Sunday, September 27, 2009

shukriya tera mera saath chod jaane ko

lo mil gaya zakhm, umr bhar rulane ko
shukriya tera, mera saath chod jaane ko
toote sapne, toota dil, rishta bhi toot gaya
soch rahi hu, kya reh gaya, ab ye jiwan bitane ko
yaadon ke ye saaye, kyun reh jaate hai
pal pal armaanon ko, iss kadar tadpaane ko
din mein hosh nahi, raaton ko neend nahi
ladte hai teri yaadon se, tujhko bhulane ko

shukriya shukriya iss mod pe laane wale

khauff-e-duniya se mere paas na aane wale
jaan rakhte hain hatheli pe nibhane wale
meri ruswai mein gairon ka koi dosh nahi
iss mein shamil hain mere apne chahne wale
kitna nadaan hoon iss aas pe zinda hoon
laut aayenge mujhe chod ke jaane wale
ab kahon tujhko main 'mohsin' toh bhala kaise kahoon
kar ke ehsaan sar-e-aam jatane wale
ab toh rasta hai na manzil hai na shanasa hai koi
shukriya shukriya iss mod pe laane wale

auro se uljhte rehna

usski aadat wohi har baat adhori karna
aur phir baat ka mefhum badalte rehna
aag se seekh liya hai tareeka humne
bujh bhi jana toh badi der sulagte rehna
jaane kis umar mein jaayegi aadat apni
roothna uss se toh auro se uljhte rehna

.... aur khaas bhi hai

tu duur hai mujhse, par paas bhi hai
teri kami mein kahin tera ehsaas bhi hai
tujhse dost hain lakhon, jahan mein mere
par tu dost bhi hai aur khaas bhi hai
tune khushiyan mujhe itni di hain ke aaj
tujhe khone ka dil mein ehsaas bhi hai
khuda ne yun nawaza, teri dosti se mujhe
ke mujhe khud pe gumaan hai aur naaz bhi hai

jaane kyun

jaane kyun main aaj bhi dua karta hoon usski khushi ke liye
ae kaash ! woh lauta de mere woh sab beete din meri khushi ke liye
koi ja kar bataye usse koi marta nahin kisi ke liye
thay aur bhi raaste saath nibhane ke liye
kyun uss ne chuna raasta sirf judai ke liye
woh hota hai dheere dheere mujhse duur, qareeb main jitna aana chaha
uss ne ek raah khuli na rakhi apni vapsi ke liye
maana ke meri qismat ne kiya mujhse duur tumse
kya tumhare haathon ki lakeiron mein likha tha mujhse juda hone ke liye
ab bhi hai mere dil mein jazbaat najaane kis tarah
achcha hi kiya tha maine apni muhbbat ke liye

ye achcha hua

tumne dil ki baat keh di aaj ye achcha hua
hum tumhen apna samjhte thay bada dhokha hua
jab bhi humne kuch kaha usska asar ulta hua
aap shayad bhulte hain badha aisa hua
aap ki aankhon mein ye aansu kahan se aa gaye
hum toh diwane hain lekin aapko ye kya hua
ab kisi se kya kahen 'iqbal' apni dastan
bas khuda ka shukr hai jo bhi hua achcha hua

kuch bhi toh nahin waisa ...

kuch bhi toh nahin waisa ...
jaisa tujhe socha tha
jitna tujhe chaha tha ...

