Thursday, November 27, 2008

iss zindgi mein itni faraghat kise naseeb
itna na yaad aa ke tujhe bhool jaayein hum ..!$!
barbadi-e-dil jabar nahi 'Faiz' kisi ka ..
vo dushman-e-jaan hai toh bhula kyun nahi dete ..!$!
ab tak dil-e-khush_feham ko tujhse hain ummedien ..
ye aakhri shama bhi bhujhne ke lye A..!$!
tanhai ne iss khayal se saath na choda mera
Ke kisi ko tanha chodna achchi baat nahin

teri koshish teri tadbeer hona chahta hoon

teri koshish teri tadbeer hona chahta hoon
main tere hath ki tahreer hona chahta hoon
tu mere paas aaye aur palat ke na jaaye
main tere paaon ki zanjeer hona chahta hoon
mujhe adat nahi ab doosron ke mashvaron ki
main khud bhi sahib-e-tadbeer hona chahta hoon
azal se khawab ban kar teri aankhon main raha hoon
ab main sharminda-e-tabeer hona chahta hoon
main iss liye masmaar khud ko kar raha hoon
ke tere hath se tameer hona chahta hoon.........
hatheli samne rakhna...
ke sab ansoo giren iss mein
jo ruk jaaye honto per...
samjh jana ke wo hun main
kabhi jo chand ko dekho...
toh tum yun muskura dena...
ke phir badal bhi aa jaayein..
samjh jana ke wo hun main
jo chal jaaye hawa thandi..
toh ankhen bandh kar lena...
jo jhonka tez ho sab se..
samjh jaana ke wo hun main
jo zayda yaad aaon main...
toh roa lena jii bhar ke
agar hichki koi aaye...
toh samjh jaana ke wo hun main
agar tum bhulna chaho
mujhe shayed bhula do tum
magar jab saans aayegi..
samjh jaana ke wo hun main..
baaton baaton mein bichadne ka ishara kar ke
khud bhi roya bohat vo humse kinara kar ke
ek hi shehr mein rehna hai aur milna nahi
dekhte hai ye aziyat bhi ganwara kar ke ... !!!
aap hamen bhula do, hamen koi gham nahi ...
aap hamen rula do, hamen koi gham nahi ...
jis din hum ne aap ko bhula diya ...
samjh lena iss duniya mein hum nahi ...
hum phir ek bhuul kar baithe
zamin par rakh kar chand se pyar kar baithe
socha na samjha ikraar kar baithe
dundti hai nazar har tarf usse
harpal dil mein rehti hai khwaish usski
ek jalak ke liye hota hai dil bekrar
muqadar se milta hai ek pal pyar ka
jante na thay woh toh chand hai aur hum zara zamin ka
phir bhi chupke se pyar kar bhete
na jaane hum anjane mein phir kyun wahi bhool kar baithe
zamin par reh kar chaand se pyar kar baithe

