Sunday, November 21, 2010

alvida


bas khatam hoti hai ye kahani
main de chala hun tujhe apni nishani,
dil ko na tadpana, mujhko bhool na jaana,
lekin mujhe yaad aana nahi,
apna tha main, begana nahin, ...
ye sach hai afsana nahi,
tune mujhe pehchana nahi,
ye parda uth jaaye, shayad yaad aa jaaye,
apna tha main, begana nahin, ...

kaho ab kya kahun tumse


kaho ab kya kahun tumse
batao kya likhun tumko
mujhe tamheed do koi
mujhe umeed do koi
naya ik lafz ho koi
jahan se baat chal nikle
meri mushkil ka hal nikle
batao lehja kaisa ho
ke tumse baat karni hai
kaho ab kya irada hai
mujhe izhar karna hai
ke tumko yeh batana hai
ke har pal yaad aate ho .......

Thursday, November 18, 2010

dil khush hua maszid-e-viran ko dekh kar

dil khush hua maszid-e-viran ko dekh kar
meri tarah khuda ka bhi khana kharab hai

apna toh chahton mein yeh hi ek usool hai

apna toh chahton mein yeh hi ek usool hai
tera bhala bura hamen sab qabool hai
yeh umr bhar ka jagna bekaar hi na jaaye
tu na mila toh saari riyazat fazool hai
khud hi kaha tha tune meri jaan chod de
...ab chod di toh kyun tera chehra malool hai

toh phir bimar kise kehte hain

Dil ko pta nahi ab ye k sans kise kehte hen
ye pyar nahi to jan phir pyar kise kehte hen

Roz rota he tanhai man,mil ke batata he mje
Pyar ho tum,ye izhar nahi ti izhar kise kehte hen

Mosamon man khizan ka door se bhi guzar nahi
Phol khilte hen,bahar nahi to bahar kise kehte hen

Tu chata he to aielan kar dun gan tere nam ka
Sab ke samne batana tashher nahi to ishtihar kise kehte hen

*

Meri aankhon ko talab tere siwa kisi ki nahi hoti
Masom Deedar ye nahi mehboob ka to deedar kise kehte hen

Har waqt guzarta mera bas teri yad man he
Marze ishq nahi to phir beemar kise kehte hen

Meri janib nazar bhar ke daikhne se bhi gaya
Inkare mohabbat nahi to phir inkar kise kehte hen

Maqfirat ke liae tere raste ke siwa rasta nahi dosra
Ro ro ke mangna talab nahi to talabgar kise kehte hen

bas mere pyar ki izzat karta

ek na ek roz toh rukhsat karta
mujhse kitni hi mohabbat karta
bhadyey mujhko kahan pa sakte
woh agr meri hifazat karta
sab ruuteN aa ke chali jaati hai
mausham-e-gham bhi toh hijrat karta
mere lehze mein garoor aaya tha
ussko haq tha ki shikayat karta
kuch toh thi meri khata, varna woh kyun
iss tarah tark-e-rafaqat karta
aur usse na rahi koi talab
bas mere pyar ki izzat karta

aakhir insan hun main, sabr-o-tahammul kab tak

aakhir insan hun main, sabr-o-tahammul kab tak
sainkdon sun ke bhi, do-char kahun ya na kahun ?

pucha jo ussne haal toh aankhon se tuut kar

pucha jo ussne haal toh aankhon se tuut kar
chotta sa ek ashq bada kaam kar gaya

shaikh karta toh hai maszid mein khuda ko sajde

shaikh karta toh hai maszid mein khuda ko sajde
usske sajdon mein asar ho, ye jaroori toh nahin

mushfiq likhun, shafeeq likhun, meharban likhun

mushfiq likhun, shafeeq likhun, meharban likhun
hairan hun aise dost ko alkaab[title] kya likhun

kisi ko apne alm ka hisab kya dete

kisi ko apne alm[dukh] ka hisab kya dete
sawaal saare galat thy, jawaab kya dete

rehbar ne raahzan se badhaai hai dosti

rehbar ne raahzan se badhaai hai dosti
manzil pe aa ke lutne ka imkaan[possiblity] abhi se hai

vahan tak mohbbat nibhaunga tujhse

vahan tak mohbbat nibhaunga tujhse
jahan tak muhabbat ka imkaan[existence] hoga

maszid mein imaam hua

maszid mein imaam[namaaz padhne wala] aaaj hua, aa ke vahan se
kal tak toh yahi "meer", kharaabaat_nashin tha

