Saturday, April 11, 2009

abdul mateen aarif ki shayyiri

talwaar mere sar pe latakti hai sahar ki
shab hun, mujhe chahat hai sitaron ki, qamar ki
gham kya hai idhar taaza hawa aaye na aaye
khidki toh khuli rehti hai hardum mere ghar ki
kaun utra tha angan mein mere chandani ban kar
ae chashm-e-talab, tune bhi mujhko na khabar ki
kya meri tarah tujhko bhi banvaas mila hai ?
pardesi, koi baat bata apne nagar ki
jab naav meri duub rahi thi sar-e-dariya
phaili nazar aayi mujhe aaghosh banvar ki
mumkin hai ki manzil pe puhnch paaye na raahi
gir jayegi ik roz yeh diwaar-e-safar bhi
chhalke meri aankhon se kai guzare zamaane
'aarif' sar-e-aaina jo hasrat se nazar ki

No comments:

Post a Comment