Saturday, April 11, 2009

khawaja aatish ki shayyiri

kab tak veh zulf deti hai aazaar[कष्ट]dekhiye
kat'ti hai kis tarah se shab-e-taar dekhiye
bimaar-e-ishq marte hain iss ishtiyaak[इच्छा]mein
pii jaaiye jo sharbat-e-didaar dekhiye
रगबत[prem] ki aankh daaliye zar'ron ki tarah se
roshan jo aaftab-sa rukhsaar dekhiye
jaate hain ku-e-yaar se hum aise hoke tang
kaba bhi ho toh phir ke na zinhaar[हरगिज़] dekhiye
ahista paanv rakhiye, qaymat na kijiye
thokar se fitne[परेशानी] hote hain, bedaar[जागना]dekhiye
bulbul ki tarah ishq jo humko chaman se ho
soa jaaiye toh khwab mein gulzaar dekhiye
kaz'zaak[डाकू]ki nigah se kam apni nigah nahin
kya lootiye jo daulat-e-didaar dekhiye
aaishq masiah[चिकत्सक]bhi tumhen kehte hain mehrbaan
haal usska puchhiye jise bimaar dikhiye
aalam[संसार]ki sair kijiye 'aatish' milega yaar
yusuf[beautiful] jo chahen aap toh bazaar dekhiye

No comments:

Post a Comment

wel come