sirf itna kehna hai pyar hai tumse

sirf itna kehna hai pyar hai tumse
jazbaton ki koi numaish nahi ki humne
pyar ke badle sirf pyar manga hai humne
rishte ki toh guzarish nahi ki humne
chahe toh bhuka dena hamen dil se
sada yaad rakhne ki sifaarish nahi ki humne
khamoshi se tufan seh lete hain hum toh
unn badalon ne izhar ki baarish nahi ki
tumhe hi mana hai rehnuma apna
aur toh kisi cheez ki khwahish nahi ki
sirf itna kehna hai !
pyar hai tumse .... !!
muhabat zinda na tujhse hai na mujhse hai ... !!!!
muhabat ibadaton, riyazaton ki inteha se hai ... !!!!
jism tadpa hai khak par tanha
rooh karti rahi safar tanha
neend walon ko kya khabar isski
koun jaaga hai raat bhar tanha,
log soye thay bandh kamron mein
chaand bhatka hai dar_badar tanha
saath deta hai koun manzil tak
saath chalti hai raah_guzar tanha
shehar ka shehar bujhta jaata hai
ja raha tha woh apne ghar tanha
ae ! gham-e-zindgi ke raat ke chand
dhoond mujhko nagar nagar tanha
woh jo hansta tha haal-e-dil pe kabhi tanha
roa pada khud ko dekh kar tanha
bhool kar apne husn ke aadaab
mere dil mein kabhi utar tanha
yeh aaye hazaar shehar mujhe
jab bhi dekha koi khandar tanha
iss bhare shahar mein kabhi
anjman tha koi magar tanha...!!!
vo jo roop zer-e-naqab tha
usse dekhna mera khwab tha
jo mila tha hizar ki shakal mein
meri chahton ka azab tha
ye sawal tha ke mila karo
na mila karo yeh jawab tha
jise dekh kar main tadap utha
teri aankh mein woh hijab tha
mere paas thi meri tanhai
tere paas jaam-e-shrab tha
tera pyar tha meri shayari
tera ishq meri kitab tha
suno ...... !!
meri taraf dekho ....
chalo, ik kaam karte hain
aur apne waste ik raat ki taameer karte hain
tum apne gham samou lena
main apne dukh bhigo lunga
kuchh apni hasratein, kuch kwahishein, kuchh un_kahi batein
mila denge hum uss mein senkdo bichhdi hui raatein
ke un jalti hui raaton se ab tabkheer karte hain
hum apne vaaste ik raat ki tameer karte hain ...
suno ...... !!
tum dhyan mein rakhna
kahin aisa na ho jaaye ...... !!
ke unn roothi hui raaton ki tarha aaj bhi
ye raat kho jaaye ....
meri ankhon se nikle
aur
tere ankhon se beh jaaye ...... !!
har ek manzar par udasi chhai hai .................
chand ki rohni mein bhi kami aayi hai ..................
akele achche thay hum apne aashiane mein .................
jaane kyun laut kar aap ki yaad aaye hai .................
baat din ki nahi, ab raat se darr lagta hai
ghar hai kachcha mera, barsaat se darr lagta hai
tere tohfe ne toh bas khoon ke aanso hi diye
zindgi ab teri saughat se darr lagta hai
pyar ko chod kar tum aur koi baat karo
ab mujhe pyar ki har baat se darr lagta hai
meri khatir na vo badnaam kahin na ho jaaye
iss liye usski mulaqaat se darr lagta hai
meri zindgi ik khwab hai
ik dilkash sa khwab hai
meri har ada mein garoor hai
ik ajab sa saroor hai
main ik un_chhuui si kitab hoon
khwahishon ka ajab hoon
kabhi pyar ka guman hoon
kabhi nafrton ka nishan hoon
hai mann mein mere chah bohat
aur karna chahon wafa bohat
par mann mera hai ujda hua
musafir hun khudi se bichda hua
jise socha tha kabhi pyar karun
apni chahton mein shumaar karun
uss ne aisa mann mara
main pyar aitbaar sab haara
raaton ko main jagta hoon
khudi ko khudi mein khojta hoon
yun na mil mujhse khaffa ho jaise
saath chal moz-e-saba ho jaise
log yun dekh ker hass dete hain
tu mujhse rooth gaya ho jaise
ishq ko shirk ki hadd takk na badha
yun na mil mujhse Khuda ho jaise
zindagi iss tarah guzar rahi hai
ik be-jurm saza ho jaise ...
achi lagti bhala kyun ye fiza shaam ke baad
ho gaya ishq toh ye humpe khula shaam ke baad
din mein toh hum pe koi shair utarta hi nahin
humne toh jab bhi, jo bhi likha shaam ke baad
aa ke dekho toh sahi kitne nikhar jaate hain
tum kisi roz milo humse zara sham ke baad
rooh tak shamil-e-aawaz hua karti hai
tum kabhi maang ke dekho toh dua shaam ke baad
aaj tak aise parende nahin dekhe humne
bhool jaate hain jo ghar ka pata shaam ke baad
meri nazron mein vo ba_zauq nahin ho sakta
besabab jo bhi koi ghar mein raha shaam ke baad
ulfat ka jab kisi ne liya naam roa pade
apni waffa ka soch ke anjaam roa pade
har shaam ye sawaal muhabat se kya mila
har shaam ye jawab ke har shaam roa pade
raah-e-waffa mein humko khushi ki talash thi
do gaam hi chale thay ki har gham roa pade
rona nasee mein hai toh auron se kya gila
apne hi sar liya koi ilzaam roa pade
meri masrofiat dekho
subha se shaam mein chirag umar jalti hai
phir isske baad duniya ki kai majbooriya paaon mein baydi dal rakhti hain
mujhe be_fikar, chahat se bhare sapne nahi dekhte
tehalne, jagne, rone ki fursat nahi milti
sitaro se mile arsa hua, naraz ho sayad
kitabo se shaguf meri abhi waise hi kayam hai
fark itna pada hai ab unnhe urse mein padta hun
tumhe kisne kaha pagli mein tumhe yaad karta hun
ke main khudko bhulne ki justju mein hun
tumhe na yaad aane ki musalsal justjuon mein hun
magar ye justju meri bahut nakam rehti hai
meri din raat mein ab bhi tumhari shaam rehti hai
meri lamzon ki har maala tumhar naam rehti hai
tumhe kisne kaha pagli mujhe tum yaad aati ho ?
purani baat hai, jo log aksar gungunate hai
unnhe hum yaad karte hai, jinhe hum bhool jaate hai
tumhara khat mila jaana
vo jis mein tumne poocha hai
ke ab haalat kaise hain
mere din raat kaise hain
mehrabani tumhari hai
ke tum ne is tarha mujhse
mere haalat pooche hai
mere din raat pooche hai
tumhe sab kuch bata dunga
mujhe itna bata do ke
kabhi sagar kinare par
kisi machhli ko dekha hai
ke jis ko lehrein paani ki
kinare tak toh laati hai
magar phir chod jaati hai
mere haalat aise hai
mere din raat aise hain ....!
bahut khoob dil ka fasaana hua hai
jo aapse milna milanaa hua hai
ummid ki shama jalaye hum sochte hai
chand bujhne se pehle kab unnka aana hua hai
jaaiye kuchh naya kijiye, toh shohrat milegi
vada todne ka chalan ab purana hua hai
umar bhar ke intezaar ke badle
wo pal bhar na thehre ..........
mera aana hua hai ki unnka jaana hua hai ..........
samundar poochta hai ab woh dono kyun nahi aate
wohi dono jo bheegi ret per
ek doosre ka haath thaame door tak
kabhi hanste, kabhi kuch gungunate
ya kabhi chup chaap baithe duur ufaq ki gaudh mein
rosposh hone wala sooraj dekhte
aansoo bahate laut jate !
samandar poochta hai ab woh dono kyun nahi aate
jo aate thay toh apne saath kitne khuwab laate thay
kabhi saahil se dheron seepiyan chunte thay
nange paon paani mein chale aate thay
bheegi ret se nanne gharonde bhi banate thay
aur unn mein seepiyan,rangeen se kuch sangreze yun sajate thay
samandar poochta hai ab woh dono kyun nahi aate
magar samandar ne khizan ki siskiyan leti hawa
ek shaam ko woh naujawano ko nahi dekha
jo der takk tanha sar-e-saahil raha baitha
phir uss ne dher saare khatt
buhut se sookhe phool aur tasveerein
aur apne aakhri aansoo
samandar ke hawale kar diye ....
phir dil ki arzoo ki shama na zal pade
itna bhi na staoo ki ansoo nikal pade
kis kis tarah kare koi izhar-e-arzoo
jab iltzaa se hi aap ke maathay pe bal pade ...
souaq se parda karo
parda hai wazib,lekin
choom lene do rukh-e-yaar ko
jee bhar ke hamen
jindgi pyar hai
tum pyar se roka na karo ...
mein yunhi bekhudi mein keh gaya hun
dilruba tum ko ........
khuda ka khuaff na hota toh
kah deta khuda tum ko .......
aao tu kabhi dekho toh zara
hum kaise jiye teri khatir
din raat jalaye baithe hai
ankho ke diye teri khatir ........
ek nata tujhse jod liya
sab apno se mukh mod liya
hum tanha ho kar baith gaye
sab chod diya teri khatir .....
badnam na tu ho jaye kahin
in apni jafao ke badle
in tere gamo pe khushi ke
sau parde kiye teri khatir
aao toh kabhi......
kar na sake hum pyar ka sauda
kimat hi kuch aisi thi
jeeti bazi haar gaye hum
kismat hi kuch aise thi
sadiq na kar sikwa unnse
zakham diye gar kaanto ne
iss gulshan ke phoolo ki bhi
adat hi kuch aisi thi
dekh ke heere moti humse
pyar ka naata tod gaye
sone chandi jaise se'h mein
takat hi kuch aise thi
ek jhalak hi dekhi toh hum
pyar ka dhokha kha baithe
yaaro unnki bholi bhali
surat hi kuch aise thi
duniya such hi pathar maare
pyar mein doobne walo ko
ishq mein ik diwane ki bhi
haalat hi kuch aise thi
inn khoye huye aansuon se aqeedat hai mujhe bhi
teri tarah zindagi se shikayat hai mujhe bhi
tu agar naazuk hai toh main bhi nahin paththar
tanhai mein roa dene ki aadat hai mujhe bhi
meine ek khat likha tha tumhe preshani mein
koun jaane ki tumhe yaad bhi hai ki nahi
meine likha tha jaroorat hai sahare ki mujhe
woh sahara jo tum do toh inyyat hogi
meine likha tha mera koi nahi duniya mein
main gaya tha akash mein badal tanha
jaise basti mein kissi mod pe peepal tanha
jaise murjhaya hua kanwal koi paani mein
meine likha tha ye tujhe maalom na tha
main tumhe rooh ki jaagir nahi likh sakta
khat toh likh sakta hoon taqdeer nahi likh sakta
bhool jana ki khata hogi nadani mein
mein ek khat likha tha tumhe preshani mein
kyon jaane ki tumhe yaad bhi hai ya ki nahi
koi kissi se door hai, koi kissi ke pass
sayyad koi kami se hai har jindgi ke saath
tum hi nahi jo chaand ko chehra na de sake
ye haadsa toh hota hai aksar sabi ke saath
bhujne se pahale chirag jalaya nahi karte
hum voshaks Hai Jo apno Ko bhulaya nahi karte ..
hum bhi karte hai namazo me aap ke liye dua
ye aur baat hai ki aap ko bataya nahi karte ..
meri saanson ko jo mehaka rahi hai
ye pehle pyar ki khusboo
teri saanson se shayad aa rahi hai
shuru ye silsila toh ussi din se hua tha
achank tune jis din mujhe yunhi chhua tha
lehar jaagi jo uss pal tan badan mein
vo ann ko aaj bhi behaka rahi hai
bohat tarsa hai ye dil tere sapne saja ke
ye dil ki baat sun le, meri baahon mein aa ke
jagaakar anokhi payas mann mein
ye meethi aag jo dehaka rahi hai
ye ankhein bolati hain, jo hum na bol paaye
dabi vo pyas mann ki, nazar mein zhilmilaaye
honton pe tere halki si hassi hai
meri dhadkan bahakti ja rahi hai
meri saanson ko jo .......
pareshan raat saari hai sitaaro tum toh soa jaao
suquut-e-marg taari hai, sitaaro tum toh soa jaao
hamen bhi neend aa jaayegi hum bhi soa hi jaayenge
abhi kuchh beqaraari hai, sitaaro tum toh soa jaao
hamen toh aaj ki shab, pau phate tak jagana hoga
yahi qismaat hamari hai, sitaaro tum toh soa jaao
tumhein kya ham agar luute gaye raah-e-muhabbat mein
ye baazi hamane haari hai, sitaaro tum toh soa jaao
kahe jaate ho roa roa kar hamaara haal duniya se
ye kaisi razadaari hai, sitaaro tum toh soa jaao
aaj phir toot k bikhara to tujhe yaad kiya
dil mera dard mein duba toh tujhe yaad kiya
khwab ashkon mein dhal gaye teri surat le kar
aaj phir ghum ne sataya toh tujhe yaad kiya
khushiyan besumaar hain mere jiwan ki tarhan
aaj phir hijar mein roya toh tujhe yaad kiya
zindagi beet gayi hai ghamon ke saye mein
bhool kar bhi kabhi hassa toh tujhe yaad kiya
jab bhi teri judai ke aazab lamhon ne
mujh ko betaab kiya toh tujhe yaad kiya
lakh duuri sahi lekin meri jana jab bhi
dil tere naam per dhadka toh tujhe yaad kiya
woh tod ke dil hamara
phir jamane ko dikhane lage
chahat ki sab rasmay nibha di..unhone,
woh tukde dil ke uthane lage ...
dekh teri khatir kya kar liya humne
aap aaye beparda aur parda kar liya humne
ek roz ussne thama tha haath mera
mere hath se usske haath ki khushbo nahi jaati
vo buhat pyar se pukarta tha naam mera
mere kaano se usski wo awaz nahi jati
main bolati bhi nahi thi or wo aa jata tha
ab bolne par bhi meri awaz uss tak nahi jati
bas chuka hai wo meri nas_nas main laho ki tarha
main us ki roh main utar kyun nahi jati
main janti hon ye shehar ye raste usske nahi
phir bhi meri aankhon say intezar ki adat nahi jati

