Saturday, January 17, 2009

dil ne vafa ke naam par kaar-e-jafa nahin kiya
khud ko halaak kar liya khud ko fida nahin kiya
kaise kahen ke tujhko bhi humse hai vaasta koi
tune toh humse aaj tak koi gila nahin kiya
tu bhi kisi ke baab mein ahed-shikan ho gaaliban
maine bhi ek shaks ka karz ada nahin kiya
jo bhi ho tum pe mautariz ussko yahi jawab do
aap bohat shariff hain aap ne kya nahin kiya
jisko bhi shekh-o-shah ne hukm-e-khuda diya qaraar
humne nahin kiya vo kaam haan bakhuda nahin kiya
nisbat-e-ilm hai bohat haakim-e-vaqt ko aziz
uss ne toh kaar-e-jehl bhi be-ulaamaa nahin kiya

No comments:

Post a Comment

wel come