darte hain chshm-o-zulf, nigah-o-ada se ham
har dam panah mangte hain har bala se ham
mashuuq jaaye huur mile, mai bajaaye aab
mehshar mein do sawal karenge khuda se ham
go haal-e-dil chhupate hain par issko kya karen
aate hain Khud Khud nazar ik mubatla se ham
dekhen toh pehle kaun mite usski raah mein
baithe hain shart baandh ke har naqsh-e-paa se ham
No comments:
Post a Comment