Wednesday, November 26, 2008

tujhse kab humne mulaqat ka vaada chaha
duur reh kar toh tujhe aur bhi jayda chaha
yaad aati hai kuch aur bhi shiddat se teri
bhool jaane ka tujhe jab bhi irada chaha
sham bhi ho gayi, dhundhla gayi aankhein bhi meri
bhulane wale main kab tak tera rasta dekhun ...!!??!!
ashk beh beh kar mere khak pe jab girne lage
mein tujhko tere daman ko bahut yaad kiya
ajeeb raaz hai, tanhayi-e-dil-e-shayar
ki khilvaton mein bhi asar anjuman ke mile
ae ! khuda ret ke sehra ko samandar kar de
ye chalakti aankhon ko bhi pathar kar de
aur kuch bhi mujhe darkaar nahi hai lekin
meri chaadar mere pairon ke barabar kar de ...
vo shakhs meri laash par aaya na roa saka
ussko mere sukoon ka kitna khayal tha
mausham tha beqraar, tumhein sochte rahe
kal raat baar baar tumhein sochte rahe
baarish hui toh ghar ke dareeche se lag ke hum
chup-chap, sogwaar, tumhein sochte rahe
galiyon se meri tumne guzar kar nahin dekha
gham yeh hai ki khushiyon ne mera ghar nahin dekha
mehroom hai vo pyar ki daulat se abhi tak
dil jisne kahin apna laga kar nahin dekha
gumnaam hai vo phool gulistaan-e-jahan mein
khusbhoo ki tarah jisne bikhar kar nahin dekha
aaine faqat usski tasali ke liye hain
dulhan ki tarah jisne sanwar kar nahin dekha
ye sach hai mera qatl sar-e-aam hua hai
kiska tha mere peet mein khanjar nahin dekha
dil chiir kar nikle hain ye ashaar mere
afsos ki isse aap ne padh kar nahin dekha
na chaho itna ke chahton se darr lagta hai
na ho itna kareeb ke judaye se darr lagta hai
tumhari wafaon pe bharosa hai
magar apni kismat se darr lagta hai.....
vo mujhse pooch raha tha batao kaisa laga .....
purane zakhmo ko chodo ye ghaao kaisa laga ......
ajab sawal kiya aandhion ne patton se,........
shajjar se toot ke girna bataao kaisa laga ...!!!
parkhana mat, parkhane mein koi apna nahi rehta
kisi bhi aaine mein der tak chehra nahin rehta
bade logo se milne mein hamesha faasla rakhna
jahaan dariya samander se mila, dariya nahi rehta
ummid toh bandh jaati, taskeen toh ho jaata
vada na waffa karte, vada toh kiya hota
gairon se kaha tumne, gaiiron se suna tumne
kuch humse bhi kaha hota, kuch humse bhi suna hota
tuuti hai meri neend magar tumko isse kya
bajte rahein hawaon se dar tumko isse kya
auron ka haath thamo unnhen raasta dikhao
main bhool jaaon apna hi ghar tumko isse kya
agar yaqeen nahi aata toh aazmana mujhe
woh aaina hai toh phir aaina dikhana mujhe
ajeeb chirag hun din raat jalta rehta hun
main thak gaya hun hawa se kaho bujhana mujhe
suno!
mujhe tumse kuch kehna hai

mujhe se budguman mat hona
meri iss baat pe hairan mat hona
aaj tum se ijazat chahi hai maine
yeh soch ke pareshan mat hona

suno!
aaj tumhari ankhon mein nami hogi
dil main ek khalish bhi uthi hogi
dard aanso ban ke behta hoga
udasi chaar_su pheli hogi

suno !
kisi ka chehra jo dekho toh
uss mein mera chehra na khojna tum
kahin yeh wahi toh nahi
yeh soch ke na har kisi ko rokna tum

suno !
mujhe ek yaad samjh ke bhula dena
mujhe ek unnkahi kahani samjh ke bhula dena
main guzre waqt ki dhol thi shayed
yeh soch ke hi khud ko behla lena

