Wednesday, July 29, 2009

hans ke farmaate hain vo dekh kar haalat meri

hans ke farmaate hain vo dekh kar haalat meri
kyon tum aasaan samajhte thay muhbbat meri
baad marne ke bhi chhodi na rafaqat meri
meri turbat se lagi baithi hai hasrat meri
maine aagosh-e-tasavvur mein bhi khencha toh kaha
pis gayi pis gayi bedard nazakat meri
aaiina subah-e-shab-e-wasl jo dekha toh kaha
dekh zaalim ye thi sham ko surat meri
yaar pahalu mein hai tanhaai hai keh do nikle
aaj kyon dil mein chhupi baithi hai hasrat meri
husn aur ishq ham_aagosh nazar aa jaate
teri tasviir mein khinch jaati jo hairat meri
kis dhitaai se vo dil chhiin ke kehte hain 'ameer'
vo mera ghar hai rahe jis mein muhabbat meri

karte hain vo iss tarha mere dil se ched chad

karte hain vo iss tarha mere dil se ched chad
katil kare hai jis tarha bismil se ched chad
leharon pe jinko jaan ke lale pade rahe
sahil par aa gaye hain toh sahil se ched chad
vo gul, khizan naseeb, jahannum raseed ho
gulshan mein jisne ki hai tere till se ched chad
laila ki deed ke liye baad-e-samoom bhi
karti hai badh ke parda mehmal se ched chad
lagta nahi hun moun, main raqeebon ke in dino
yeh umar ho toh, hoti hai mushkil se ched chad
khud hi mujhe vo bhej ke zindan mein, keh uthe
kis silsile mein hai yeh salasal se ched chad
fitrat mein ched chad hai sakoot ke iss qadar
magtal mein hai toh qatil-e-khanjr se ched chad

main usse kaise akela chod dun

main usse kaise akela chod dun iss raah mein
saath jo chalta raha majburiyon ke baad bhi
ban ke khushbo rach gaya hai yun mere ehsaas mein
duur ho paaya nahi woh duuriyon ke baad bhi
rafta rafta ussko bhi ye duniya_dari aa gayi
muskura ke woh mila hai ranjishon ke baad bhi
fasle kab kaam huye rabton ke baad bhi
ajnabi thay !
ajnabi hain !
dosti ke baad bhi.........

mujhe bhi uss kahani ka koi kirdaar rehne do

mujhe bhi uss kahani ka koi kirdaar rehne do
mehaz unn chaar panno mein mera sansaar rehne do
tarasho gairon ko itna ke kohenoor ban jaayen
hun patthar maamuli sa main mujhe bekaar rehne do
mujhe tum toot ke chaaho tumhe main toot ke chaahun
magar zismon ka jaaneman ye kaar-o-baar rehne do
hazaaron chahne wale tumhe nazron mein bhar lenge
meri gagar ye khaali hi zara sarkaar rehne do
main azm-e-aas ban kar teri khaatir toot'ta jaaun
gira kar phir nigahon se wohi sau baar rehne do
badhaao haath ke hum doob kar bhi paar lag jaayen
bhale jhoothe hi lekin wasl ke aasaar rehne do
bina jagd-o-jhed ke tum bhi toh na chahoge mujhko
so dariya beech koi ek toh mazdhaar rehne do

usse kehna...

usse kehna...
bazahir toh hawaein badli badli hain...
chaman bhi badla badla hai..

magar dil mein...
tumhari yaad ka mausam nahi badla...

teri chahat ke phoolon ki..
abhi khushbu nahi bikhri...

mere andar tumhari zaat ka..
ehsaas baaqi hai..

tumhare dam se..meri zindgi ki...
saans baaqi hai...

usse kehna...

ke mausam toh badalte rehte hain yunhi...
kabhi mausam badlne se...
yeh aankh num nahi hoti..
mohbbt kam nahi hoti..

usse keh dena...
usse keh dena...

yeh kaisi fitrat ki zabardasti hai

yeh kaisi fitrat ki zabardasti hai
zindagi ghatti hai toh umr badti hai
rubaru tasvir hi aaine mein dhalti hai
kis liye har gadi tu aaina badalti hai
hairaan hai ishraaq[dawn]khud apni visat par
dekh, kaise andheron se roshni ladti hai
lafz baratenge hum thoda peene ke baad
shayri khumaar me purjor nikalti hai
ab meri jaan chod de zidd tu bhi
teri zidd par ab jaan nikalti hai

ek bekasi hai hizr ke maaron ke saath saath

ek bekasi hai hizr ke maaron ke saath saath
tuuta hai mera dil bhi sahaaron ke saath saath
jii bhar ke dekhne bhi na paaye thay chhup gaye
armaan bhi hain udas nazaaron ke saath saath
dil mein vafuur-e-shauq ka tuufan liye huye
khamosh jagta hun sitaron ke saath saath
itni toh mahviyat ho tasavvur mein tere dost
khud ko bhi bhuul jaaun nazaron ke saath saath
'yahya' ye aag ishq ki phir bhi na bujh saki
hai dil mein ashq-e-gham bhi shararon ke saath saath

kharidaar dekh kar

kisi ki kya mazaal thi jo humko kharid sakta 'faraz'
hum toh khud hi bhik gaye kharidaar dekh kar

masjidon ke sahan tak jaana bahut dushvaar tha

masjidon ke sahan tak jaana bahut dushvaar tha
der se nikla toh mere raste mein daar tha
apne hi phailaao ke nashe mein khoya tha darakht
aur har mausam tahani par phalon ka baar tha
dekhte hi dekhte shaharon ki raunaq ban gaya
kal yahi chehra tha jo har aaiine pe baar tha
sab ke dukh sukh usske chehre pe likhe paaye gaye
aadmi kya tha hamare shahr ka akhbaar tha
ab mohalle bhar ke darwaazon pe dastak hai nasiib
ek zamana tha ke jab main bhii bahut khuddar tha
kaghazon ki sab siyahi baarishon mein dhul gayi
hamne jo socha tere baare mein sab bekaar tha

kathin hai zindgi kitni

kathin hai zindgi kitni
safar dushvaar kitna hai
kabhi paaon nahi chalte
kabhi manzil nahi milti
faqt isse guzaru toh
ye roz-e-shab nahi kat'te
ye kat'te thay kabhi pehle
magar haan ab nahi kat'te
main har dukh jhel sakta hun
main jaan par khel sakta hun
agar tu aaj hi kar de
muhbbat hamsafar meri
muhbbat hamsafar meri

khayal-o-khwab ki duniya se hum guzar bhi gaye

khayal-o-khwab ki duniya se hum guzar bhi gaye
jahan theharna tha humko, wahan thehr bhi gaye
hamare saath rahe zindgi ke hangame
jahan jahan se bhi guzre, jidhar jidhar bhi gaye
tere khayal ka dariya utar na paaya magar
tere khayal ke dariya mein hum utar bhi gaye
zamana laakh hamari mukhaalfat mein raha
jo kaam karna tha humko, woh kaam kar bhi gaye
mohbbaton mein lazim hai eitadaal ka rang
khaloos hadh se badha jab toh log darr bhi gaye
tumhara naam issi vaaste toh zinda hai
tumhare naam pe marna tha jinko marr bhi gaye
hum aise log 'munavar' kahan se ayenge
jo pastiyun mein rahe aur farz par bhi gaye

main har mukaam se guzra teri khushi ke liye

main har mukaam se guzra teri khushi ke liye
raha hun waqf hamesha faqat ussi ke liye
jo nagma khalaq hua saaz-e-zindgi ke liye
hain ussi ki saari dhunein apni aagahi ke liye
raah-e-waffa se guzarna koi mazak nahi
bohat khattan hai yeh manzil kisi aadmi ke liye
naqoosh chodta jaaon main aadmiyat ke liye
mera wajood zamane mein ussi ke liye
nigah jisko hai woh hum se dars-e-ibrat le
na jaane aaj ke mahool ko hua kya hai
taras raha hai har insan zindgi ke liye
yeh usski banda nawazi jo main pasand aaya
wagarna saari khudayi thi bandgi ke liye

tamam umar tarapte rahen kisi ke liye

tamam umar tarapte rahen kisi ke liye
aur apni maut bhi aaye toh bas ussi ke liye
jawaz-e-tark-e-talluq toh kuch na tha, phir bhi
bichad gaya hun main tujhse teri khushi ke liye
khula yeh bhed bhi, lekin tujhe ganwa ke khula
munafqat bhi zaroori thi dosti ke liye
woh be-khabar hi sahi mere haal se yaksir
mein muztarib hun magar aaj bhi ussi ke liye
agar tulo-e-sehar ka yaqeen ho mujhko
main dil ke saath hi jal jaaon roshni ke liye
zara unhen bhi kabhi dekh mere nabaz shannas
azaab sehte hain, jo jeete hain kisi ke liye

