Tuesday, June 30, 2009

zaka siddiqui ki shayyiri

khamoshi khud apni sada ho aisa bhi ho sakta hai
sanata hi guunj raha ho aisa bhi ho sakta hai
mera maazii mujhse bichhad kar kya jaane kis haal mein hai
meri tarah vo bhi tanha ho aisa bhi ho sakta hai
sehara sehara kab tak main dhundhun ulfat ka ek aalam
aalam aalam ik sehara ho aisa bhi ho sakta hai
ahl-e-tufan soch rahe hain saahil duubaa jaata hai
khud unnka dil duub raha ho aisa bhi ho sakta hai

zakia ghazal ki shayyiri

munsifon saliibon par faisale nahin hote
besabab bagavat ke saanahe nahin hote
jhuuth aur sadaaqat ki jang toh azal se hai
phir bhi sach pe jiine ke hausale nahin hote
soch ke juda hona phir ke mil na paayenge
kyon ke iss zamaane mein mojeze nahin hote
jo bhi thay gile shikawe duur kar ke jaana tha
kam se kam bichhadane par dil bure nahin hote
chaand se kaha ham ne tum hi raat bhar jaago
hamse usski yaadon mein rat_jage nahin hote

ibrahim zauq ki shayyiri

shaam ho jaam ho subu bhi ho
tujhko paane ki justaju bhi ho
dil se dil ki kahaniyan bhi sune
aankhon aankhon mein guftagu bhi ho
jheel si geharii sabz aankhon mein
duub jaane ki aarazu bhi ho
sirf tere badan ki shama jaale
aur andhera-saa chaar_suu bhi ho

unknown

dil udhas hai bahut koi paigam hi likh do
tum apna naam na likho, gumnaam hi likh do
meri qismat mein gham-e-tanhai hai lekin
tamaam umar na likho magar ek shaam hi likh do
zaroori nahi ki mil jaaye sukoon har kisi ko
sare-e-bazm na aao magar benaam hi likh do
ye janta hun ki umar bhar tanha mujhko rehna hai
magar pal do pal, ghadi do ghadi, mere naam hi likh do
chalo hum maan lete hai ke sazaa ke mustahiq thahre hum
koi inaam na likho koi ilzaam hi likh do

shahid kabir ki shayyiri

karb chehre se maah-o-saal kaa dhoya jaaye
aaj fursat se kahin baith ke roya jaaye
phir kissi nazm ki taamid uthaayi jaaye
phir kisi jism ko lafzon mein samoya jaaye
kuch toh ho raat ki sarhad mein utarane ki sazaa
garm suraj ko samundar mein duboya jaaye
itani jaldi toh badalte nahin honge chehre
gard_aaluud hain aaiine ko dhoya jaaye
maut se Khauff_zada jiine se bezaar hain log
iss almiya pe hansa jaaye ki roya jaaye

shahid kabir ki shayyiri

gham ka khazana tera bhi hai mera bhi
ye nazarana tera bhi hai mera bhi
apne gham ko geet bana ke ga lena
raag purana tera bhi hai mera bhi
tu mujhko aur main tujhko samjahaun kya
dil diwana tera bhi hai mera bhi
shehron shehron galiyon jis ka charcha hai
vo afsana tera bhi hai mera bhi
maikhane ki baat na kar waaiz mujhse
aana jaana tera bhi hai mera bhi

shahid kabir ki shayyiri

koi le jata hai uss tak na qaza aati hain
aap ho ke mujhe jaane mein hya aati hain
majboor karke phir mujhe mere yaar le chalo
uski gali mein phir mujhe ek baar le chalo
shayad ye mera veham ho mera khayal ho
Mumkin hai mere baad se mera malaal ho
pachta raha ho phir mujhe darr se utha ke woh
baitha ho meri raah me aankhein bichha ke woh
usne hi toh kiya tha mujhe pyar le chalo
uski gali me phir muhe ek baar le chalo
ab uss gali mein koi na aayega mere baad
uss darr pe khoon kaun bahayega mere baad
maine toh sang-o-khisht se takra ke apna sar
wallah kar diye thay lahoo se woh baam-o-dar
phir muntazir hai woh dar-o-deewar le chalo
uski gali mein phir mujhe mere yaar le chalo
uski gali ko jaanta pehchanta hoon main
woh meri qatlgaah hai ye maanta hoon main
uski gali mein maut muqaddar ki baat hai
'shahid' ye maut ahl-e-waffa ki hayat hai
main khud hi mangta hun talabgaar le chalo
uski gali me phir muhe mere yaar le chalo

firaq gorkhpuri ki shayyiri

aankhon mein jo baat ho gayi hai
ik sharhe-hayaat ho gayi hai
jab dil ki waffat ho gayi hai
har cheez ki raat ho gayi hai
gham se chhut kar ye gham hai mujhko
kyun gham se nijaat ho gayi hai
muddat se khabar mili na dil ki
shayad koi baat ho gayi hai
jis shai pa’ nazar padi hai teri
tasveer-e-hayyat ho gayi hai
ab ho mujhe dekhiye kahan subah
inn zulfon mein raat ho gayi hai
dil mein tujhse thi jo shikayat
ab gham ke nikaat[marm] ho gayi hai
ikraar-e-gunahe-ishq sun lo
mujhse ik baat ho gayi hai
kya janiye maut pehle kya thi
ab meri hayyat[jindgi] ho gayi hai
uss chashm-e-siyah ki yaad aksar
shame-zulmat ho gayi hai
iss daur mein zindgi basher ki
bimaar ki raat ho gayi hai
jeeti hui baazi-e-muhabbat
khela hun toh maat ho gayi hai
mitne lagin zindgi ki qadaren
jab gham se nizaat ho gayi hai
vo chahen toh waqt bhi badal jaaye
jab aaye hain raat ho gayi hai
pehle vo nigah ek kiran thi
ab barq-sifaat[bijli ki tarha] ho gayi hai
jis cheez ko chhu diya hai tune
ik barge-nabaat[hari daali] ho gayi hai
ikka-dukka sada-e-janzeer
zinda mein raat ho gayi hai
ek ek sifat ‘firaq’ usski
dekha hai toh zaat ho gayi hai

firaq gorkhpuri ki shayyiri

ho kar ayaan[pargat] vo khud ko chhupaye huye se hain
ahl-e-nazar ye chot bhi khaye huye se hain
vo tuur ho ki hashr-e-dil afsurdgane-ishq[prem mein dukhi log]
har anzuuman mein aag
lagaye huye se hain
subah-e-azal ko yun hi zara mil gayi thi aankh
vo aaj tak nigah
churaye huye se hain
hum badguman-e-ishq teri bazm-e-naaz se
ja kar bhi tere saamne
aaye huye se hai
ye qurb-o-baud[paas & duur] bhi hain sarasar fareb-e-husn
vo aa ke bhi ‘firaq’ na aaye huye se hain

firaq gorkhpuri ki shayyiri

yun mana zindgi hai chaar din ki
bohat hote hain yaaron char din bhi
khuda ko pa gaya waaiz magar hai
jaroorat aadmi ko aadmi ki
basa-aukaat[kabhi kabhi] dil se keh gayi hai
bohat kuch vo nigahe-nukhtsar bhi
mila hun muskura kar uss se har baar
magar aankhon mein bhi thi kuch nami-sii
muhbbat mein Karen kya haal dil ka
khushi hi kaam aati hai na gham hi
bhari mehfil mein har ik se bacha kar
teri aankhon ne mujhse baat kar li
ladakpan ki ada hai jaan_leva
gazab ye chokri hai haath-bhar ki
hai kitni shokh, tez ayyam-e-gul par
chaman mein muskurat har kali ki
raqeebe-ghamzada ab sabar kar le
kabhi iss se meri bhi dosti thi

firaq gorkhpuri ki shayyiri

ummid-e-marg kab tak
zindgi ka dard-e-sar kab tak
ya’ maana sabr karte hain muhabbat mein
magar kab tak

dayar-e-dost hadh hoti hai
yun bhi dil behalne ki
na yaad aayen garibon ko tere diwaron-dar kab tak

ya’ tadbeerein bhi takdeere—
muhbbat ban nahin sakti
kisi ko hizr mein bhoole rahenge hum magar kab tak

inayat ki karam ki lutf ki
aakhir koi hadh hai
koi karta rahega chara-e-zakhm-e-jigar kab tak

kisi ka husn ruswa
ho gaya parde hi parde mein
na laaye rang aakhirkar taasire—
nazar kab tak

firaq gorkhpuri ki shayyiri

aaj bhi kaafila-e-ishq raven hai ki jot ha
vahi meel aur vahi sang-e-nishan hai ki jo tha
phir tera gham vahi ruswa-e-jahan hai ki jo tha
manzile gard ke maanind udd jaati hain
vahi aandaz-e-jahane-gujran hai ki jot ha
zulmaato-noor mein kuch bhi na muhbbat ko mila
aaj take k dhundhulke ka sama hai ki jo tha
yun to hiss daur mein be_kaif sii hai bazm-e-hayat
ek hangama sare-ratle-garan[sharab ke piyale ke paas] hai ki jo tha
laakh kar zor-e-sitam laakh kar ehsaan-o-karam
tujh pa’ ae dost vahi veham-o-guman hai ki jo tha
aaj phir ishq do-aalam se juda hota hai
aastinon mein liye kaun-o-makan hai ki jo tha
ishq-e-afsurda nahin aaj bhi afsurda bohat
vahi kam-kam asare-neha[andar ki jalan ka asar] hai ki jo tha
qurb hi kam hai na duuri hi jayda lekin
aaj vo rabt ka ehsaan kahan hai ki jo tha
nazar aa jaate hain tumko toh bohat nazuk baal
dil mera kya vahi ae shishagaran hai ki jo tha
jaan de baithe thay ik baar hawas wale bhi
phir wahi marhalla-e-sud-o-jeyaan[profit-loss ka sawal] hai ki jo tha
jaan de baithe thay ik baar havas wale bhi
liye aabru ki lachakti-sii Kaman hai ki jot ha
phir teri chashme-sukhansanj ne chedi koi baat
vahi jaadu hai vahi husne-bayan hai ki jo tha
teerbakhti nahin jaati dile-saujan ki ‘firaq’
shamma ke sar pa’ vahi aaj dhuan hai ki jo tha

firaq gorkhpuri ki shayyiri

ashq mein vo tari kahan hai miyan
gham mein vo taazgi kahan hai miyan
aadmi aadmi kahan hai miyan
zindgi zindgi kahan hai miyan
log jis zindgi ko karte hain yaad
ab vo zindgi kahan hai miyan
ab gunah bhi toh khaak udaana hai
ab vo tardaamni kahan hai miyan
kucha-e-yaar jisko kehte thay
ab vo kuu[kuucha] vo gali kahan hai miyan
ab se pehle jot hi hasinon mein
aaj vo dilbhari kahan hai miyan
sab vo ik shaks ki badaulat thay
ab kammi jis mein ik kashish-sii thi
vo kashish vo kammi kahan hai miyan
jis mein hum ussko dekh lete thay
aaj vo raushni kahan hai miyan
vaada-e-sham tha ab aaye ho
do ghadi raat bhi kahan hai miyan
na karo zikr-e-zindgi ki abhi
zindgi zindgi kahan hai miyan
pehle ik dard dil mein rehta tha
ab toh vo dard bhi kahan hai miyan
daur-e-begangi mein kya puuchen
vo yagana-vashi[apnapan] kahan hai miyan
khoya khoya zaroor hun lekin
iss kadar bekhudi kahan hai miyan
vo toh rukhsat hui ‘firaq’ ke saath
ab vo afsuradgi kahan hai miyan

firaq gorkhpuri ki shayyiri

ab kasar chup-chup se rahe hain yun hi kabhu lab kholen haon
pehle ‘firaq’ ko dekha hota ab toh bohat kam bhole hain

