Thursday, January 22, 2009

nizaam ki shayyiri

मौसम-ए-गम गुज़र न जाये कहीं
शब में सूरज निकल न आये कहीं
हर घडी दिल में है ये अंदेशा
कोई अनहोनी हो न जाये कहीं
फिर मनादी[anouncemnt]हुई है बस्ती में
कोई घर छोड़ कर न जाये कहीं
ये नया डर हुआ सफ़र में मुझे
रास्ता ख़तम हो न जाये कहीं
कया बताऊँ वो क्यूँ परेशाँ है
मुझको ढूँढे कहीं ?छिपाये कहीं ?
सपना सपना है,ख्वाब खुशबू का
झोंका-झोंका बिखर न जाये कहीं
दूर ही रक्खो रौशनी से उसे
अपने साये से डर न जाये कहीं
बाद मुदत के तू मिला है 'निजाम'
डर है फिर से बिछड़ न जाये कहीं

nizaam ki shayyiri

mausam-e-gam guzar na jaaye kahin
shab mein suraj nikal na aaye kahin
har ghadi dil mein hai ye andesha
koi anhoni ho na jaaye kahin
phir manaadi[announcement]hui hai basti mein
koi ghar chod kar na jaye kahin
ye naya darr hua safar mein mujhe
rasta khatm ho na jaye kahin
kya batoon vo kyun pareshan hai !
mujhko dhoondhe kahin ! chupaye kahin?
sapna sapna hai,khwab khusbho ka
jhonka jhonka bikhar na jaye kahin
duur hi rakho roshni se usse
apne saaye se darr na jaye kahin
baad mudat ke tu mila hai 'nizaam'
darr hai phir se bichad na jaye kahin

Sunday, January 18, 2009

ahmed nadeem qasmi ki shayyiri

mujhse kaafir ko tere ishq ne yun sharmaya
dil tujhe de ke dhadka toh khuda yaad aaya
charagar aaj sitaron ki kasam kha ke bata
kisne insaan ko tabsuum[smile] ke liye tarsaaya
nazar karta raha main phuul ke zazbaat usse
jisne pathar ke khilon se mujhko behlaaya
usske andar koi fankaar chhupa baitha hai
jaante-bhujte jis shaks ne dhokha khaya

ahmed nadeem qasmi ki shayyiri

मुझसे काफिर को तेरे इश्क ने यूँ शरमाया
दिल तुझे दे के धड़का तो खुदा याद आया
चारागर आज सितारों कि क़सम खा के बता
किसने इंसान को तबसुम[हंसी] के लिए तरसाया
नज़र करता रहा मैं फूल के जज़्बात उसे
जिसने पत्थर के खिलौनों से मुझे बहलाया
उसके अन्दर इक फनकार छुपा बैठा है
जानते-बुझते जिस शख्स ने धोखा खाया

saeed raahi ki shayyiri

barson se tere naam pe khata raha fareb
mere khuda kahan hai tu apna pata to de

saeed raahi ki shayyiri

बरसों से तेरे नाम पे खाता रहा फरेब
मेरे खुदा कहाँ है तू अपना पता तो दे
mujhe uski puja se kyu rokte ho dosto
usko kyu nahi kehte ke khuda na lage
मुझे उसकी पूजा से क्यों रोकते हो दोस्तों
उसको क्यों नहीं कह्ते के खुदा ना लगे
samne aaina rakhte toh gash aa jata
tumne andaz nahi apni ada ka dekha
सामने आईना रखते तो गश आ जाता
तुमने अंदाज़ नहीं अपनी अदा का देखा
dil to kehta hai woh apne hai, apne hi hai
jinki jaanib se halka sa ishara bhi nahi
koi awaaz to ayi hai kahin se lekin
ussne ab tak to bhule se pukara bhi nahi
kya khata ki jiski humko to khabar hi na hui
Jaane kyun humse khafa hai yeh zamane wale
humko apnale yeh unko to gawara bhi nahi
tum hamein chaho na chaho yeh tumhara dil hai
hum tumhe paake rahenge yeh hamara dil hai
meri umeed koi tuta sitara bhi nahi

kaif bhopali ki shayyiri

tera chehra kitna suhana lagta hai
tere aage chaand purana lagta hai
tirachhe tirachhe teer nazar ke lagte hain
sidha sidha dil pe nishana lagtaa hai
aag ka kya hai pal do pal mein lagti hai
bujhte bujhte ek zamana lagta hai
sach toh ye hai phuul ka dil bhi chhalni hai
hansta chehra ek bahana lagta hai

kaif bhopali ki shayyiri

तेरा चेहरा कितना सुहाना लगता है
तेरे आगे चाँद पुराना लगता है
तिरछे तिरछे तीर नज़र के लगते हैं
सीधा सीधा दिल पे निशाना लगता है
आग का कया है पल दो पल में लगती है
बुझते बुझते एक ज़माना लगता है
सच तो यें है फूल का दिल भी छलनी है
हँसता चेहरा एक बहाना लगता है

ghalib ki shayyiri

dil-e-naadan tujhe hua kya hai ?
aakhir iss dard ki dawa kya hai ?
humko unnse waffa ki hai ummid
jo nahin jaante waffa kya hai
dil-e-naadan tujhe hua kya hai ?
aakhir iss dard ki dawa kya hai ?
hum hain mushtaaq aur vo bezaar
ya ilaahi ! ye maajra kya hai ?
jab ki tujh bin nahin koi maujood
fir ye hangaama, 'ei Khuda ! kya hai !
jaan tum par nisaar karta hun
main nahin jaanta dua kya hai

ghalib ki shayyiri

दिल-ए-नादान तुझे हुआ कया है ?
आखिर इस दर्द की दावा कया है ?
हमको उनसे वफ़ा की है उम्मीद
जो नहीं जानते वफ़ा कया है ?
दिल-ए-नादान तुझे हुआ कया है ?
आखिर इस दर्द की दावा कया है ?
हम हैं मुश्ताक और वो बेजार
या इलाही ! यें माजरा कया है ?
जब की तुझ बिन नहीं कोई मौजूद
फिर यें हंगामा, ऐई खुदा ! कया है !
जान तुम पर निसार करता हूँ
मैं नहीं जानता दुआ कया है ?

faraz ki shayyiri

ashqui bedili se muskil hai
phir muhabat ussi se mushkil hai
ishq aagaaz hi se mushkil hai
sabr karna abhi se mushkil hai
hamen bedili aasaa hai hamare liye
dushmani dosti se muskil hai
jisko sab bewafa samjhate ho
bevafaai ussi se mushkil hai
ek dusare se sahel na jaan
har koi har kissi se mushkil hai
tu baa-zid hai toh ja "faraz" magar
vapasi uss gali se mushkil hai