suno !
mujhe tum se kuch kehna hai
apni jindgi mein mujhe sharik rakhna
koi gham aaye toh mujhe kareeb rakhna
de denge muskurahat aanson ke badle
magar hazaron rishton mein mujhe aziz rakhna
jab koi afsana tere pyar ka kehta hoga
mera bhi zikr toh zer-e-bayan rehta hoga
hum tumse door sahi juda to kabhi main na gaye
aaj tanha phir koi zamane ke sitam sehta hoga
voh kehte hai majbuur hun main
na chahte hue tum se duur hu main
chura li jinhone meri dhadkane
phir bhi kehte hai bekasur hun main ...
har lafz ko kagaz pe utara nahi jaata
har naam ko sare_aam pukara nahi jaata
hoti he dosti me kuchh raaz ki baatein
yunhi toh iss khel mein dil haara nahi jaata !!!
usse kabhi na kabhi to bichad hi jana tha
ye hadsa bhi meri zindagi mein aana tha
vo ek shaks mujhe sari umar tarsega
naseeb usska......ke ussne mujhe gawana tha
tham lo yeh haath magar yaad rakhna wafa ka asool
toot kar bikhar jaayein hum, na ho kabhi ye bhool
suna toh bohat hai ahl-e-mohabbat ka qissa magar
ada-e-tark-e-talluq ye tumhari hamen qabool
phele bhi log aaye kitne hi zindgi mein
voh har tarah se lekin auron se tha juda sa
tevar thay be-rukhi ke, andaz dosti ka
voh ajnabi tha lekin lagta tha aashna sa
dar dar bhatakte hain armaan ki tarah
har koi milta hai anjaan ki tarah
iss duniya se khushi ki aas kya karen
yahan toh gham bhi dete hain ik ehsaan ki tarah ...
aata nahin yaqin ke duniya se uth gaya
batha hua nazar jo abhi doston mein tha
karta tha har baaat par wo kehkahe buland
usske dukhon ka raaz innhi kehkahon mein tha
mere humnafas mere humnawan
mujhe dost ban ke dagha na de
ghum-e- zindagi se hoon jaan b lab
mujhe zindagi ki dua na de
yeh dua hai meri atish e ishq mein toh bhi meri tarha jala kare
na naseeb ho tujhe beidhna tere dil mein bhi dard huwa kare
tere samne tera gharr jale tere bas mein na ho tu bacha sake
tere dil se yeh dua nikle na ghar kisi ka jala kare...
aaj phir yaad aa gaya unnka chehra
hamari aankhon pe rehta tha har waqt jinka pehra
vo aa nahin paayenge laut ke, jaante hai hum
lekin kare toh kya kare ae yaad-e-khayaal tera
duniya mein hum pe jab koi ilzaam rakh diya
hum ne muqabil us ke tera naam rakh diya......
ik khaas had pe aa gayi jab teri berukhi
naam uska hum ne gardish-e-ayam rakh diya.......
main ladkhadaa raha hun tujhe dekh dekh kar
tune to mere samne ik jaam rakh diya....
kitna sitamzarif hai woh sahib-e-jamal
us ne diya jala ke lab-e-baam rakh diya.....
insan aur dekhe baghair us ko maan le
ik khauf ka bashar ne khuda naam rakh diya........
ab jis ke jee mein aaye wahi paaye roshni
hum ne to dil jala ke sar-e-aam rakh diya...
kya masalhat-shanas tha woh admi qateel
majburion ka jis ne wafa naam rakh diya.....
dard ki had se guzarna to abhi baki hai
toot kar mera bikharna to abhi baki hai......
paas aake mera dukh dard bantne wale
mujhse katraa ke guzarna to abhi baki hai.....
chand sheron mein kahan dhalti hai ehsaas ki aag
gam ka ye rang nikharna to abhi baki hai......
rang-e-ruswai sahi, shehar ki deewaron par
naam Rashid ka ubharana to abhi baki hai......
dard ki had se guzarna to abhi baki hai
toot kar mera bikharna to abhi baki hai......
paas aake mera dukh dard bantne wale
mujhse katraa ke guzarna to abhi baki hai.....
chand sheron mein kahan dhalti hai ehsaas ki aag
gam ka ye rang nikharna to abhi baki hai......
rang-e-ruswai sahi, shehar ki deewaron par
naam Rashid ka ubharana to abhi baki hai......
jo chahte ho, so kehte ho, chup rehne ki lazzat kya jano
ye raaz-e-muhabbat hai pyare, tum raaz-e-muhabbat kya jano....
alfaz kahan se laaun main, chhaale ki tapak samjhane ko
izhar-e-muhabbat karte ho, ehsas-e-muhabbat kya jano....
kya husn ki bheek bhi hoti hai, jab chutki chutki judati hai
hum ahal-e-garaz jaane is ko, tum sahib-e-daulat kya jano....
hai fark bara ae jaan-e-raza, dil dene mein dil lene mein
ulfat ka taalluk jante ho, rishte ki nazakat kya jano......
tu kahin bhi rahe, sar pe tere ilzaam to hai
tere haathon ki lakiron mein mera naam to hai.....
mujhko tu apna banaye ya na banaye teri khushi
tu zamane mein mere naam se badnaam to hai......
mere hisse mein koi jaam na aaya na sahi
teri mehfil mein mere naam koi sham to hai.....
dekh kar log mujhe naam tera lete hain
is pe main khush hun, muhabbat ka ye anjaam to hai......
woh sitamgar hi sahi dekh ke usko sabir
shukr hai, is dil-e-bimaar ko aaram to hai........
mashk-e-sitam farmaate rahiye
yun hi mujhe tadpaate rahiye........
pyason ko tarsaate rahiye
jaam yun hi chhalkate rahiye......
kadmon mein aa jaayiega saahil
tufaan se takraate rahiye.........
nazmein jahan uljhe to uljhe
zulfon ko suljhaate rahiye......
fasl-e-baharaan rooth na jaaye
sahan-e-chaman mein aate rahiye...
mere dard ki jo dawa kare
koi aesa shakhs huwa kare,
woh jo be-panaah udas ho
magar hijr ka na gila kare...........

meri chahtein, mere qurbatein
jise yaad aayein kadam kadam,
to sabse chhup ke libas-e-shab mein
lipat ke aah-o-buka kare........

barhe uska gam to karar kho de
woh mere gam ke khayal se,
utthein haath apne liye to
fir bhi mere liye dua kare.........

yeh kasas ajeeb-o-garib hain
yeh mohabbaton ke nasib hain,
mujhe kaise khud se juda kare
use kuchh batao ki kya kare........

kabhi tey kare yunhi soch soch mein
woh firaak ke faisle,
mere peeche aake dabe dabe
meri aankhein moond hansa kare........

bhala kaise apne hi aks ko
main rafeeq-e-jaan bana sakun,
koi aur ho to bata to de
koi hai kahin to sada kare........

use dhundati hain gali gali
meri khilwaton ki udasiyaan
woh mile to bas ye kahun ke aa
mera moulla tera bhala kare.....
dil mein ab dard-e-muhabbat ke siva kuchh bhi nahi
zindagi meri ibaadat ke siva kuchh bhi nahi.....
main teri barahgah-e-naaz mein kya pesh karun
meri jholi mein muhabbat ke siva kuchh bhi nahi......
ae khuda! mujhse na le mere gunahon ka hisaab
mere paas ashk-e-nadamat ke siva kuchh bhi nahi........
woh to mit kar mujh ko mil hi gayi rahat warna
zindagi ranj-o-musibat ke siva kuchh bhi nahi......
mere dard ki jo dawa kare
koi aesa shakhs huwa kare,
woh jo be-panaah udas ho
magar hijr ka na gila kare...........

meri chahtein, mere qurbatein
jise yaad aayein kadam kadam,
to sabse chhup ke libas-e-shab mein
lipat ke aah-o-buka kare........

barhe uska gam to karar kho de
woh mere gam ke khayal se,
utthein haath apne liye to
fir bhi mere liye dua kare.........

yeh kasas ajeeb-o-garib hain
yeh mohabbaton ke nasib hain,
mujhe kaise khud se juda kare
use kuchh batao ki kya kare........

kabhi tey kare yunhi soch soch mein
woh firaak ke faisle,
mere peeche aake dabe dabe
meri aankhein moond hansa kare........

bhala kaise apne hi aks ko
main rafeeq-e-jaan bana sakun,
koi aur ho to bata to de
koi hai kahin to sada kare........