main der tak yunhi chalta raha

ajnabi shehr ke ajnabi raaste meri tanhai par muskurate rahe
main der tak yunhi chalta raha tum bohat der tak yaad aate rahe
zehar milta raha zehar peete rahe roz marte rahe roz jeete rahe
zindgi bhi hamen aazmati rahi aur hum bhi usse aazmate rahe
kal kuch aisa hua main bohat thak gaya iss liye sun kar bhi un-suni kar gaya
kitne yaadon ke bhatke huye karwaan dil ke zakhmon ke dar khatkhatate rahe
zakhm jab bhi koi zehan-o-dil pe laga zindgi ki taraf ek dareecha khula
hum bhi goya saaz ke taar hain chot khate rahe gungunate rahe

uss simat ko chele ho toh itna usse kehna

uss simat ko chele ho toh itna usse kehna
ab koi bhi nahi harf-a-tamnna usse kehna
tumne hi kaha tha toh yeqeen mujhko hua tha
chahat nahi hoti kabhi ruswa usse kehna
duniya to kisi haal mein jeene nahi deti
umeed pe kayam hai duniya usse kehna
zarkhkeiz zameenein kabhi banjer nahi hoti
dariya hi badal jaate hain rasta usse kehna
kuch log safar ke liye mozon nahi hote
kuch raste kat'te nahi tanha usse kehna

safar se laut aana chahta hun

safar se laut aana chahta hun
staaya hai gham-e-hasti ne itna
ke rone ka bahana chahta hun
jo tujhse mere dil ki baat keh de
ghazal aisi main kehna chahta hun
yunhi hathon mein mere hath rakhna
mein kuch din aur jeena chahta houn

ab toh gham ke sanjog achche lagte hain

ab toh gham ke sanjog achche lagte hain
ab toh mustakil rog achche lagte hain
koi wada na karo waffa ka mujhse
ab toh mujhe bewaffa log achche lagte hain

roz taaron ki numaish mein khalal padhta hai

roz taaron ki numaish mein khalal padhta hai
chand pagel hai andhare mein nikal pedta hai
unnki yaad aayi hai saanson zara ahista chalo
dhadkanon se bhi ibadet mein khalal padta hai.....

shayad aa jayega saaqi ko taras ab ke baras

shayad aa jayega saaqi ko taras ab ke baras
mil na paaya hai unn aankhon ka ras ab ke baras
aisi chaai thi kahan gham ki ghatayen pehle
haan mere diida-e-tar khoob baras ab ke baras
uff vo unn madh-bhari aankhon ke chhalakte huye jaam
badh gayi aur bhi piine ki hawas ab ke baras
pehle ye kab tha ki vo mere hain main unnka hun
unnki yaadon ne sataya hai toh bas ab ke baras

sham ho jaam ho subu bhi ho

sham ho jaam ho subu bhi ho
tujhko paane ki justju bhi ho
dil se dil ki kahaniyan bhi sune
aankhon aankhon mein guftgu bhi ho
jheel si gehri sabz aankhon mein
duub jaane ki aarzu bhi ho
sirf tere badan ki shama jale
aur andhera-sa chaar_su bhi ho

wohi gardishen wohi pech-o-khaam tere baad bhi

wohi gardishen wohi pech-o-khaam tere baad bhi
wohi hausle mere dam-ba-dam tere baad bhi
tere saath bhi meri har jaffa mujhe mautbir
tere saare gham mujhe mohtram tere baad bhi
tere gham si hai meri har khushi mein waqar sa
mere haal pe hain tere karam tere baad bhi
baare muztarib mere raste tere baad bhi
baare pur_sukoon hain mere qadam tere baad bhi
tere saath bhi meri har khushi tero muntzir
teri muntzir meri chashm-e-gham tere baad bhi
tere saath thi meri dastras mein jo roshani
faqat ek pal kabhi subah-e-dam tere baad bhi
tujhe jaan-e-gham jo kaha kabhi toh galat kaha
meri zindgi ke jawaan hain gham tere baad bhi
tujhe paas-e-ehad-e-waffa raha mere saath kab ?
mujhe jaan se badh kar tera bharm tere baad bhi
mere baad kitna hi roop tu ne badal liya
main wohi hun ab bhi teri qasam tere baad bhi
tu kisi ke qalb-e-aarzu mein toh dhal gaya
main na ho saka kabhi khud mein zum tere baad bhi
teri aahaton ka gudaaz tha mera humsafar
yahi ek gumaan mera hum qadam tere baad bhi
tu chala gaya sabhi qehqahon ko samet kar
mere paas hai mera zarf-e-gham tere baad bhi

dil kisi yaare bawaffa ki tarha

dil kisi yaare bawaffa ki tarha
bakhabar hai bohat khuda ki tarha
zindgi bhar tumhara naam mere
dil se nikla kisi dua ki tarha
maine har mod pe tujhe dhondha
judai ke shehr ki hawa ki tarha
umr bhar tera dukh uthaya hai
waqt ki di hui saza ki tarha
kuch nahi sujhta muhabbat mein
khauff aur gham ki inteha ki tarha

meri rooh ka pehla safar bhi tum

meri rooh ka pehla safar bhi tum
mera nasha aur meri sharaab bhi tum
mera khauf aur mere azaab bhi tum
mera weham-o-ghumaan yakeen bhi tum
mera har lafaz tum meri kitaab tum
mera dil me dhadakti dhadkan bhi tum
meri aankhu ki chamak bhi tum
mera yaar bhi tum mera pyaar bhi tum
mera ehsaas bhi tum meri waffa bhi tum
meri manzil bhi tum meri khushi bhi tum
meri rooh ka aakhri safar bhi tum

apni aaghosh mein ek roz chupa lo mujhko

apni aaghosh mein ek roz chupa lo mujhko
ghame duniya se meri jaan bacha lo mujhko
unnko de di hai isharon mein ijazat maine
maangne se na milon toh chura lo mujhko
apne saye se bhi ab to mujhe dar lagta hai
ho jo mumkin toh nigahon mein chupa lo mujhko
dil mein nakaam tamanna ka tufan sa hai
meri uljhan meri ghamon se nikaalo mujhko
innko likhna hai kisi roz apne dil me jaan
ham toh khud ke bhi nahi apna bana lo mujhko

bohat chup chup se rehte ho

bohat chup chup se rehte ho
na bante ho na sawarte ho
na koi baat karte ho
bhari mehfil me bhi aksar
hamesha khoye rehte ho
udaasi aankhon mein le kar
har ek chehre ko takte ho
jab koi yaad aata hai toh
thandi aah bharte ho
toh khul kar kyun nahi kehte
kisi se pyar karte ho
kahin dil chod aaye ho

mujhe tum yaad aate ho

mujhe tum yaad aate ho
kahin baarish baras jaaye
kahin dariya taras jaaye
kahin aa kar aasman thehre
tumhare aur mere darmiyan
aa kar khuda thehre
toh
uss lamhe meri zindgi mein
tum khuda ke baad aate ho
mujhe tum yaad aate ho
mujhe tum bohat yaad aate ho

kabhi bheed mein tanhai mein

kabhi bheed mein tanhai mein
kabhi apni hi parchai mein
kabhi yaad mein kabhi baat mein
kabhi apne hi khayaalat mein
kabhi halki si barsaat mein
kabhi roshaniyon ke shehr mein
kabhi andheri raahon mein
kabhi khud ko bhula kar
kabhi khud ko sata kar
zindgi ke har mod par
taqdiir ke har zor par
zindgi ke har lamhe mein
har qadam ke faasle par
maine tumhe yaad kiya
maine tumhen mehsoos kiya
maine sirf tumhen pyar kiya

ye zindgi tere saath ho

ye zindgi tere saath ho
ye aarzu din raat ho
main tere saath saath chalun
tu har safar mein mere saath ho
main kaanton par bhi chal padon
tere pyar ki jab barsaat ho
kabhi shaam dhale jab hum milen
na din dhale na raat ho
ye zindgi tere saath ho
ye aarzu din raat ho

shair ke parde mein maine gham sunaya hai bahut

shair ke parde mein maine gham sunaya hai bahut
marsiye ne dil ko mere bhi rulaayaa hai bahut
vaadi-o-kohasar mein rota hun dhaade maar-maar
dilbaraan-e-shahr ne mujhko sataya hai bahut
vaa nahin hota kisi se dil girifta ishq ka
zahira gham-giin usse rehna khush aaya hai bahut

dil ki aawaz

kaash dil ki aawaz mein aisa asar ho jaaye
jise hum yaad karte hai usse khabar ho jaaye