faraz ki shayyiri

आशकी बेदिली से मुश्किल है
फिर मुहबत उसी से मुश्किल है
इश्क आगाज़ ही से मुश्किल है
सबर करना अभी से मुश्किल है
हमें बेदिली आसान है हमारे लिए
दुश्मनी दोस्ती से मुश्किल है
जिसको सब बेवफा समझते हो
बेवफाई उसी से मुश्किल है
एक दुसरे से सहेल ना जान
हर कोई हर किसी से मुश्किल है
तू बा_जिद है तो जा "फ़रज़" मगर
वापसी उस गली से मुश्किल है
dekhna hai vo mujh par meharbaan kitna hai
asliyaat kahan tak hai aur gumaan kitna hai
kya panaah deti hai aur ye zamiin mujhko
aur abhi mere sar par aasmaan kitna hai
kuch khabar nahin aati kis ravish pe hai toofan
aur kataa phtaa baaqi baadabaan[sail] kitna hai
tod phod karti hain roz khawishen dil mein
tang inn makaano se ye makaan kitna hai
kya uthaaye phirta hai baar-e-ashqui[weight] sar par
aur dekhane mein vo dhaan-paan kitna hai
harf-e-aarzu sun kar jaanchane laga yaani
iss mein baat kitni hai aur byaan kitna hai
phir udaas kar degi sarsarii jhalak uss ki
bhuul kar ye dil uss ko shaadamaan kitna hai
देखना है वो मुझपे मेहरबान कितना है
असलियत कहाँ तक है और गुमान कितना है
कया पनाह देती है और यें ज़मीं मुझको
और अभी मेरे सर पर आसमान कितना है
कुछ खबर नहीं आती किस रविश पे है तूफ़ान
और कटा फटा बाक़ी बादबान[sail] कितना है
तोड़ फोड़ करती हैं रोज़ ख्वाहिशें दिल में
तंग इन मकानों से यें मकान कितना है
कया उठाये फिरता है बार-ए-आशकी[wieght] सर पर
और देखने में वो धान-पान कितना है
हर्फ़-ए-आरजू सुन कर जांचने लगा यानि
इस में बात कितनी है और बयान कितना है
फिर उदास कर देगी सरसरी झलक उसकी
भूल कर यें दिल उसको शादमान कितना है
yaadon ko apne dil se mita kyu nhi dete
jo ja chuka hai ussko bhula kyu nahi dete
muzrim hun main tera mujhe itna toh bata
khamosh khade ho saza kyun nahi dete
usse jiske zakhm inayat teri
gar hai tumhare paas toh dawa kyu nahin dete
kahin ghar nahin baste hai jinnki wajah se
unn adhjali rasmon ko jala kyu nahin dete
ussne tumhari khatir kya kya nahi kiya
tum usski waffon ka sila kyu nahin dete
tumhein mujhse muhabat hai jaanta hun main
ye baat apne lab se bata kyu nahin dete
anmol khazana hain muskurahatein teri
thoda sa isse mujhpe luta kyu nahin dete
vo aag jo dil mein lagaai thi kabhi tumne
vo aag aaj khud hi bhujh kyu nahin dete
ek arsaa hua chain se soye huye
mera chaiin, meri neend lauta kyu nahin dete
apne chehre se jo zahirr hai ,chupaaye kaise..!!
teri marzi k mutabikk nazar aaye kaise..!!
kehkhaa ankh kaa bartaav badal deta hai..!!
hasne waale tujhe aansoo nazar aaye kaise..!!
ghar sjaane ka tassavurr toh bhut baad ka hai..!!
pehle yeh teiy ho iss ghar ko bachaaye kaise..!!
koi apni hi nazarr se toh hume dekhega..!!
ek katrey ko samunder nazar aaye kaise..!!
hakeekat hai yakeen kar lo main us ko bhool ker khush hun
muhabat mar chuki ab to main us ko bhool kar khush hun
badlti rut ki waja se tabiyat kuch bojhal si hai
yun mera haal mat poucho main us ko bhool kar khush hun
mere lehjay pe mat chaunko meri ankhun main mat jhankun
yun hairat se na dekho main us ko bhool kar khush hun
tumhe kya weham hai tum kyu mujh se pouchte ho
aa mere dost main uss ko bhool kar khush hun
tum uss ki yaad se kah do main us ko bhool kar khush hun
ab to udasi sare ghar mein phailti jate hai gham ban kar
dar-e-dewar pe likh dun main uss ko bhool kar khush hun
raaton mein gar na ashk bahaoon to kya karoon
ik pal bhi uss ko bhool na paoon to kya karoon
socha toh tha ki chhod duun uss ki gali.......
lekin kahin qaraar na paaoon to kya karoon

firaq ki shayyiri

gaiir kya jaaniye kyun mujhko bura kehate hai
aap kehte hai jo aisa toh bajaa kehte hai
vaaqai tere iss andaz ko kya kehte hai
na vafaa kehte kehte hai jisko na jafaa kehte hai
ho jinhe shaq vo kare aur khudaao ki talaash
ham toh insaan ko duniya ka khuda kehte hai
teri surat nazar aai teri surat se alag
husn ko ahal-e-nazarhusn-numaa kehte hai
shikva-e-hizr kare kis dil se
hum khud apne ko bhi apne se juda kehte hai
teri rudaad-e-sitam ka hai bayan namumkin
fayda kya hai magar yun zara kehte hai
log jo kuch bhi kahe teri sitam-koshi ko
hum toh in baato ko achcha na bura kehte hai
auro ka tazurba jo kuch ho magar hum to 'firaq'
talkhi-e-zist ko jine ka maza kehte hai
aarzo hai vafaa kare koii
jii na chahe toh kya kare koii
gar marz ho davaa kare koii
marne vaale ka kya kare koii
koste hai jale hue kya kya
apne haq mein dua kare koii
unn se sab apni apni kahte hai
mera matlab adaa kare koii
tum saraapa ho surat-e-tasvir
tumse phir baat kya kare koii
jis mein lakho baras ki hooren ho
aisi jannat ko kya kare koii
aap jin ke qarib hote hai
vo bade khushnasiib hote hai
jab tabiyat kisi pe aati hai
maut ke din qarib hote hai
mujh se milana phir aap ka milana
aap kis ko nasiib hote hai
zulm sah kar jo uff nahi karte
unn ke dil bhi ajiib hote hai

shamim ki shayyiri

taasir-e-chashm-e-tar na dikhaa doon toh baat kya
unn ko bhi ek din na rulaa doon toh baat kya
raah-e-junoon-e-shauq mein badhane ki der hai
manzil jagah jagah na banaa doon toh baat kya
saqii se bas nigaah milaane ki der thii
aalam ko mayakadaa na banaa doon toh baat kya
mere niyaaz-e-ishq ki kya baat hai "shamim"
kadmo mein husn ko na jhukaa doon toh baat kya