use dhundati hain gali gali
meri khilwaton ki udasiyaan
woh mile to bas ye kahun ke aa
mera moulla tera bhala kare.....
tumhari dost-nawazi mein gar kami hoti
zamin toot ke bhikar gayi hoti.........
bahut se log pasheman ho gaye hote
jo baat sach thi, agar woh kahi gayi hoti........
khushi ne theek kiya, jo humse dur dur rahi
hamare pas jo aati, to roa padi hoti.......
tujhe bhi log hamari tarah samajh lete
hamare jaison se teri agar dosti hoti......
main roshni ke sarabon se to bacha rehta
naseeb mein zara aur teergi hoti.....
jeena azaab kyun hai, kya ho gaya mujhe
kis shakhs ki lagi hai, bhala bad_dua mujhe....
ban'na pada hai aap hi apna khuda mujhe
kis kufr ki mili hai, bhala ye saza mujhe.....
ye keh ke maine rakha hai har aaiine ka dil
aglay janam mein roop milega naya mujhe.....
nikle thay dono bhes badal kar toh kya ajab
main dhundta khuda ko phir, aur khuda mujhe......
tu mutmayin nahi to mujhe kab hai aitraaz
mitti ko phir se goondh meri, phir bana mujhe.....
jeena azaab kyun hai, kya ho gaya mujhe
kis shakhs ki lagi hai, bhala bad_dua mujhe....
ban'na pada hai aap hi apna khuda mujhe
kis kufr ki mili hai, bhala ye saza mujhe.....
ye keh ke maine rakha hai har aaiine ka dil
aglay janam mein roop milega naya mujhe.....
nikle thay dono bhes badal kar toh kya ajab
main dhundta khuda ko phir, aur khuda mujhe......
tu mutmayin nahi to mujhe kab hai aitraaz
mitti ko phir se goondh meri, phir bana mujhe.....
har ek mod se milta hai rasta koi
nazar dhund hi leti hai aasra koi
akele hum chale the akele aaj bhi hai
har ek mod se milkar bichad gaya koi
mujhe dard-e-ishq ka maza malum hai
dard-e-dil ki intehaa malum hai
zindgi bhar muskrane ki dua na dena mujhe
mujhe pal bhar muskurane ki saza malum hai ...
jo ZAKHM diye tumne vo lauta rahin hu mein
kuch DARD mera tum bhi mehsus kar ke dekho
main kuch na kahoon aur ye chahon ke meri baat
khusbhoo ki tarah udd kar tere dil mein uttar jaaye ...
har ik se poocha sabab uss ke na milne ka
har ik ne bataya woh tere liye bana hi nahin ...
kabhi kabhi toh aap itna yaad aate hai
ki aaine mein dekhti hun toh mujhe aap nazar aate hain
aaj dareeche mein woh aana bhool gaya
main bhi apna diya jalaana bhool gayi
aaj mujhe bhi uss ki yaad nahin aayi
woh bhi mere khawab mein aana bhool gaya
khat likha hai lekin khat ke kone par
vo apni aankh ke aanso mitana bhool gaya
rooth ke ek jagah dono baithe rahe
main ussko vo mujhko manana bhool gaya
maana ke teri deed ke qabil nahin hun main
tu mera shauq dekh, mera intzaar dekh ...
pyar karne ko jo manga aur ik humne janam
zindgi ne muskura kar humko marr jaane diya
main khamosh hun mujhe kuch alfaz chahiye
unnke har ek sitam ko dil se lagana chahiye
voh bewafa nahin thay.. na hi woh be-kasoor thay
yahi baat bas dil ko ek baar samjhana chahiye
bhool jane ki saare raste woh apni hathon se saja rahe hain
unnke iss faisle pe iss baar sar jhukana chahiye
kuch pal hi to reh gaya hai unse juda hone ko
sochta hun aakhri baar unn ki baat mann lena chahiye
bhool jaane ka tujhe kaise tasvuur kar lun
meri har saans se wabasta hain yaadein teri
teri raahon mein kab se aankhen beechaaye baithe hain
iss dil ke tufan mein muhabat ki shama jalaye baithe hain
ae ! zaalim kis mod pe la kar choda hain tune mujhko
aah bhi milne ki hasrat se teri yaad ko dilse lagaaye baithe hain
mohabat ki bhi toh izhaar na karna aaya
kat gayi umar lekin hamein pyar na karna aaya
ussne mangi bhi toh sirf judai mangi
aur hum thay ! hamen inkaar na karna aaya ...
badi mushkil mein hun
mein kaise izhaar karun
tu toh khushbu hain
tujhe kaise giraftar karun ...
na kamal-e-fun hi mila mujhe na jamal_husn khayal ka
main toh na_tamam jawab hun kisi dosre ke sawal ka
meri saaye se na simt saka tere mere dard ka fasila
karen zindagi ke supard kya ye toh silsila hai malal ka
mere aaino mein jami rahi woh jo raig-e-dasht-e-farak thi
mujhe phir asar na kar saka koi rung mazi-o-haal ka
kahen kya kise, koi kya sune ye hadees dil ka muamla
na fasana laila-o-qais ka na hai qisa heer sayal ka
jise khojti hi rahi sada tere harf harf main roz-o-shub
teri ankh main tha chupa huwa woh jawab mere sawal ka
tera khyaal bohot der tak nahi rehta
koi malaal bohot der tak nahi rehta
udaas karti hai aksar tumhari yaad mujhay
magar ye haal bohot der tak nahi rehta
mein reza reza to hota hoon har shikast k baad
magar nidhaal bohot der tak nahi rehta
mein jaanta hoon k sooraj hoon, doob jaoon bhi to
mujhay zawaal bohot der tak nahi rehta
hamko toh gardish-e-haalat pe rona aaya
rone vaale tujhe kis baat pe ronaa aayaa
kaise mar-mar ke guzari hai tumhein kya maalum
raat bhar taaron bhari raat pe rona aaya
kitane betaab thay rim_jhim mein piiyenge lekin
aai barasaat toh barasaat pe rona aaya
kaun rota hai kisi aur ke gham ki Khatir
sab ko apani hi kisi baat pe rona aaya
'Saif' ye din to qayaamat ki tarah guzara hai
jaane kya baat thi har baat pe rona aaya
dil mein uthi phir koi tadap tumhari yaad aati hai
dil jaaye zara jab dhadak tumhari yaad aati hai
chehra tumhara aaina bankar jab bhi saamne aaye
khud ko dekhta hun ek tuk tumhari yaad aati hai
dard ki lakeerein hai chehre par aati jaati shikan
do boond aankho se jaaye chalak tumhari yaad aati hai
hai rishta ab bhahe koi nahin, darmiyan bas duuri hai
tanha tanha tumse allag tumhari yaad aati hai
kya jaanu kyun iss kadar aaj bechaiin hun main
itna bewajah yun hi besabab tumhari yaad aati hai
sab se chhupa kar dard, jo woh muskura diya
usski hassi ne toh aaj mujhe rula diya
lehje se uth raha tha har ik dard ka duhan
chehra bata raha tha ke kuch ganwa diya
awaaz mein thehrao tha ankhon mein nammi thi
aur keh raha tha ke maine sab kuch bhula diya
jaane kya ussko logon se thi shikayatein
tanhayion ke dais mein khudko basa diya
khud bhi woh humse bichad kar adhura sa ho gaya
mujhko bhi itne logo mein tanha bana diya
deri hi sahi par duuri toh nahi
intzar bhala par judai toh nahi
milna bichadna toh kismat hai apni
aakhir insaan hai hum fariste toh nahi
tujhe apna mukdar batate hai hum
khuda ke baad tere aagaay sar jhukate hai hum
dosti ka rishta tod mat dena
iss rishte ke dum par muskurate hai hum