socha tha tere lab par kuch har duaon ke
kuch phool wafaaon ke
mehakeinge meri khatir
kuch bhi toh nahin waisa jaisa tujhe socha tha

mehsoos ye hota hai dukh jhele thay jo ab tak
benaam musaafat mein
likhne ki mohbbat mein
padhne ki zaroorat mein
be_sood riazat thi
be_faiz ibaadat thi
jo khwab bhi dekhe thay inn jaglti aankhon ne
sab khaam khayyali thi

phir bhi tujhe pane ki dil ke kisi goushe mein
khwahish toh bachaa li thi
lekin tujhe pa kar bhi aur khud ko ganwa kar bhi
iss habs ke mausham ki khidki se hawa aayi
na phool se khushbu ki koi bhi sada aayi
ab neend hai aankhon mein
na dil mein woh pehli si taza sukhan aaraai
na lafz mere nikle na harf-o-maani ki
danish mere kaam aayi
nadeeda rafaqat mein jitni bhi aziyaat thi
sab mere hi naam aayi

kuch bhi toh nahin waisa
jaisa tujhe socha tha

Wednesday, September 16, 2009

ik zara dil ke qariib aao toh kuch chaiin pade

ik zara dil ke qariib aao toh kuch chaiin pade
jaam ko jaam se takaraao toh kuch chaiin pade
baithe baithe toh har mauj se dil dahalega
badke tufan se takrao toh kuch chaiin pade
jii ulajhta hai nagma-e-rangiin sun kar
geet ek dard bhara gaao toh kuch chaiin pade
daag ke shair jawani mein bhale lagte hain
meer ki koi gazal gaao toh kuch chaiin pade
yaad-e-ayaan mein guzishtaan se ijaazat le kar
'tarz' kuch der ko soa jaao toh kuch chaiin pade

qarib maut khadi hai zara thahar jaao

qarib maut khadi hai zara thahar jaao
qaza se aankh ladi hai zara thahar jaao
thaki thaki si fazaayen bujhe bujhe taare
badi udaas ghadi hai zara thahar jaao
nahin ummid ki hum aaj ki sahar dekhen
ye raat hum pe kadi hai zara thahar jaao
abhi na jaao ki taaron ka dil dhadakta hai
tamaam raat padi hai zara thahar jaao
phir iss ke baad kabhi hum na tumko rokenge
labon pe saans adii hai zara thahar jaao
dam-e-firaq mein jii bhar ke tumko dekh toh loon
ye faisle ki ghadi hai zara thahar jaao

tumhen mujhse ab vo muhbbat nahin ....

tumhe yaad karne ki fursat nahi hai
bhula doon tumhen mujh mein himmat nahi hai
meri aankhon se jaane kyun lagta hai humko
tumhen ab vo mujhse mohbbat nahin hai
meri ankhon mein pehle jo aate thay aansu
tumhen bhi sang apne rulate thay aansu
ab tere gham mein har waqt behte hain aansu
teri nazron mein ab innki kimat nahi hai
tumhen mujhse ab vo muhbbat nahi hai ... laakh
masrufiyat mein bhi tum khat thay likhte, har ek
harf se bas mujhe tum thay dekhte, ab na dikhta koi
aks na koi khat
ae sanam naam iss ka toh chahat nahin hai, tujhe mujhse ab vo
mohbbat nahin hai ...
tera pyar mujh par tha ehsan jaana, mujhko bhulana hai asaan maana, na karega
pareshan bas itna tu keh de
tumhen ab hamari zarorat nahin hai, tumhen
mujhse ab vo mohbbat nahin hai ...
karu yaad ek din jab na hoti thi baatein, na dhalte thay din na kat'ti thi raatein,
har safar ab hai tanha
aur khamoshi hai qismat, tere lafzon se koi shikayat nahin , tumhen mujhse ab vo muhbbat nahin ....