noor ki shayyiri

aag hai pani hai mitti hai hawa hai mujh mein
aur phir maan'na padta hai ki khuda hai mujh mein
ab to le de ke wahi shakhsh bacha hai mujh mein
mujh ko mujh se juda kar ke jo chupa hai mujh mein
aaina ye to batata hai ki main kya hoon lekin
aaine is pe khamosh hai ki kya hai mujh mein
ab to bas jaan dene ki hai bari aye 'Noor'
Main kahan tak karoon sabit ki wafa hai mujh mein
uss ne phir mera haal poocha hai
kitna muskil sawal poocha hai
hichkion ka ajeeb lehja tha
baat ko taal taal poocha hai
tum mujhe chod toh na jao ge
waaste daal daal poocha hai
aansoun ki zuban mein uss ne
jitna poocha kamal poocha hai
kya mil sakenge hum dono
mujhse mera khayal poocha hai
dil mein hamare macha ke wo halchal
saamne hamare humse bekhabar baithe hai
kya iss tarha hi karte hai pyar
deewana bana ke hum se anjaan ban ke baithe hai
dhekhaye kyun na humbhari mehfil mein
bula ke hum ko bhoola baithe hai
koi kehna usse ik deewana teri yaad main ahein bharta hai
likh ke tera naam zameen per ussko sajde kerta hai
maine maszidon mein maangi hai ye dua
main jisse chahta hun, vo mujhko mile
jo mera farz tha maine poora kiya
ab khuda hi na chahe toh main kya karoon
qisse terii nazar ne sunaaye na phir kabhii
hum ne bhii dil ke daag dikhaaye na phir kabhii
ae ! yaad-e-dost ajj tuu jii bhar ke dil dukhaa
shaayad ye raat hijr kii aaye na phir kabhii
tu naam ka dariya hai rawani nahi rakhta
badal woh be_faiz hai jo paani nahi rakhta
yeh aakhri khat aakhri yaad bhi le lo
ja main bhoolne walo ki nishani nahi rakhta
tere ikhtiyar mein kya nahi mujhe iss tarah se nawaz de
yun duwayein meri qabool ho, mere lab pe koi dua na ho
main jab bhi koi kalam likhta hun
sabse pehle usse salaam likhta hun
usske chehre ko kali keh kar
usski ankhon ko jaam likhta hun
gulon ko malika samjhkar usse
main khusbhu ko usska gulaam likhta hun
khud par na likhu ae ! dost, uss
par gazal har shaam likhta hun
usske bina jindgi ko main
khudpe tera ilzaam likhta hun
zamiin pe chal na saka aasmaan se bhi gaya
kataa ke par ko parinda udaan se bhi gaya
tabaah kar gai pakke makaan ki khvaahish
main apne gaon ke kachche makaan se bhi gaya
parai aag mein khud kya mila tujhko
usse bachaa na saka apni jaan se bhi gaya
bhulaana chaha toh bhulane ki inteha kar di
vo shakhs ab mere vahm-o-gumaan se bhi gaya
kisi ke haath ka nikla hua vo teer hun main
hadaf ko chuu na sakaa aur kamaan se bhi gaya
zamiin pe fasle-gul aai, falak pe mahtaab aaya
sabhi aaye magar koi na shaayan-e-shabab aaya
mera khat padhke bole naamabar se jaa khuda-hafiz
jawab aaaaaya meri kismat se lekin laazawab aaya
ujaale garmi-e-raftar ka hi saath dete hai
basera tha jahaan apna vahi tak aaftaab aaya
'shakeel' apne mazaaq-e-diid ki takmiil kya hoti
idhar nazro ne himmat ki udhar rukh par naqaab aaya
zara si baat pe har rasm tod aaya tha
dil-e-tabaah ne bhi kya mizaaj paya tha
muaaf kar na saki meri zindgi mujhko
vo ek lamha ki main tujhse tang aaya tha
shagufta phool simatkar kali bani jaise
kuch is tarah se tuune badan churaya tha
guzar gaya hai koi lamha-e-sharar ki tarah
abhi toh main usse pehchaan bhi na paaya tha
pataa nahi ki mere baad unn pe kya guzri
main chand khvaab zamaane mein chod aaya tha
rah-e-ashiqui ke maare rah-e-aam tak na pahunche
kabhi subah tak na pahunche kabhi shaam tak na pahunche
mujhe mast agar bana de ye nigah-e-mast teri
mera haath kya nazar bhi kabhi jaam tak na pahunche
mujhe apni bekasi ka nahin gham khayaal ye hai
kahin baat badhte badhte tere naam tak na pahunche
jo ye daur bevafa hai tera gham to mustaqil ho
vo hayaat-e-aashiqui kya jo davaam tak na pahunche
ye anokhi barhami hai ke na bhule se labon par
basabiil-e-tazkira bhi mere naam tak na pahunche
kahin is tarah bhi ruuthe na kisi se koi yaron
ke payaam tak na aaye ke salaam tak na pahunche
na koi subah na koi apni shaam dete ho
dil dhadkne ko muhabat ka naam dete ho
roz chale aate ho mere khabon mein tum
inn ankhon ko tum na ek pal aaraam dete ho
tumse toh na poocha gaya mera hal-e-dil aur
ghaiiron ko roz naya salaam dete ho
jab kaat diya apne aangan se shajar
phir kyu sadaa humko sar-e-aam dete ho
humne yaad rakha phir bhi muzrim thehre
sayyad bhulne per tum inaam dete ho
jindgi ko barbaad kiye baitha hun
main tera intzaar liye baitha hun
jaane kab hone vaade mukamal
main dil mein fariyaad liye baitha hun
tere aane ki nahi koi umeed mujhe
phir bhi dil-e-bekraar liye baitha hun
jaanta hun nahi ho sakti tu meri
phir tujhe paane ki aas liye baitha hun
chupke se lekar naam tera
gujaar denge ye jindagi
zamane ko batayenge
pyar aise bhi hota hai
main hosh mein tha toh uss pe marr gaya kaise ?
ye zehar mere lahu mein utar gaya kaise ?
kuch usske dil mein lagawat zaroor thi varna
woh mera haath daba kar guzar gaya kaise ?
zaroor usski tawajah ki rehbari hogi
nashe mein tha toh main apne ghar gaya kaise ?
jise bhulaye kai saal ho gaaye ae ! dost
main aaj usski gali se guzar gaya kaise ?
vo jo sochta hai usski wzahat bhi nahi karta
vo shaks toh khul ke mohabat bhi nahi karta
jis tarah toot ke chaha hai hum ne usse
iss tarah toh koi ibaadat bhi nahi karta
वो जो सोचता है उसकी वजाहत भी नहीं करता
वो शख्स तो खुल के मुहबत भी नहीं करता
जिस तरह टूट के चाह है हम ने उसे
इस तरह तो कोई इबादत भी नहीं करता
main leh-lahate shaks ko samjha zindgi
patta gira toh dars-e-fanaa de gaya mujhe
मैं लहलहाते शख्स को समझा जिंदगी
पत्ता गिरा तो दरस--फना दे गया मुझे
wohi manzilein, wohi raaste, wohi marhale, wohi karwaan
sab apne apne makam par kabhi hum nahi kabhi tum nahi
वो ही मंजिलें, वो ही रास्ते, वो ही मरहले, वो ही कारवां
सब अपने अपने मकाम पर कभी तुम नहीं कभी हम नहीं
tere vaadon pe kahan tak mera dil fareb khaaye
koi aisa kar bahana meri aas toot jaaye
तेरे वादों पे कहाँ तक मेरा दिल फरेब खाए
कोई ऐसा कर बहाना मेरी आस टूट जाये
gham-e-zindgi, gham-e-bandgi, gham-e-do_jahan, gham-e-jawedan
meri har nazar teri muntazir, teri har nazar mera imtihaan
गम-ए-जिंदगी, गम-ए-बंदगी, गम-ए-दो-जहाँ, गम-ए-जावेदन
मेरी हर नज़र तेरी मुन्तजिर, तेरी हर नज़र मेरा इम्तिहान
mujhe ishq rakhta hai sar nigoon mera haal poocho na kya kahon
main hubaab-sahar ka sheesha hun, mere tootne mein sada nahin
मुझे इश्क रखता है सर नीगूं, मेरा हाल पूछो ना कया कहूं
मैं हुबाब-ए-सहर का शीशा हूँ, मेरे टूटने में सदा नहीं
ik tu hi mere dard ka mafhoom samjh le
hasta hua chehra toh zamane ke liye hai
इक तू ही मेरे दर्द का मफहूम समझ ले
हँसता हुआ चेहरा तो ज़माने के लिए है

qateel shifai ki shayyiri

hum na ho toh zamane ki saans ruk jaaye
'qateel' waqt ke seene mein dhadkte hain hum