din mein humko dekhne walo apne apne hain aukaat
jaao na tum inn khushk aankhon par hum raaton ko roa len hain
fitrat meri ishq-o-muhbbat kismet meri tanhai
kehne ki naubhat hi na aayi hum bhi kisu ke ho len hain
khunuk siyah mehake huye saaye phail jaayen hain jal-thal par
kin jatanon se meri ghazalein raat ka juda kholen hain
bhaag mein vo khaab-aavar aalam mauje-saba ke isharon par
daali-daali nau_ras patte sehaj sehaj jab dolen hain
uff vo lab par mauje-tabbsum jaise karatein len kaunde
haaye vo aalme-zumbishe-majgaan jab fitne par tolen hain
nakshon-nigare-ghazal mein jot um ye shadabi paao ho
hum ashqon mein qaynaat ken auk-kalam duubo len hain
unn raaton ko harim-e-naaz ka ek aalam hoye hai nadeem
khalvat mein von arm unguliyan bande-qaba[pehrave ka bandhan] jab kholen hain
gham ka fasana sunane walo aakhire-shab aaram karo
kal ye kahani phir chedenge hum bhi zara ab soa len hain
fitrat ki ve aankh-micholi deed ke kaabil hoye hai
aalame-raaz mein kaliyan aankhein bandh Karen hain kholen hain
hum log ab toh ajnabi-se hain kuch toh batao haal-e-‘firaq’
ab toh tumhin ko pyar Karen hain ab toh tumhin se bolen hain

firaq gorkhpuri ki shayyiri

kabhi jab teri yaad aa jaaye hai
dilon par ghata ban ke chha jaaye hai
shab-e-yaas mein kaun chhup kar nadeem mere haal par muskura jaaye hai
muhbbat mein ae maut-e-zindgi mara jaaye hai ya jiya jaaye hai
palak par pas-e-tark-e-gham ghahghah sitarta koi jhilmila jaaye hai
teri yaad shabah-e-bekhwab mein sitaron ki duniya basa jaaye hai
jo bekhwab rakhe hai ta_zindgi vahi gham kisi din sula jaaye hai
na sun mujhse humdam mera haal-zaar dil-e-naatvan sansanaa jaaye hai
ghazal meri khinche hai gham ki sharab piye hai vo jisse piya jaaye hai
meri shayari jo hai jaane-nashaant ghamon ke khazane luta jaaye hai
mujhe chhod kar jaaye hai teri yaad ki jeene ka ik aasra jaaye hai
mujhe ghumrhi ka nahin koi khauff tere ghar ko har raasta jaaye hai
sunayen tumhen dastane-‘firaq’, magar kab kisi se suna jaaye hai

firaq gorkhpuri ki shayyiri

jab teri kamat[body] ki yaadein aaiyaan
zindgi lene lagi angadaiyan
phir siyah zulfon ki yaad aayiaan
phir mere dil par ghatayen chaiyaan

ae nigahen shaunq tujhko kya kahun aaj vo aankh bohat sharmiyan
jhoomte aaye ghataon ki tarah gesu-e-shab_rang ke saudaiyan
baal-baal, usska kamande mehar-o-maah gesuye-purpech ki giraiyan
husn ko bhi ab nahin ae dil qaraar aaj toh tune qayamat dhaiyan
vo shuru-e-ishq ki pa_pardgi aur ab ye khwariyan ruswaiyan
jinko hum ek umar tak bhoole rahe aaj vo baatein bohat yaad aayiyan
ab dili choten ubhar aayin hain jab teri yaadon ki chali purwaiyan
sad makano-lamkan hain his mein bandh ek zarra khaak ki pehnaiyan
doobiye toh doobte hi jaayiye unn siyah aankhon ki uff gehraiyan
zindgi hai ya koi daste-junoon har taraf tanhaiyan tanhaiyan

sochta hun main teri yaadein na ho guzri hain nazron se kuch parchaiyan
mujhse ye baatein dam-e-fikre-sukhan kis lab-e-khamosh ne kehlaiyan
tum agar mujhse yun hi khinchte rahe door puhnchegi meri ruswaiyan
baton-baaton mein mujhe karke udas vo nigahen bhi bohat pachtaiyan
maut bhi iss raz se hai bekhabar kitni jaane ishq mein kaam aaiyan
zindgi ke dard ka karke khayal barha aankhein meri bhar aaiyan
ab vo mane ya na mane apna ahd aaj usse qasmen bohat dilwaiyan
jin mein tha kuch imtiyaze sulah-o-jung mujhko kya kya vo adayein bhaaiyan
zindgi mein ab kahan vo dilkashi ab kahan vo maut ki raa’naiyan

dekh aaye aaj yaadon ka nagar har taraf parchaiyan parchaiyan
khul chali girahen shabe-gham ki firaq
ungliyan taaron ne jab chatkhaiyan

firaq gorkhpuri ki shayyiri


chashm-siyah se ghata jo uthi hai
mai_khane par jhoom padi hai
hote-hote subah hui hai
kat’te kat’te raat kati hai
naghma hai mai hai masti hai
saqi phir bhi koi kami hai
duniya mein mafsi-nafsi hai
sabko apni apni padi hai

de de hum ahle dil ko do-aalam ye toh hamari kam-talbi hai
des ko dekha des hamara kitna bada hai kitna dukhi hai
lat chitkaye baal sanmware yaad teri dil se guzri hai
kehti hai jo teri khamoshi ae lab-e-jaana baat vahi hai
laakh azaab-e-jahan hain yaaro ek azaabe-muhbbat bhi hai
mujhko kafan sarka ke dekho gham ki raat bhi kat jaati hai
pichhla pehar hai maikhane mein nargis-e-mai_ghun jag rahi hai
kya kehna zulfon ki darazi sach hai badon ki baat badi hai
ik sagar se chashme-khumari maikhane mein subah hui hai
yaaro vo kya nemat hai jis se duniya ki duniya khali hai
meri hayat-aavar ghazlon par maut neb hi angdai li hai
ae gham-e-jaana ae gham-e-jaana kyat u hi gham-e-dauran bhi hai
waqt-e-sukhan usske lab-e-nazuk jaise koi kali khilti hai
waqt na kaatne wale des mein subah bhi ki hai sham bhi ki hai
jisko baankpan kahiye teri ek ada-e-kajkulahi hai
shayad ussne palak jhapkayi dil par parchayi-si padi hai
kaash ye duniya duniya hoti duniya mein duniya ki kami hai
sadma-e-hizr na de pichli shab yaar raat hi ab kitni hai
sun ke ‘firaq’ kahani teri
fitrat[nature] ki aankhon mein nammi hai

firaq gorkhpuri ki shayyiri

chhid gaye
ssaz-e-ishq ke gaane
khul gaye zindgi ke mai_khane
aaj toh kufr-ishq chaunk utha aaj toh bol uthe hain diwane
kuch gara’n[bhaari] ho chala hai bare-nashaat aaj dukhte hain husn ke shaane[kandhe]
baad muddat ke tere hizr mein phir aaj baitha hun dil ko samjhaane
haasile-husno-ishq bas hai yahi aadmi aadmi ko pehchane
tab hi
aamada-e-safar ho ‘firaq’
kaafile uss taraf lage jaane

bashir badr ki shayyiri

koi kaanta chuba nahin hota
dil agar phool sa nahin hota
kuch toh majbooriyan rahin hogi
yun koi bewaffa nahin hota
guftgu unnse roz hoti hai
muddaton saamna nahin hota
jii bohat chahta hai sach bole
kya karen hausla nahin hota
raat ka intzaar kaun kare
aaj kal din mein kya nahin hota

devi naagrani ki shayyiri

shor dil mein macha nahin hota
gar usse kuch hua nahin hota
kaash ! vo bhi kabhi badal jaate
soch mein faasla nahin hota
kuch zamiin mein rahi kashish hogi
varna nabh yun jhuka nahin hota
jhooth ke paanv kyun thithakte gar
dekh sach, vo darra nahin hota
apna nuksaan yun na vo karta
taish mein aa gaya nahin hota
nazar-e-aatish na hoti basti yun
mera dil gar jala nahin hota
dar ‘devi’ ka jaanta kaise
gham ne usko chhua nahin hota

parkash harsh ki shayyiri

rang-o-buu par fida nahin hota
dil agar phool sa nahin hota
aap aa kar gaye kyun mehfil se
iss tarah haq ada nahin hota
sab se aksar yahi main kehta hun
ba_waffa be-waffa nahin hota
kaun kehta hai kuch nahin milta
ishq mein kya kya chhupa nahin hota
dil ki keh toh main deta unn mein magar
kya karun haunsla nahin hota

darpan shah darpan ki shayyiri

husn gulshan hua nahin hota
dil agar phool sa nahin hota
aadmi ne kaha nahin hota
toh khuda bhi khuda nahin hota
jaate jaate bata gaya vo mujhe
duur maane juda nahin hota
aks shayad badal gaya mera
aaiina bewaffa nahin hota
aankh se khoon tapal gaya ‘gaalib’
ab raago mein jama nahin hota

jagdish raavtani anadam ki shayyiri

dil agar phool sa nahi hota
yun kisi ne chhala nahin hota
tha ye behtar ki qatl kar dete
rote rote mara nahin hota

dil mein rehte hai dil-rubaon ke

aashiqon ka pata nahin hota

zindgi zindgi nahi tab tak
ishq jab tak hua nahin hota
hosh mein reh ke zindgi jeeta
toh yun ruswa hua nahin hota
zurm haalat ka natija hain
aadmi toh bura nahin hota

khud se ulfat jo kar nahi sakta

vo kisi ka saga nahin hota

kyun ye dair-o-haram kabhi girte

aadmi gar gira nahin hota

jagdish raavtani anadam ki shayyiri

dil agar phool sa nahi hota
yun kisi ne chhala nahin hota
tha ye behtar ki qatl kar dete
rote rote mara nahin hota
dil mein rehte hai dil-rubaon ke
aashiqon ka pata nahin hota
zindgi zindgi nahi tab tak
ishq jab tak hua nahin hota
hosh mein reh ke zindgi jeeta
toh yun ruswa hua nahin hota
zurm haalat ka natija hain
aadmi toh bura nahin hota
khud se ulfat jo kar nahi sakta
vo kisi ka saga nahin hota
kyun ye dair-o-haram kabhi girte
aadmi gar gira nahin hota

pawanendra pawan ki shayyiri

apna apna khuda nahin hota
khoon itna baha nahin hota
sun ke bhi ab toh har taraf cheenkhe
dard dil mein zara nahin hota
kaun karta suman-sa dil arpit
tu agar devta nahin hota
chal yakin karke humsafar ke saath
shaks har bewaffa nahin hota
aag jhulsa ke thhuthh chod gayi
ab ye jangal hara nahin hota
mozija hota hai magar suniye
mozija har dafa nahin hota
ye bhare pet kilbilata hai
bhookh mein falsfa nahin hota
dil jo loge toh dard bhi loge
dard dil se juda nahin hota
jo samjhta nahin khuda khud ko
aadmi gumshuda nahin hota
yaar ban sakta hai aduu bhi toh
kya zehar bhi dawa nahin hota
hote kaante na mann ki bagiya mein
dil agar phool sa nahin hota
ho gaye sab ko hum paraye ab
koi ab humse khaffa nahin hota
saath rehta hai jab talak vo ‘pawana’
mujhko mera pata nahin hota

chandarbhan bhardwaj ki shayyiri

pyaar mein yun diya nahi hota
dil agar phool sa nahin hota
pyar ki lau sada jail rehti
isska diya bhujha nahin hota
ek sauda hai sirf ghaate ka
pyar mein kuch nafa nahin hota
raat karwat liye guzarti hai
din ka kuch silsila nahin hota
zindgi bhagti hi phirti hai
pyar ka ghar basa nahi hota
log sadiyon ki baat karte hain
ek pal ka pata nahin hota
pehle har baat ka bharosa tha
ab kisi baat ka nahin hota
pyar ka har dhada barabar hai
koi chotta bada nahin hota
poori lagti na ‘bardhwaj’ ghazal
pyar jab tak rama nahin hota


