Wednesday, April 28, 2010

main khayal hoon kisi aur ka



main khayal hun kisi aur ka mujhe sochta koi aur hai

sar-e-aaina mera aks hai, pas-e-aaina[behind the mirror] koi aur hai
main kisi ke dast-e-talab[desire]mein hun
toh kisi ke harf-e-dua[prayer] mein hun

main naseeb hun kisi aur ka, mujhe maangta koi aur hai
ajab aitbaar-o-be'aitbari ke darmiyan hai jindgi
main qarib hun kisi aur ke, mujhe jaanta koi aur hai
meri roshni teri khaddo-khaal[appearance] se mukhtalif[different] toh nahin magar
tu qarib aa tujhe dekh luun, tu wahi hai ya koi aur hai
tujhe dushmano ki khabar na thi, mujhe dosto ka pataa nahi
teri daastan koi aur thi, mera wakiyaa koi aur hai
wahi munsifon[judges] ki rivayaten, wahi faislon ki ibaarten[decision]
mera jurm toh koi aur tha par meri saza koi aur hai
kabhi lautaayen toh puchna nahi dekhna unnhe gaur se
jinhe raste mein khabar hui, ki ye rasta koi aur hai
jo meri riyaazat-e-niim-shab[midnite prayer] ko "saleem" subha na mil saki
to phir iss ke maani toh ye huye, ke yahaan khuda hi koi aur hai

ye dil ye pagal dil mera



ye dil ye pagal dil mera kyon bujh gaya aawargi
is dasht mein ik shahar tha vo kya hua aawargi

kal shab mujhe be-shakl si aawaaz ne chaunka diya
main ne kaha tu kaun hai usne kahaa aawargi

ik ajnabi jhonke ne jab pucha mere gam ka sabab
sahara ki bheegi ret par main ne likha aawargi

ye dard ki tanhaiyan, ye dasht ka viran safar
hum log toh uktaa gaye, apni suna aawargi

kal raat tanha chand ko dekha tha maine khwab mein
mohsin mujhe raas aayegi shayad sada aawargi

aap jin ke kareeb hote hain

aap jin ke kareeb hote hain
vo bade khushanaseeb hote hain

jab tabiyat kisi pe aati hain
maut ke din karib hote hain

mujhse milna phir aapka milna
aap kisko naseeb hote hain

zulm seh kar jo uff nahi karte
unnke dil bhi ajeeb hote hain

Zehaal-e-miskeen makun taghaful

Zehaal-e-miskeen makun taghaful,Duraye naina banaye batiyan.
Ke taab-e-hijran nadaram ay jaan,Na leho kahe lagaye chatiyan.

Shaban-e-hijran daraz chun zulf,Wa roz-e-waslat cho umer kotah.
...Sakhi piya ko jo main na dekhun,To kaise kaTun andheri ratiyan.
...
Yakayak az dil do chashm-e-jadu,Basad farebam baburd taskin.
Kisay pari hai jo ja sunave,Piyare pi ko hamari batiyan,

Cho shama sozan cho zaraa hairan,Hamesha giryan be ishq an meh.
Na nind naina na ang chaina,Na aap aaven na bhejen patiyan,

Bahaq-e-roz-e-visaal-e-dilbar,Ke daad mara gharib Khusro.
Sapet man ke varaye rakhun,Jo jaye pauN piya ke khatiyan.

ilzaam

maine hi khudkushi ka bhi ikraar kar liya
ilzaam kaise kaise bhala aap par na thy

jab bhii aatii hai terii yaad kabhii shaam ke baad



jab bhii aatii hai terii yaad kabhii shaam ke baad
aur badh jaatii hai afsuurdaadilii shaam ke baad

ab iraadon pe bharosaa hai na taubaa pe yakiin
mujh ko le jaaye kahan tashnaalabii shaam ke baad

yun toh har lamhaa terii yaad kaa bojhal guzaraa
dil ko mahasuus huii terii kamii shaam ke baad

yun toh kuchh shaam se pehle bhii udaasii thii "adeeb"
ab to kuch aur badhii dil kii lagii shaam ke baad

na kisi ki aankh ka noor hoon

this ghazal however, not written by zafar and has been wrongly
attributed to him. the author is muztar khairabadi, father of
janisar akhtar and grandfather of javed akhtar, many people
have incorrectly associated it with zafar.

na kisi ki aankh ka noor hoon
na kisi ke dil ka qaraar hoon
jo kisi ke kaam na aa sake
main woh ek musht-e-gubbaar hoon

na to main kisi ka habib hoon
na to main kisi ka raqeeb hoon
jo bigad gayaa woh naseeb hoon
jo ujad gayaa woh dayaar hoon

meraa rang roop bigad gayaa
meraa yaar mujh se bichhad gayaa
jo chaman khizaan se ujad gayaa
main us hi ki fasal-e-bahaar hoon

aye faatehaa koi aaye kyun
koi chaar phool chadhaaye kyun
koi aa ke shammaa jalaaye kyun
main woh be-kasi ka mazaar hoon

wel come