kuuche chamkne lage


ehsaan

ehsaan nakhuda ka uthaye meri bala
kashti khuda pe chhod doon, langar ko tod doon

bahane

hai 'bayaan' maane-e-taraqi kaun
uzan sab lang hai bahane ke

roshni

ye roshni jo andheron se ho ke aayi hai
na jaane kitna nichoda hai jugnuon ka lahu


wel come