d.k.muflis ki shayyiri

gham mein gar mubtila nahin hota
mujhko mera pata nahin hota
jo sanam aashna nahin hota
ussko haasil khuda nahin hota
dard ka silsila nahin hota
tu agar bewaffa nahin hota
waqt karta hai fainsle saare
koi achcha-bura nahin hota
main agar hunt oh kuch allagh kya hai
main na hota, toh kya nahin hota
dosron ka bura jo karta hai
usska apna bhala nahin hota
jab talaq aag mein na tap jaaye
dekh, sona khara nahin hota
kyun bhala log doobte iss mein
ishq mein gar nasha nahin hota
haan ! juda ho gaya hai vo mujhse
kya koi haadisa nahin hota ?
sheikh leta jo taur duniya ke
koi mujhse khaffa nahin hota
ye zamiin aasman ho jaaye
thaan hi lo toh kya nahin hota
jo na guzra tumhari sohbat mein
pal wahi khush_numa nahin hota
kaise nibhati khizan ke mausham se
dil agar phool-sa nahin hota
zindgi kya hai, chand samjhote !
qarz phir bhi ada nahin hota !!
haushla_mand kab ke jeet chuke
kaash ! main bhi darra nahin hota
be-dili, bekasi, akelapan
tu nahin ho, toh kya nahin hota
door tootegi kis ghadi ‘muflis’
kuch kisi ko pata nahi hota

purneema varman ki shayyiri

kaash suraj dhala nahin hota
din mera anmana nahin hota
dhoop mein muskura nahin paate
dil agar phool-sa nahin hota
maushmon ne hamen shikhaya hai
roz din ek sa nahin hota
raah khud hi nikal ke aati hai
jab koi raasta nahin hota
zindgi ka safar na kat paata
vo agar hum_nawa nahin hota

m.b.sharma madhur ki shayyiri

gar muqadar likha nahin hota
koi rustam chhupa nahin hota
kaun jaane ki aaye kab kaise
maut ka kuch pata nahin hota
koi raushan zameer kaise ho
pet kiske laga nahi hota
buut-parasti toh kufr ho shayad
but_shikan bhi khuda nahin hota
haal mera na puuchte aa kar
zakhm phir se hara nahin hota
jaante hain sharab dozakh hai
nasha har aap-sa nahin hota
waqt naazuk vahi jahan koi
beech ka raasta nahin hota

gautam rajrishi ki shayyiri

main khuda se khaffa nahin hota
tu jo mujhse juda nahin hota
ye jo kandhe nahin tujhe milte
toh tu itna bada nahin hota
sach ki khatir na kholta munh gar
sar ye mera kataa nahin hota
kaise kaanton se hum nibhate phir
dil agar phool-sa nahin hota
chaand milta na raah mein uss roz
ishq ka haadsa nahin hota
puuchte rehte haal-chal agar
fansla yun badha nahin hota
chhedte tum na gar nigahon se
mann mera manchala nahin hota
hoti har shai pe malkiyat kaise
tu mera gar hua nahin hota
duur rakhta hun aaine ko kyun
khud se hi saamna nahin hota
kehti hain maan, kahun main sach hardam
kya karun haunsla nahin hota

manu be-takhallum ki shayyiri

tu jo sabse juda nahin hota
tujhpe dil aashna nahin hota
kaise hoti kalaam mein khushbu
dil agar phool sa nahin hota
meri bechaiin dhadkanon se bata
kab tera vasta nahin hota
khamoshi ke makam par kuch bhi
ankaha, ansuna nahin hota
aarzu aur dagmagati hai
jab tera aasra nahin hota
aazmaishein jot u nahin karta
imtehan ye kada nahi hota
ho khuda se bada wale insan
aadmi se bada nahin hota
zakhm dekhe hain har tarha bharkar
par koi fayda nahin hota
raah chalton ko raaz_dar na kar
kuch kisi ka pata nahin hota
jiska khana kharab tu kar de
usska phir kuch bura nahin hota
mai ko aise bakher mat zaahid
yun kisi ka bhala nahin hota
ik tarazu mein tol mat sabko
har koi ek sa nahin hota
mera sar dhoop se bachaane ko
ab vo aanchal rawa nahin hota
raat hoti hai din nikalta hai
aur toh kuch naya nahin hota
hum kahan, kab, kayaam kar baithen
hum ko aksar pata nahin hota
sochta hun ki kaash hawa ne
illam ka phal chakha nahin hota
mujh pe vo aitbaar kar leta
jo main itna khara[pure] nahin hota
hota kuch aur, teri raah pe jo
‘be-takahllum’ gaya nahin hota

premchand sehajwala ki shayyiri

husn gar naarsa nahin hota
ishq tab sarphira nahin hota
tu agar bewaffa nahin hota
main bhi ghamzafa nahin hota
hum bhi rindon mein ho gaye shamil
jashn iss se bada nahin hota
itne mayyus hum huye hain kyun
kya kabhi saaniha nahin hota
ye toh aksar hua hai husn ke saath
teer kheencha hua nahin hota
achchi sakelein agar nahin hoti
kya kahin aaiina nahin hota ?
ishq karma muhaal hota kya
dil agar phool sa nahin hota
gardishon se bhare hon jab ayyam
tab koi humnawa nahi hota

yogendar maudgil ki shayyiri

jab talak sirphira nahin hota
aajkal fainsla nahin hota
baat sachi bataane ko aksar
ghar mein bhi haunsla nahin hota
sapne sakaar kis tarha hote
tu agar sochta nahin hota
sach toh sach hi rahega ae yaaron
jhooth mein haunsla nahin hota
loot lete hain apne–apno ko
aaj duniya mein kya nahin hota
shudh ho mann ki bhavnayen agar
koi qissa bura nahin hota

navneet sharma ki shayyiri

unnse gar rabita nahin hota
darmiyan faansla nahin hota
main bhi khud se khaffa nahin hota
tu jo mujhse juda nahin hota
phir koi haadsa nahin hota
tu jo kud se khaffa nahin hota
tu jo mujhse mila nahin hota
main bhi khud ko dikha nahin hota
sach se gar vasta nahin hota
kuch bhi toh khwab-sa nahin hota
thhan hi len jo ghar se chalne ki
phir kahan raasta nahin hota
roz kuch toot'ta hain andhar ka
haan magar, shor-sa nahin hota
sach ki taalim pa toh len maula
kya karen daakhila[enterance] nahin hota
unnse kehne ko hai bohat lekin
unnse bas saamna nahin hota
yaad rehte hain haq unnhen apne
farz jinse adaa nahin hota
roz marte hain khwab seene mein
ab koi khuaff-sa nahin hota
aznabiyat ne veham saaf kiya
aashna, aashna nahin hota
zakhm itna bada nahin phir bhi
dard dil ka hawa nahin hota
khud ko kho kar mili samandar se
ye nadi ko gila nahin hota
log milte hain, phir bichadte hain
har koi ek sa nahin hota
dushmani khud se gar nahin hoti
koi jangal kata nahin hota
yaad jinda tha yaad qayam hai
khatam ye silsila nahin hota
aankh hoti hai gaar glass nahin
ab koi paarsaa'n nahin hota
ishq ki raah pe chala hi nahin
paer[feet] jo aabla[chhale] nahin hota
haaye dil ko bhi ye khabar hoti
dard hota hai ya nahin hota
chhachh peene se khauff kyun khaata
dhoodh se gar jala nahin hota
saath mere vahi hua aksar
jo bhi pehle nahin hua hota
haan, tujhe bhoolna hi achcha hai
kya karen hausla nahin hota
subah aati hai laut jaati hai
der tak jaagna nahin hota
soch ka farq hai yaqeen karo
waqt koi bura nahin hota
kaam aata hai ek duuje ke
aadmi kab khuda nahin hota
tum bhi badle agar nahin hote
main bhi kuch aur sa nahi hota
baat yeh aur hai na dekh sako
varna aankhon mein kya nahin hota
meer-mommin na keh gaye hote
humne bhi kuch likha nahin hota
saaf sun lo yaqeen mat karna
humse vaada waffa nahin hota
khwab saare hi jab se toot gaye
ab koi rat-jaga nahin hota
aadatan log ab siharte hain
go koi haadsa nahin hota
baat mazloom ki sune koi
ab yahi mauzaza nahin hota
tum jo gairon ke kaam aate ho
tumse apna bhala nahi hota ?
chal mere yaar zara-sa hans len
aaj kal kuch pata nahin hota
har adavat ki dhoop seh leta
dil agar phool sa nahin hota
vo hai apna ya gaiir ka 'navneet'
humse ye fainsla nahin hota

pran sharma ki shayyiri

jism khusbhu bhara nahin hota
dil agar phool sa nahi hota
thak gaya hun main saaf karte huye
dil ka kamra safaa nahin hota
dosti kar ke dekh le uss se
har koi devta nahin hota
degriyan usski kya kare koi
saath jo bhi khada nhin hota
jeete-jii amma mar gayi hoti
khoya sut gar mila nahin hota
koi chahe nahin usse bilkul
dil se kyun dukh juda nahi hota
hum hi jaayen hamesha paas usske
uss se pal bhar ko aa nahin hota
aap banwa ke dekh len lekin
ghar mehaj reit ka nahin hota
har khushi sabko gar mili hoti
aadmi diljala nahin hota
dawaar har ik ka khatkhatate ho
sabka hi aasra nahin hota
'pran' rista raha sabhi paani
kaashm aisa ghadha[pitcher] nahi hota

dr.darvesh bharti ki shayyiri

peeth peeche kaha nahin hota
tumse koi gila nahin hota
jo khaffa hai khaffa nahin hota
humne gar sach kaha nahin hota
zikr unnka chhida nahin hota
zakhm dil ka hara nahin hota
tum jutaao zara-sii himmat toh
dekho phir kya se kya nahin hota
eent-pathar na chalte aapas mein
ghar ye hargiz fana nahin hota
kya samjhta guroor kya shai hai
vo jo uthkar gira nahin hota
kuch na kar paata koi tufan bhi
bhaag mein gar badaa nahin hota
naav kyun usske haathon saunpi thi
nakhuda toh khuda nahin hota
aaj hote na balmiki agar
van-ghaman ram ka nahin hota
dard ki chashni mein jo na pakke
khud se vo aashna nahin hota
koi saagar kahin na hota agar
ik bhi dariya baha nahin hota
prem khud ki tarah na sab se kare
phir vo 'darvesh'-sa nahin hota

jogeshwar garg ki shayyiri

ishq mein mubtila nahin hota
toh museebat_zada nahin hota
barha haadsa nahin hota
dil agar phool sa nahin hota
kar rahe thay usse sabhi sajde
koi kaise khuda nahin hota
roz tufaan bhi talatum bhi
kab yahan jaljala nahin hota
bar nahin aa rahi meri koshish
unn talak silsila nahin hota
roz hoti rahi behas kitni
haan magar fainsla nahin hota
past hoti yahan tabhi mushkil
past jab haunsla nahin hota
kyun hua kam_naseeb 'jogeshwar'
kyun kabhi bhi naffa nahin hota

tejender sharma ki shayyiri

saath tera agar mila hota
jashn khamosh sa nahin hota
aise haalat se bhi guzra hun
mujhko mera pata nahin hota
maine ye maan liya kaafir hun
tumse behtar khuda nahin hota
soch mein teri aa ke gair rahe
ye waffa ka sila nahin hota
har koi aaj udhata hai hansi
kaash tujhse mila nahin hota
haan shikayat jaroor hai tujhse
gair se toh gila nahin hota
zakhm jo tumne diye seh leta
dil agar phool sa nahin hota

ahmad ali barqi azmi ki shayyiri

jab vo jalwanuma nahin hota
kya bataun main kya nahin hota
dil bohat hi uddas rehta hai
koi dard aashna nahin hota
nahin hota sukoon-e-qalb mujhe
usska jab aasra nahin hota
yaad aati hai usski sargoshi
jab bhi usska pata nahin hota
vahi rehta hai khana-e-dil mein
jab koi dosra nahin hota
iss qadar mujhse hai veh ab manuus
kabhi mujhse juda nahin hota
kijiye aap sab se husn-e-sulook
koi achcha bura nahin hota
todiye mat kisi ka sheesha-e-dil
kuch bhi iss se bhala nahin hota
asal mein hai yahi fasaad ki jadh
poora ahd-e-waffa nahin hota
nahin chubte kabhi yeh khaar-e-alam
dil agar phool sa nahin hota
usska teer-e-nazar nishane se
kabhi 'barqi' khata nahin hota
ahmed ali barqi aazmi