duniya ne zar ki khatir kya kuch nahi kiya

duniya ne zar ki khatir kya kuch nahi kiya
aur humne shairy ke siva kuch nahi kiya
gurbat mein bhi apne paas hai bhook-nang bhi
kaise kahen ussne ata kuch nahi kiya
chup-chap ghar ke sehan mein faqe bicha diye
rozi rasaan se humne gila kuch nahi kiya
pechle baras bhi boi thi lafazon ki khetian
ab ke baras bhi iss ke siva kuch nahi kiya
gurbat ki tez aag par aksar pakai bhook
khushhaliyon ke shehr mein kuch nahi kiya
basti mein khaak udai na sehra mein hum gaye
kuch din se humne khalq khuda kuch nahi kiya
maangi nahi kisi se bhi hamdardiyon ki bheek
'sajid' kabhi khilaaf-e-ana kuch nahi kiya

kaun kehta hai ke maut aayi toh mar jaunga

kaun kehta hai ke maut aayi toh mar jaunga
main toh dariya hun, samandar mein utar jaunga
tera dar chod ke main aur kidhar jaunga
ghar mein ghar jaunga, shehra mein bikhar jaunga
tere pehlo se jo uthunga, toh yeh mushkil hai
sirf ek shaks ko paunga, jidhar jaunga
ab tere shehr mein aaunga musafir ki tarah
saaya-e-abar ki manind guzar jaung
tera paimaan-e-waffa raah ki diwar bana
varna socha tha ke jab chahonga, marr jaunga
zindgi shamma ki manind jalaata hun 'nadeem'
bujh toh jaunga magar subah toh kar jaunga

main dil pe jabar karunga

main dil pe jabar karunga, tujhe bhula dunga
marrunga khud bhi tujhe bhi kadi saza dunga
yeh tergi mere ghar ka hi kyun muqaddar ho ?
main tere shehr ke saare diye bhuja dunga
waffa karunga kisi sogwaar chehre se !
purani qabar pe katbah naya saja dunga
issi khayal mein guzri hai shaam-e-dard aksar
ke dard hadh se badhega toh muskura dunga
badha rahi hain mere dukh, nishaniyan teri
main tere khat, teri tasveer tak jala dunga
bohat dino se mera dil udaas hai 'mohsin'
iss aaiine ko koi aks ab naya dunga

purasish-e-gham ka sukriya

purasish-e-gham ka sukriya, kya tujhe aagahi nahin
tere bagair zindgi dard hai, zindgi nahin
daur tha ek guzar gaya, nasha tha ek utar gaya
ab vo muqaam hai jahan sikva-e-berukhi nahin
tere siva karun pasand kya teri qayanaat mein
donon jahan ki neamatein, qiimat-e-bandagi nahin
laakh zamana zulm dhaaye, waqt na vo khuda dikhaye
jab mujhe ho yaqiin ki tu haasil-e-zindgi nahin
dil ki shaguftagi ke saath rahat-e-maikada gayi
fursat-e-maikashi toh hai, hasrat-e-maikashi gayi
zakhm pe zakhm kha ke jii, apne lahu ke ghuunt pii
aah na kar, labon ko sii, ishq hai dillagi nahin
dekh le khushk-o-zard phool, dil hai kuch iss tarah malool
jaise teri khizan ke baad, daur-e-bahaar hi nahin

main lehron mein bikharna chahta hun

main lehron mein bikharna chahta hun
samandar mein utarna chahta hun
bahaar-e-zindagi ka phool hun main
tere dil mein mehakna chahta hun
main dil hun surat-e-shama-e-mohabbat
main saari umar jalna chahta hun
anayat itni ki phoolon ne mujh par
mein kanton mein hi rehna chahta hun
tujhe pa kar hua mehsoos 'raahi'
main ab khud se bichadna chahta hon

jab nazar aap ki ho gayi hai

jab nazar aap ki ho gayi hai
zindagii zindagi ho gayi hai
baraha bar-khilaf-e-har-ummid
dosti dushmani ho gayi hai
hai vo takamiil purakariyon ki
jo meri sadgi ho gayi hai
teri har pursish-o-meharbani
ab meri bekasi ho gayi hai
bhuul baitha hai tu keh ke jo baat
vo meri zindgi ho gayi hai
bazm mein aankh uthane ki taqsiir
ae 'firaq' aaj bhi ho gayi hai

najaane ashq se aankhon mein kyun hai aaye huye

najaane ashq se aankhon mein kyun hai aaye huye
guzar gaya zamana tujhe bhulaaye huye
jo manzilen hain toh bas rah-ravaan-e-ishq ki hain
vo saans ukhadi hui paanv dagmagaye huye
na rah_zanon se ruke raste mohbbat ke
vo qafile nazar aaye lute lutaaye huye
ab isske baad mujhe kuch Khabar nahin unnki
gham aashana huye apne huye paraaye huye
ye iztiraab sa kya hai ki muddaten guzari
tujhe bhulaye huye teri yaad aaye huye

ab toh uth sakta nahin aankhon se baar-e-intzaar

ab toh uth sakta nahin aankhon se baar-e-intzaar
kis tarah kaate koi lail-o-nahaar-e-intzaar
unnki ulfat ka yaqiin ho unnke aane ki ummid
hon ye donon suuraten tab hai bahaar-e-intzaar
meri aahein na-rasaa meri duaaein na-qabuul
ya ilaahi kya karoon main sharmsar-e-intzaar
unnke khat ki aarzu hai unnke aamad ka khayal
kis qadar phela hua hai kaarobaar-e-intzaar

shaam ho yaa ki sahar yaad unhin kii rakh le

shaam ho yaa ki sahar yaad unhin kii rakh le
din ho ya raat hamen zikr unhin ka karana
kuch samjh mein nahin aata ki ye kya hai 'hasrat'
unnse milkar bhi na izhaar-e-tamnnaa karna

dekhna bhi toh unhen door se dekha karna

dekhna bhi toh unhen door se dekha karna
sheva-e-ishq nahin husn ko ruswa karna
ik nazar hi teri kaafi thi ki ae raahat-e-jaan
kuch bhi dushwar na tha mujhko shakeba karna
unnko yaan vaade pe aa lene de ae abr-e-bahaar
jis tarah chahna phir baad mein barsa karna
shaam ho ya ki sahar yaad unnhin ki rakh le
din ho ya raat hamein zikr unnhin ka karna
kuch samajh mein nahin aata ki ye kya hai 'hasrat'
unnse mil kar bhi na izhaar-e-tamnna karna

roshan jamaal-e-yaar se hai anjuman tamaam

roshan jamaal-e-yaar se hai anjuman tamaam
dehka hua hai aatish-e-gul se chaman tamaam
hairat guroor-e-husn se shokhi se iztaraab
dil ne bhi tere seekh liye hain chalan tamaam
allah re husn-e-yaar ki khuubi ke khud-ba-khud
ranginyon mein doob gaya pairhan tamaam
dekho toh husn-e-yaar ki jaadu nigahiyan
behosh ik nazar mein hui anjuman tamaam

tere bagaiir ye ab zindgi kahan guzre

tere bagaiir ye ab zindgi kahan guzre
qadam qadam pe tere saath ka gumaan guzre
ye din jo dheere se phisla toh shaam ka manzar
tere bagaiir udaasi ke darmiyan guzre
vo ashq hun ki sar-e-raah gir gaya tha kabhi
utha saka na koi kitne karwaan guzre
main khusk ho ke bikharta raha hun pairon mein
bohat zamana hua mujh pe kashtiyan guzre
tere badan ka aalaa_o ho meri saanson mein
kabhi vo lamha bhi ik baar jaan-e-jaan guzre
ye baat ab bhi nahin hai kisi se kahne ki
tamaam sajde tere dar se raayegan guzre

teri guftgu mein hai jo chaashni

teri guftgu mein hai jo chaashni jo tere labon mein halaavatein
na suroor vo fasl-e-bahar mein na gulon mein lataafatein
kahan reh gayin teri nighahtein vo saba kidhar ko nikal gayi
teri aahaton ko taras gayin mere zism-o-jaan ki samaatein
tere ang-ang amin loch hai mere dil ke soz-e-gadaaz ka
mere khoon-e-dil se raqam hui tere rang-o-buu ki hikayatein
meri chashm-e-gham dil-e-muzatarib gham-e-aarzu gham-e-justju
liye phir raha hun nagar nagar kisi meharbaan ki amanatein

ye shab-e-firaq ye bebasi

ye shab-e-firaq ye bebasi, hain qadam qadam pe udaasiyab
mera saath koi na de saka meri hasaratein hain dhuwan dhuwan
main tadap tadap ke jiya toh kya mere khwab mujhse bichhad gaye
main udaas ghar ki sada sahi mujhe de na koi tasaliyan
chali aisi dard ki aandhiyan mere dil ki basti ujad gayi
ye jo raakh-sii hai bujhi bujhi hain issi mein meri nishaniyan
ye fiza jo gard-o-gubaar hai meri bekasi ka mazaar hai
main vo phool hun jo na khil saka meri zindgi mein waffa kahan