fard-e-amal siyaah kiye ja raha hoon main

dil mein kisi ke raah kiye ja raha hoon main
kitna hasiin gunah kiye ja raha hoon main
duniya-e-dil tabaah kiye ja raha hoon main
sarf-e-nigah-o-aah kiye ja raha hoon main
fard-e-amal siyaah kiye ja raha hoon main
rehmat ko bepanah kiye ja raha hoon main
aisi bhi ik nigah kiye ja raha hoon main
zarron ko mahar-o-maah kiye ja raha hoon main
mujhse lage hain ishq ki azamat ko chaar chaand
khud husn ko gawaah kiye ja raha hoon main
masoomi-e-jamaal kobhi jis pe rashk ho
aise bhi kuch gunah kiye ja raha hoon main
aage qadam badhayen jinhen sujhata nahin
roshan chirag-e-raah kiye ja raha hoon main
tnaqeed-e-husn maslahat-e-khaas-e-ishq hai
ye zurm gaah-gaah kiye ja raha hoon main
gulshan_parast hoon mujhe gul hi nahin aziiz
kanton se hii nibah kiye ja raha hoon main
yun zindgi guzaar raha hoon tere begaiir
jaise koi gunah kiye ja raha hoon main
mujhse ada hua hai 'jigar' justju ka haq
har zarre ko gawah kiye ja raha hoon main

vo majboori nahi thi yeh adakari nahi hai

vo majboori nahi thi yeh adakari nahi hai
magar dono taraf pehli se sar _shari nahi hai
bahane se usse bas dekh aana pal do pal ko
yeh fard-e-zurm hai toh aankh inkaari nahi hai
main teri sard moheri se zara bad dil nahi hoon
mere dushman tera yeh var bhi kari nahi hai
main usske qaol par iman la kar khauf main hoon
kahin zalim ke lehje main ahyaari tu nahi hai
paltne ka irada ho sake toh tum bhi kar lo !
yeh bazi aaj tak dil ne kabhi haari nahi hai
jahan ik roz khil jaayen hamare naam ke phool
bhare gulshan main kya aisi koi kayari nahi hai
bichadne wale itne ho gaye hain shahr dar shahr
ke baqi ab kisi ghar main azadari nahi hai

paida raah-e-khaloos main dushwariya na kar

paida raah-e-khaloos main dushwariya na kar
chahat nahi tu humse ada_kariyan na kar
lafzon se khelne ki zaroorat nahi tujhe
sada dilon ke saath yeh fan_kariyan na kar
jinse nahi lagao unhein munh bhi mat laga
bewajah har dukan se kharidariyan na kar
tu shakh-e-gul hai koi amar_bail toh nahi
wabasta har shajar se waffa_dariyan nah kar
iss bheed se pade bhi hai abad khalq-e-shair
apne hi doston ki taraf dariyan na kar
iss shugal-e-be_jawaz se kya fayda tujhe
dil mat dukha kisi ka dil azaariyan na kar
taza hai dil pe daag agar pehli chot ka
phir dosri shikast ki tayaarian na kar

mai pila kar aapka kya jaayega

mai pila kar aapka kya jaayega
jaayega iimaan jiska jaayega
dekhkar mujhko vo sharma jaayega
ye tamasha kis se dekha jaayega
jaauun buutKhaane se kyun kaabe ko main
haath se ye bhi thiknaa jaayega
qatl ki jab ussne dii dhamki mujhe
keh diya maine bhi dekha jaayega
pii bhi le do ghuunt zaahid pii bhi le
maikade se kaun pyasa jaayega

tera kya bana

tujhe zindgi ka shaoor tha tera kya bana
tu khamosh kyun hai mujhe bata tera kya bana
vo jo naseeb se teri jang thi meri bhi thi
main toh kamyaab na ho saka tera kya bana
nayi manzilon ki talaash thi so bichad gaye
main bichad ke tujhse bhatak gaya tera kya bana
main muqable mein shareek tha faqt iss liye
koi mujhse aa ke puchta tera kya bana
mujhe ilm tha ke shikast mera naseeb hai
tu umeedvaar tha jeet ka tera kya bana

woh shaks baqi hai

ulat palat gayee duniya woh zalzale aaye
magar kharaba-e-dil main woh shaks baqi hai

ae kaash ke yeh silsila kabhi munqata na ho

ae kaash ke yeh silsila kabhi munqata na ho
kaise jiyenge tujhsa koi dilruba toh ho
milte hain roz kitne saaye musafaton mein
lekin kisi mein tujhsa koi shaaiba toh ho
nazuk hai har kali par khuboyian juda hain
ehl-e-chamn mein tujhsa koi zaiqa toh ho
mand lag rahe hain sab jhilmilate taare
kahin inn mein husan tujhsa koi mulahiza toh ho
khwab-o-khayal mein sheki aaye ho tum
iss awargi mein tujhsa koi aasra toh ho

saja ke sar pe sitaron ka taaj rakhta hai !

