Wednesday, September 16, 2009

aa jaayen ham nazar

aa jaayen ham nazar jo koi dam bahut hai yaan
mohlat basan-e-barq-o-sharaar kam bahut hai yaan
yak lehza siina kobii se furasat hamen nahin
yaani ki dil ke jaane ka maatam bahut hai yaan
ham raharavan-e-raah-e-fana der reh chuke
waqfa basan-e-subah koi dam bahut hai yaan
haasil hai kya sivaye tarai ke dahar mein
uth aasman tale se ke shabnam bahut hai yaan
iss buutkade mein maani ka kis se karen savaal
aadm nahin surat-e-adam bahut hai yaan
ajaaz-e-isavii se nahin bahas ishq mein
teri hi baat jaan-e-mujassim bahut hai yaan
mere hilaak karne ka gham hai abas tumhen
tum shaad zindagani karo gham bahut hai yaan
shayad ke kaam subah tak apnaa khinche na 'meer'
ahwal aaj sham se darham bahut hai yaan

No comments:

Post a Comment

wel come