ye kaun aa gayi dilruba mehki mehki

ye kaun aa gayi dilruba mehki mehki
fiza mehki mehki hawa mehki mehki
vo aankhon mein kaajal vo baalon mein gajra
hatheli pe usske hina mehki mehki
khuda jaane kis kis ki ye jaan legi
vo qaatil ada vo saba mehki mehki
savere savere ,ere ghar pe aayi
ae 'hasrat' vo baad-e-saba mehki mehki

shole hi sahi aag lagane ke liye aa

shole hi sahi aag lagane ke liye aa
phir tuur ke manzar ko dikhane ke liye aa
ye kis ne kaha hai meri taqadiir bana de
aa apne hi haathon se mitaane ke liye aa
ae dost mujhe gardish-e-haalat ne ghera
tu zulf ki kamali mein chhupane ke liye aa
diwar hai duniya isse raahon se hata de
har rasm muhbbat ki mitane ke liye aa
matlab teri aamad se hai daraman se nahin
'hasrat' ki qasam dil hi dukhane ke liye aa

hum unnse agar mil baithate hain

hum unnse agar mil baithate hain kya dosh hamara hota hai
kuch apni jasaarat hoti hai kuch unnka ishara hota hai
katne lagin raatein aankhon mein dekha nahin palkon pe aksar
kabhi shaam-e-gariban ka jugnu kabhi subah ka taara hota hai
hum dil ko liye har des phire iss jins ka gaahak mil na saka
ae banjaaro hum log chale hum ko toh khasara hota hai
hum apni zabaan se kuch bhi kahen shaayar hai khayalon se khelen
aa jaao toh baaham mil baithe kabhi hizr bhi payara hota hai
daftar se uthe kaife mein gaye kuch sher kahe kuch kaafi pii
puucha jo mu'ash ka 'insha ji' yun apna guzara hota hai

apne hamraah jo aate ho idhar se pehle

apne hamraah jo aate ho idhar se pehle
dasht padta hai miyaan ishq mein ghar se pehle
chal diye uth ke suu-e-shehr-e-waffa kuu-e-habiib
puuch lena tha kisi khaak basar se pehle
ishq pehle bhi kiya hizr ka gham bhi dekha
itne tadape hain na ghabraye na tarase pehele
jii pehalta hi nahin ab koi sa'at koi pal
raat dhalti hi nahin chaar pahar se pehle
hum kisi dar pe na thithake na kahin dastak dii
sainkdon dar thay meri jaan tere dar se pehle
chaand se aankh mili ji ka ujala jaga
humko sau baar hui subah sahar se pehle

aur toh koi bas na chalega

aur toh koi bas na chalega hizr ke baad dard ke maaron ka
subah ka hona dubhar kar den rasta rok sitaron ka
jhoothe sikon mein bhi utha dete hain aksar sachcha maal
shaklen dekh ke sauda karna kaam hain banjaaron ka
apni zuban se kuch na kahenge chup hi rahenge aashiq log
tumse toh itna ho sakta hai puchho haal bechaaron ka
ek zara sii baat thi jiska charcha pohncha gali gali
hum ghumnamon ne phir bhi ehsaan na maana yaaron ka
dard ka kehna chiikh uttho dil ka taqaza vaza'a nibhaao
sab kuch sehna chup-chap rehna kaam hai izzat-daaron ka

raat ke khwab sunaaye kisko

raat ke khwab sunaaye kisko raat ke khwab suhane thay
dhundhale dhundhale chehre thay par sab jaane pehchane thay
ziddi vehshi alhad chanchal miithe log rasiile log
hont unnke gazalon ke misare aankhon mein afsaane thay
ye ladki toh inn galiyon mein roz hi ghuuma karti thi
iss se unnko milana tha toh isske laakh bahaane thay
humko saari raat jagaaya jalte bujhte taaron ne
vehshat ki unwaan hamari inn mein se jo naar bani
dekhenge toh log kahenge 'insha' ji diwane thay

hain ghar ki muhaafiz meri dehki hui aankhein

hain ghar ki muhaafiz meri dehki hui aankhein
main taaq mein rakh aaya hun jalti hui aankhein
ik pal kisi mod pe rukne nahin deti
kaanton ki tarah zism mein chubti hui aankhein
raste mein qadam phoonk ke rakhna mere pyaro
hain chaaron taraf shehr mein bikhari hui aankhein
yun usske bichhad jaane pe aansu na bahaao
manzar ko taras jayengi bhigi hui ankhein
qaatil ke siva koi samjh hi nahin sakta
kya dekhti hain tasht mein rakhi hui aankhein
kya jaaniye kis khwaab ki taabir mein guum hain
zulfon ki ghani chaanv mein ulajhi hui ankhein
'sagar' shab-e-tiira mein ujaalon ki amiin hain
nafrat ke samandar mein ye behati hui aankhein

sang jab aaiina dikhata hai

sang jab aaiina dikhata hai
tesha kya kya nazar churata hai
silsila pyaas ka batata hai
pyaas dariya kahan bujhata hai
raig-zaron mein jaise tapati dhuup
yun bhi usska khayal aata hai
sun raha hun khiram-e-umr ki chaap
aks aawaz banata jaata hai
vo bhi kya shaks hai ke paas aa kar
fasale duur tak bichhata hai
ghar toh aisa kahan tha lekin
dar-badar hain toh yaad aata hai

dil-e-pur_khuun ki ik gulabi se

dil-e-pur_khuun ki ik gulabi se
umr bhar ham rahe sharabi se
dil dahal jaaye hai sahar se aah
raat guzaregii kis kharabi se
khilna kam kam kali ne siikha hai
usski aankhon ki niim_khwabi se
kaam thay ishq mein bahut se 'meer'
ham hi faarig huye shitaabi se

ab jo ik hasrat-e-jawani hai

ab jo ik hasrat-e-jawani hai
umr-e-rafta ki ye nishani hai
khaak thi maujazan jahan mein, aur
hamko dhoka ye tha ke paani hai
giriya har waqt ka nahin behech
dil mein koi gham-e-nihaani hai
ham qafas zaad qaidi hain varana
taa chaman parafashani hai
yaan huye 'meer' ham baraabar-e-khaak
vaan vahii naaz-o-sargiraani hai

baat kya aadmi ki ban aayi

baat kya aadmi ki ban aayi
aasmaan se zamiin napavaai
charkh zan usske vaste hai madaam
ho gaya din tamaam raat aayi
maah-o-khurshiid-o-baad sabhi
usski khatir huye hain saudaai
kaise kaise kiye taraddad jab
rang rang ussko chiiz pahunchaai
ussko tarjah sab ke upar de
lutf-e-haq ne ki izzat afazaai
hairat aati hai usski baaten dekh
khudsaari khud sataai khud raai
shukr ke sajdon mein ye vaajib tha
ye bhi karta sajda jabiin saai
so toh usski tabiiyat-e-sarkash
sar na laayi faro ke tuk laayi
'meer' na chiiz musht-e-khaak allaah
unn ne ye kibariya kahan paayi

yaar bin talkh zindgani thi

yaar bin talkh zindgani thi
dosti muddai-e-jaani thi
sheb mein fayada ta'mmul ka
sochna tab tha jab jawani thi
mere qisse se sab ki niinden gayin
kuch ajab taur ki kahani thi
kuu-e-qaatil se bach ke nikla khizr
issi mein usski zindgani thi
fitr par bhi tha 'meer' ke ik rang
kafni pehani toh zaafarani thi

milo inn dinon hamse ik raat jaani

milo inn dinon hamse ik raat jaani
kahan ham, kahan tum, kahan phir jawani
shikayat karun hun toh sone lage hai
meri sar-guzisht ab hui hai kahani
ada khiinch sakta hai bahzaad usski
khiinche suurat aisi toh ye hamne maani
mulaqat hoti hai toh hai kash-ma-kash se
yahi hamse hai jab na tab khiinchaa taani

shab ko vo piye sharab niklaa

shab ko vo piye sharab niklaa
jaana ye ki aaftab nikla
qurban pyala-e-mai-naab
jaise ki tera hijaab nikla
masti mein sharab ki jo dekha
aalam ye tamaam khwaab nikla
shaikh aane ko mai-qade mein aaya
par ho ke bahot kharab nikla
tha gairat-e-baada aks-e-gul se
jis juu-e-chaman se aab nikla

banda nawaaziyon pe khuda-e-kariim tha

banda nawaaziyon pe khuda-e-kariim tha
karta na main gunah toh gunah-e-aziim tha
baaten bhi ki khuda ne dikhaya jamaal bhi
vallaah kya nasiib janaab-e-kaliim tha
duniya ka haal ahal-e-adam hai ye mukhtsar
ik do qadam ka kuucha-e-ummid-o-biim tha
karta main dardmand tabiibon se kya rajuu
jis ne diya tha dard badaa vo hakiim tha
samaan-e-ufv kya main kahun mukhtsar hai ye
banda gunahgaar tha khaaliq kariim tha
jis din se main chaman mein hua khwah-e-gul 'ameer'
naam-e-saba kahin na nishan-e-nasiim tha