Tuesday, November 25, 2008

usski aankhon mein koi aanso toh aaya hoga ....
raat ke bhegne tak neend na aayi hogi tujhe .........
tune takiye ko bhi seene se lagaya hoga ....
ho ke nidhal meri yadoon se tune jana .........
meri tasveer pe sar apna rakha hoga ......
poocha hoga jo kisi ne teri halat ka sabab ....
tune baton mein khoob usse chhupaya hoga
main roz-e-hashr ka qaayal hun phir bhi hansta hun
ke ek banda Khudaa ko hisaab kya dega ...
ghum ka samadar toh apna naseeb hua hai ae ! dost...
Khuda na kare koi apne jaisa doob jaaye...
Kashti jaan safar-e-ishq pe nekli hain barso se ...
ae ! Khuda ab doobo de ya kenara laga de...
lakh seene mein chhipaya kiye hum dil ko, magar
phir ye seesha kisi pathar ki chott kha hi gaya
mujhe galay se laga lo bahut uddas ho mein
gam-e-janha se chhuda lo bahut uddas ho mein
ye intazar ka dukh ab saha nahi jaata
tadap rahi hai muhabat raha nahi jaata
mujhe apne paas bula lo bahut uddas ho mein
batak chuki hoon bahut zindgi ki raho mein
mujhe ab aa ke chupa lo bahoon mein
mere sawal na taloo bahut uddas ho mein
har ik saans pe milne ki pyas palti hai
sulag raha hai badan aur rooh zalti hai
bacha sako to bacha lo bahut uddas ho mein
dard-e-dil thaam ke sahete hai, hum toh chup hi hain
log kya kya nahi kahte hai, hum toh chup hi hain
aap kyon dil ke tadapne ka bura maan gaye
aap se kuch nahi kahte hai, hum toh chup hi hain
hum khatavar nahi dil ke bahek jaane ke
ye kagar aap hi dhate hai, hum toh chup hi hain

gulab ki shayyiri

dil toh humne lagaya hai, aap chup kyon hai ?
daav ye humne gavaya hai, aap chup kyon hai ?
log kya kya nahi kahte hai hamen duniya mein
aap ka nam bhi aaya hai, aap chup kyon hai ?
yeh toh kahiye ki nazar kyon hai khoi khoi hui
bhed kiya humse chipaya hai, aap chup kyon hai ?
tumko jaante nahi, per chahate hain hum
din bhar khojte nahi, per sochte hain hum
tumhare dil mein rehte nahi, per tumhare hain hum
tumko shayad paayenge nahi, per apnayenge hum
jeevan main shayad kabhi mil na paao,bas bichad jaaoge tum
shayad humare na ban paao, per muskuraoge tum
raat andheri hogi, phir-bhi jhilmilaoge tum
hamen aur koi nahi, bas yaad aaoge tum
yun toh likhne ko kya nahi likha maine
phir bhi jitna tujhe chaha nahi likha maine
yun to honge buhat zamane main Shayer
jaise sab likhte hai waisa nahi likha maine
yun toh ek lehar mein kuch rang jhalak atay hai
mujh mein hai ju darya nahi likha maine
mere her laffz ki wusset mein hai ek umer ka ishq
main ajab hun, agar bhool se nahi likha maine
meri nazro se jo ek bar na pohncha tujh tak
phir woh maqtob dubara nahi likha maine !
meri sachai har ek lafaz se aayan hoti hai !
sochta hoon tujhe apna kyon nahin likha maine !
jindgi phir koi pa'te toh aur kya karte
aapse dil na lagate toh aur kya karte
aap ke pyar ki pehchan mangte thay log
sar hum apna na katate toh aur kiya karte
barabar hai pareshani mein hum aur baal julfo ke
woh aksar tere muh lagte hai humse woh hi achche hai
bosa tere lab ka marz-e-gam ki dawa hai
kyun auron ko deta hai ki bimar toh mein hoon
"jaane kya zamana chahta hai,
mere dil ko todke mujhe hasana chahata hai
jane kya baat zalakti hai mere chehre se
har shaks mujhe azmana chahta hai "
meine theek hi likha thaa tumhe ki mila na karo
magar mujhe ye bataa do ki kyon naraz rahe tum
khaffa na hona meri jurrat-e-takhatub par
tumhe khabar nahi thi meri jindgi ki aas ho tum
aandhiya gam ki chalengi to sawar jounga mein
mein toh dariya hoon samandar mein uttar jaunga mein
mujh ko suli pe chadane ki jaroorat kiya hai
mere hathon se kalam cheen lo mar jaoonga mein
dil tere aane se pehle bhi yonhi barbaad thaa
aur yhonhi barbaad hai tere chale jaane ke baad
pyar se humko apna bana kar bholi bhali nighaon ne loota
sach toh yeh hai banda-e-parwar saadgi ka barosa nahi
dil se dil ka takaja hai, baaj aaye iss dillagi se
dil hi kambhakat apna nahi hai, ab hum ko kisi ka barosa nahi hai
teri tadpan samjh sakayga 'henna'
koi iss dard ka mara toh ho...

Monday, November 24, 2008

ab aaye hain hazoor haal-e-zigar poochne
"ki uth ke gale milo" itna bhi dum mein dum nahi 'zafar' mein
zamana ho gaya ankhon ka khel chalte huye
gale se aaj to lagiye ki zaa raha hoon mein
tum jo kahte ho 'zafar' ko kuch nahi ye aadmi
khaiir behtar banda parwar ! "kuch nahi toh kuch nahi"
dil mera le lene ki khatir
minte kya kya na ki
aise badle mere sanam
matlab nikal jaane ke baad
ishrat tere sawal ka mein kiya jawab doon
khud apne aap ko bhi mayasar nahi hoon mein
kuch tumhari bandishien hain kuch hai mere dairay
ji rahi hoon..kunoki jinay ke liye hoon majboor
kuch tumhari bandishien hain kuch hai mere dairay
ji rahi hoon..kunoki jinay ke liye hoon majboor
uss ne sirf itna kaha
bichadnay ke baad...
woh zab mila
"Id mubarak"
......alfaz....aur
chehre pe
koi rabat na thi ... !!!
fir dil ki aarzoon ki shama na jal pade
itna bhi na sataao ki aanso nikal pade
kis kis tarah karay koi izhar-e-mohabbat
jab iltzaa se hi aap ke maathay pe bal pade
hamare dil se na door jaao humse milo
kabhi toh dard ka rista nibhao humse milo
bus ik thaysh lagi aur roo diye sahab
hamare dil ko lagay kitne ghav humse milo
ghuti ghuti se tamna lotti lotti se hayya
hum iss kay baad bhi jeetay hai aao humse milo
yaani khayal-e-yaar ki adat si ho gayi
ab dosra mile bhi to dil maanta nhi,
hum ko to usske pyaar ki adat si ho gayi
vo jhoot bhi bole toh usse maante hain sach
uss par toh aitbaar ki adat si ho gayi
ab dhoop main kahin bhi milti nhi hai chaaon
mujh ko to to zulf-e-yaar ki adat si ho gayi
khushian agr mile bhi to hum ghum per waar den
ghatte ke Karobar ki adat si ho gayi....
Aaj jo Tanha hai Woh Pardes Mein
Zaroor Mujh ko us Ney Socha ho ga
Khvabon aur Khyaalon Mein
Mera hi Chehra Tarasha Ho ga
Raah Chaltey jo us ko
Mera khyaal Aaya Ho ga
Aik Nazar Ruk ke Asmaan Pe Chand ko Dekha Ho ga
Jab Saath They to Roz hi larti Thi Mujh sey
Ab Din Mein so Baar khud peh Bigarti Ho gi
Mail Box Kholtey hi Naam mera Dhondti Ho gi
Aur na Pa ke Mujhey
Aap hi Aap Mujh sey Roth ti Ho gi
Zaror Masrof Hon buhat ya koi Test hai Mera
Zane Ghurr ke khud ko Behalati Hogi
Tanha Sard Raat Mein
Yuon hi Sarak peh Tehaltey Huvey
Khyaalon hi Khyaalon Mein
Haath us ney Mera Thama Ho ga
Phir Kisi Pool ke Nechey Ruk kar
Aankhon Mein Mere us ney Jhaanka Ho ga
har ek baat pe kehte ho tum ke 'too kya hai' ?
tumhin kaho ke yeh andaaz-e-guftgoo kya hai ?
mein unnhe chedoon aur vo kuch na kahein
chal nikalte jo ma-ay piye hote
keher ho ya bala ho, jo kuch ho
kaash ke tum mere liye hote
meri kismat mein gam agar itna tha
dil bhi ya-rab kai diye hote
aa hi jata woh raah par "galib"
koi din aur bhi diye hote
teri dua se kaza toh badal nahi sakti
magar hain is se yeh mumkin ke tu badal jaye
teri dua hai ke ho teri aarzoo poori
meri dua hai teri aarzoo badal jaye
faiyaz ne ashaar-o-shayeri ki shakal mein
jo kuch mujhe diya hai, lota raha hu mein
koi ummid bar nahin aati
koi surat nazar nahin aati
aage aati thi haale dil par hasi
ab kisi baat par nahin aati
hum wahan hain, jahan se humko bhi
kucch hamaari khabar nahin aati
kaabaa kis muh se jaaoge 'Ghalib'
sharm tumko magar nahin aati
Maana ki is zameen ko na gulzar kar sakay
kuch khar kam kar gaye guzray zidhar se hum

