Tuesday, June 30, 2009

firaq gorkhpuri ki shayyiri


chashm-siyah se ghata jo uthi hai
mai_khane par jhoom padi hai
hote-hote subah hui hai
kat’te kat’te raat kati hai
naghma hai mai hai masti hai
saqi phir bhi koi kami hai
duniya mein mafsi-nafsi hai
sabko apni apni padi hai

de de hum ahle dil ko do-aalam ye toh hamari kam-talbi hai
des ko dekha des hamara kitna bada hai kitna dukhi hai
lat chitkaye baal sanmware yaad teri dil se guzri hai
kehti hai jo teri khamoshi ae lab-e-jaana baat vahi hai
laakh azaab-e-jahan hain yaaro ek azaabe-muhbbat bhi hai
mujhko kafan sarka ke dekho gham ki raat bhi kat jaati hai
pichhla pehar hai maikhane mein nargis-e-mai_ghun jag rahi hai
kya kehna zulfon ki darazi sach hai badon ki baat badi hai
ik sagar se chashme-khumari maikhane mein subah hui hai
yaaro vo kya nemat hai jis se duniya ki duniya khali hai
meri hayat-aavar ghazlon par maut neb hi angdai li hai
ae gham-e-jaana ae gham-e-jaana kyat u hi gham-e-dauran bhi hai
waqt-e-sukhan usske lab-e-nazuk jaise koi kali khilti hai
waqt na kaatne wale des mein subah bhi ki hai sham bhi ki hai
jisko baankpan kahiye teri ek ada-e-kajkulahi hai
shayad ussne palak jhapkayi dil par parchayi-si padi hai
kaash ye duniya duniya hoti duniya mein duniya ki kami hai
sadma-e-hizr na de pichli shab yaar raat hi ab kitni hai
sun ke ‘firaq’ kahani teri
fitrat[nature] ki aankhon mein nammi hai

No comments:

Post a Comment

wel come