idhar se aa hi gaye ho sahib toh

idhar se aa hi gaye ho sahib toh hum garibon se bukhal kaisa
yahan bhi imshab[aaj raat] qiyaam kar lo, duaieN dega garib_khana

iss zindgi ko ishrat-e-imroz chahiye

iss zindgi ko ishrat-e-imroz[aaj] chahiye
mujhko toh roz vaada-e-fard kare koi

aman ki jab kabhi insan ne kasam khai hai

aman ki jab kabhi insan ne kasam khai hai
lab-e-iblees[shaitan] pe halki si hassi aayi hai

maine usse hansi khsuhi jaan diya tha, haan magar

maine usse hansi khsuhi jaan diya tha, haan magar
ye toh mua^ahda[agreement] na tha, mud ke na dekhna mujhe

raha na dil mein vo be_dard, aur dard raha

raha na dil mein vo be_dard, aur dard raha
muqeem kaun hua hai, makaam kis ka tha

raqeebon ne rapat likhwai hai thaane mein

raqeebon ne rapat likhwai hai thaane mein
ke qasim leta hai naam khuda ka iss zamaane mein

kis ka pata mangte ho

dhoop nikli hai toh baadal ki rida[chadar] mangte ho
apne saye inraho, ghair se kiya mangte ho
khud hi viraan kiya tumne darrya dil ko
ab yahan koi nahi, kis ka pata mangte ho

maszid toh bana di shab bhar mein

maszid toh bana di shab bhar mein
imaan ki heraarat walon ne
main apna purana papi hi
barson mein namazi ban na saka
iqbal bada updeshak hai
mann baaton se moh leta hai
giftaar ka ghazi ban toh gaya
kirdaar ka ghaazi ban na saka

aglay saal jab yahi waqt aa raha hoga

aglay saal jab yahi waqt aa raha hoga
kaun janta hai kaun jaaga hoga
tu mere saamne baithi hai aur main main sochta hun
ke aate lamhon mein jeena bhi ik saza hoga
yahi chamakte huye pal dhuaan honge
yahi damakta hua din bujha bujha hoga
lahu rulayega woh dhoop chaaon ka manzar
nazar uthaogi jis simat jhutputa hoga
yahi jagah pe khuda jaane kal kya hoga
bichadne wale tujhe dekh dekh sochta hun
tu phir milega toh kitna badal chuka hoga

mujhse meri tasveer zara bhi nahi milti

halaat ki ek zarb ne surat hu badal di.......
mujhse meri tasveer zara bhi nahi milti !

dawa hai mera baja tujhe dekhne k baad

dawa hai mera baja tujhe dekhne k baad...
har shaks keh raha hai tujhe dekhne k baad...
aa ke tere shahr se wapis na jayenge..
yeh faisala kiya hai tujhe dekhne k baad...
sajda karoon tujhe tu kafir kaheinge log...
yeh kon soochta hai tujhe dekhne k baad....
kehte tou thy log tujhe maseeha magar...
ik shaks marr gaya hai tujhe dekhne k baad !!!

do ghut

ya mulla gar tere namaj me hai dum
to masjid hila k dikha
ya phir do ghut pi
aur masjid ko hilti dekh!!!!!!!

uljhan

khuda bhi chup ke pine laga hai
uljhan si dil ko ho gayi..........
kal gaya tha jam mera
aaj botal kho gayi................

nadan hai waiz jo karta hai ek kayamat ka charcha

nadan hai waiz jo karta hai ek kayamat ka charcha
yaha roz nigahe milti hai yaha roj qayamat hoti hai

ek nazar pyar se jiski zanib tum dekh lete ho

ek nazar pyar se jiski zanib tum dekh lete ho
tamam umr fir us dil ki pareshani nahi jati

teri ibtada koi aur hai teri inteha koi aur hai

teri ibtada koi aur hai teri inteha koi aur hai !
teri baat humse hui kya tera muda koi aur hai !
hamen shonq tha badi der se ke tere shreek_e_safar bane !
tere sath chal ke khabar hui tera rasta koi aur hai !
tujhe fikar hai ke badal diya mujhe gardish_e_shobo roz ne !
kabhi khud se bhi toh sawal kar tu wahi hai ya koi aur hai

ek hi galti

bas ek hi galti hum saari zindgi karte rahe
dhool chehre par thi aur hum aaina saaf karte rahe

lazim tha ab ke zauq-e-tamasha ko dekhti

lazim tha ab ke zauq-e-tamasha ko dekhti
kab tak tumhari Aankhon se duniya ko dekhti
tufan ke jal mein meri be baza'ati
basti ko dekhti kabi dariya ko dekhti
bBas dhoop aur raat hai aur pyar ka safar
kya dil ke samne kisi sehra ko dekhti
uss chashme-card mujer ke sab rang dekh Ker
kya ishtiaq-e-arz-e-tamanna ko dekhti
uss shehr-e-beniaz mein jab tak raha qiyam
hasrat rahi ke chashme-shanasaa ko dekhti.!!