sarakti jaaye hai rukh se naqab aahista-aahista

sarakti jaaye hai rukh se naqab aahista-aahista
nikalta aa raha hai aaftab aahista-aahistaa
jawaan hone lage jab wo toh hamse kar liya pardaa
haya yak_lakht aayi aur shabab aahista-aahista
shab-e-furkat ka jaaga hun farishton ab toh sone do
kabhi fursat mein kar lena hisaab aahista-aahista
sawal-e-wasl par unnko uduu ka khauff hai itna
dabe honton se dete hain jawab aahista aahista
hamare aur tumhare pyar mein bas farq hai itna
idhar toh jaldi jaldi hai udhar aahista aahistaa
vo bedardi se sar kaate 'ameer' aur main kahun unnse
huzoor aahista-aahista janaab aahista-aahista

naaye kapade badal kar jaaun kahan

naaye kapade badal kar jaaun kahan aur baal banaaun kis ke liye
vo shaks toh shahr hi chhod gaya ab khaak udaaun kis ke liye
jis dhuup ki dil ko thandak thi vo dhuup ussi ke saath gayi
inn jalti bujhati galiyon mein ab khaak udaaun kis ke liye
vo shahr mein tha toh usske liye auron se milna padata tha
ab aise-waise logon ke main naaz uthaaun kis ke liye
ab shahr mein isska badal hi nahin koi waisa jaan-e-ghazal hi nahin
aivaan-e-ghazal mein lafzon ke guldaan sajaaun kis ke liye
muddat se koi aaya na gaya sunsaan padi hai ghar ki faza
inn khaali kamaron mein 'nasir' ab shamma jalaaun kis ke liye

teri zad se nikalna chahta hai

teri zad se nikalna chahta hai
ye dariya rukh badalna chahta hai
vo sapna jis ki surat hi nahin hai
meri aanhon mein chalna chahta hai
dilon ki maandgi pe kya ta'ajjub
ki suraj bhi toh dhalna chahta hai
nashist-e-dard badali hai toh ab dil
zara pehlu badalna chahta hai
mujhe bhi saamna hai karbala ka
mera sar bhi uchhalna chahta hai
nahin hai tarjumaan-e-gham ye aansu
ye paani ab ubalna chahta hai
tabassum zer-e-lab kahta hai 'amjad'
koi jazba machalna chahta hai

jiwan kya hai chalta phirta ek khilona hai

jiwan kya hai chalta phirta ek khilona hai
do aankhon mein ek se hansana ek se rona hai
jo jii chahe vo mil jaaye kab aisa hota hai
har jiwan jiwan jiine ka samjhauta hai
ab tak jo hota aaya hai vo hi hona hai
raat andheri bhor suhaani yahi zamana hai
har chadar mein dukh ka taana sukh ka baana hai
aati saans ko paana jaati saans ko khona hai

ab ki baras bhi vo nahin aaya bahaar mein

ab ki baras bhi vo nahin aaya bahaar mein
guzarega aur ek baras intzaar mein
ye aag ishq ki hai bujhaane se kya bujhe
dil tere bas mein hai na mere ikhtiyaar mein
hai tuute dil mein teri mohabbat tera khayal
khush-rang hai bahar jo guzari bahaar mein
aansu nahin hai aankhon mein lekin tere bagair
vo kaanpate huye hain dil-e-beqaraar mein

ham dosti ehasan waffa bhuul gaye hain

ham dosti ehasan waffa bhuul gaye hain
zinda toh hain jiine ki ada bhuul gaye hain
khushbu jo lutaate hain masalte hain ussi ko
ehsaas ka badla ye milta hai kali ko
ehsaas toh lete hain sila bhuul gaye hain
karte hain muhabbat ka aur ehsaas ka sauda
matlab ke liye karte hain iimaan ka sauda
dar maut ka aur khauf-e-khuda bhuul gaye hain
ab mom mein dhalkar koi patthar nahin hota
ab koi bhi qurban kisi par nahin hota
kyun bhatke hain manzil ka pata bhool gaye hain

jis tarah ki hain ye diwaaren ye dar jaisa bhi hai

jis tarah ki hain ye diwaaren ye dar jaisa bhi hai
sar chhipaane ko mayassar toh hai ghar jaisa bhi hai
ussko mujhse mujhko uss se nisbaten hain beshumaar
meri chahat ka hai mahavar ye nagar jaisa bhi hai
chal pada hun shauq-e-beparvah ko murshad maan kar
rasta pur_pech hai ya pur_khatar jaisa bhi hai
sab gawara hai thakan saari dukhan saari chubhan
ek khushbu ke liye hai ye safar jaisa bhi hai
vo toh hai makhsuus ik teri mohabbat ke liye
tera 'anwar' ba_hunar ya be_hunar jaisa bhi hai

yun teri nigahon se gila kuch bhi nahin thaa

yun teri nigahon se gila kuch bhi nahin thaa
iss dil ne toh bekaar yun hi baithe bithaaye
virani-e-lamhat ko behalane ki khatir
afsane gadhe baaten bana li thiin hazaaron
ye ishq ka afsana jo phir chheda hai tu ne
bekaar hai ab waqt kahan ussko sunoon main
jab tumko faragat na thi ab mujhko nahin hai

ik saza aur asiiron ko suna di jaaye

ik saza aur asiiron ko suna di jaaye
yaani ab zurm-e-asiire ki sazaa di jaaye
usski khwahish hai ke ab log na royen na hansen
behisii waqt ki awaaz bana di jaaye
dasht-e-na_diida ki tahqiiq zaruuri hai magar
pahle jo aaglagi hai vo bujha di jaaye
sirf jalna hi nahin hamko bhadakna bhi toh hai
ishq ki aag ko laazim hai hawa di jaaye
sirf suraj ka nikalna hai agar subah toh phir
ik shab aur meri shab se mila di jaaye
aur ik taaza sitam usne kiya ijaad
ussko iss baar zara khul ke dua di jaaye

dil ke dariya ko kisi roz utar jaana hai

dil ke dariya ko kisi roz utar jaana hai
itana besimt na chal laut ke ghar jaana hai
uss tak aati hai toh har chiiz thahr jaati hai
jaise paana hi usse asl mein mar jaana hai
bol ae shaam-e-safar rang-e-rihaai kya hai
dil ko rukna hai ki taaron mein thahr jaana hai
kaun ubharte huye mahtaab ka rasta roke
ussko har taur suu-e-dasht-e-sahar jaana hai
main khila hun toh issi khaak mein milna hai mujhe
vo toh khushbu hai usse agle nagar jaana hai
vo tere husn ka jaadu ho ke mera gham-e-dil
har musaafir ko issi ghaat utar jaana hai

khuun se jab jala diya ek diya bujhaa hua

khuun se jab jala diya ek diya bujhaa hua
phir mujhe de diya gaya ek diya bujha hua
ek hi dastan-e-shab ek hi silsila toh hai
ek diya jala hua ek diya bujha hua
mehfil-e-rang-o-nuur ki phir mujhe yaad aa gayi
phir mujhe yaad aa gaya ek diya bujha hua
mujhko nishaat se fuzuun rasm-e-waffa aziiz hai
mera rafiiq-e-shab raha ek diya bujha hua
dard ki kainaat mein mujhse bhi raushni rahi
waise meri bisaat kya ek diya bujha hua
sab meri raushni-e-jaan harf-e-sukhan mein dhal gayi
aur main jaise reh gaya ek diya bujha hua

tumhen jafaa se na yun baaz aana chahiye tha

tumhen jafaa se na yun baaz aana chahiye tha
abhi kuch aur mera dil dukhana chahiye tha
taviil raat ke pehlu mein kab se soyi hai
naviid-e-subah tujhe jaag jaana chahiye tha
bahut qallaaq hua hairat gaziida tuufan ko
ke kaun duube kinhen duub jaana chahiye tha
bujhe chiraagon mein kitane hain jo jale hi nahin
savaad-e-vaqt i.nhe.n jagamagaanaa chaahiye thaa
ajab na tha ke qafas saath leke udd jaate
tadapna chahiye tha phadaphadhana chahiye tha
ye meri haar ke kaar-e-jaanan se haara magar
bichhadne wale tujhe yaad aana chahiye tha
tamaan umr ki aasurdgii-e-wasl ke baad
firaq aakhiri dhoka tha khana chahiye tha

