Saturday, April 11, 2009

manzoor hashmi ki shayyiri

vo teer chhoda hua toh ussi kamaan ka tha
agarche haath, kisi aur meharbaan ka tha
guzar raha tha vo lamha jo darmiyan ka tha
magar ye waqt bade sakht imtihan ka tha
pata nahin, ki juda ho ke, kaise zinda rahe
hamara usska taaluq toh zism-0-jaan ka tha
hawa toh chalti hi rehti hai iss samandar mein
qasoor koi agar tha toh, baadbaan ka tha
vahi kahani kabhi jhoothi thi, kabhi sach thi
zara sa farq agar tha toh bas, bayan ka tha
qadam-qadam pe naye manzaron ki hairat thi
teri gali ka safar tha, ki ik jahan ka tha
hum apne naaam ke hisse ko dhoondhte bhi kahan
zameen ke paas jo kuch tha, aasman ka tha
kahin zameen pe saani nahin mila usska
vo shaks jaise kisi aur aasman ka tha

No comments:

Post a Comment