Thursday, November 18, 2010

dil kahan behla hai behalane se bhi

dil kahan behla hai behalane se bhi
tashna hi lauta hai maikhane se bhi
mere jeene se hua kuch bhi kahan
kuch na hoga mere marr jaane se bhi
dil ki fitrat hai junoon-dwaangi
kuch na samjhega ye samjhaane se bhi
kab ruka hai gulistan ka karobaar
chand-ik phool ke murjhaane se bhi
zindgi doori hai ik uljhi hui
kab suljhati hai ye suljhaane se bhi
ghar mein reh kar ghar se ik doori bhi hai
ek kurbat-si hai viraane se bhi
chand sannaton ki guunjo ke shiva
kya milega dil ke tehkhane se bhi
vo jo markaz thay haqiqat ke kabhi
ho gaye gayab vo afsaane se bhi
ab kuua'N bharta nahin lekin kabhi
peit bhar jaata tha ik daane se bhi
maut raasta hai ya manzil ishq ki
puch kar dekho ye parwaane se bhi
sukriya ya rab ki sachchi shayari
ho gyi mujh jaise diwaane se bhi

No comments:

Post a Comment

wel come