kaabe ki hai havas kabhi kuu-e-buutan ki hai
mujhko Khabar nahin meri mitti kahan ki hai
kuch taazagi ho lazzat-e-aazaar ke liye
har dam mujhe talaash naye aasaman ki hai
hasrat baras rahi hai mere mazar se
kehte hain sab ye qabr kisi naujavan ki hai
qaasid ki guftagu se tasalli ho kis tarah
chhipati nahin vo jo teri zaban ki hai
sun kar mera fasana-e-gham ussne ye kaha
ho jaaye jhuuth sach, yahi khuubi bayan ki hai
kyunkar na aaye khuld[paradise] se aadam zamin par
mauzuun[fit] vahin vo khuub hai, jo shai jahan ki hai
urdu hai jiska naam hamin jante hain 'daag'
hindustan mein dhoom hamari zaban ki hai
No comments:
Post a Comment