yaad kya dast-e-hunar hai

yaad kya dast-e-hunar hai ki sanvarta gaya main
ussko socha toh usse yaad hi karta gaya main
issko tehziib-e-junoon kahiye ki mujhse pahle
jaise bikhare hain sabhi log bikharta gaya main
naqsh kitne thay ki madham huye silsilavaar
aur har naqsh ke pahlu se ubharta gaya main
ek tasviir banaai thi mukammal na hui
ek hi rang lahu rang tha bharta gaya main
harf-e-ikraar hi kehta raha bekhaufi se
yaani inkaar ke aashob se darta gaya main
apne andar ke talaatum ne rakkha hai aabad
khud hi ikraar kiya khud hi mukarta gaya main
har nafas badhta gaya usski tamnna ka kharosh
lamha lamha issi vehshat mein nikharta gaya main
zindgi kuu-e-malaamat hai koi kya thahre
apni hi vaza ka main hun so thaharta gaya main

ham se bahal rahe hain aap aap bahut ajiib hain

ham se bahal rahe hain aap aap bahut ajiib hain
dard mein dhal rahe hain aap aap bahut ajiib hain
saaya-e-wasl kab se hai aap ka muntazir magar
hijr mein dhal rahe hain aap aap bahut ajiib hain
apne khilaaf faisla khud hi likha hai aap ne
haath bhi mal rahe hain aap aap bahut ajiib hain
waqt ne aarzu ki lau der hui bujha bhi di
ab bhi pighal rahe hain aap aap bahut ajiib hain
zahmat-e-zarbat-e-digar dost ko dijiye nahin
gir ke sambhal rahe hain aap aap bahut ajiib hain
daayaraavaar hi toh hain ishq ke raaste tamaam
raah badal rahe hain aap aap bahut ajiib hain
dasht ki saari raunaqen khair se ghar mein hain toh kyun
ghar se nikal rahe hain aap aap bahut ajiib hain
apni talash ka safar khatm bhi kijiye kabhi
khvaab mein chal rahe hain aap aap bahut ajiib hain

diwane ke munh na lago toh behatar hai

'nasir' kya kehta phirta hai kuch na suno toh behatar hai
diwana hai diwane ke munh na lago toh behatar hai
kal jo tha vo aaj nahin jo aaj hai kal mit jaayega
rukh-suukhi jo mil jaaye shukr karo toh behatar hai
kal ye taab-o-tavaan na rahegi thanda ho jaayega lahu
naam-e-khuda ho javaan abhi kuch kar guzaro toh behatar hai
kya jaane kya ruut badle haalat kaa koi theek nahin
ab ke safar mein tum bhi hamare saath chalo toh behatar hai
kapade badal kar baal bana kar kahan chale ho kis ke liye
raat bahut kaali hai 'nasir' ghar mein raho toh behatar hai

safar-e-manzil-e-shab yaad nahin

safar-e-manzil-e-shab yaad nahin
log rukhsat huye kab yaad nahin
dil mein har waqt chubhan rehati thi
thi mujhe kis ki talab yaad nahin
vo sitara thi ke shabnam thi ke phuul
ik surat thi ajab yaad nahin
aisa uljha hun gham-e-duniya mein
ek bhi khwab-e-tarab yaad nahin
bhulate jaate hain maazii ke dayaar
yaad aayen bhi toh sab yaad nahin
ye haqiiqat hai ke ahbaab ko ham
yaad hi kab thay ke ab yaad nahin
yaad hai sair-e-charaagan 'nasir'
dii ke bujhne ka sabab yaad nahin

tu hai yaa tera saaya hai

tu hai yaa tera saaya hai
bhesh judaai ne badla hai
dil ki haweli par muddat se
khamoshi ka qufl pada hai
chiikh rahe hain khaali kamare
shaam se kitni tez hawa hai
darwaze sar phod rahe hain
kaun iss ghar ko chhod gaya hai
hichaki thamati hi nahin 'nasir'
aaj kisi ne yaad kiya hai

ye bhi kya shaam-e-mulaqat aayi

ye bhi kya shaam-e-mulaqat aayi
lab pe mushkil se teri baat aayi
subah se chup hain tere hijr nasiib
haaye kya hoga agar raat aayi
bastiyan chhod ke barse baadal
kis qayamat ki ye barsat aayi
koi jab mil ke hua tha rukhsat
dil-e-betaab vahi raat aayi
saaya-e-zulf-e-buutan mein 'nasir'
ek se ek nayi raat aayi

phir sawan ruut ki pawan chali tum yaad aaye

phir sawan ruut ki pawan chali tum yaad aaye
phir patton ki paazeb baji tum yaad aaye
phir kunjen bolin ghaas ke hare samandar mein
ruut aayi piile phuulon ki tum yaad aaye
phir kaaga bola ghar ke suune aamgan mein
phir amrat ras ki bond padi tum yaad aaye
pehle toh main chiikh ke roya aur phir hansane laga
badal garja bijli chamki tum yaad aaye
din bhar toh main duniya ke dhandhon mein khoya raha
jab diwaron se dhuup dhali tum yaad aaye

jab gardishon mein jaam thay

jab gardishon mein jaam thay
kitne hasiin ayyaam thay
ham hi na thay ruswa faqat
vo aap bhi badnaam thay
kehte hain kuch arsa hua
qaabe mein bhi asanaam thay
anjaam ki kya sochte
na-waaqif-e-anjaam thay
ahad-e-jawani mein 'adam'
sab log gulandaam thay

apni marzi se kahan apne safar ke ham hain

apni marzi se kahan apne safar ke ham hain
rukh hawaaon ka jidhar ka hai udhar ke ham hain
pehle har chiiz thi apni magar ab lagta hai
apne hi ghar mein kisi dusare ghar ke ham hain
waqt ke saath hai mitti ka safar sadiyon tak
kisko mallum kahan ke hain kidhar ke ham hain
chalte rehte hain ki chalna hai musafir ka nasiib
sochte rehte hain ki kis rahguzar ke ham hain
ginatiyon mein hi gine jaate hain har daur mein ham
har qalamakaar ki benaam khabar ke ham hain

chand se phuul se ya meri zuban se suniye

chand se phuul se ya meri zuban se suniye
har taraf aap ka qisaa jahan se suniye
sab ko aata hai duniya ko sata kar jiina
zindgi kya muhabbat ki dua se suniye
meri aawaz parda mere chehre ka
main hun khamosh jahan mujhko vahan se suniye
kya zaruuri hai ki har parda uthaya jaaye
mere haalat apne apne makan se suniye

diwaar-o-dar se utar ke parachhaiyan bolati hain

diwaar-o-dar se utar ke parachhaiyan bolati hain
ko_ii nahii.n bolataa jab tanhaaiyan bolati hain
pardes ke raaste mein lutate kahan hain musafir
har ped kehta hai qissa purvaaiyan bolati hain
mausam kahan manta hai tehaziib ki bandhishon ko
jismon se bahar nikal ke angadaaiyan bolati hain
sun'ne ki mohalat mile toh aawaz hai patjharon mein
ujadi hui bastiyon mein aabaadiyan bolati hain

jahan na teri mahak ho udhar na jaauun main

jahan na teri mahak ho udhar na jaauun main
meri sarisht safar hai guzar na jaauun main
mere badan mein khule jangalon ki mitti hai
mujhe sambhal ke rakhna bikhar na jaauun main
mere mizaaj mein be-maanii ulajhne'n hain bahut
mujhe udhar se bulana jidhar na jaauun main
kahin pukar na le gahri vaadiyon ka sabuut
kisi maqaam pe aakar thahar na jaauun main
na jaane kaun se lamhe ki bad-dua hai ye
qariib ghar ke rahuun aur ghar na jaauun main

kahin chhat thi diivar-o-dar thay kahin

kahin chhat thi diivar-o-dar thay kahin
mila mujhko ghar ka pata der se
diya toh bahut zindgi ne mujhe
magar jo diya vo diya der se
hua na koi kaam maamuul se
guzare shab-o-roz kuch iss tarah
kabhi chaand chamakaa galat waqt par
kabhi ghar mein suraj uga der se
kabhi ruk gaye raah mein besabab
kabhi waqt se pehle ghir aayi shab
huye bandh darwaze khul khul ke sab
jahan bhi gaya main gaya der se
ye sab ittifaqat ka khel hai
yahi hai judaai yahi mel hai
main mud mud ke dekha kiya duur tak
bani vo khamoshi sada der se
saja din bhi raushan hui raat bhi
bhare jaam laharaai barsaat bhi
rahe saath kuch aise haalat bhi
jo hona tha jaldi hua der se
bhatakti rahi yunhi har bandgi
mili na kahin se koi raushani
chhupa tha kahin bhiid mein aadmi
hua mujh mein raushan khuda der se
maszidon-mandiron ki duniya mein
mujhko pehachante kahan hain log
roz main chaand ban ke aata hun
din mein suraj sa jagmagata hun
khan-khanata hun maan ke gahanon mein
hansata rehta hun chhup ke bahanon mein
main hi mazduur ke pasiine mein
main hi barsaat ke mahine mein
meri tasviir aankh ka aansu
meri tahriir jism ka jadu
maszidon-mandiron ki duniya mein
mujhko pehachante kahan hain log
main zamiinon ko be-ziya karke
aasmanon mein laut jaata hun
main khuda banke qahar dhaata hun

