Wednesday, November 26, 2008

galiyon se meri tumne guzar kar nahin dekha
gham yeh hai ki khushiyon ne mera ghar nahin dekha
mehroom hai vo pyar ki daulat se abhi tak
dil jisne kahin apna laga kar nahin dekha
gumnaam hai vo phool gulistaan-e-jahan mein
khusbhoo ki tarah jisne bikhar kar nahin dekha
aaine faqat usski tasali ke liye hain
dulhan ki tarah jisne sanwar kar nahin dekha
ye sach hai mera qatl sar-e-aam hua hai
kiska tha mere peet mein khanjar nahin dekha
dil chiir kar nikle hain ye ashaar mere
afsos ki isse aap ne padh kar nahin dekha

No comments:

Post a Comment

wel come