Monday, June 29, 2009

firaq gorkhpuri ki shayyiri

sham-e-gham uss nigah-e-naaz ki baate karo
bekhudi badhti chali hai raaz ki baaten karo
ye sukoot-e-naaz ye dil ki ragon ka tootna
khamushi mein kuch shikast-e-saaz ki baaten karon
nakhat-e-zulf-e-parishan dastan-e-shaam-e-gham
subah hone tak issi andaz ki baaten karo
har rag-e-dil vazd mein aati rahe dukhti rahe
yun hi usske ja-vo-bheja naaz ki baatein karo
jo adam ki jaan hai jo hai payaam-e-zindgi
uss sukoot-e-raaz uss aawaz ki baatein karo
ishq ruswa ho chala be_kaif-sa bezaar-sa
aaj usski nargis-e-ghamaaz[chugalkhor aankhein] ki baatein karo
naam bhi lena hai jiska ik jahan-e-rango-buu
dosto uss nau-bahare-naaz ki baatein karo
kis liye ujze-tagafuul kis liye ilzaam-e-ishq
aaj churkhe-tafraqa-pardaaz ki baatein karo
kuch kafas ki tiliyon se chhan raha hai noor-sa
kuch faza kuch hasrat-e-parwaz ki baatein karo
jo hayyat-e-javinda hai jo hai marg-e-nagahan
aaj kuch uss naaz uss andaz ki baatein karo
ishq-e-be_parwa bhi ab na_shakeba[unsatisfy] ho chala
shokhi-e-husn-e-karishma_saaz ki baatein karo
jiski furqaat ne palat di ishq ki kaya 'firaq'
aaj uss isha-nafas dam saaz ki baatein karo

firaq gorkhpuri ki shayyiri

soz-e-saaz-e-dili ko bhool gayi
zindgi aashqui ko bhool gayi
zindgi raaz-e-kunf ko kho baithi sheva-e-aazari[art of making statue] ko bhool gayi
teri aankhon ko dekh kar duniya jaadu-e-saamri ko bhool gayi
aashqui pa ke ik payam-hayyat aalme bekhudi ko bhool gayi
hai muhbbat ki aankh mein aansu apni khush-kismiti ko bhool gayi
aadmi aadmi ko bhool gaya zindgi zindgi ko bhool gayi
ya subak-rau nahin meri takhayel[kalpana] ya teri nazuki ko bhool gayi
zulfe-shab_rang kyun meri vehshat teer-e-hum_saayegi ko bhool gayi
deen-o-duniya ko kunfo-imaan ko aashqui toh sabhi ko bhool gayi
zindgi bandgi ke chakkar mein mansabe-daavari[rit of justice] ko bhool gayi
kyun muhabbat teri nazar ki qasam aalm-e-aagahi ko bhool gayi
lag gayi chup zaban-e-shikwa ko aman-e-naguftani ko bhool gayi
shan-e-paighambari nahin paate shayari shayari ko bhool gayi
itefaqaat hai zamane ke dosti dosti ko bhool gayi
yeh bhi ik ishq ka karishma hai dushmani dushmani ko bhool gayi
teri rangini-e-zamal ka afsoos ishq ki sadgi ko bhool gayi
hasti-o-nesti ko bhool gayi ashqui toh sabhi ko bhool gayi
teer-ho-taar sham-e-hizr 'firaq'
ishq ki sholgi ko bhool gayi

firaq gorkhpuri ki shayyiri

dua sab karte aaye hain dua se kuch hua bhi ho
dukhi duniya mein bande anginat koi khuda bhi ho
yahi hai husn ki khoobi yahi hai shaan-e-mehboobi
za-sar-ta-pa tagaaful ho koi jaane-waffa bhi ho
kahan veh khilvaten din-raat ki aur ab yeh aalam hai
ki jab milte hain dil kehta hai koi teesra bhi ho
hayyat-e-nau-ba-nau ke aalm-e-rangiin ka kya kehna
khushi ki sar-basar tasveer bhi ho gham_numz bhi ho
toh phir kya ishq duniya mein kahin ka bhi na reh jaaye
zamane se ladai mol li tujhse bura bhi ho
mahbbat ki nazar chashm-o-chirage bazm-hasti hai
jab itni suartein hain koi surat-aashna bhi ho
'firaq' insan se kya fainsla ho kufr-o-imaan ka
yeh hairat-khez-duniya jab khuda bhi masiva[duniyavi cheezen] bhi ho

unknown

rukte huye taaron ko syaahi kei khabar hai
pheli hai jo shab aabla-e-dard ki surat
mehshar ki talab sukhe huye honton pe le kar
nikli hai kiran jaise koi ashk-e-nadamat
paband sitaron ke sehar mein hui jab se
aankhon mein basi jaati hai phaili hui hairat
aazurda tabiyat pe malaal-e-rukh-e-yaaran
har aan har ik lamha, sar-e-soz-e-qyaamat
iss raqs-e-fusoon mein ke jahan mein hai jo barpa
darta hun kisi roz kahin tuut na jaaon
ik bahr-e-junoon khaiz bahaaye mujhe aise
rona na agar phir main kabhi laut na aaon

faraz ki shayyiri

aamad-e-dost ki navid kuu-e-waffa mein aam thi
maine bhi ik chirag-sa dil sar-e-sham rakh diya
dekho ye mere khwab thay dekho ye mere zakhm hain
main ne toh sab hisaab-e-jaan bar_sar-e-aam rakh diya
uss ne nazar nazar mein hi aise bhale sukhan kahe
maine toh usske paanvon mein saara kalam rakh diya
shiddat-e-tishnagi mein bhi gairat-e-maikashi rahi
ussne jo pher li nazar maine bhi jaam rakh diya
aur 'faraz' chahiye kitni muhabbaten tujhe
ke maaon ne tere naam par bachchon ka naam rakh diya

firaq gorkhpuri ki shayyiri

dayar-e-gair mein soz-e-vatan ki aanch na puuch
khazan mein suah-e-bahar-e-chaman ki aanch na puuch
faza hai dehaki hui raks mein hia shola-e-gul
jahan vo shokh hai uss anjuman ki aanch na puuch
qaba mein jism hai ya shola zere-parad-e-saaz
badan se lipte huye pairhan ki aanch na puuch
hizab mein bhi usse dekhna qayamat hai
naqab mein bhi rukh-e-shola_zan ki aanch na puuch

lapak rahe hain vo shole ki hont jalte hain
na puuch mauz-e-sharab-e-kuhan ki aanch na puuch
'firaq' aaiina-dar-aaiina hai husn-nigar
sabaahat-e-chaman-andhar-chaman ki aanch na puuch

firaq gorkhpuri ki shayyiri

tamam kaif kahmoshi tamam nagama-esaaz
nava-e-raaz hai ae dost ya teri aawaz
meri ghazal mein milega tujhe vo aalm-e-raaz
jahan hain ek azal se haqiqat aur mazaz
vo ae'n mehshare-nazzara[scene of last day] ho ke khalvat-raaz[gupt ekaant]
kahin bhi ban'd nahin hai nigahe-shahidbaaz[watching to beauty]
hawaein neend ke kheton se jaise aati ho
yahan se door nahin hai bohat vo maqtale-naaz
ye jang kya hai lahu thukata hai nazme-kuhan
shigufe aur khilayega waqt-e-shobadaabaaz[bazigar]
mashia'aton ko badalte hain zor-e-baazu se
'hareefe-matlabe-mushkil nahin fasune-neyaaz[jadui ada]
ishare hain ye bashr ki uluhiyat ki taraf
laven-sii de uthi aksar meri zabiin-e-neyaaz
bharam toh qurbat-e-janan ka reh gaya qayam
le aade aa hi gaya charkh-e-taf'rka-pardaaz[ladai karane wala asman]
nigahe-chashm-e-siyah kar raha hai sharh-e-gunah
na ched aise mein behas-e-jawazon-gaiir-e-jawaaz[rit-wrong]
ye mauze-nakhat-e-jaan baksh yun hi uthti hai
bahare-gesu-e-sab'rang teri umar daraz
ya hai meri nayi aawaz jisko sunke harek
ye bol uthe ki hai ye toh suni hui aawaz
harif-e-jashn-e-chiragan hai nagma-e-gham-e-dost
ki thartharaye huye dekh uthe vo shola-e-saaz
'firaq' manzil-e-jaanan vo de rahi hai jhalak
badho ki aa hi gaya vo mukam-e-duuro-o-daraaz

Majaz ki shayyiri

hizaab kitna parwar ab utha leti toh achcha tha
khud apne husn ko parda bana leti toh achcha tha
teri neechi nazar khud teri ismat[pativarta] ki muhafiz hai
tu iss nashtar ki tezi aazma leti toh achcha tha
teri cheene zabin khud ik saza kanoon-e-fitrat mein
issi shamsheer se kaate saza leti toh achcha tha
yeh tera zard rukh, yeh khusk lab, yeh veham yeh vehshat
tu apne sar se yeh badal hata leti toh achcha tha
dil-e-mazrooh ko mazrooh tar karne se kya hasil ?
tu aanshu ponch kar ab muskura leti toh achcha tha
tere zere nagin ghar ho, mehal ho, kasar ho, kuch ho ?
main yeh kehta hun tu arzoo sama leti toh achcha tha
agar khilwat[akele] mein tune sar uthaya bhi toh kya hasil ?
bhari mehfil mein aa kar sar utha leti toh achcha tha
tere maathe ka tiiqa mard ki kismat ka taara hai
agar tu saaze bedaari utha leti toh achcha tha
ayaan hai dushmanon ke khanjar par khoon ke dhabe
unnhe tu range aariz se mila leti toh achcha tha
sana'yen kheench li hai sar-phire baagi jawanon ne
tu saamne zaraahat ab utha leti toh achcha tha
tere mathe pe yeh aanchal bohat hi khoob hai lekin
tu iss aanchal se ik parcham bana leti toh achcha tha

Majaz ki shayyiri

husn phir fitna gar[jhagda paida karne wala] hai kya kahiye
dil ki zaanib nazar hai kya kahiye
phir vahi rahguzar hai kya kahiye
zindgi raah par hai kya kahiye
husn khud parda dar hai kyya kahiye
yeh hamari nazar hai kya kahiye
aah toh beasar thi barson se
nagma bhi be-asar hai kya kahiye
husn hai ab na husn ke jalwe
ab nazar hi nazar hai kya kahiye
aaj bhi hai majaz khaak nashin
aur nazar arsh par hai kya kahiye

Majaz ki shayyiri

khoob pehchan lo asraar[secret] hun main
jinse ulfat ka talabgaar hun main
ishq hi ishq hai duniya meri
fitan-e-aql se bezaar hun main
khabe isharte mein hain arbaabe khird[intelligent ppl]
aur ik shayar'ye bedaar hun main
chhedti hai jise mazraabe alam
saaze fitrat ka vahi taar hun main
range nazaar-e-kudrat mujhse
gaaz'ye aarzo rukhsaar hun main
aib jo hafiz-v-khayyam mein tha
haan kuch usska bhi gunahgaar hun main
zindgi kya hai gunah-e-aadam
zindgi hai toh gunahgaar hun main
rashke sad hosh hai masti meri
aisi masti hai ki hoshiyar hun main
le ke nikla hun guhar haaye sukhan
maho anzum ka kharidaar hun main
dair-o-qaba mein mere hi charche
aur ruswa sare bazar hun main
kufaro ilhaad se nafrat hai mujhe
aur majhab se bhi bejar hun main
ahle duniya ke liye nag sahi
raunaqe anzumne yaar hun main
aai'n iss be saro samani mein
kya yeh kaam hai ki guhar baar hun main
meri baaton mein masihaai hai
log kehte hain ki bemaar hun main
mujhse barham hai mizaz-e-peeri
muzrim-e-shokhiye guftaar hun main
hoor-v-galman ka yahan zikr nahi
nau'ye insan ka paristaar hun main
mehfil-e-dahar pe taari hai zamood
aur vaarfta ae[be-shudh] raftaar hun main
ek lapakta hua shola hun main
ek chalti hui talvaar hun main