sab ki puuja ek si, alag alag har reet

sab ki puuja ek si, alag alag har reet
maszid jaaye maulvi, koyal gaaye geet
puuja ghar mein murti, mira ke sang shyam
jitni jiski chakari, utne usske daam
sita-ravan, raam ka, karen vibhajan log
ek hi tan mein dekhiye, tinon ka sanjog
mitti se maati mile, kho ke sabhi nishan
kis mein kitna kaun hai, kaise ho pehchan

dekha hua sa kuch hai toh socha hua sa kuch

dekha hua sa kuch hai toh socha hua sa kuch
har waqt mere saath hai uljha hua sa kuch
hota hai yun bhi rasta khulta nahin kahin
jangal-sa phail jaata hai khoya hua sa kuchh
saahil ki gili reit par bachchon ke khel-sa
har lamha mujh mein banta bikharta hua sa kuch
fursat ne aaj ghar ko sajaaya kuch iss tarah
har shai se muskurata hai rota hua sa kuch
dhundhali si ek yaad kisi qabr ka diya
aur mere aas-paas chamkta hua sa kuch

sabhi kuch hai tera diya hua

sabhi kuch hai tera diya hua sabhi raahaten sabhi kalafaten
kabhi sohabaten kabhi furqaten kabhi duuriyan kabhi qurbaten
ye sukhan jo hamne raqam kiye ye hain sab waraq teri yaad ke
koi lamha subah-e-wisal ka, kai sham-e-hizr ki qurbaten
jo tumhari maan len nasiha toh rahega daaman-e-dil mein kya
na kisi udu ki adavaten na kisi sanam ki muravvaten
chalo aao tumko dikhaayen ham jo bacha hai maqtal -e-shahr mein
ye mazar ahal-e-safa ke hain ye hain ahal-e-sidq ki turbaten
meri jaan aaj ka gham na kar, ke na jaane kaatib-e-waqt ne
kisi apne kal mein bhi bhuul kar kahin likh rakhi ho masarraten

ham par tumhari chah ka ilzam hi toh hai

ham par tumhari chah ka ilzam hi toh hai
dushnaam toh nahin hai ye ikraam hi toh hai
karte hain jis pe taa'n, koi zurm toh nahin
shauq-e-fuzuul-o-ulfat-e-nakaam hi toh hai
dil muddai ke harf-e-malaamat se shaad hai
ae jaan-e-jaan ye harf tera naam hi toh hai
dil na-ummiid toh nahin, na-kaam hi toh hai
lambi hai gham ki sham, magar sham hi toh hai
dast-e-falak mein, gardish-e-taqadiir toh nahin
dast-e-falak mein, gardish-e-ayyam hi toh hai
akhir toh ek roz karegi nazar waffa
vo yaar-e-khush_khasaal sar-e-baam hi toh hai
bheegi hai raat 'faiz' ghazal ibtida karo
waqt-e-sarod dard ka hangam hi toh hai

sham-e-firaaq ab na puchh aayi aur aa ke tal gayi

sham-e-firaaq ab na puchh aayi aur aa ke tal gayi
dil tha ke phir bahal gaya, jaan thi ke phir sambhal gayi
bazm-e-khayal mein tere husn ki shama jal gayi
dard ka chaand bujh gaya, hizr ki raat dhal gayi
jab tujhe yaad kar liya, subha mahak mahak uthi
jab tera gham jaga liya, raat machal machal gayi
dil se toh har muamla karke chale thay saaf ham
kehne mein unnke samne baat badal badal gayi
aakhir-e-shab ke hamsafar 'faiz' na jaane kya huye
reh gayi kis jagah saba, subha kidhar nikal gayi

teri hi tarah hamen yaad aane wala ho

teri hi tarah hamen yaad aane wala ho
tere siva bhi koi toh satane wala ho
har ek subah yahi dil mein huuk uthati hai
hamen bhi naaz se koi jagane wala ho
vo kis ummiid me.n ghar me.n rahe.n ki jis ghar me.n
na aane wala ho koi na jaane wala ho
har ek se nazaren milaai hain unnke kuuche mein
ki jaise ab koi hamko bulane wala ho
hai dosto ke liye aaiina nazar meri
nazar milaaye jo nazaren milane wala ho
ki jaise koi bala mujhpe aane wali hai
haras kehta hai koi bachane wala ho
hamare shahr mein kya kya saje-sajaaye hain ghar
hamare ghar ko bhi koi sajane wala ho

iss naaz iss andaaz se tum haaye chalo ho

iss naaz iss andaaz se tum haaye chalo ho
roz ek ghazal hamse kahlavaye chalo ho
rakhna hai kahin paanv toh rakho ho kahin paanv
chalna zara aaya hai toh itaraaye chalo ho
diwaan-e-gul qaidi-e-zanjiir hai aur tum
kyaa thaath se gulshan ki hawa khaaye chalo ho
mai mein koi khaami hai na saagar mein koi khot
piina nahin aaye hai toh chhalkaaye chalo ho
ham kuch nahin kehte hain koi kuch nahin kehta
tum kya ho tumhin sab se kehalvaaye chalo ho
zulfon ki toh fitrat hai lekin mere pyare
zulfon se bhi zyada balkhaaye chalo ho
vo shokh sitam_gar toh sitam dhaaye chale hai
tum ho ke 'kaleem' apni ghazal gaaye chalo ho

gham ka vo zor ab mere andar nahin raha

gham ka vo zor ab mere andar nahin raha
iss umr mein main itna samarvar nahin raha
iss ghar mein jo kashish thi gayi unn dinon ke saath
iss ghar ka saaya ab mere sar par nahin raha
vo husn-e-naubahaar abad shauq jism sun
rehna tha ussko saath mere par nahin raha
mujh mein hi kuch kami thi ki behatar main unnse tha
main shahr mein kisi ke barabar nahin raha
rahbar ko unnke haal ki ho kis tarah khabar
logon ke daramiyan vo aa kar nahin raha
vapas na ja vahan ki tere shahr mein 'munir'
jo jis jagah pe tha vo vahan par nahin raha

bechaiin bahut phirna ghabaraaye huye rehna

bechaiin bahut phirna ghabaraaye huye rehna
ik aag si jazabon ki bahakaaye huye rehna
chhalkaye huye chalna khushbu-e-begani ki
ik baag sa tha apna mehakaaye huye rehna
iss husn ka sheva hai, jab ishq nazar aaye
parde mein chale jaana, sharmaaye huye rehna
ik shaam si kar rakhna kaajal ke karishame se
ik chaand sa aankhon mein chamakaaye huye rehna
aadat hi bana li hai tumne toh 'munir' apni
jis shahr mein bhi rehna uktaaye huye rehna

chaman mein rang-e-bahaar utra toh maine dekha

chaman mein rang-e-bahaar utra toh maine dekha
nazar se dil ka gubaar utra toh maine dekha
main niim shab aazma ke hasrat ko dekhta tha
chaman mein vo husn zaar utra toh maine dekha
khumar mai thi vo chehra kuch aur lag raha tha
dam-e-sahar jab khumaar utra toh maine dekha
gali ke bahar tamaam manzar badal gaye thay
jo saaya ek kuu-e-yaar utra toh maine dekha
ik aur dariya ka samna tha 'munir' mujhko
main ek dariya ke paar utara toh maine dekha

darr ke kisi se chhup jaata hai jaise saanp khazane mein

darr ke kisi se chhup jaata hai jaise saanp khazane mein
zar ke zor se zinda hain sab khaak ke iss viirane mein
jaise rasm ada karte hon shahron ki aabadi mein
subah ko ghar se duur nikal kar sham ko vapis aane mein
niile rang mein duubi aankhen khuli padi thiin sabze par
aks pada tha aasman ka shayad iss paimane mein
dil kuch aur bhi sard hua hai shaam-e-shahr ki raunaq mein
kitni ziya be-suud gayi hai sheeshe ke lafz jalane mein
main toh 'munir' aaiine mein Khud ko tak kar hairan hua
ye chehra kuch aur tarah tha pehle kisi zamane mein

karam aise kiye hain doston ne

dil-e-pur_aarzu nakaam ho kar
zyada khuubsurat ho gaya hai
karam aise kiye hain doston ne
ki har dushman pe pyar aane laga hai
tera gham toh meri jaan-e-tamnna
teri suurat se badhkar dilruba hai
jab aaye toh ujala ho gaya tha
gaye toh phir vahi ghar ki faza hai
nahin hai apna gham ae 'shad' jab se
zamane bhar ka gham apna liya hai