saja ke sar pe sitaron ka taaj rakhta hai !
zameen pe bhi woh falak ka mazaj rakhta hai

sanwarne wale sada aaine ko dhundte hain
bichar ke bhi woh meri ihteyaj rakhta hai ?

hum uss ke husan ko taskhir kar ke dekhain gaye !
jabeen pe kaon shikan ka kharaj rakhta hai ?

khafa sahi woh sakhawat sarshat jab bhi mile !
bharam aana ka mohabat ki laaj rakhta hai

saba kharam khazan pairhan bahar badan
woh muasamoon ka ajab imtezaaj rakhta hai

chura ke ankh se kuch khawab rakh liye mohsin
kisaan jaise bacha kar anaaj rakhta hai

roshan jamaal-e-yaar se hai anzumn tamaam

roshan jamaal-e-yaar se hai anzumn tamaam
dehaka hua hai aatish-e-gul se chamn tamaam
hairat ghuroor-e-husn se shokhi se iztaraab
dil ne bhi tere seekh liye hain chalan tamaam
Allah-re jism-e-yaar ki khoobi ke khud-ba-khud
rangeeniyon mein doob gaya pairahan tamaam
dekho toh chasm-e-yaar ki jaadu nigahiyan
behosh ek nazar mein hui anzumn tamaam
sheerini-e-naseem hai soz-o-gudaaz-e-meer
hasrat tere sukhan pe hai lutf-e-sukhan tamaam...

sarv-o-saman bhi

sarv-o-saman bhi, mauj-e-naseem-e-sahar bhi hai
ae gul tere chaman mein koi chasm-e-tar bhi hai ?
kuchh der pii le kakul-o-aariz ki chhaaon mein
jaadu-e-shaam bhi hai, fusoon-e-sahar bhi hai
duniya sune toh qissa-e-gham hai bohot taveel
haan tum suno toh qissa-e-gham mukhtasar bhi hai
ab shayaran-e-hind mein jazbi, jigar ke baad
ye sochta hoon main koi saahib nazar bhi hai...

humko junoon kya sikhlate ho

humko junoon kya sikhlate ho, hum thay pareshan tumse ziyada
chaak kiye hain humne azizon, char girehbaan tumse ziyada
chaak-e-jigar mohtaaj-e-rafoo hai, aaj toh daaman sirf lahoo hai
ek mausam tha humko raha hai shauq-e-baharan tumse ziyada
ehd-e-wafa yaaron se nibhayen, naaz-e-harifan hans ke uthayen,
tab humen armaan tumse siva tha, ab hain pasheman tumse ziyada
jao tum apne baam ki khatir, saari lauwen shamon ki katar lo,
zakhm ke mahar-o-mah salamat, jashn-e-chiraghan tumse ziyada
hum bhi hamesha qatl huye, aur tumne bhi dekha door se lekin,
ye na samjhna humko hua hai jaan ka nuksaan tumse ziyada
zanjeer-o-deewar hi dekhi tumne toh majrooh, magar hum
kucha kucha dekh rahe hain aalam-e-zindan tumse ziyada

aaj ussi ke saamne hoon

ae junoon kuchh toh khule aakhir main kis manzil mein hoon
hoon jawaar-e-yaar[under protection of lover] mein ya koocha-e-qaatil mein hoon
pabajola apne shaanon par liye apni saleeb,
main safeer-e-haq[truth] hoon lekin nargha[rank]-e-baatil[evil] mein hoon
jashn-e-farda[celebration of tomorrow ] ke tasavvur se lahoo gardish mein hai
haal mein hoon aur zinda apne mustaqbil mein hoon
dam bakhud[without breath] hoon ab sare maqtal[place of slaughter / execution] ye manzar dekh kar
main ke khud maqtool hoon lekin saf-e-qaatil[rank of killer] mein hoon
ek zamana ho gaya bichhde huye jis se suroor
aaj ussi ke saamne hoon aur bhari mehfil mein hoon

