Saturday, April 11, 2009

khawaja aatish ki shayyiri

rukh-0-zulf par jaan khoya kiya
andhere ujaale mein roya kiya
kahun kya hui umar kyunkar basar
main jaaga kiya bakht[luck] soya kiya
rahi sabz be-fikar kasht-e-sukhan
na jota kiya main na boya kiya
maza gham ke khane ka jisko pada
veh ashkon se haath apne dhoya kiya
zankhda'n[ठुडी] se 'aatish' muhabat rahi
kuye mein mujhe dil duboya kiya

No comments:

Post a Comment

wel come