dam ghut raha hai raat din ki sard jang mein
baahar nikaal de mujhe thandi surang se
ik cheekh dab ke reh gayi aafaaq ke qareeb
niklega pa-e-pheel[haathi ka paanv] kya dahne-nihang[magarmach ka munh] se
mumkin hai khaaq-e-pa ka kare vo bhi intzaar
milta hai usska rang bhi pathar ke rang se
chakh lun, ye keh ke chaat gaya raushni tamaam
vo saanp marr sakega na teg-o-tufang[talwar-bandookh] se
khamosh bezuban-sa, main dekhta raha
sharma rahi thi dhuup bhi chehron ke rang se
vo haath dho na baithe basaart[drishti] se ek din
jo khelta hai halq-e-ashqaale-rang[rango ki shakl keg here] se
hosho-hawas ab ke subaksar[sharminda] huye ‘nizaam’
aawaz jaane kaisi nikalti hai chang se
No comments:
Post a Comment