shayar-e-fitrat hoon main

shayar-e-fitrat hoon main, jab fikr farmata hoon main
ruuh ban kar zarre-zarre mein samaa jaata hoon main
aa ke tujh bin iss tarah ae dost ghabrata hoon main
jaise har sheh mein kisi sheh ki kami paata hoon main
haaye ri majburiyan, tark-e-mohbbat ke liye
mujhko samjhate hain vo aur unnko samjhata hoon main
meri himmat dekhna, meri tabiyat dekhna
jo sulajh jaati hai gutthi phir se uljhata hoon main
wah re shauq-e-shahadat, ku-e-qaatil ki taraf
gungunata, raqs karta, jhumta jaata hoon main
teri mehfil tere jalwe, phir taqaza kya zaroor
le utha jaata hoon zaalim, le chala jaata hoon main
ek dil hai aur tufan-e-hawadis ae jigar
ek sheesha hai ke har patthar se takrata hoon main

kahin dukhon ka tazkara


kahin dukhon ka tazkara kahin ghamon ki dastan
main roa diya hayaat ki katab dekhte huye

guftagu ke lamhon mein

guftagu ke lamhon mein
dekh hi nahi pate
hum tumhare chehre ko
tum humari ankhon ko
aaj aisa karte hain
chashm-o-lab ko padhte hain
baat chod dete hain

teri zulf bhi toh bikhar gayi


mujhe zabt-e-gham ka na de sabak
zara apne haal par kar nazar
meri uljhano ke khayal se
teri zulf bhi toh bikhar gayi

rokta hai gham-e-izhaar se pindaar mujhe

rokta hai gham-e-izhaar se pindaar mujhe
mere ashkon se chhupa le mere rukhsar mujhe
dekh ae dasht-e-junoon bhed na khulane paaye
dhoondhane aaye hain ghar ke dar-o-diwar mujhe
sii diye hont ussi shaks ki majboori ne
jis ki qurbat ne kiya maharam-e-asraar mujhe
meri ankhon ki taraf dekh rahe hain anzuum
jaise pehchan gayi ho shab-e-bedaar mujhe
jins-e-viraani-e-sahara meri dukaan mein hain
kya kharidega tera shahr ka bazaar mujhe
jaras-e-gul ne kai baar bulaya lekin
le gayi raah se zanjiir ki jhankaar mujhe
naavak-e-zulm utha dashna-e-andoh sambhaal
lutf ke khanjar-e-benaam se mat maar mujhe
saari duniya mein ghani raat ka sanaata tha
sehan-e-zindaan mein mile subah ke asaar mujhe

iid ka din hai

charaag dil ke jalaao ki iid ka din hai
tarane jhoom ke gaao ki idd ka din hai
gamon ko dil se bhulaao ki idd ka din hai
khushi se bazm sajaao ki iid ka din hai
huzoor usski karo ab salaami ki dua
sar-e-namaaz jhukaao ki idd ka din hai
sabhi muraad ho poori har ek sawali ki
dua ko haath uthao ki idd ka din hai

shaam ke saanvle chehre ko nikhara jaaye

shaam ke saanvle chehre ko nikhara jaaye
kyon na saagar se koi chaand ubhara jaaye
raas aaya nahin taskeen ka saahil koi
phir mujhe pyaas ke dariya mein utaara jaaye
meharbaan teri nazar, teri adaayen qatil
tujhko kis naam se ae dost pukara jaaye
mujhko dar hai tere vade pe bharosa karke
muft mein ye dil-e-khushafaham na maara jaaye
jiske dam se tere din raat darakhshaan thay 'qateel'
kaise ab usske bina waqt guzara jaaye