qateel ki shayyiri

हम ना हो तो ज़माने की सांस रुक जाये
'कतील' वक़त के सीने में धड़कते हैं हम
haan woh nahi khuda parast, jao woh bewaffa sahi
jis ko ho deen-o-dil aziz usski gali mein jaaye kaun
हाँ वोह नहीं खुदा परस्त, जाओ वोह बेवफा सही
जिस को हो दीं-ओ-दिल अज़ीज़ उस की गली में जाये कौन
aati hai chahton ki kahani pe ab hassi
tumse bichad ke soch ke rukh bhi badal gaaye
ab tum ko dekh kar bhi dhadkta nahi hai dil
tum vo nahi rahe ke mere dukh badal gaaye ... !!!!
आती है चाहतों की कहानी पे अब हँसी
तुमसे बिछड़ के सोच के रुख भी बदल गए
अब तुमको देख कर भी धड़कता नहीं है दिल
तुम वो नहीं रहे के मेरे दुख बदल गए ... !!!!
main aasman pe tha toh zameen ki kashish tha woh
utra zameen par toh hawa ho gaya woh shaks
pedhta tha jise namaz samjh ke main
phir yun hua ke mujhse qaza ho gaya woh shaks ...
मैं आसमां पे था तो ज़मीन की कशिश था वो
उतरा ज़मीन पर तो हवा हो गया वो शख्स
पढ़ता था जिसे नमाज़ समझ कर के मैं
फिर यूँ हुआ के मुझसे कजा हो गया वो शख्स ....
saanson ke silsile ko na do naam zindgi ka
jeene ke bawjood kuch log marr gaaye
साँसों के सिलसिले को ना दो नाम जिंदगी का
जीने के बावजूद कुछ लोग मर गए
likha hai mera naam sumandar pe hawa pe
dono ke muqadar mein sukoon hai na waffa hai ....
लिखा है मेरा नाम सुमंदर पे हवा पे
दोनों के मुकदर में सकून है ना वफ़ा है ...
khud ko chunte huye din saara nikal jaata hai
phir hawa shaam ki chalti hai, bikhar jaata hun
खुद को चुनते हुए दिन सारा निकल जाता है
फिर हवा शाम की चलती है, बिखर जाता हूँ
iss ko naa-qadri-e-aalam ka sila kehte hain
marr gaye hum toh zamaane ne bahut yaad kiya
इस को ना-कदरी--आलम का सिला कह्ते हैं
मर गए हम तो ज़माने ने बहुत याद किया
kya haal poochte ho mere karobaar ka
aaiine bechta hun main andhon ke shehr mein
कया हाल पूछते हो मेरे कारोबार का
आईने बेचता हूँ मैं अन्धों के शहर में
woh paas aaye toh mozu-e-guftgu na mile
woh laut jaaye toh har guftgu ussi se rahe
वोह पास आये तो मजूं--गुफ्तगू ना मिले
वोह लौट जाये तो हर गुफ्तगू उसी से रहे
ehaas dilaya hao toh milta hi nahi
ajnabi tha toh roz mila karta tha
aaj vo mujhse meri har baat ke maani pooche
jo meri soch ki tabeer likha karta tha
एहसास दिलाया है तो मिलता ही नहीं
अजनबी था तो रोज़ मिला करता था
आज वो मुझसे मेरी हर बात का मानी पूछे
जो मेरी सोच की ताबीर लिखा करता था
uss ne kaha

uss ne kaha aao
uss ne kaha thehro
muskaao kaha uss ne
marr jao kaha uss ne


main aaya ...
thehra ...
muskaya ...
aur marr bhi gaya !
उसने कहा

उसने कहा आओ
उसने कहा ठहरो
मुस्काओ कहा उस ने
मर जाओ कहा उस ने


मैं आया ...
ठहरा ...
मुस्काया ...
और मर भी गया !

mohsin ki shayyiri

yeh keh kar rooh badan se bichad gayi 'mohsin'
mujhe sakoon tere toote huye lehad mein nahi

mohsin ki shayyiri

yeh keh kar rooh badan se bichad gayi 'mohsin'
mujhe sakoon tere toote huye lehad mein nahi
यह कह कर रुह बदन से बिछड़ गयी 'मोहसिन'
मुझे सकून तेरे टूटे हुए लहद में नहीं
teri kam goyee ke charche hain zamane bhar mein
kis se seekha hai yun baaton ki wazaht karna
तेरी कम गोई के चर्चे हैं ज़माने भर में
किस से सीखा है यूँ बातों की वजाहत करना
ussi ek pal ki talaash mein jise log kehte thay zindgi
teri rahguzar mein bikhar gayin meri umar bhar ki musafatein
उसी एक पल की तलाश में जिसे लोग कह्ते थे जिंदगी
तेरी राहगुज़र में बिखर गयीं मेरी उम्र भर की मुसफतें
abhi toh zid hai usse apna raasta badlane ki
woh royega bhi bohat meri chahton ke liye !!!
अभी तो जिद है उसे अपना रास्ता बदलने की
वो रोयेगा भी बोहत मेरी चाहतों के लिए !!!
जो चल पड़ा हूँ दिल से मगर चाहता हूँ यें
उठ के मुझे रोक ले और रास्ता ना दे ...!
jo chal pada hun dil se magar chahta hun ye
uth ke mujhe wo rok le aur raasta na de ...!
hum se ik lamha guftgu kar le
hum ne sadiyoo'n tujhe pukara hai
hum se ik lamha guftgu kar le
hum ne sadiyoo'n tujhe pukara hai
गवाही कैसे टूटी के मामला खुदा का था
मेरा उसका राबता हाथ और दुआ का था
gawahi kaise tooti keh mamla khuda ka tha
mera usska rabta hath aur dua ka tha
इसी शहर में कई साल से मेरे कुछ करीबी अज़ीज़ हैं
उन्हें मेरी कोई खबर नहीं, मुझे उनका कोई पता नहीं
issi shehr mein kai saal se mere kuch qareebi azeez hain
unhein meri koi khabar nahi, mujhe unnka koi pata nahi
इतना लिखूंगा तेरे बाद तेरे बारे में
आने वालों ने तुझे पहले ही देखा होगा
itna likhoon ga tere baad tere baare mein
aane waloon ne tujhe pehle hi dekha hoga
हम ना परिंदे हैं ना मकबूल हवाएँ फिर भी
आ किसी रोज़ किसी दुख पर इकट्ठे रोयें
hum na parinde hain na maqbool hawaein phir bhi
aa kisi rooz kisi dukh par ikathe roo'en

Saturday, January 17, 2009

लगजिशों से मरवा तू भी नहीं मैं भी नहीं
दोनों इंसान है, खुदा तू भी नहीं मैं भी नहीं
मसलिहत ने कर दिया दोनों में पैदा इख्तिलाफ
खोट शामिल तेरे दिल में है, मेरे दिल में भी है
दिल ले बिलकुल करा तू भी नहीं, मैं भी नहीं
एक ही दोज़ख में जल रहे है दोनों साथ साथ
यह हकीकत मानता तू भी नहीं मैं भी नहीं
जन-ए-फ़रज़ तू भी था ज़िदी अना मुझ में भी थी
दोनों खुद_सर थे झुका तू भी नहीं मैं भी नहीं
laghzeshon se marwa tu bhi nahi main bhi nahi
dono insaan hai khuda tu bhi nahi main bhi nahi
maslihat ne kar diya dono mein paida ikhtilaf
varna fitrat ka bura tu bhi nahi main bhi nahi
khott shamil tere dil mein hai mere dil mein bhi hai
dil le bilkul kara tu bhi nahi main bi nahi
ek hi dozakh mein jal rahe hai dono sath sath
yeh haqeeqaat manta tu bhi nahi main bhi nahi
jan-e-Faraz tu bhi tha zidi ana mujh mein bhi thi
dono khud_sar thay jhuka tu bhi nahi main bhi nahi

insha ji ki shayyiri

ख्याल कीजिये, कया काम आज मैंने किया
जब उनने दी मुझे गाली, सलाम मैंने किया
कहा यें सबर ने ... दिल से ..."कि लो खुदा हाफिज़"
"के हक-ए-बंदगी अपना, तमाम मैंने किया"
झिड़क के कहने लगे ... "लब चले बहुत अब तुम्हारे"[ज्यादा बोलना]
कभी जो भूल के उनसे, कलाम[बहस] मैंने किया
हवस[इच्छा] यह रह गयी, साहीब ने ... पर कभी ना कहा ...
"के आज से तुझे,'इंशा' ... गुलाम मैंने किया"