Majaz ki shayyiri

kya tujhko khabar hai hum kya kya
ae shorishe dauran bhool gaye
veh zulfe pareshan bhool gaye
veh deed-e-giriyan bhool gaye
ae shauqe nazara kya kahiye
nazron mein koi surat hi nahi
ae zauke tasvvur kya kijiye
hum surate janan bhool gaye
ab gul se nazar milti hi nahin,
ab dil ki kali khilti hi nahin
ae fasa'le baharan rukhsat ho
hum lutfe baharan bhool gaye
sabka toh madava[illaz] kar daala
apni hi madava kar na sake
sabke toh gariban sii daale
apna hi gariban sii na sake
yeh apni waffa ka aalam hai
ab unnki zaffa ko kya kahiye
ik tashtare zehare aagiin[zehar mein bhujha hua khanjar] rakh kar
nazdeek rage jaan bhool gaye

Majaz ki shayyiri

dair-o-kaba ka main nahi qayal
dair-o-kaba ko aastan na bana
mujh mein tu ruuhe sarmadi matphonk
raunq-e-bazm-e-aarifan na bana
dasht-e-zulmaat mein bhatkane de
meri raahon ko qehqasan na bana
ishart-e-zahal-b-tergi mat cheen
mehram-e-raaze do jahan na bana
bijliyon se jahan na ho chashmak
uss gulistan mein aaishiyan na bana
khaare chashm-e-hareef rehne de
hirze bajuye dostan na bana
meri khud bainiyan na le mujhse
jalwaye afroze mahoshan na bana
dile sad paraye hawadish ko
takhte mashke gul rukhan na bana
meri khud'dariyon ka khoon na kar
mutribe bazme dilbaran na bana
maho anjum se mujhko kya nisbat
mujhko innka mijazdaan na bana
jisko apni khabar nahin rehti
ussko saalre karvan na bana
meri jaanib nigahen lutf na kar
gham ko iss darza kamran na bana
iss zamin ko zamin hi rehne de
iss zamin ko tu aasman na bana
meri hasti niyazo shaunq sahi
issko unnwane dastan na bana
raaz tera chip nahi sakta
tu mujhe apna razdaan na bana

Majaz ki shayyiri

khud dil mein reh ke aankh se parda kare koi
haan lutf jab hai paa ke bhi dhoondha kare koi
tumne toh hukamen tark-e-tamnna suna diya
kis dil se aah tark-e-tamnna kare koi
duniya larz gayi dil-e-hirman naseeb ki
iss tarah saaz-e-aish na cheda kare koi
mujhko yeh aarzu veh uthaye naqab khud
unnko yeh intzaar takaza kare koi
ye toh kisi ko zara'ete didar hi na ho
ya phir meri nigah se dekha kare koi
hoti hai iss mein husn ki toheen-e-'majaz'
itna na ahl-e-ishq ko ruswa kare koi

Majaz ki shayyiri

yeh meri duniya, yeh meri hasti
nagma, taraazi, sahbaa parasti[sharab ki puja]
shayar ki duniya, shayar ki hasti
ya nak'ae'gham[topic of pain] ya shore masti
sab se gurezan[allagh], sab par barasati
aankhon ki masti mehngi na sasti
ya khuldo[zannat] saqi-e-zezbe masti
ya tukde tukde damani hasti
mehve safar hun, gharm-e-safar hun
meri nazar mein rifiyat[bulandi] napasti[neechi jagah]
unn ankhdiyon ka aalam na pucho
sahba hi sahba, masti hi masti
veh aa bhi jaate, veh ho bhi jaate
chashm-e-tamnna phir bhi tarsati
unnka karam hai unnki muhbbat
kya mere nagmen, kya meri hasti

Majaz ki shayyiri

saara alam gosh-bar[kaan lagaye huye] aawaz hai
aaj kin haathon mein dil ka saaz hai ?
tu jahan hai zamzama parwaz hai
dil jahan hai gosh-bar aawaz hai
haan zara zur'aat dikha re zazbe dil
husn ko parde pe ane naaz hai
ham-nashii dil ki haqiqat kya kahun
soz mein duuba hua ik saz hai
aap ki makhmoor aankhon ki qasam
meri mai-khwari ab tak raz hai
hans diye vo mere rone par magar
unnke hans dene mein bhi ik raz hai
chhip gaye veh saaze hasti chheddkar
ab toh bas aawaz hi aawaz hai
husn ko nahak pasheman kar diya
ae junoon yeh bhi koi andaaz hai
saari mehfil jis pe jhoom uthi 'majaz'
veh toh aawaz-e-shikast-e-saaz hai

Sunday, June 28, 2009

Majaz ki shayyiri

kamal-e-ishq hai diwana ho gaya hun main
ye kis ke haath se daman chhuda raha hun main
tumhi toh ho jise kehti hai nakhuda duniya
bacha sako toh bacha lo ki duubta hun main
ye mere ishq ki majbooriyan ma'az[allah bachaye] allah
tumhara raz tumhin se chhupa raha hun main
iss ek hizab pa' sau behizabiyan sadke
jahan se chahta hun tum ko dekhta hun main
batane wale wahin par batate hain manzil
hazar baar jahan se guzar chuka hun main
kabhi ye zom ki tu mujhse chhip nahin sakta
kabhi ye veham ki khud bhi chipa hua hun main
mujhe sune na koi maste baadaye ishrat
'majaz' tuute huye dil ki ik sada hun main

akbar ki shayyiri

khayal dauda, nigah uthi, kalam ne likha, zuban boli
magar vahi dil ki uljhane hai kisi ne isski girah na kholi
lataafaton[softness] ke, nazakaton ke, azeeb majboon hai chaman mein
saba ne jhatka hai apna daaman, masq gayi hai kali ki choli
khayal shayar ka hai nirala, ye keh gaya ek kehne wala
shabab ke saath yun hai rindi ki jaise faagun ke saath holi
kaho ye rindan-e-duniya se ki bazm-e-ishrat ke thhat badlen
udan-khatolna hai ab mison ka gayi pari jaan ki vo doli

akbar ki shayyiri

khushi kya ho jo meri baat vo buut maan jata hai
maza toh behadh aata hai magar imaan jaata hai
banu counsil mein speaker toh rukhsat kiraat-e-misari[miser's messenger]
karun kya, memberi jaati hai ya kuraan jata hai
jawal-e-jaah-o-daulat[izzat,daulat ka jana] mein bas itni baat achchi hai
ki duniya mein bakhud aadmi pehchan jata hai
nayi tehzeeb mein dikkat jayda toh nahi hoti
mazaahib[dharam] rehte hain qayam, faqat imaan jaata hai
thetar raat ko aur din ko yaaron ki ye speechen
duhai laat sahab ki mera iman jata hai
jahan dil mein ye aayi kuch kahun vo chal diya uth kar
gazab hai fitna hai, zalim nazar pehchan jata hai
chuna bardand sabr aaj dil ke qisse yaad aate hai
tadap jaata hun ye sunkar ki ab imaan jata hai

akbar ki shayyiri

umar kab tak waffa karegi, zamana kab tak zaffa karega
mujhe qayamat ki hai ummedein, jo kuch karega khuda karega
falak jo barbaad bhi karega, buland iraade mere rahenge
jo khaak hunga toh khaak se bhi sada baguula utha karega
khuda ki paaki[pavitar] pukarta hun, hua kare nakhushi buuton ko
meri garz kuch nahin kisi se toh phir mera koi kya karega
zahan-e-faani ka hashrhi ko khayal kar mustkil natiza
yahan toh paiham[aapas] yahi tarduud[chinta], yahi tagyyur[change] hua karega
agarche hai dard-o-gham se muztar[bechain] yahi hai dard-e-zuban-e-'akbar'
ye dard jisne diya hai humko vahi hamari dawa karega

akbar ki shayyiri

haal-e-dil main suna nahin sakta
lafz maa'yni ko pa nahin sakta
ishq nazuuk mizaaj hai behadh
aql ka bojh utha nahin sakta
hosh-e-aarif ki hai yahi pehchan
ki khudi meins sama nahi sakta
ponchh sakta hai hamnashi aanshu
daag dil ke mita nahin sakta
mujhko hairat hai usski qudrat par
illam issko ghata[kam karna] nahin sakta

akbar ki shayyiri

jahan mein haal mera iss qadar jaboon hua
ki mujhko dekh ke bismil ko bhi sukoon hua
garib dil ne bohat aarzuein paida ki
magar naseeb ka likha ki sabka khoon hua
vo apne husn se wakif main apni aql se saer
unnhone hosh sambhala mujhe junoon hua
ummid chashm-e-muravvat kahan rahi baaqi
zariya baaton ka jab sirf telephne hua
nigah-e-gharm christmas mein bhi rahi hum par
hamare haq mein december bhi maah june hua

akbar ki shayyiri

hum kyun ye mubtala-e-betabi-e-nazar hain
taskeen-e-dil ki ya rab vo suratein kidhar hain
zarre jo gul bane thay vo ban gaye bagule
jo zeenat-e-chaman thay vo khaak-e-rahguzar hai
duniya ki kya haqiqat aur humse kya taalluq
vo kya hai ik jhalak hai hum kya hai ik nazar hai
humne suna bohat kuch haal-e-jahan-e-faani
afsana go gazab hain qisse toh mukhatsar hai
ghamkhana-e-jahan mein waqa'at hi kya hamari
ik na_shuneeda uff hai ik aah-e-beasar hai
kya mashriqi kafan bhi vo tarq kar sakenge
auzaar-e-maghreebi mein jo gark sarbasar hai
'akbar' ke shair sun kar kehte hai ahl-e-baatin
ab bhi khuda ke bande kuch saahib-e-asar hai

akbar ki shayyiri

duniya mein hun, duniya ka talabgaar nahin hun
bazar se guzra hun, kharid'daar nahin hun
zinda hun, magar ziist ki lazzat nahin baaqi
har chand ki hun hosh mein hoshiyar nahin hun
iss khana-e-hasti se guzar jaunga belosh
saya hun faqat naqsh be-diwar nahin hun
afsurda hun, ibarat se, dawa ki nahin haazit
gham ka mujhe ye zauff hai, bimaar nahin hun
vo gul hun khizan ne jise barbaad kiya hai
uljhu kisi daaman se main vo khaar nahin hun
ya rab ! mujhe mehfooz rakh uss buut ke sitam se
main usski inayat ka talab gaar nahin hun
afsurdgi-o-zauff ki kuch hadh nahin 'akbar'
kaafir ke mukabil mein bhi didaar nahin hun

akbar ki shayyiri

charkhi[akash] se kuch ummid thi hi nahin
aarzu maine koi ki hi nahin
chahta tha bohat se baaton ko
magar afsoos ab vo jii hi nahin
zurart-e-arz-e-haal kya hoti
nazar-e-lutf uss ne ki hi nahin
iss museebat mein dil se kya kehta
koi aisi misaal thi hi nahin
aap kya zaane kadar-e-"ya allah"
jab museebat koi padi hi nahin
shirq[nastik-pan] chhoda toh sab ne chhod diya
meri koi society hi nahin
puchho 'akbar' hai aadmi kaisa ?
hans ke bole vo aadmi hi nahin

akbar ki shayyiri

dard toh mojuud hai dil mein, dawa ho ya na ho
bandgi haalat se jaahir hai, khuda ho ya na ho
jhoomti hai shakh-e-gul, khilte hai guunche dam-b-dam
ba_asar gulshan mein tehreeq-e-saba ho ya na ho
vajad[masti] mein laate hain mujhko bulbulon ke zamzame
aapke nazdeek bamayanaa sada ho ya na ho
kyun civil surgeon ka aana rokta hai hamnashiin
iss mein hai ik baat owner ki shiffa ho ya na ho
maulvi sahab na chodenge khuda go baksh de
gher hi lenge polish wale saza ho ya na ho
memberi se aap par toh varnish ho jayegi
kaum ki haalat mein kuch iss se zila ho ya na ho

akbar ki shayyiri

ummid tooti hui hai meri jo dil mera tha vo marr chuka hai
jo zindgi ko talkh kar de, vo waqt mujh par guzar chuka hai
agarche seene mein saans bhi hai, nahin tabiyat mein jaan baaqi
azal ko hai der ik nazar ki, falaq toh kaam apna kar chuka hai
garibkhane ki ye udasi, ye na_darusti nahin qadimi[purani]
chehal pehal bhi kabhi yahan thi kabhi ye ghar bhi sanwar chuka hai
ye seena jis mein ye daag hain ab, musar'raton ka kabhi tha makhzan[godaam]
vo dil jo armaan se bhara tha khushi se iss mein thehar chuka hai
garin 'akbar' ko gird kyun hain, zanaab-e-waaiz se koi keh de
usse daraate ho maut se kya, vo zindgi hi se darr chuka hai

seraj ki shayyiri

qareeb aaye na koi ke dard badhta hai
hamen sataaye na koi ke dard badhta hai
qareeb aaya jo dil ke , ussi ne chot diya
tu saath aaye na koi ke dard badhta hai
gham-e wisaal hi achchha tha, duur thay tumse
gale lagaye na koi ke dard badhta hai
ke dosti ka bharm ab hamara tuut gaya
zehan pe chhaye na koi ke dard badhta hai
na chaiin mujhko toh tum bhi sukoon na paaoge
mujhe rulaaye na koi ke dard badhta hai
'seraj' dost bhi dushman se badh ke lagte hain
toh dost banaye na koi ke dard badhta hai !

