jahan kal tha vahin phir aa gaya hun
magar sadiyon talak chalta raha hun
mera ghar ilm ka markaz tha lekin
jahalat ke andhere mein pala hun
jahan walon ! mujhe yun mat mitaon
kisi ka main bhi harf-e-mudaa hun
nahin pehchan’ne ka ye sabab hai
teri aankhon se khud ko dekhta hun
mazaron ki buuton ki aad le kar
main apne aap ko puja kiya hun
tera rutba nahin tere hi dam se
tere jalwon mein, main bhi runuma hun
nagar ne kar diya massum[zehrila] mujhko
vagarna main toh jangal ki hawa hun
No comments:
Post a Comment