insha ji ki shayyiri

khayal kijiye, kya kaam aaj maine kiya
jab un ne di mujhe gaali, salaam maine kiya
kaha ye sabr ne ....dil se ... ki lo khuda hafiz
ke haq-e-bandgi apna, tamaam maine kiya
jhidak ke kehne lage, ... lab chale bahut ab tumhare[jayda bolna]
kabhi jo bhool ke unnse, kalaam[behas] maine kiya
.hawas[wish] yeh reh gayi, sahib ne ... par kabhi na kaha ...
"ke aaj se tujhe,'insha' ... gulaam maine kaha"

insha ji ki shayyiri

khayal kijiye, kya kaam aaj maine kiya
jab un ne di mujhe gaali, salaam maine kiya
kaha ye sabr ne ....dil se ... ki lo khuda hafiz
ke haq-e-bandgi apna, tamaam maine kiya
jhidak ke kehne lage, ... lab chale bahut ab tumhare[jayda bolna]
kabhi jo bhool ke unnse, kalaam[behas] maine kiya
.hawas[wish] yeh reh gayi, sahib ne ... par kabhi na kaha ...
"ke aaj se tujhe,'insha' ... gulaam maine kaha"
main aisi muhabat karta hun
tum kaisi muhabat karte ho
tum jahan pe baith ke jaate ho
main vahin pe baitha rehta hun
uss cheez ko choota rehta hun
main aisi muhabat karta hun

tum jis se hass ke milte ho
main ussko dost banata hun
tum jis raste par chalte ho
main uss se aata jaata hun
main aisi muhabat karta hun

tum jin ko dekhte rehte ho
vo khwab .. sarhane rakhta hun
tumse milne julne ke
kitne hi bahane rakhta hun
main aisi muhabat karta hun
tum kaisi muhabat karte ho

kuch khwab saja kar ankhon mein
palkon se moti chunta hun
koi lams agar choo jaye toh
main pehron ussko sochta hun
main aisi muhabat karta hun
tum kaisi muhabat karte ho

jin logo mein tum rehte ho
tum jinse baatein karte ho
jo tumko achche lagte hain
vo mujhko achche lagte hain
main aisi muhabat karta hun
tum kaisi muhabat karte ho

jis bagh mein subh ko jaate ho
jis sabze par tum chalte ho
jo shakh tumhen choo jaati hai
jo khusbho tumko bhaati hai
vo aos tumhare chehre par
jo qatra qatra girti hai
vo titli chod ke pholon ko
jo tumse milne aati hai
jo tumko choone aati hai

unn sabke nazuk jazbon mein
mere dil ki dhadkan basti hai
mere ruuh bhi shamil rehti hai
tum paas raho ya duur raho
nazron mein samaaye rehte ho
main tumko takta rehta hun
main aisi muhabat karta hun
tum kaisi muhabat karte ho

har mauqe par har manzar mein
main saath tumhare rehta hun
main chasm-e-tassavur mein aksar
bas tumko dekhta rehta hun
bas tumko sochta rehta hun
main aisi muhabat karta hun
tum kaisi muhabat karte ho
kabhi zid mein tera ho gaya
kabhi dil ne tujhko ganwa diya
iss kasmakash mein jiya sanam
tune yaad rakha ya bhula diya ?

kabhi bebasi mein hi hass diya
kabhi hassi ne hi rula diya
kabhi phool se rahi berukhi
kabhi khaar se haath mila liya

kabhi ek ko pana na kar sake
kabhi khud ko sab ka bana liya
yunhi din guzar gaye pyar ke
yunhi khwab khud ko bana liya

jo mila nahi vo mera hua
jise kho diya usse pa liya
ye ajab khel hai pyar ke
ek khayal se hi nibha liya

mohsin ki shayyiri

main jo mehka toh meri shaakh jala di uss ne
sabz mausham mein mujhe zard hawa di uss ne
pehle ek lamhe ki zanjeer se baandha mujhko
aur phir waqt ki raftaar badha di uss ne
jaanta tha ke mujhe maut sakoon bakhsegi
vo sitamgar tha so jeene ki dua di uss ne ...
ussko hone se thi saansein meri dugnii "mohsin" !
vo jo bichda to meri umar ghata di uss ne ...
mera dard naghma-e-be_sada
meri zaat zarraa-e-be_nishan
mere dard ko jo zubaan mile
mujhe apna naam-o-nishaan mile
dekho mujhe darr lagta hai gusse se tumhare
tum mujhse khafa ho bhi toh izhar na karna
aise kati hai umar yahan iztraab mein
kachcha ghada ho jaise musalsal azaab main
phir yeh hua ke dhoop dhali shaam ho gayi
rakha tha hum ne ek hi paaon rakaab mein
aatish-e-hizr hai aur main hun
musalsal sabar hai aur main hun
kabhi toh aa keh khushi mere aangan barsegi
abhi toh bas abar hai aur main hun
saamne tu hai aur mere labon pe muskurahat
dil par ek jabar hai aur main hun
itna tanha ho chuka hon ...
zindgi qabar hai aur main hun
yeh zara zara si baat par tarah tarah ka azab kyun ?
jo kisi se bhi khaffa na ho, mujhe uss khuda ki talash hai
mujhe lagzishon par har ghadi, koi tokta hai baar baar
jise kar ke dil ko dukha na ho mujhe uss gunah ki talash hai
bina hamsafar ke kab talak, koi musafaton mein laga rahe
jahan koi kisi se juda na ho, mujhe uss raah ki talash hai
mujhe dekh kar jo ek nazar, mere saare dard samjh sake
jo iss qadar ho charagar, mujhe uss nigah ki talash hai
ajeeb rangon mein guzri hai zindgi apni
dilon pe raaz kiya phir bhi pyar ko tarasay ... !!!!

mohsin ki shayyiri

kahan tha itna azaab mera chehra
jale chiraag toh bhujhne laga, mera chehra
yeh log kyun mujhe pehchante nahin "mohsin"
main sochta hun kahan reh gaya mera chehra ?

nida fazli ki shayyiri

अपना गम ले के कहीं और ना जाया जाये
घर में बिखरी हुई चीजों को सजाया जाये
जिन चिरागों को हवाओं का कोई खौफ नहीं
उन चिरागों को हवाओं से बचाया जाये
बाग़ में जाने के आदाब हुआ करते हैं
किसी तितली को ना फूलों से उदय जाये
खुदकुशी करने की हिम्मत नहीं होती सब में
और कुछ दिन यूँ ही औरों को सताया जाये
घर से मस्जिद है बहुत दूर चलो यूँ करें
किसी रोते हुए बच्चे को हँसाया जाये