akbar ki shayyiri

sadiyon filaasfi ki chunna aur chuni rahi
lekin khuda ki baat jahan thi vahan rahi
zor-aazmaishien hui science ki bhi khoob
taqat badhi kisi ki, kisi mein nahin rahi
duniya kabhi na sulah pe ma'eel hui magar
baaham hamesha barsar-e-paikar-o-kii rahi
paaya agar farog toh sirf unn nafoos ne
jinki ke khizan-e-raah faqat shamm-e-deen rahi
allah hi ki yaad beharhaal khalq mein
wajah sakoon-e-khatir-e-andohgi rahi

akbar ki shayyiri

isss bazm mein kya aasaar mile hangama-e-sahar samanon ke
ik daag tha shama-e-murdaan ka kuch parthhe pade parwanon ke
hasti ki ye leharein daam-e-nazar dam bhar mein nishan unnka na asar
girbaadb-e-fana mein garq hai sab, dariya hai kha afsanon ke
dil-e-lazzat nafat ka garvida duniya ki haqiqat poshida
umade hai fareb ummidon ke tufan hai bapa armanon ke
har ghaam pe hain qabaron ke nishan har simat hai ik ibarat ka samaa
ujada hai mehal aabadi ka aabad hai ghar viranon ke
daulat mein jo sharm-e-asyaan ho, behtar hai ke kaana-e-insan ho
gaalib jo na ho shaitanon par taab na ho vo shaitanon ke
ye muddai-e-islaam toh hai saathi hai magar begainon ke
taqve[sanyam] ki vo buu hi inn mein nahin, vo rang nahin imanon ke
thi aql zaban par ae 'akbar' aur ishq pe rakhi hamne nazar
mumtaaz rahe hoshiyaron mein sarkheel rahe diwanon ke

akbar ki shayyiri

har qadam kehta hai tu aaya hai jaane ke liye
manzil-e-hasti nahin hai dil lagane ke liye
kya mujhe khush aaye ye hairat saraaye be-sabaat
hosh uddne ke liye hai, jaan jaane ke liye
khoob ummedien bandhi lekin hui hirmaan[niraash] naseeb
badliyan uthi magar bijli girane ke liye
jab kaha maine bhula do gaiir ko hans kar kaha
yaad phir mujhko dilana bhool jaane ke liye
deeda-baazi vo kahan, aankhen raha karti hain bandh
jaan hi baqi nahi ab dil lagane ke liye
mujhko khush aayi hai masti, shekh ji ko farbahi
main hun peene ke liye aur vo hain khane ke liye
sur kahan ke saaz kaisa, kaisi bazm-e-saamien[sunane wale]
josh-e-dil kaafi hai 'akbar' taan uddane ke liye

akbar ki shayyiri

fugaan-o-aah ki lazzat, jo dil mile toh mile
nishan-e-nikhat-e-gul jab kali khile toh mile
vo baag-e-husan hai lekin hai bandh guncha-e-lab
maza chaman ka agar ye kali khile toh mile
hui jo sulah toh ab ehtiyaat ye kaisi
takllufaat ko teh kijiye, mile toh mile
main shikwa karta tha, iss wajah se na milte thay
jo tarq kar diye maine vo sab gile toh mile
khuza raha hai tu zakhm ko apne ae 'akbar'
par isska lutf koi zakhm agar chhile toh mile

akbar ki shayyiri

iss anjuman mein aa kar rahat naseeb kisko
parwana bhi jalega aur shamma bhi jalegi
duniya ubhaarti hai aaj apne aashiqon ko
mar jayenge toh unnka kal naam bhi na legi
duniya ki aarzu se khaliq bachaye dilon ko
paida hui toh pii kar khoon-e-jigar palegi
ibaaratzafa jo dil ho arman uss mein kaise
bijli giri ho jis par vo shaakh kya phalegi
zannat bana sakega hargiz na koi issko
duniya yun hi chali hai 'akbar' yun hi chalegi

akbar ki shayyiri

gaflaton ka khoob dekha hai tamaasha dahar mein
muddaten guzri hain mujhko hosh mein aaye huye
khana-e-dil ko mere toda toh kya aisi namood
chashm-e-baddur aap toh hai masziden dhaaye huye
seth sahab ke yahan shadi hai rindon ko naved[dawat]
achche achche taayafe hai shehr mein aaye huye
baai ji ne sach kaha hai laao koi taza ghazal
geet kya gaaun garamophone mein gaaye huye
ho chuki do din ki shadabhi udda rang -e-bahar
phool hain sukhe huye, guunche hain murjhaye huye

akbar ki shayyiri

duniya ka zara rang toh dekh, ek ek ko khaye jaata hai
ban ban ke bighadta jata hai aur baat banaye jaata hai
insan ki ghaflat kam na hui kanoon-e-fana ki ibarat se
har ghaam pe kitne paanv bhi hai aur sar bhi uthaye jaata hai
ussko na khabar kuch isski hai issko hai na kuch parwah isski
rota hai rulaye jaata hai, hansta hai hansaye jaata hai
kuch soch nahin, kuch hosh naahin, fitanon ke siva kuch josh nahin
vo loot ke bhaaga jaata hai ye aag lagaaye jaata hai

akbar ki shayyiri

kahin dil hun, kahin main baa'is-e-betabi-e-dil hun
kahin andaaz bismil hun, kahin main naaz-e-qaatil hun
kahin tamkeen-e-khoobi hun, kahin hangama-e-ulafat
kahin jalwa hun sehat ka, kahin hun shaahid-e-maani
kahin hun mehmil-e-laila, kahin laila-e-mehmil hun
kahin hun valvala dil ka kahin hun zabt aaqil ka
khaani mein kahin dariya, kahin rukne mein saahil hun

akbar ki shayyiri

phir gayi aapki do din mein tabiyat kaisi
ye waffa kaisi thi sahab ye muravvat kaisi
dost ahbaab se hans bol ke kat jayegi raat
rind-e-aazad hai, humko shab-e-furqat kaisi
jis hasin se hui ulfat vo hi mashooq apna
ishq kis cheez ko kehte hain, tabiyat kaisi
hai jo qismat mein vahi hoga, na kuch kam na siva
aarzu kehte hain kis cheez ko hasrat kaisi
haal khulta nahin kuch dil ke dhadkane ka mujhe
aaj reh reh ke bhar aati hai tabiyata kaisi
kuucha-e-yaar mein jaata toh nazara karta
kais aawara hai jangal mein ye vehshat kaisi

akbar ki shayyiri

mehroom hi reh jaati hai aagosh-e-tamnna
sharm aa ke chura leti hai sara badan unnka
har baat mein vo chaal kiya karte thay mujhse
ulfat na nibhegi jo yahi hai chalan unnka
hai saaf nighahon se ayaan[zahir] josh-e-jawani
aankhon se sambhalta nahin mastanapan unnka
ye sharm ke maa'ni hain hayya kehte hain issko
aagosh-e-tasvvur mein na aaya badan unnka
dilchasp hai aafat hai qayamat hai ghazab hai
baat unnki adda unnki qad unnka chalan unnka

akbar ki shayyiri

ye surat hai toh phir kya, vo tez hai toh phir kya
neetu jo hai toh phir kya, angrez hai toh phir kya
rehna hai kisi se dab kar hai aman ko zaroori
phir koi firqa haibat-angrez hai toh phir kya
ranz-o-khushi ki sab mein taqseem hai munaasib
baabu jo hai toh phir kya, changez hai toh phir kya
har rang mein hai paate bande khuda ke rozi
hai paintan toh phir kya rangrez hai toh phir kya
jaisi jise jaroorat, waisi hi usski cheezen
yan takht hai toh phir kya, van mez hai toh phir kya
mafkood hain ab usske sunne samjhne wale
mera sukhan naseehat-aamez hai toh phir kya

akbar ki shayyiri

khushi bohat hai jahan mein hamare ghar na sahi
malool kyun rahe duniya ko intzaam se hum
gunah kya jo kahen hum bhi aslam alyekum
ki lutf uthaate hain buut ki ram ram se hum
hamen hai yaad vo ahd-e-alsat ae gaafil
behal sakenge na duniya ki dhoomdham se hum
zabiin ke ishq se aakhir bachi na jaan apni
tamaam ho gaye iss mah-e-na_tamam se hum
agar vo kehte hai imli toh hum kahenge yahi
jaroor kya hai karen behas ja ke aam se hum
ab aur chahiye neetu ke vaste kya baat
yahi bohat hai mashruf huye salam se hum
chhadi uthayi, khamoshi se chal diye 'akbar'
safar mein rakhte nahin kaam teemtam se hum

akbar ki shayyiri

saans lete huye bhi darta hun
ye na samjhen ki aah karta hun
bahar-e-hasti mein hun ,isal-e-hubaab
mil hi jaata hun, jab ubharta hun
itni aazadi bhi ganimat hai
saans leta hun baat karta hun
shekh sahab khuda se darte ho
main toh angrezo hi se darta hun
aap kya puchhte hain mera mizaz
shukr allah ka hai, marta hun
ye bada aib mujh mein hai 'akbar'
dil mein jo aaye keh guzarta hun

akbar ki shayyiri

jaanta hun main shab-e-wasal ki kotahi ko
ye dua hai ki meri umar se kotaah na ho
ye adayein, ye lagawat, ye bala ki chitvan
main toh kya, zabt farishton se bhi wallah na ho
ik zaman hai mere qissa-e-gham se waakif
isska baai's jo hai shayad vahi aagah na ho
chashm-e-kaafir ka ishara hai ke imaan kaisa
chehra hansta hai ki dekho koi gumrah na ho
khaiir_khwah aaj zamane mein kahan milte hain
hai yahi laakh ganimat koi bad_khwah na ho

akbar ki shayyiri

dasht-e-gurbat hai, alaalat[bimari] bhi hai tanhai bhi
aur inn sab pe fazun baadiya paimai bhi
khwab-e-rahat hain kahan, neend bhi aati nahi ab
bas uchat jaane ko aayi jo kabhi aayi bhi
yaad hai mujhko vo be-fikri-o-aaghaz-e-shabab
sukhan aaraai bhi thi, anzuman aarai bhi
nigah-e-shauq-o-tamnna ki vo dilkash thi kamnd
jis se ho jaate thay ram aahu-e-sehrayi bhi
hum sanamkhana jahan karte thay apna qayam
phir khade hote thay vaan huur ke shaidai bhi
ab na vo umar na vo log, na vo lail-v-nahaar
bhujh gayi tabaa kabhi josh pe gar aayi bhi
kaam ki baat jo kehni hai vo keh lo 'akbar
dam mein chiinn jayegi ye taqat-e-goayi bhi