tujhe bhula ke mujhe yaad kuch raha hi nahi

tujhe bhula ke mujhe yaad kuch raha hi nahi
ke jaise sare jahan main kuch aur tha hi nahi
khat unn ke naam mohata ka likh ke yaad aaya
sanam ke ghar ka mere pass toh pata hi nahi
gale laga ke har ek shaks roa pade lekin
hamare dil ka koi haal janta hi nahi
diyar-e-ishq main rakhte huye qadam socho
ke uss gali se palatne ka rasta hi nahi
yeh kaise keh doon ke acha hai zindagi ke liye
tamaam umar sakoon jab mujhe mila hi nahi
hamare gham mein woh aansu baha raha tha kyun
yeh raaz dil pe humare abhi khula hi nahi
woh kab se chod ke mujhko chala gaya
pe aisa lagta hai jaise ke woh gaya hi nahi

azmat-e-zindagi ko bech diya

azmat-e-zindagi ko bech diya
hamne apni khushi ko bech diya
chashm-e-saaqi ke ik ishare pe
umr ki tishnagi ko bech diya
rind jaam-o-subu pe hansate hain
shekh ne bandgi ko bech diya
rah_guzaron pe lut gayi raadha
shaam ne baansurii ko bech diya
jagmagate hain vahashaton ke dayar
aql ne aadmi ko bech diyaa
lab-o-rukhsar ke ivaz hamne
sitvat-e-khusravi ko bech diya
ishq beharuupiya hai ae 'sagar'
aap ne sadgi ko bech diya

meri aawargi

phirte hain kab se dar_ba_dar ab iss nagar ab uss nagar
ek dusre ke hamsafar main aur meri aawargi
na aashna har rahguzar na meharban hai ek nazar
jaayen toh ab jaayen kidhar main aur meri aawargi
ham bhi kabhi aabad thay aise kahan barbaad thay
bifikr thay aazad thay masruur thay dilshad thay
vo chaal aisi chal gaya ham bujh gaye dil jal gaya
nikle jala ke apna ghar main aur meri aawargi
vo mah-e-vash vo mah-e-ruuh vo mah-e-kaamil hu_ba_hu
thiin jiski baaten ku_ba_ku uss se azab thi guftgu
phir yun hua vo kho gayi aur mujhko zid si ho gayi
layenge ussko dhundh kar main aur meri aawargi
ye dil hi tha jo seh gaya vo baat aisi keh gaya
kehne ko phir kya reh gaya ashkon ka dariya beh gaya
jab keh kar vo dilbar gaya tere liye main marr gaya
rote hain ussko raat bhar main aur meri aawargi
ab gham uthaayen kis liye ye dil jalaayen kis liye
aansu bahayen kis liye yun jaan gavayen kis liye
pesha na ho jis ka sitam dhuundenge ab aisa sanam
honge kahin toh kaargar main aur meri aawargi
aasar hain sab khot ke imkaan hain sab chot ke
ghar bandh hain sab kot ke ab khatm hai sab totake
qismat ka sab ye khel hai andher hi andher hai
aise huye hain be_asar main aur meri aawargi
jab ham_dam-o-ham_raaz tha tab aur hi andaz tha
ab soz hai tab saaz tha ab sharm hai tab naaz tha
ab mujhse ho toh ho bhi kya hai saath vo toh vo bhi kya
ek behunar ek besabar main aur meri aawargi

khuda mere saath hai

toote huye dilon ki dua mere saath hai
duniya teri taraf hai khuda mere saath hai
aawaz ghunghruuon ki nahin hai toh kya hua
saagar ke tootne ki sada mere saath hai
tanhai kisko kehte hain mujhko pata nahin
kya jaane kis hasiin ki dua mere saath hai
paimana saamne hai toh kuch gham nahin 'nizam'
ab dard-e-dil ki koi dawa mere saath hai