nida fazli ki shayyiri

apna gum le ke kahin aur na jaaya jaaye
ghar mein bhikari hui chizon ko sajaya jaaye
jin chiragon ko havaon ka koi khauff nahin
un chiraagon ko hawaon se bachaya jaaye
baag mein jaane ke aadab hua karte hain
kisi titali ko na phuulon se udaaya jaaye
khudkushi karne ki himmat nahin hoti sab mein
aur kuch din yun hi auron ko sataaya jaaye
ghar se maszid hai bahut duur chalo yun karein
kisi rote huye bachche ko hasaaya jaaye
हजारों दर्द ऐसे है अगर भरते तो अच्छा था
तुम्ही को हमने चाह था तुम्ही मिलते तो अच्छा था
कोई आ कर हमें पूछे तुम्हे कैसे भुलाया है
तमाम अश्कों को हमने शब्-ए-गम में जलाया है
हजारों ज़ख्म ऐसे है अगर सिलते तो अच्छा था
तुम्ही को हमने चाह था तुम्ही मिलते तो अच्छा था
hazaro dard aise hai agar bharte toh achcha tha
tumhi ko humne chaha tha tumhi milte toh achcha tha
koi aa kar hamen pooche tumhe kaise bhulaya hai
tamam ashkon ko humne shab-e-gam mein jalaya hai
hazaro zakhm aise hai agar silte toh achcha tha
tumhi ko humne chaha tha tumhi milte toh achcha tha
बड़ा दुश्वार होता है
ज़रा सा फैसला करना
के जीवन की कहानी को
कहाँ से याद रखना है
कहाँ से भूल जाना है
किसे कितना बताना है
किस से कितना छुपाना है
कहाँ रो रो के हसना है
कहाँ हस हस के रोना है
कहाँ आवाज़ देनी है
कहाँ खामोश रहना है
कहाँ रस्ता बदलना है
कहाँ साथ लौट जाना है
बड़ा दुश्वार होता है
ज़रा सा फैसला करना ...
bada dushwar hota hai
zara sa faisla karna
ke jeevan ki kahani ko
kahan se yaad rakhna hai
kahan se bhool jana hai
kise kitna batana hai
kis se kitna chhupana hai
kahan roa roa ke hasna hai
kahan hass hass ke rona hai
kahan awaz deni hai
kahan khamosh rehna hai
kahan rasta badalna hai
kahan saath laut jana hai
bada dushwar hota hai
zara sa faisla karna ....
हम कुछ कह्ते नहीं
दर्द फिर भी छुपाये रखते हैं
आपसे मिलने के ज़ज्बात
अब भी दिल में संजोये रखते है
कया हुआ अगर तुम कहीं दूर हो
प्यार तो सीने में दबाये रखते है
चाहत पर कोई जोर नहीं
तुम्हे चाहने की इजाज़त हम
फिर भी बनाये रखते है
hum kuch kehte nahi
dard phir chupaye rakhte hain
aapse milne ke jazbat
ab bhi dil mein sanjoye rakhte hai
kya hua agar tum kahin duur ho
pyar toh siine mein dabaye rakhte hai
chahat par koi jor nahi
tumhe chahne ki izzazat hum
phir bhi banaye rakhte hai

bashir badr ki shayyiri

मिल भी जाते हैं तो कतरा के निकल जाते है
हाय मौसम की तरह दोस्त बदल जाते है
हम अभी तक हैं गिरफ्तार-ए-मुहबत यारो
ठोकरें खा कर सुना था की संभल जाते है
यें कभी अपनी जफा पर ना हुआ शर्मिंदा
हम समझते रहे पत्थर भी पिघल जाते है
उम्र भर जिनकी वफाओं पे भरोसा कीजिये
वक़त पड़ने पे वही लोग बदल जाते है

bashir badr ki shayyiri

mil bhi jaate hain toh katra ke nikal jaate hain
haaye mausam ki tarah dost badal jaate hain
hum abhi tak hain girftaar-e-muhabat yaaro
thokaren kha kar suna tha ki sambhal jaate hain
ye kabhi apni jafa par na hua sharminda
hum samjhate rahe pathar bhi pighal jaate hain
umar bhar jin ki vafaaon pe bharosa kijiye
waqt padane pe vahi log badal jaate hain
इस तरह हर गम भुलाया कीजिये
रोज़ महखाने में आया कीजिये
छोड़ भी दीजिये तकल्लुफ शेख जी
जब भी आयें पी के जाया कीजिये
जिंदगी भर फिर ना उतेरेगा नशा
इन शराबों में नहाया कीजिये
ऐ ! हसीनों यें गुजारिश है मेरी
अपने हाथों से पिलाया कीजिये
iss tarah har gam bhulaya kijiye
roz mehkhane mein aaya kijiye
chhod bhi dijiye takalluf shekh ji
jab bhi aayen pii ke jaaya kijiye
zindgi bhar phir na uterega nasha
in sharabon mein nahaya kijiye
ae ! hasinon ye guzaarish hai meri
apne haathon se pilaya kijiye
खुद से हम इक नफस हिले भी कहाँ
उसको धोंधें तो वो मिले भी कहाँ
खेमा-खेमा गुजार ले यें शब्
सुबह-दम यें काफिले भी कहाँ
अब तामुल ना कर दिल-ए-खुद्काम
रूठ ले फिर यें सिलसिले भी कहाँ
आओ आपस में कुछ गिले कर लें
वर्ना हो सीने की इन खाराशों पर
फिर तानाफुस के यें सिले भी कहाँ
khud se hum ik nafas hile bhi kahan
ussko dhondhen toh vo mile bhi kahan
khema-khema guzar le ye shab
subah-dam ye qaafile bhi kahan
ab ta'mul na kar dil-e-khud_kaam
rooth le phir ye silsile bhi kahan
aao aapas mein kuch gile kar len
varna ho siine ki in kharaashon par
phir tanaffus ke ye sile bhi kahan
एक साया मेरा मसीहा था !
कौन जाने, वो कौन था, कया था ?
वो फ़क़त सेहन तक ही आती थी
मैं भी हुजरे से कम निकलता था
तुझको भूला नहीं वो शख्स के जो
तेरी बाहों में भी अकेला था
जां लेवा थी खाहिशें वर्ना
वसल से इंतज़ार अच्छा था
बात तो दिल-शिकन है पर, यारो !
अक्ल सच्ची थी, इश्क झूठा था !
अपने मेयर तक ना पहुंचा मैं
मुझको खुद पर बड़ा भरोसा था
जिस्म की साफ़-गोई के बा-वस्फ़
रूह ने कितना झूठ बोला था !
ek saaya mera masiha tha !
kaun jaane, vo kaun tha, kya tha ?
vo faqat sehn tak hi aati thi
main bhi hujre se kam nikalta tha
tujhko bhuula nahin vo shaks ke jo
teri bahon mein bhi akela tha
jaan leva thi khaahishen varna
vasl se intzaar achcha tha
baat toh dil-shikan hai par, yaaro !
aql sachhi thi, ishq jhuutha tha !
apne mayyar tak na pahuncha main
mujhko khud par bada bharosa tha
jism ki saaf-goii ke baa-vasf
ruuh ne kitnaa jhutth bola tha !
जुज़ गुमान और था ही कया मेरा
बस फ़क़त मेरा नाम था मेरा
जब तुझे मेरी चाह थी जाना
बस वो ही वक़त था कड़ा मेरा
खुदकुशी कर ले, जां ले वो अगर
आलम-ए-तर्क-ए-मुददा मेरा
आ चूका पेश वो मुर्रावत से
अब चलूँ काम हो चुका मेरा
आज मैं खुद से हो गया मायूस
आज एक यार मर गया मेरा
कोई मुझ तक पहुँच नहीं सकता
इतना आसान है पता मेरा
juz gumaan aur tha hi kya mera
bas faqat mera naam tha mera
jab tujhe meri chah thi jaana
bas woh hi waqt tha kada mera
khudkushi kar le, jaan le vo agar
aalam-e-tark-e-mudda mera
aa chuka pesh vo murravat se
ab chalun kaam ho chuka mera
aaj main khud se ho gaya mayuus
aaj ek yaar marr gaya mera
koi mujh tak pahunch nahin sakta
itna aasaan hai pata mera
दिल ने वफ़ा के नाम पर कार-ए-जफा नहीं किया
खुद को हलाक कर लिया खुद को फ़िदा नहीं किया
कैसे कहें के तुझको भी हमसे है वास्ता कोई
तुने तो हमसे आज तक कोई गिला नहीं किया
तू भी किसी के बाब में अहेद-शिकन हो गालिबन
मैंने भी एक शख्स का क़र्ज़ अदा नहीं किया
जो भी हो तुमपे मौतारिज़ उसको यही जवाब दो
आप बोहत शरीफ हैं आप ने कया नहीं किया
जिसको भी शेख-ओ-शाह ने हुक्म-ए-खुदा दिया करार
हमने नहीं किया वो काम हाँ बाखुदा नहीं किया
निस्बत-ए-इल्म है बोहत हाकिम-ए-वक़्त को अज़ीज़
उसने तो कार-ए-जेहल भी बे-उलामा नहीं किया
dil ne vafa ke naam par kaar-e-jafa nahin kiya
khud ko halaak kar liya khud ko fida nahin kiya
kaise kahen ke tujhko bhi humse hai vaasta koi
tune toh humse aaj tak koi gila nahin kiya
tu bhi kisi ke baab mein ahed-shikan ho gaaliban
maine bhi ek shaks ka karz ada nahin kiya
jo bhi ho tum pe mautariz ussko yahi jawab do
aap bohat shariff hain aap ne kya nahin kiya
jisko bhi shekh-o-shah ne hukm-e-khuda diya qaraar
humne nahin kiya vo kaam haan bakhuda nahin kiya
nisbat-e-ilm hai bohat haakim-e-vaqt ko aziz
uss ne toh kaar-e-jehl bhi be-ulaamaa nahin kiya