unknown

जब किसी से कोई गिला रखना, सामने अपने आईना रखना
यूँ उजालों से वास्ता रख्ना, शम्मा के पास ही हवा रखना
घर की तामीर चाहे जैसी हो, इसमें रोने की जगह रखना
मस्जिदें हैं नमाजियों के लिए, अपने घर में कहीं खुदा रखना
मिलना-जुलना जहाँ जरूरी हो, मिलने-जुलने का हौसला रखना

*
Jab kisi se koi gila rakhna, saamne apne aaiina rakhna
yun ujaalon se waasta rakhna, shamma ke paas hi hawa rakhna
ghar ki taamir chaahe jaisi ho, iss mein rone ki jagah rakhna masjiden hain namaziyon ke liye, apne ghar mein kahin khuda rakhna
milna-julna jahan jaroori ho milne-julne ka hauslaa rakhna

fakir ki shayyiri

सामने है जो उसे लोग बुरा कह्ते हैं
जिसको देखा ही नही उसको खुदा कह्ते हैं
जिंदगी को भी सिला कह्ते हैं कहने वाले
जीने वाले तोह गुनाहों की सज़ा कह्ते हैं
फासिले उमर के कुछ और बढ़ा देती है
जाने क्यूँ लोग उससे फिर भी दवा कह्ते हैं
चाँद मासूम से पत्तों का लहू है `फ़कीर’
जिसको महबूब के हाथों की हिना कह्ते हैं

*
samne hai jo usse log bura kehte hain
jisko dekha hi nahi usko khuda kehte hain
zindagi ko bhi sila kehte hain kehne waale
jeene waale toh gunaahon ki saza kehte hain
faasile umar ke kuch aur badha deti hai
jaane kyun log usse phir bhi dawa kehte hain
chand masoom se patton ka lahoo hai `Fakir’
jisko mehboob ke haathon ki hina kehte hain

unknown

हिज्र की रात काटने वाले…॥
क्या करेगा अगर सेहर न हुई ……॥
*
Hizr ki raat kaatne wale…॥
kya karega agar sehar na hui ……॥

unknown

zindgi jam-e-ash hai lekin
fayda kya agar mudaam[eternal] nahi
*
जिंदगी जम-ए-अश है लेकिन
फायदा क्या अगर मुदाम[eternal] नही

unknown

फेला तो बदर और घटा तो हिलाल था
जो नक्श था अपनी जगह बेमिसाल था

*
phela toh badar aur ghata toh hilal tha
jo naksh tha apni jagah bemisal tha

unknown

क़तर अपना भी हकीक़त में है दरिया लेकिन,
हमको तकलीद-ए-तुनुक्जर्फी-ए-मंसूर नही.

*
Qatra apna bhi haqiqat mein hai dariya lekin,
humko taqlid-e-tunukjarfi-e-mansoor nahi

[taqlid= imitation, to follow

tunukjarfi = disclosing secret]

unknown

तड़प उठूँ भी तो ज़ालिम तेरी दुहाई न दूँ
मैं ज़ख्म ज़ख्म हूँ, फिर भी तुझे दिखाई न दूँ
तेरे बदन में धड़कने लगा हूँ दिल की तरह
ये और बात के अब भी तुझे सुनाई न दूँ
ख़ुद अपने आपको परखा तो ये नदामत है
के अब कभी उसे इल्जाम-ए-बेवफाई न दूँ
मुझे भी ढूँढ कभी महव-ए-आईना-दारी
मैं तेरा अक्स हूँ लेकिन तुझे दिखाई न दूँ
*
tadap uthoon bhee to zaalim teri duhaai na doon
main zakhm zakhm hoon, phir bhee tujhe dikhaai na doon
tere badan mein dhadakne laga hoon dil ki tarah
ye aur baat ke ab bhee tujhe sunaai na doon
khud apne aapko parkha to ye nadaamat hai
ke ab kabhi use ilzaam-e-bevafaai na doon
mujhe bhi dhoond kabhi mehv-e-aaina-daari mein
tera aqs hoon lekin tujhe dikhaai na doon

unknown

मरीज़ इश्क का क्या है, जिया जिया न जिया
है एक साँस का झगडा, लिया लिया न लिया
बदन ही आज अगर तार-तार है मेरा
तो एक चाक गरीबां सिया सिया न सिया
ये और बात के तू हर राहे-ख्याल में है
के तेरा नाम ज़बान से लिया लिया न लिया
मेरे ही नाम पे आया है जाम महफिल में
ये और बात के मैंने पिया पिया न पिया
ये हाले-दिल है सफी मैं तो सोचता ही नहीं
के क्यूँ किसी ने सहारा दिया दिया न दिया
*
mareez ishq ka kya hai, jiya jiya na jiya
hai ek saans ka jhagda, liya liya na liya
badan hi aaj agar taar-taar hai mera
to ek chaak gareebaan siya siya na siya
ye aur baat ke tu har rahe-khayal mein hai
ke tera naam zabaan se liya liya na liya
mere hi naam pe aaya hai jaam mehfil mein
ye aur baat ke maine piya piya na piya
ye haale-dil hai Safi main to sochta hi nahin
ke kyun kisi ne sahara diya diya na diya

unknown

नज़र शनास था, क्या काम कर गया वो भी
ज़बान का ज़ख्म था, बातों से भर गया वो भी
ज़मीं की मांग तरसती थी जिसकी शबनम को
ये क्या के आग लगा कर गुज़र गया वो भी
वो रात भर तेरी गलियों में घूमने वाला
ये क्या हुआ के सर-ए-शाम घर गया वो भी
हवा-ए शेहेर-ए मेरी शोहरतें ही ऐसी थी
किसी का जुर्म, मगर मेरे सर गया वो भी

