Saturday, April 4, 2009

zafar iqbal ki shayyiri

nahin ki milne ka silsila rakhna
kisi bhi satah pe koi toh rabta rakhna
marenge log hamare siva bhi tum pe bohat
yeh zurm hai toh phir iss zurm ki saza rakhna
madad ki tum se tavaqo toh khair kya hogi
garib-e-shehr-e-sitam hun mera pata rakhna
bas ek sham hamen chaahiye na puchhna kyun
yeh baat aur kisi shaa pe utha rakhna
naye safar pe ravana hua hun az-sar-e-nau
jab aaunga toh mera naam bhi naya rakhna
fasil-e-shauq uthana zafar zaroor magar
kissi taraf se niklne ka rasta rakhna

No comments:

Post a Comment

wel come