mere chehre pe jab chehra nahin tha

mere chehre pe jab chehra nahin tha
main aaine se yun darta nahin tha
mujhe jhukna pada har ik ke aage
mere qad se koi oocha nahin tha
payiaadon ne hi di qurbaaniyan sab
sahidon mein koi raza nahin tha
jahan jaise nazar aata tha jo kuc
vahan darasal vo waisa nahin tha
vahi ghar mere andhar reh raha tha
main jis ghar mein kabhi rehna nahin tha
tha baazaron mein jiska bol-bala
hamare paas vo siqqa nahin tha
pashemaan tha gawahi de ke main toh
vo qaatil ho ke sharminda nahin tha
vo meri fikr ka karqaz tha lekin
main usski soch ka hissa nahin tha

roj ghiste jaate hain

roj ghiste jaate hain
bas din kat'te jaate hai
padhta kaun hai jiwan ko
varq palt'te jaate hai
chadar toh kya badhni hai
paanv simat'te jaate hain
judte jaate mazhad se
rab se kat'te jaate hain
roj simat'ti duniya mein
insan bant'te jaate hain
badhti jaati hai umreN
jivan ghat'te jaate hain
bante jaate taj mehal
haath bhi kat'te jaate hai
roj naye bazaaron se
raste pat'te jaate hain
chandan ke gun walon se
saanp lipat'te jaate hain

dil kahan behla hai behalane se bhi

dil kahan behla hai behalane se bhi
tashna hi lauta hai maikhane se bhi
mere jeene se hua kuch bhi kahan
kuch na hoga mere marr jaane se bhi
dil ki fitrat hai junoon-dwaangi
kuch na samjhega ye samjhaane se bhi
kab ruka hai gulistan ka karobaar
chand-ik phool ke murjhaane se bhi
zindgi doori hai ik uljhi hui
kab suljhati hai ye suljhaane se bhi
ghar mein reh kar ghar se ik doori bhi hai
ek kurbat-si hai viraane se bhi
chand sannaton ki guunjo ke shiva
kya milega dil ke tehkhane se bhi
vo jo markaz thay haqiqat ke kabhi
ho gaye gayab vo afsaane se bhi
ab kuua'N bharta nahin lekin kabhi
peit bhar jaata tha ik daane se bhi
maut raasta hai ya manzil ishq ki
puch kar dekho ye parwaane se bhi
sukriya ya rab ki sachchi shayari
ho gyi mujh jaise diwaane se bhi

hum ashiq hain uss darpan ke

hum ashiq hain uss darpan ke
daag chipaye jo daaman ke
sochta kuch hai karta kuch hai
kitne maalik hain ik mann ke
umr ganwa di humne lekin
bhed na khud paaye jiwan ke
bojh huye ab toh sapne bhi
jaise bachche nirdhan ke
kis ko rok saki hai dharti
sab hain raahi duur gagan ke
dost lipat'te hain yun humse
ped ho jaise hum chandan ke
raat hai ya hai koi tawaaif
roz nikalti hai ban-than ke
chodo bhi mehboob ki baate
shair kaho kuch ghar aangan ke

mujhe maloom hai mujhko pareshani mein rehna hai

magar se dushmani rakhte huye paani mein rehna hai
mujhe maloom hai mujhko pareshani mein rehna hai
kafs mein aazadi pe kyun khushiyan manaon main
mujhe bahar bhi sayaadon ki nigrani mein rehna hai
hikarat hi hikarat hai maine jis aankhon mein
mujhe ik roz unn ankhon ki hairaani mein rehna hai
rahun main dast mein ya shehr mein kya farq padta hai
mujhe toh umr bhar hi viraani mein rehna
bohat aasan hai har baat ko mushkil bana dena
bada mushkil magar lehje ki aasani mein rehna hai

wel come