*
nazar shanaas tha, kya kaam kar gaya vo bhi
zabaan ka zakhm tha, baaton se bhar gaya vo bhi
zamin ki maang tarasti thi jiski shabnam ko
ye kya ke aag laga kar guzar gaya vo bhi
vo raat bhar teri galiyon mein ghoomne wala
ye kya hua ke sar-e-shaam ghar gaya vo bhi
hawa-e sheher-e meri shoharaten hi aisi thi
kisi ka jurm, magar mere sar gaya vo bhi

unknown

हुस्न को चाँद जवानी को कँवल कह्ते हैं
उन्न्की सूरत नज़र आए तो ग़ज़ल कह्ते हैं
उफ़ ! वो मरमर से तराशा हुआ शफाफ बदन
देखने वाले उसे ताज महल कह्ते हैं
पड़ गई पाऊँ में तकदीर की ज़ंजीर तोह क्या
हम तो उससको भी तेरी जुल्फ का बाल कह्ते हैं
मुझको मालूम नही इसके सिवा कुछ भी
कटी जो सदी वस्ल में गुज़रे उससे पल कह्ते हैं
*
husn ko chaand jawani ko kanwal kehte hain
unnki surat nazar aaye to ghazal kehte hain
uff ! vo marmar se taraasha hua shafaaf badan
dekhne vaale use taaj mahal kehte hain
pad gayi paaon mein taqdeer ki zanjeer toh kya
ham to ussko bhi teri zulf ka baal kehte hain
mujhko maaloom nahee iske siva kuch bhi kati
jo sadi vasl mein guzre usse pal kehte हैं

unknown

दरमियाँ उसके मेरे आ रहा कोई बोले तो बुरा लगता है
न दुआ है न कोई ख़त न सलाम वो ज़रा मुझसे ख़फा लगता है
*
darmiyaan uske mere aa raha koi bole to bura lagta hai
na dua hai na koi khat na salaam vo zara mujhse khafa lagta hai

unknown

हुस्न वालों का खुदा लगता है
यार तू सबसे जुदा लगता है
ऐसा क्या है तेरी अंगडाई में
तू मुझे रोज़ नया लगता है
*
husn vaalon ka Khuda lagta hai
yaar tu sabse juda lagta hai
aisa kya hai teri angdaai mein
tu mujhe roz naya lagta hai

shamim ki shayyiri

क्यूं हमें मौत के paigam दिए जाते हैं
ये सज़ा कम है के जिए जाते हैं
नशा दोनों में है साकी मुझे ग़म दे या शराब
मैं भी पी जाती है आँसु भी पीये जाते हैं
एक तू है के हमारी नहीं तुझको पर्व
एक हम हैं के तेरा नाम लिए जाते हैं
जिंदगी अपनी कशाकश में गुज़रती है 'शमीम'
जी नहीं चाहता जीने को, जिए जाते हैं
*
kyoon hamein maut ke paighaam diye jaate hain
ye saza kam hai ke jiye jaate hain
nasha donon mein hai saaqi mujhe gham de ya sharaab
main bhi pi jaati hai aansu bhi piye jaate hain
ek tu hai ke hamaari nahin tujhko parva
ek ham hain ke tera naam liye jaate hain
zindagi apni kashaakash mein guzarti hai Shamim
ji nahin chaahata jeene ko, jiye jaate hain

unknown

कुछ दूर हमारे साथ चलो
हम दिल की कहानी कह देंगे
समझे न जिसे तुम आंखों से
वो बात ज़बानी कह देंगे
फूलों की तरह जब होटों पे

इक शोख तबस्सुम बिखरेगा
धीरे से तुम्हारे कानों में
इक बात पुराणी कह देंगे
इज़हार-ऐ-वफ़ा तुम क्या जानो

इकरार-ऐ-वफ़ा तुम क्या जानो
हम ज़िक्र करेंगे घेरों का
और अपनी कहानी कह देंगे
मौसम तो बड़ा ही ज़ालिम है

तूफ़ान उठाता रहता है
कुछ लोग मगर इस हलचल को
बाद-मस्त जवानी कह देंगे
*
Kuch door hamaare saat chalo
Ham dil kee kahaanee keh denge
Samjhe na jise tum aankhon se
Vo baat zabaanee keh denge

Phoolon ki tarah jab hoton pe
Ik shokh tabassum bikhrega
Dheere se tumhaare kaanon mein
Ik baat puraanee keh denge

Izhaar-e-vafa tum kya jaano
Ikraar-e-vafa tum kya jaano
Ham zikr karenge ghairon ka
Aur apnee kahaanee keh denge

Mausam to bada hee zaalim hai
Toofaan uthaata rehta hai
Kuch log magar is halchal ko
Bad-mast javaanee keh denge
hum se badal gaya wo nigaahe to kya hua
zinda hai kitne log mohabbat kiye baghair
guzre dino mein jo kabhi gunje the keh kahe
ab apne ikhtiyaar mein wo bhi nahin rahe
kismat mein reh gayi hai jo aahe to kya hua
sadma ye jhelna hai shikaayat kiye baghair
wo saamne bhi ho to na kholenge hum zubaan
likkhi hai uske chehre pe apni hi daastaan
usko taras gayi hai ye baahen to kya hua
wo laut jaaye hum pe inaayat kiye baghair
pehle karib tha koi ab dooriyaan bhi hain
insaan ke naseeb mein majbooriyaan bhi hain
apni badal chuka hai wo raahen to kya hua
hum chup rahenge usko malaamat kiye bahgair
fir aake chale jaana ik baar chale aao
surat to dikha jaao, ik baar chale aao
tumko mere geeton ka sangeet bulata hai
kuch geet mere sun lo kuch apne suna jaao
jo tum bulaayen fir tum shauk se mat aana
kis baat pe roothe ho itna to bata jaao
kya dil ke tadapne ka ehsaas nahin tumko
ab jaan pe ban aayi lillah chale aao
ilaahi aansoo bhari zindagi kisi ko na de
khushi ke baad gham-e-bekasi kisi ko na de
udaas dil ki tamanna hai ashkbaar hoon main
khizaan mein jaise baaharon ki yaadgaar hoon main
udaasi jis pe haNse wo hasi kisi ko na de
ilaahi aansoo bhari zindagi kisi ko na de
ujaad kar meri duniya ko rakh diya tune
meri hayat ke maalik ye kya kiya tune
jo gham naseeb ho aisi khushi kisi ko na de
khushi ke baad gham-e-bekasi kisi ko na de
duniya kisi ke pyaar mein jaanat se kam nahin
ik dilruba hai dil mein jo gooron se kam nahin
tum baadshaah-e-husn ho husn-e-jahaan ho
jaane wafa ho aur mohaabat ki shaan ho
jalwe tumhare husn ke taaron se kam nahin
duniya kisi ke pyaar meiN jaanat se kam nahin
bhoole se mushkuraao to moti baras pade
palke utha ke dekho to kaliyaan bhi has pade
khusboo tumhaari zulf ki phoolon se kam nahin
duniya kisi ke pyaar mein jaanat se kam nahin
kyun humse khafa ho gaye ae jaan-e-tamanna
bheege huye mausam ka maza kyoon nahi lete
ye raat ye barsaat ye saawan ka mahina
aise mein to sholon ko bhi aata hai paseena
is rut meiN gareeboN ka dua kyoon nahin lete
bheege huye mausam ka maza kyoon nahi lete
dekho to zara jhaank ke baahar ke fazaa mein
barsaat ne ik aaga laga di hai hawa mein
is aag ko seene mein basa kyoon nahin lete
bheege huye mausam ka maza kyoon nahi lete
aaya hai kise raas judaai ka ye aalam
tadpenge mein akele mein udhar aap idhar hum
dil dil se meri jaan mila kyoon nahin lete
bheege huye mausam ka maza kyoon nahi lete
pyaar bhare do sharmile nain
jinse mila mere dil ko chain
koi jaane na kyoon mujh se sharmaaye
kaise mujhe tadpaaye
dil ye kahe geet main tere gaaoon
tu hi sune aur main gaata jaaoon
tu jo rahe saath mere
duniya ko thukraaoon tera dil behlaaoon
darr hai mujhe tujhse bichad na jaaoon
kho ke tujhe milne ki raah na paaoon
aisa na ho jab bhi tera naam laboN par laaoon
main aansoo ban jaaoon

wel come