ustad qamar jalalvi ki shayyiri

ना आयें वो तो कोई पैगाम आ जाये
वोही अपना है आड़े वक़त पे जो काम आ जाये
शब्-ए-फुरक़त क़यामत ऐ ! दिल-ए-नाकाम आ जाये
अगर जल कर भड़कने पर चिराग-ए-शाम आ जाये
कहीं पे बैठ जा कया देखता है बज्म-ए-साकी में
खुदा मालूम किस तरफ से जाम आ जाये
फ़साने कह रहे है आज वो अपनी मुहबत का
"कमर" इक दिन सफ़र में खुद हिलाल-ए-ईद बन जाओं
अगर कब्जे में मेरे गर्दिश-ए-अय्याम आ जाये

ustad qamar jalalvi ki shayyiri

na aayen vo toh koi paigamaa jaaye
wohi apna hai aade waqt pe jo kaam aa jaaye
shab-e-furqat qayamat ae ! dil-e-na_kaam aa jaaye
agar jal kar badakne par chirag-e-shaam aa jaaye
kahin pe baith ja kya dekhta hai bazm-e-saaqi mein
khuda maloom kis taraf se jaam aa jaaye
fasane keh rahe hain aaj vo apni muhabat ka
"qamar" ik din safar mein khud hilal-e-eid ban jaaon
agar kabze mein mere gardish-e-ayyam aa jaaye
इश्क की दास्ताँ है प्यारे
अपनी अपनी जुबान हैं प्यारे
हम ज़माने से इंतकाम तो लें
एक हसीं दरमियान है प्यारे
तो नहीं मैं हूँ, मैं नहीं तू है
अब कुछ ऐसा गुमान है प्यारे
रख कदम फूं फूँक कर नादान
ज़र्रे ज़र्रे में जान है प्यारे
ishq ki daastan hai pyaare
apni apni zuban hain pyaare
hum zamane se intqaam toh lein
ek haseen darmiyaan hai pyaare
toh nahin main hun, main nahin tu hai
ab kuch aisa gumaan hai pyaare
rakh kadam phoonk phoonk kar naadan
zarre zarre mein jaan hai pyaare

nizaam ki shayyiri

शुक्रिया यूँ अदा करता है गिला हो जैसे
उसका अंदाज़े-बयां सब से जुदा हो जैसे
यूँ हरेक शख्स को हसरत से तका करता हूँ
मेरी पहचान का कोई न रहा हो जैसे
ज़िन्दगी हम से भी मिलने को मिली है लेकिन
राह चलते हुए साइल[फ़कीर] कि दुआ हो जैसे
यूँ हरिक शख्स सरासीमा[उद्विग्न] नज़र आता है
हर मकाँ शहर का आशेबज़दा[भूत-प्रेत ग्रसित] हो जैसे
लोग हाथों कि लकीरें यूँ पढ़ा करते हैं
इनका हर हर्फ़ इन्होने ही लिखा हो जैसे
वास्ता देता है वो शोख़ ख़ुदा का हम को
उसके भी दिल में अभी खौफ़े-ख़ुदा हो जैसे
इस तरह जीते हैं इस दौर में डरते डरते
जिन्दगी करना भी अब एक खता हो जैसे

nizaam ki shayyiri

shukriya yun ada karta hai gila ho jaise
uss ka andaz-e-bayan sab se juda ho jaise
yun harik shakhs ko hasrat se takaa karta hun
meri pehchan ka koi na raha ho jaise
jindgi hum se bhi milne ko mili hai lekin
rah chalte huye saeel[fakeer] ki dua ho jaise
yun harik shakhs saraseema[उद्विग्न] nazar aata hai
har makaan shehr ka aashebzada[भूत-प्रेत ग्रसित] ho jaise
log haath ki lakeerein yun padha karte hain
innka har harf innhone hi likha ho jaise
vaasta deta hai vo shokh khuda ka hum ko
usske bhi dil mein abhi khoff-e-khuda ho jaise
iss tarah jeete hain iss daur mein darte darte
zindgi karna bhi ab ek khata ho jaise
कितने ऐश उड़ाते होंगे कितने इतराते होंगे
जाने कैसे लोग वो होंगे जो उसको भाते होंगे
उसकी याद की बाद-ए-सबा में और तो कया होता होगा
यूँही मेरे बाल हैं, बिखरे ! और बिखर जाते होंगे
बंद रहे जिनका दरवाज़ा ऐसे घरों की मत पूछो
मेरी सांस उखड़ते ही सब बैन करेंगे, रोयेंगे
यानि मेरे बाद भी, यानि सांस लिए जाते होंगे
यारो कुछ तो बात बताओ उसकी क़यामत बाहों की
वो जो सिमटते होंगे इन में वो तो मर जाते होंगे
kitne aish udaate honge kitne itraate honge
jaane kaise log vo honge jo ussko bhaate honge
usski yaad ki baad-e-saba mein aur toh kya hota hoga
yun hi mere baal hain bikhare aur bikhar jaate honge
bandh rahe jin ka darwaza aise gharon ki mat poocho
meri saans ukhadte hi sab bain karenge roenge
yaani mere baad bhi yaani saans liye jaate honge
yaaro kuch toh baat batao uss ki qayamat bahon ki
vo jo simat'te honge inn mein vo toh marr jaate honge

faraz ki shayyiri

qadam ruk se gaye hn phool bikte dekh kar mere Faraz,
mein aksar uss se kehta tha muhabat phool hoti he
na milunga ek baar jo kho diya tune
na apne haath se ganwa mujhe kisi ke liye ...
aa ke ab tasleem karen tu nahi toh main sahi
kaun maanega ke hum donon mein bewafa koi nahi
main apni zaat chod aaya hun
hizr ki raat chod aaya hun
chala aaya hun usski mehfil se
kuch shikayat chod aaya hun
ki teri bat ki qadardaani
main apni baat chod aaya hun
rukshat ho kar main fani duniya se
sab kharafat chod aaya hun
ek asasa thay ey mera
dil ke zazbaat chod aaya hun
फुर्सत मिले तो तुम कभी मेरे भी भीतर देखना
पत्थरों पर सिर पटकता इक समंदर देखना
मेरे अंदर छा रही है क्यों अज़ब बेचैनियाँ
ख्वाहिशों से जूझता जिद्दी मुकद्दर देखना !
fursat mile toh tum kabhi mere bhi bheetar dekhna
pathar par sar patkata ik samandar dekhna
mere andar cha rahi hai kyun ajab bechaiinyia
khwagishon se jhoojhta ...ziddi muqadar dekhna
कोई किसी से दूर है, कोई किसी के पास
शायद कोई कमी सी है, हर जिंदगी के साथ
इक तुम ही नहीं जो चाँद को चेहरा ना दे सके
यें हादसा तो होता है अक्सर सभी के साथ
koi kisi se duur hai, koi kisi ke paas
sayyad koi kami si hai, har zindgi ke saath
ik tum hi nahi jo chand ko chehra na de sake
ye hadsa toh hota hai, aksar sabhi ke saath