akbar ki shayyiri

na behte ashq toh taasir mein siva hote
sanaf mein rehte ye moti toh be_baha hote
mujh jaise rind se rakhte zaroor hi ulfat
zanab-e-shekh agar aashiq-e-khuda hote
gunahgaaron ne dekha zamal-e-rehmat ko
kahan nasib ye hota jo bekhata hote
zanaz-e-hazrat-e-naseh ka waah kya kehna
jo ek baat na hoti toh auliya hote
mazak-e-ishq nahin shekh mein ye hai afsoos
ye chashni bhi jo hoti toh kya se kya hote
mehal'l-e-shukr hai 'akbar' ye darfishan nazmein
har ik zaban ko ye moti ata nahin hote

akbar ki shayyiri

sau rang-e-tasvvur mein hun ae jaan dar aaye
har rang mein tum aafat-e-imaan nazar aaye
ae khizan meri raah toh bas rah-e-junoon hai
manzil ko garz ho toh khud iss raah par aaye
dil jis taraf aaya hai vo mallum hai mujhko
naseh se toh puucho ki ye hazrat kidhar aaye
ye husn buuton ka, ye junoon-khez nighahein
pathar ka bhi dil ho toh idhar laut kar aaye

akbar ki shayyiri

paraaganda[ast-vyast] bohat hai dil mera duniya ke dhandhon se
chhuda de mujhko ya rab naukari ke sakht fando se
gulmana tariqon par mujhe majboor karte hain
khudaya be-niyazi de mujhe inn khud-pasando se
musalmanon ki khush'hali ki beshq dhun hai sayyad ko
magar ye kaam niklega na lecture se na chando se
darusti takht-o-izzat ki kahan ab keel-kanton mein
tawqqao shehsawari ki na rakho naal bando se
kuuja vo ges-e-muski kuuja ye dheele speechen
dil-e-vehshi-e-'akbar' phans chuka aisi kamandon se

akbar ki shayyiri

sab mein vehshat hai zamane ke badal jaane se
dil ab apne se na milta hai, na begaane se
jab hamin vo na rahe phir ye badalna kaisa
ye kaho mit gaye duniya ke badal jaane se
shekh marhoom ka kaul ab mujhe yaad aata hai
dil badal jayenge taalim badal jaane se
hukam 'akbar' ko hua hai ki karo tarq-e-sukhan
khwaza hafiz bhi nikale gaye mai-khane se

akbar ki shayyiri

dam labon par tha dil-e-jaar ke ghabarane se
aa gayi jaan mein jaan aap ke aa jaane se
tera kuucha na chhutega tere diwane se
issko qaabe se na matlab hai na buutkhane se
shekh na_feham hai karte jo nahin qadar usski
dil farishton ke mile hain tere diwane se
main jo kehta hun ki marta hun toh farmate hain
kaar-e-duniya na rukega tere marjaane se
kaun hamdard kisi ka hai jahan mein 'akbar'
ek ubharta hai yahan ek ke mit jaane se

akbar ki shayyiri

iss inqalab par jo main roaun toh hai baza
mujhko vatan mein ab koi pehchanta nahin
kis rukh chalun rasool toh duniya se uth gaye
allah hai so ussko main pehchanta nahin
mere liye sharab yahan bhi hai kya haraam
iss shehr mein toh koi mujhe jaanta nahin
'akbar' hunooz unnse hai ummid vaar-e-lutf
badli hui nigah ko pehchanta nahin

akbar ki shayyiri

ya rab aisa koi buutkhana ataa kar jis mein
aise guzre ki tasvvur bhi gunahgaar na ho
kya vo masti ki dam-e-chand mein takleef-e-khumaar
mast vo hai ki qayamat mein bhi hushiyar na ho
naaz kehta hai ki zevar se ho tazaaien-e-zamal
nazuki kehti hai ki surma bhi kahin baar na ho
dil-e-purdaag ko armaan, ki gale unnko lagaye
unnko ye darr ki gale ka ye kahin haar na ho

akbar ki shayyiri

hangama hai kyun barpa thodi sii jo pii li hai
dhaka toh nahi maara, chori toh nahin ki hai
na tazurbakari se waaiz ki ye hain baaten
iss rang ko kya jaane, puucho toh kabhi pii hai
iss mai se nahi matlab, dil jis se hai begana
maksood hai uss mai se, dil hi mein jo khinchti hai
suraj mein lage dhabba, fitrat ke karishme hain
buut humko kahen kaafir, allah ki marzi hai

akbar ki shayyiri

kahan vo ab lutf-e-bahami hai, muhabbton mein bohat kami hai
chali hai kaisi hawa illahi ki har tabiyat mein barhami hai
meri waffa mein hai kya tazlzul meri itiyaat mein kya kammi hai
ye kyon nighaein phiri hain mujhse mizaaj mein kyun ye barhami hai
vahi hai fazal-e-khuda se ab tak taraki-e-kaar husn-o-ulfat
na vo hain mashq-e-sitam mein kaasir na khoon-e-dil ki yahan kammi hai
na koi takreem-e-bahami hai na pyar baqi hai ab dilon mein
ye sirf tehriir mein dear sir hai ya janab-e-mukarmi hai
kahan ke muslim kahan ke hindu bhulayi hai sabse agli rasmen
akeede sab ke hain teen-teraha, na gaharvi hai na ashtmi hai
nazar meri aur meri hi taraf hai hazar rang-e-zamana badle
hazar baatein banaye naseh zami hai dil mein jo kuch zami hai
agarche main rind-e-mohtaram hun magar isse shekh se na puchho
ki unnke aage toh iss zamane mein saari duniya zehn_numi mein hai

akbar ki shayyiri

tere sahar-e-nazar se hua ye junoon mere dil ki
toh iss mein khata hi na thi
tere kuuche mein aa ke main baith raha bazuuz isske kuch
aur dawa hi na thi
hui tabaa'a jo maachal daam-e-bala, main tumhari
zulf-e-sipa mein phansa
mere daaman-e-dil ko jo khench sake, koi aur
toh aisi bala hi na thi
kiya sohbat -e-gaiir ne qahar-o-gazab, mujhe
koi ummid rahi nahi ab
dam-e-chand ko mujhse mile bhi jo kal, vo
nazar hi na thi vo ada hi na thi
na nibhi toh phir iss mein thi kiski khata, ye gila
hai meri hi tarf se baza
mere ishq ka rang toh khoob raha, magar
aap mein buu-e-waffa hi na thi
gham-e-hizr mein jii se gaya jo guzar, toh ye
'akbar'-e-zaar ne khoob kiya
ki illaz-e-firaq toh tha hi yahi, bazuuz isske
kuch aur dua hi na thi

akbar ki shayyiri

na ruuh mazhab, na qalab-e-aarif, na shayarana zuban baqi
zamiin hamari badal gayi hai, agarche hai asman baqi
shab-e-guzishta ke saaz-o-saman ke ab kahan hai nishan baqi
zuban-e-shama sahar pe hasrat ki reh gayi dastan baqi
jo zikr hai aakhrat ka, toh aap hote hai saaf munkir
khuda ki nisbat bhi dekhta hun, yakin rukhsat, guman baqi
fizool hai unnki bad-dimagi kahan hai fariyad ab labon par
ye vaar par var ab abs hain, kahan badan mein hai jaan baqi
main apne mitne ke gham mein nalah, udhar zamana hai shada-okhanda
ishara karti hai chashm-e-dauran jo aan baqi jahan baqi
iss liye reh gayi hain aankhen ki mere mitne ka rang dekhen
sunu vo baaten jo hosh uddayen iss liye hain ye kaan baqi
taazub aata hai tifal-e-dil par ki ho gaya mast-e-nazm 'akbar'
abhi middle paas tak nahi hai, bohat se hain imtihan baqi

akbar ki shayyiri

hawa-e-shab bhi hai ambar-afshan uuroz bhi mazhabi ka
nisaar hone ki do izzazt mehal nahin hai 'nahi nahi' ka
agar ho zauk-e-sujood paida, sitara ho auz par zabeen ka
nishaan-e-sajda zamiin par ho toh fakh hai vo rukh-e-zamiin ka
saba bhi uss gul ke paas aayi toh mere dil ko hua ye khatka
koi shguffa na ye khialye, piyam laayi na ho kahin ka
na mahar-o-maah par meri nazar hai, na laal-o-gul ki kuch khabar hai
farog-e-dil ke liye hai kaafi tasvvur uss ruu-e-aatishi ka
na ilz-e-fitrat mein tum ho maahir, na zauke-e-taa;at hai tum se zahir
ye beasli bohat buri hai tumhen na rakhegi ye kahin ka

akbar ki shayyiri

vo mutrab aur vo saaz vo gana badal gaya
neenden badal gayi vo fasana badal gaya
rang-e-rukh-e-bahar ki zeenat hui nayi
gulshan mein bulbulon ka tarana badal gaya
fitrat ke har asar mein hua ek inqalab
pani falak pe khet mein dana badal gaya
hadh shehr-e-aafayat ki nayi tarz par bandhi
vo chonkiya badal gayi, vo thana badal gaya

akbar ki shayyiri

ye mojuda tarike rahi-e-mulak-e-adam honge
nayi tehzeeb hogi aur naye saman baham honge
naye unwaan se zeenat dekhenge hansi apni
na aisa pech zulfon mein, na gesu mein ye kham honge
na khaton mein reh jayegi parde ki ye pabandi
na ghoonghat iss tarah se haazib-e-ru-e-sanam honge
akeedat par qayamat aayegi tasmeem-e-millat se
naya qaba banega, maghrabi putle sanam honge
badal jayega mayaar-e-sharafat chashm duniya mein
jayda thay jo apne za'am mein vo sabse kam honge
kisi ko iss tagyyur ka na his hoga na gham hoga
huye jis saaz se paida ussi ke zer-o-bam honge
tumhen iss inqalab-e-dahar ka kya gham hai ae 'akbar'
bohat nazdeek hain vo din ki tum honge na hum honge

unknown

waffa ka dard samjhte hain
tabhi toh kuch nahi kehte
tu kya jaane waffa kya hai
mohbbat ka sila kya hai
sitam saare utha kar bhi
zaban se uff nahi karte
zuban khamosh rakhte ho
ya apni anaa se darte ho
kabhi vo kaash ghabra kar
mujhi se jhat lipat padte
sharm se ya kabhi mere
simat baahon mein woh rehte
ye tera kaash kehna hi
hamen hargiz na bhata hai
teri har baat mein humko
nazar bas jhooth aata hai
nahin tohmat hain, bas baatein
jo kehte toh kise kehte ?
sunaao tum kabhi jo chaho
nahi sun'ne se hum thakte
khudi se kar lo tum baatein
hamare peeche mat aana
jahan hain sainkdon baithe
vahan aa baith tum jaana
fida hai jaan-o-dil tujh par
ye kehne se nahi darte
zaban sil lenge, par ruswa
tujhe hum kar nahi sakte
bade aashiq mizaaji ho
kahin bi dil lagaate ho
faqeeri bhes hai lekin
bade dikhte nawabi ho

unknown

maana ki pyaar unnhe bhi hai
par roz roz dhamkana kyun ?
iss sharm-o-haya ke chakkar mein
pyar bhala jhuthlana kyun ?
chup ke chup ke sab se chhip kar
milne me ab ghabrana kyun ?
aashiq ka dil bhi dil hi hai
itna ussko tadpana kyun
?