chal chalan bura nahi

auron se hai milan zaroor, pojta sirf tujhko hai
jaan! tere qateel ka chal chalan bura nahi

aa jaayen ham nazar

aa jaayen ham nazar jo koi dam bahut hai yaan
mohlat basan-e-barq-o-sharaar kam bahut hai yaan
yak lehza siina kobii se furasat hamen nahin
yaani ki dil ke jaane ka maatam bahut hai yaan
ham raharavan-e-raah-e-fana der reh chuke
waqfa basan-e-subah koi dam bahut hai yaan
haasil hai kya sivaye tarai ke dahar mein
uth aasman tale se ke shabnam bahut hai yaan
iss buutkade mein maani ka kis se karen savaal
aadm nahin surat-e-adam bahut hai yaan
ajaaz-e-isavii se nahin bahas ishq mein
teri hi baat jaan-e-mujassim bahut hai yaan
mere hilaak karne ka gham hai abas tumhen
tum shaad zindagani karo gham bahut hai yaan
shayad ke kaam subah tak apnaa khinche na 'meer'
ahwal aaj sham se darham bahut hai yaan

khusboo hai yaar ki

aati bahot qareeb se khusboo hai yaar ki
jaari idhar udhar hi kahin daur-e-jaam hai

sapna sa kanpta tha

sari raat sote main muskara raha tha woh
jaise koi sapna sa kanpta tha honton par

ho ghazal aur ashkana ho

ho ghazal aur ashkana ho
dil sambhalne ka kuch bahana ho
aur kya chahiye zamane ko
kehne sunane ka ek fasana ho
zindgi nazar karna padti hai
ek lamha agar churana ho
hum jo kehte hain kar guzarte hain
soch lena agar azmana ho
dushmani bhi hamen ganwara hai
shart ye hai ke mukhlisana ho

saari baat

apnapan bhi aise beganepan mein hai
poora aalam ek diwanepan mein hai
ye jo tum se main anjaan bana phirta hoon
saari baat issi anjanepan mein hai ....

tere dil mein

mujhse milte huye yeh bhi toh socha hoga
main tere dil mein sama sakta hoon dhadkan ki tarah

hum dono

yeh lag raha hai sitaron ki chal se ke falak
koi azaab meri khak par utaarega
ishq kaisa kahan ka ahed farad
ghar basaye huye hain hum danoo'n

tera kya bana

tujhe zindgi ka shaoor tha tera kya bana
tu khamosh kyun hai mujhe bata tera kya bana
vo jo naseeb se teri jang thi meri bhi thi
main toh kamyaab na ho saka tera kya bana
nayi manzilon ki talaash thi so bichad gaye
main bichad ke tujhse bhatak gaya tera kya bana
main muqable mein shareek tha faqt iss liye
koi mujhse aa ke puchta tera kya bana
mujhe ilm tha ke shikast mera naseeb hai
tu umeedvaar tha jeet ka tera kya bana

jis tarah chahen karam farmayiye

jis tarah chahen karam farmayiye
dil mein rahiye dard bante jaaiye
sochiye toh husn kaafir kuch nahi
dekhiye aur dekhte raha jayiye
ho chuki taskeen kyun samjhaiye
aap ko jaana hai achcha jayiye
unnka ghar aur sirf unnke ghar
jayiye aur bin bulaye jayiye

ramzaan

bezubanon ko jab vo zuban deta hai
padhne ko phir vo quran deta hai
bakshne pe aata hai jab vo ummat ke gunahon ko
tohfe mein gunahgaron ko ramzaan deta hai

lakhnau wale

juda rehta hun main tumse toh dil betaab rehta hai
chman se duur rehke phool kab shaadab rehta hai
hajaaron bastiyan aa jayengi toofan ki jad mein
meri aankhon mein ik aansu nahi sailaab rehta hai
badi mushkil se aate hai samjh mein lakhnau wale
dilon mein faansle lab pe magar adaab rehta hai

wel come