qateel shifai ki shayyiri

अगरचा बज्म में दर्द-ए-आशना भी कहता है
कोई ना हो तो मुझे वो बुरा भी कहता है
मेरे खुदा उससे झूठलाऊँ किस बहाने से
वो अजनबी तो मुझे आशना भी कहता है
मैं उसके दोगलेपन से बोहत आजिज़ हूँ
वो मुझसे प्यार को, अपनी खता भी कहता है
हुआ है अपना तारुफ़ एक ऐसे मौसम से
जो आँधियों को खराम-ए-सबा भी कहता है
नवर_दात की कीमत पे जिनको बेच सके
ज़माना ऐसे बुतों को खुदा भी कहता है
'क़तील' तू कभी वाज़ का ऐतबार ना करना
मजाक से वो तुझे पारसा भी कहता है

qateel shifai ki shayyiri

agarcha bazam mein dard-e-ashna bhi kehta hai
koi na ho toh mujhe vo bura bhi kehta hai
mere khuda usse jhutlao'on kis bahane se
vo ajnabi toh mujhe aashna bhi kehta hai
main uss ke doglay'pan se bohat hi aajiz hun
vo mujhse pyar ko,apni khata bhi kehta hai
hua hai apna taaruf ek aise mousam se
jo andhiyon ko kharaam-e-saba bhi kehta
nawar-daat ko keemat pe jinko baech sake
zamana aise buto'on ko khuda bhi kehta hai
'qateel' tu kabhi waaz ka aitbaar na karna
mazak se vo tujhe parsa bhi kehta hai

ghalib ki shayyiri

माना के साकी के पास जाम बहुत है
पर हमें भी दुनिया मे काम बहुत है ,
आरजू, अरमान, इश्क, तमन्ना, वफ़ा, मुहब्बत
चीजे तो अच्छी है पर दाम बहुत है
ऐसा भी है कोई जो ग़ालिब को न जाने
शायर तो अच्छा है पर बदनाम बहुत है
maana ke saaki ke paas jaam bohat hai
par hamen bhi duniya mein kaam bohat hai
aarzu, armaan, ishq, tamana, waffa, muhabat
cheezen toh achchi hai par daam bohat hai
aisa bhi hai koi jo "galib" ko na jaane
shayar toh achcha hai par badnaam bohat hai

gulaab ki shayyiri

बेरुखी तो मेरे सरताज नहीं होती है
पर वो पहले सी नज़र आज नही होती है
रूप मुहताज है बन्दों की नज़र का, लेकिन
बंदगी रूप की मुहताज नहीं होती है
सर पर कांटे भी शोंक से रखते है "गुलाब"
तख्तपोशी तो बिना ताज नही होती है

gulaab ki shayyiri

berukhi toh mere sartaaj nahi hoti hai
par vo pehle si nazar aaj nahi hoti hai
roop muhtaaj hai bandon ki nazar ka,lekin
bandgi roop ki muhtaaj nahi hoti hai
sar pe kaante bhi shonk se rakhte hai "gulaab"
takhtposhi toh bina taaz nahi hoti hai
seene mein dhadkta ek chota sa dil hai
dil mein ek armaan rakha hai
armanon mein meri jindgi
tumhare pyar ke sahare
pyar ka naam phir jaan rakha hai

mehak jata hai jeven tere labon ki hassi ke saath
hassi mein jeene ka mukam rakha hai
mukam hasil hua jo aaye tum bahar ban kar
bahar ka naam phir jaan rakha hai

jaane kyun madhosh ho jaati hai
teri bahon mein aa kar
bahon mein teri nasha tamam rakha hai
nasha milta hai teri jheel si sharmai ankhon mein
ankhon ka naam phir jaam rakha hai

jism jab ban jaati hai ruuh, ruuh ko phir milta hai khuda
khuda tujhe .. humdam, khud ko ... insaan rakha hai
insan hun toh darr jata hun, soch kar tujhse judai ki baat
judai ka naam zindgi ki aakhri shaam rakha hai
koi ye kaise bataye ke vo tanha kyun hai ?
woh jo apna tha vo aur kisi ka kyun hai ?

yahi hota hai toh akhir yahi hota kyun hai ?
yahi duniya hai toh phir aisi ye duniya kyun hai ?
dil-e-barbaad se nikla nahin ab tak koi
ek lute ghar pe bhi aa deta hai dastak koi

aas jo toot gaye phir se bandhaata kyun hai ?
ik zara haath badha de toh pakad len daaman
usske senne mein sama jaaye hamari dhadkan
itni qurbat hai toh phir faasla itna kyun hai ?

tum musarrat ka kaho ya isse gham ka rishta
kehte hain pyar ka rishta hai janam ka rishta
hai janam ka jo ye rishta toh badalta kyun hai ?
koi ye kaise bataye ke vo tanha kun hai ?
main sun ke us ki sab batien faqt itna he kehta hoon
khaffa hona mana lena ye sadion sey ravaiyat hai
gile shikwe karo mujh sey tumhain YARA ijazat hai
magar aik baat meri bi tum zara yaad rakhna
kabhi aisa bhi hota hai hawain rukh badalti hain
khataien ho he jati hain
khata hona bhi mumkin hai..khafa hona bhi mumkin hai
hamesha yaad rakhna tum taluq toot jane sey...
KABHI TOOTA NAHI KARTE...!!!
na jaane kaisi ye aas hai
shayad ab bhi palat ke woh
mujhe awaaz de
mujhse usse nafrat ka dava hai
phir kyun yeh umeed hai ke woh
shayad ek baar phir
pyar se mera naam le ...
Wo mujhe chahta nahi lekin
naam mera kisi bahane se
uske hoton pe aahi jaata hai
tirchi nazro se dekh leta hai
paas se jab kabhi guzarta hai
meri nazmo pe meri ghazlo pe
tabsera dosto me karta hai
wo mujhe............
बरसों के इंतज़ार का अंजाम लिख दिया
कागज़ पे शाम काट के फिर शाम लिख दिया
बिखरी पड़ी थी टूट के कलियाँ ज़मीन पर
तरतीब दे के मैंने तेरा नाम लिख दिया
आसन नहीं थी तर्क-ए-मुहबत की दास्तान
जो आँसूओ ने आ कर नाकाम लिख दिया
अल्लाह ! जिंदगी से कहाँ तक निभाऊ मैं
के बेवफा मुहबत में मेरा नाम लिख दिया
तकसीम हो रही थी जब खुदाई की नेमतें
इक इश्क बच गया सो मेरा नाम नाम लिख दिया
किसी की दें है यें शायरी मेरी
इसकी ग़ज़ल पे जिस में मेरा नाम लिख दिया
barson ke intzaar ka anjaam likh diya
kaagaz pe shaam kaat ke phir shaam likh diya
bikhri padi thi toot ke kaliyan zameen par
tarteeb de ke maine tera naam likh diya
aasan nahi thi tark-e-muhabat ki dastaan
jo aanson ne aa kar nakaam likh diya
allah ! zindgi se kahan tak nibhaon main
ke bewaffa muhabat mein mera naam likh diya
taqseem ho rahi thi khudai ki nematein
ik ishq bach gaya so mera naam likh diya
kisi ki den hai ye shayyiri meri
isski ghazal pe jis mein mera naam likh diya

wel come