unknown

kehte hain mujhse ishq ka afsana chahiye
ruswai ho gai tumhen sharmana chahiye
khuddar itni fitrat-e-rindana chahiye
saqi ye khud kahe tujhe paimana chahiye
matti kharab karte ho kyun bimar-e-hijr ki
jo tumpe mar gaya use dafnana chahiye

unknown

hum log tere shehar mein khushbu ki tarah hain
mehsus bhi hote hain nishaan bhi nahi rakhte

unknown

koi zanjeer ho ussko muhbbat tod sakti hai
jidhar chahe ye bagein zindgi ki mod sakti hai
muhbbat rok sakti hai kisi girte sitare ko
kisi jalte sharare ko, fana ke shuaare ko
ye chalna choor aaiine ki krichein jod sakti hai
koi zanjeer ho, ussko muhbbat tod sakti hai
mubbat par kisi bhi rasm ka pehra nahin chalta
kisi aamir, kisi sultan ka sikka nahin chalta
ye har zandaan ki aandhi salakhen tod sakti hai
koi zanjeer ho, ussko muhbbat tod sakti hai
ye jab chahe kisi bhi khwab ki tabeer mil jaaye
kisi raste mein rasta poochti, taqdeer mil jaaye
samay ke tez dharon ko ye pichhe chod sakti hai
koi zanjeer ho, ussko muhbbat tod sakti hai

sarwar a raz sarwar ki shayyiri

ik riwaayat ke siva kuch na tha takdeer ke paas
giblah-roo ho gaya hum yun buut-e-tadbeer ke paas !
kya hadeec-e-gam-e-dil, kaun sa Quraan-e-waffa !
ek taaweel nahin saaheb-e-tafseer ke paas !
dil ke aaiine mein kya jaane nazar kya aaya ?
muddaton baithe rahe hum teri tasveer ke paas !
ashk-e-naumidi-o-hasrat hi muqaddar thehra
ek tohfa tha yahi-harf-e-guloogeer ke paas !
goshan-e-sabar-o-sakuun ? haif ! na divaar, na dar !
thak ke main baith raha hasrat-e-tameer ke paas !
hum haqiqaat ke pujaari thay gumaan-gasht na thay
aur sirf khwaab thay uss zulf-e-girahgeer ke paas !
kya kahen guzri hai kya ishq mein ahl-e-dil par
rahn-e-shamsheer kabhi aur kabhi zanjeer ke paas !
tune ae jaan-e-ghazal ! yeh bhi kabhi socha hai ?
qaafiye kyun na rahe 'sarwar'-e-dilgeer ke paas !

qateel danapuri ki shayyiri

nazar padte hi qasid par ye shadimarg[dying in happiness], arre tauba !
ye meri maut aayi ya mere khat ka jawab aaya !!

bashir badr ki shayyiri

kabhi barsaat mein bhi shadaab[hara-bhara] belen sukh jaati hai
hare paidon ke girane ka koi mausham nahi hota

umar asaari ki shayyiri

guzarte hai badal kar bhes idhar se
hamari zist ke sham-o-sahar bhi

rifatuul qasmi ki shayyiri

ghame-hasti hai aur shamo-sahar hai
ye rona zindgi ka umar bhar hai

unknown

shayad kisi raahi ko saaye ki zaroorat ho
iss vaaste ae yaaron, hum dhuup mein chalte hain

bekhud dehlvi ki shayyiri

inn hasino ko nayi chaale shikhata hai falak
dono dushman hai mere, shaagird bhi, ustaad bhi

adam ki shayyiri

teri dushmani ka main shaaki[shikyat karna] nahi
hasin zulm bhi ek ayzaaz hai

amir minaai ki shayyiri

phir usski shaanekarimi ke hausle dekhe
gunahgaar ye keh de gunahgaar hun main

asgar mehandi ki shayyiri

aap jab mere masiah thehre
koi darma bhi toh shaafi[healter] kijiye

mehboob khizaan ki shayyiri

baat ye hai ki aadmi, shayyar
ya toh hota hai ya nahi hota

zafar gauri ki shayyiri

shahr-e-tanhai ab shahr aasheb hai
gharo mein yaaron ka asbaab tha, kya hua

kumar paashi ki shayyiri

dil ka nagar toh der se viraan tha magar
suraj ka shahr bhi mujhe ujada hua laga

nazeer ki shayyiri

kaudi bagaiir sote thay khali zamin par
kaudi hui toh rehne lage shahnsheen[royal seat] par

qamrudeen ki shayyiri

kisi bhi zehar se mujhko nahi koi parhez
magar hai shart bas itni ki ho na shahd aamez[sweet]

parvin shakir ki shayyiri

zabt ki, shahar_panah[rampart] ki mere maalik khaiir
gham ka sailaab agar mujhko bahane aaye

akam naasir ki shayyiri

jab bhi aata hun palatkar vo naya ek zvaaz
dhoondh rakhta hai mujhe shahr_badar karne ko

faraz ki shayyiri

laga ke zakhm badan par kabayein deta hai
ye shahryaar[king] bhi kya kya sazaien deta hai

waseem barelvi ki shayyiri

hamare ghar ka pata puchne se kya haasil
udaasiyon ki koi shahriyat nahi hoti

islaam ishrat ki shayyiri

vahin jaata hun phir ae dost apne zisme-dil le kar
ussi shahr nigaraan mein luta hai kaarwan apna

ziya fatehabaadi ki shayyiri

kadaamat aur jiddat, shark-o-magrib[east-west]
'ziya' honge kabhi dono baham kya

ab aap sharbt-e-deedar apna rakh chhoden
mareez-e-ishq toh bachta nazar nahi aata

naatik gulvthi ki shayyiri

jii churane ki nahi shart dil-e-zaar yahan
ranj uthane ki hi thehri hai toh phir dil se utha

nizam rampuri ki shayyiri

aadat hi taklluf se hui sharm-o-haya ki
sote se bhi munh se dupatta nahi uthta

azhar adeeb ki shayyiri

hai mere haq mein bohat si shahadaten lekin
ye aaina bhi toh meri safai de mujhko

naatik gulvthi ki shayyiri

zikr-e-sharab-e-naab[red wine] se waayaz ukhad gaya
bole thay achchi baat bhale aadmi se hum

hafiz jalandhari ki shayyiri


naseh ko bulaao mera imaan sambhale
phir dekh liya ussne shararat ki nazar se

adam ki shayyiri

shaq hai ki rahjanon mein sharaafat thi be-hisab
varna main kaise bachta bachata chala gaya

dushyant kumar ki shayyiri

lahu-luhaan nazaron ka zikar aaya toh
sharif log uthe, duur ja ke baith gaye

akbar allahbadi ki shayyiri

khilaaf-e-shar'aa kabhi sheikh thukata bhi nahin
magar andhere ujaale mein chuukta bhi nahin

zamil malik ki shayyiri

vo andheron ke paymbar hai toh kya gham hai 'zameel'
hum bhi aankhon mein kai shamso-qamar rakhte hai

aziz warsi ki shayyiri

do ghoont pii ke aaj tumhari nazar se hum
kitne buland ho gaye shams-o-qamar[sun-moon] se hum

firaq gorkhpuri ki shayyiri

mere dil ke siva, kya razmgah thi hi nahi koi
ye junge-khaiir-o-shar yaarab, yahin kyun ho, yahin kyun ho

adam ki shayyiri

jii khush hua hai masjid-e-viraan ko dekh kar
meri tarah khuda ka bhi khana-kharab hai

faraz ki shayyiri

vaar iss kadar sadeed[tez] ki, dushman hi kar sake
chehra magar zaroor kisi aashna ka tha

shahid kabir ki shayyiri

raat zara bheegi toh dil mein kaise kaise shaq jaage
tera kaajal phail gaya ya chaand ka aanchal maila hai

makhmoor sayedi ki shayyiri

har ik shaks kho gaya kahin raste ki bheed mein
usska pata chale toh kuch apni khabar mile

mehmood ishqi ki shayyiri

kitni yaaden lipat ke roti hai
jab koi shaks ghar badalta hai

hafeez merthi ki shayyiri

har saraya hua milta hai lipatkar mujhse
shakshiyat mein ye kashish aayi hai gham ke haathon

momin ki shayyiri

tasalli dam-e-vapsi[last] ho chuki
hamin ho chuke jab nahin ho chuki

krishan mohan ki shayyiri

shaks-e-mamuli mara jo maal-vafir[jayda] chhod ke
marte-marte tohmaten chand apne zimme dhar gaya

qateel shifai ki shayyiri

tumhari anzuman se uth ke diwane kahan jaate
jo vabasta huye tumse vo afsane kahan jaate

adam ki shayyiri

badi shai hai vabastgi[relation] do dilon ki
ye pabandhiyan hi to aazadiyan hai

mazhar imaam ki shayyiri

kuch ishare itne vaazeh[clear], itne mubahm, itne shokh
daastan saari suna di, mudda rehne diya

deen mahmmad taasir ki shayyiri

ishq pehle hi kadam par hai yakin se vaasil[joined]
inteha aqal ki ye hai ki gumaan tak pohnche

akhgar mushtaak ki shayyiri

kyun dekhte hi aaiina ulta ke rakh diya
kya pad gaya tha aaj barabar se vaasta

razzak arshad ki shayyiri

apne hi ghar ke huye darwaze bandh
veham tha sabse nibha sakta hun main

muzaffar shikoh ki shayyiri

allah re vehshat mein mere ghar ki uddasi
itna toh biyanbaan bhi sunsaan nahin hai

unknown

alfaz-o-maani mein tafaawat nahin lekin
mullah ki azan aur, mujaahid ki azan aur

allama iqbal

yun toh syed bhi ho, mirza bhi ho, afghan bhi ho
tum sabhi kuch ho, batao toh musalmaan bhi ho !!

meem meem mughal ki shayyiri

harchand tujhko daawa-e-fehm-o-zaka bhi hai
mujhse nazar milaaye zara hoslta bhi hai ?
shayad issi khayal se ithlaa rahe hain woh
mehfil mein unnki aaj koi dil jala bhi hai
mujh par hi kyun ataab tera hai mujhe bata
zulfon se teri khelti baad-e-saba bhi hai
jo dave_daar-r-dasht nawardi hai hum-nafas
kya usske paaye shauq mein ik aablah bhi hai ?
ye aur baat iss ki zulmat se saaz baaz
roshan khayal yun toh mera rehnuma bhi hai
kuch toh ye tarbiyat ha hai fuqdaan aur kuch
iss gumrahi-ka ek sabab ishtehaa bhi hai
pehli ki baat aur thi din thay bahar ke
ab masla jo phool ka hai khaar ka bhi hai
hum intzaar-e-aakhir-e-shab kis liye karen ?
paigham roshni ka toh ye jat'pata bhi hai
ye aarzi shakast hamaari hai dosto
ab iss ke baad na'rka-e-karbala bhi hai
main gulshan-e-bahaar ka vo phool hun mughal
khud baaghbaan jiska bahaar aashna bhi hai


unknown

jo bhi bura bhala hai allah jaanta hai
bande ke dil mein kya hai allah jaanta hai
ye farsh-o-arsh kya hai allah jaanta hai
pardon mein kya chhupaa hai allah jaanta hai
jaa kar jahan se koi vapas nahin hai aata
vo kaun sii jagah hai allah jaanta hai
neki-badi ko apni kitana hi tu chhupaaye
allah ko sab pata hai allah jaanta hai
ye dhuup-chhaon dekho ye subah-shaam dekho
sab kyun ye ho raha hai allah jaanta hai
kismat ke naam ko toh sab jaante hain lekin
kismat mein kya likha hai allah jaanta hai

mirza rusva ki shayyiri

atvaar tere ahl-e-zamin se nahin milte
andaz kisi aur hasin se nahin milte
unnki bhi bahar-haal guzar jaati hain raaten
jo log kisi zohra-jabeen se nahin milte
tum meher sahi, maah sahi, ham se milo toh
kya ahl-e-falak, ahle-e-zamin se nahin milte
ae hazrat-e-dil unnse bani hai na banegi
kyun aap kisi aur hasin se nahin milte

majrooh sultanpuri ki shayyiri


tujhe kya sunaon ae dilruba
tere saamne mera hal hai
teri ik nigaah ki baat hai
meri zindgi ka sawaal hai

meri har khushi tere dam se hai
meri zidngi tere gham se hai
tere dard se rahe bekhabar
mere dil ki kab ye majaal hai

tere husn par hai meri nazar
mujhe subah sham ki kya khabar
meri sham hai teri justju
meri subah tera khayal hai

mere dil jigar mein sama bhi ja
rahe kyun nazar ka bhi faasla
ke tere begaiir o jane-e-jaan
mujhe zindgi bhi muhaal hai

wel come