kal na main itna bura tha kya hua

kal na main itna bura tha kya hua
tera dil bhi aaiina tha kya hua
zindgi mein mod kitne aa gaye
ye toh siidha rasta tha kya hua
bhiid kyun hai aashiyaan ke aas paas
ek shola sa uthata tha kya hua
ye imarat aaj kyun viiran hai
iss jagah par ek khuda tha kya hua
kyun 'naseem' ab maikade jaane lage
aadmi toh parsa tha kya hua

bagaiir mere tujhe chaiin aa nahin sakta

bagaiir mere tujhe chaiin aa nahin sakta
mera jawab kahin se tu laa nahin sakta
hazar parde bhi daalo agar banaavat ke
dilon ki baat ko chehra chhupa nahin sakta
bana diya hai zamane ne dil ko patthar ka
sataye koi bhi mujhko rula nahin sakta
hasin taaj mahal ke banane wala bhi
dilon ke tuute gharaunde bana nahin sakta

aise hizr ke mausam ab kab aate hain

aise hizr ke mausam ab kab aate hain
tere alawa yaad hamen sab aate hain
jazb kare kyon reit hamare ashkon ko
tera daaman tar karne ab aate hain
ab vo safar ki taab nahin baaqi varna
hamko bulaave dasht se jab tab aate hain
jagti aankhon se bhi dekho duniya ko
khvabon ka kya hai vo har shab aate hain
kaagaz ki kashtii mein dariya paar kiya
dekho ham ko kya kya karatab aate hain

sabz maddham roshni mein

sabz maddham roshni mein surkh aanchal ki dhanak
sard kamare mein machalti garm saanson ki mahak
baazuuon ke sakht halqe mein koi naazuk badan
silvaten malabuus par aanchal bhi kuch dhalka hua
garmi-e-rukhsar se dehki hui thaandi hawa
narm zulfon se mulayam ungaliyon ki chhed chhad
surkh honton par shararat ke kisi lamhen ka aks
reshmi baahon mein chuudi ki kabhi maddham dhanak
sharmagiin lahajon mein dhiire se kabhi chaahat ki baat
do dilon ki dhadakanon mein guunjti thi ek sada
kaanpate honton pe thi allaah se sirf ek dua
kaash ye lamhe thahar jaayen thahar jaayen zara

sharmana nahin aata

mujhe dil ki khata par 'yaas' sharmana nahin aata
paraya zurm apne naam likhvana nahin aata
bura ho pa-e-sar_kash ka ki thak jaana nahin aata
kabhi gumraah ho kar raah par aana nahin aata
mujhe ae nakhuda aakhir kisi ko munh dikhana hai
bahana karke tanha paar utar jaana nahin aata
musiibat ka pahad aakhir kisi din kat hi jaayega
mujhe sar maar kar teshe se marr jaana nahin aata
asiiro shauq-e-aazadi mujhe bhi gud_gudata hai
magar chadar se bahar paanv phailana nahin aata
dil-e-behausala hai ik zara si tiis ka mehmaan
vo aansu kya piyega jisko gham khana nahin aata

jise ishq ka tiir kaari lage

jise ishq ka tiir kaari lage
usse zindgi kyon na bhari lage
na chhode mohabbat dam-e-marg lage
jise yaar jaani so yaari lage
na hoye usse jag mein hargiz qaraar
jise ishq ki beqrari lage
har ik waqt mujh aashiq-e-paak ko
piyare teri baat piyari lage
'wali' ko kahe tu agar ek bachan
raqibaan ke dil mein kataari lage

dosti apni bhi asar rakhti hai

dosti apni bhi asar rakhti hai 'faraz'
bohat yaad aayenge zara bhool kar toh dekho

kuch toh main bhi bahut dil ka kamzor hun

kuch toh main bhi bahut dil ka kamzor hun
kuch muhabbat bhi hai fitaratan badaguman
tazkara koi ho zikr tera raha
awal-e-aakhirash daramiyan daramiyan
jaane kis desh se dil mein aa jaate hain
chandani raat mein dard ke karwan

ufq ko ufq se mila dene wale

ufq ko ufq se mila dene wale
ye raaste hain kitne thaqa dene wale
ye din hain naaye apne khasiiton mein
kai naam dil se bhula dene wale
bita dena umaren usse khojne mein
jo mil jaaye usse ganwa dene wale
phir apne kiye par pashemaan rehna
ye hum hain khud ko saza dene wale
munir iss zamaane mein rehbar bohat hein
haqiqat ko uljhan bana dene wale !!

des mein nikla hoga chand

ham toh hain pardes mein, des mein nikla hoga chand
apni raat ki chhat par kitna tanha hoga chand
jin aankhon mein kajal ban kar teri kaali raat ho
un aankhon mein aansu ka ek katra hoga chand
raat ne aisa pech lagaya, tuuti haath se dor ho
aangan wale niim mein ja kar atka hoga chand
chand bina har din yun biita jaise yug biiten ho
mere bina kis haal mein hoga, kaisa hoga chand

phir daaman-e-ummiid vo phuulon se bhar gaya

phir daaman-e-ummiid vo phuulon se bhar gaya
jaadu bhari nigah se jaadu-sa kar gaya
bas dekate hi dekhte duniya badal gayi
kuch sochte hi sochte chehra utar gaya
betaab beqaraar tha pehle hi dil bahut
phir aap ka aana aur bhi betaab kar gaya
ik bekhudi ka naam muhabbat hai dosto
chahat mein kis ko hosh hai kya kya guzar gaya
kuch bhi pata nahin hai muhabbat mein ae dost
kab raat subah ban gayi kab din guzar gaya

jii dhuundhata hai ghar koi donon jahan se duur

jii dhuundhata hai ghar koi donon jahan se duur
iss aap ki zamiin se alag, aasman se duur
shayad main darakhur-e-nigah-e-garm bhi nahin
bijli tadap rahi hai mere aashiyan se duur
aankhen chura ke aap ne afsana kar diya
jo haal tha zaban se qariib aur bayan se duur
taa arz-e-shauq mein na rahe bandgi ki laag
ik sajda chahta hun teri aastan se duur
hai mana raah-e-ishq mein dair-o-haram ka hosh
yaani kahan se paas hai manzil, kahan se duur

ishq ne dil mein jaga ki toh qaza bhi aayi

ishq ne dil mein jaga ki toh qaza bhi aayi
dard duniya mein jab aaya toh dava bhi aayi
dil ki hasti se kiya ishq ne aagah mujhe
dil jab aaya toh dhadakne ki sada bhi aayi
sadqe utarenge, asiiran-e-qafas chhuute hain
bijaliyan le ke nasheman pe ghata bhi aayi
haan ! na tha baab-e-asr bandh, magar kya kahiye
aah pahunchi thi ki dushman ki dua bhi aayi
aap socha hi kiye, uss se miluun ya na milon
maut mushtaq ko mitti mein mila bhi aayi
lo! masiha ne bhi, allaah ne bhi yaad kiya
aaj biimar ko hichki bhi, qaza bhi aayi
dekh ye jaada-e-hasti hai, sambhal kar 'fani'
piichhe piichhe vo dabe paaon qaza bhi aayi

ik muamma hai samjhane ka na samjhne ka

ik muamma hai samjhane ka na samjhne ka
zindgi kahe ko hai khwab hai diwane ka
zindgi bhi toh pashemaan hai yahan la ke mujhe
dhundhati hai koi hiila mere mar jaane ka
haddiyaan hain kai lipati hui zanjiron mein
liye jaate hain janaza tere diwane ka
tumne dekha hai kabhi ghar ko badalte huye rang
aao dekho na tamasha mere gham_khane ka
ab isse daar pe leja ke sula de saaqi
yun behakna nahin achchha tere diwane ka
hamne chhaani hain bahot dair-o-haram ki galiyan
kahin paaya na thikana tere diwane ka
har nafas umr-e-guzashta ki hai mayyat 'fani'
zindgi naam hai mud mud ke jiye jaane ka

thahar jaao ke hairani toh jaaye

thahar jaao ke hairani toh jaaye
tumhari shakl pehchani toh jaaye
shab-e-gham tu hi mehmaan ban ke aaja
hamare ghar ki virani toh jaaye
zara khul kar bhi ro lene do hamko
ke dil ki aag tak paani ho jaaye
bala se tod daalo aaiinon ko
kisi surat ye hairani toh jaaye

zism apna hai koi aur na saaya apna

zism apna hai koi aur na saaya apna
jaane iss ziist mein hai kaun sa rishta apna
tune kis mod pe chhoda tha mujhe umr-e-ravaan
tak raha hun kai sadiyon se main rasta apna
ham rahe bhi toh badalte huye mausam ki tarah
teri aankhon mein koi aks na thahara apna
ik tera gham tha bahar_rang jo shadab raha
iss shajar ne giraya koi patta apna
kitne asnaam tarashe hain teri surat ke
jhaank kar dekh zara mujhse sarapa apna

khwab tha ya khayal tha kya tha

khwab tha ya khayal tha kya tha
hizr tha ya wisal tha kya tha
chamki bijli si par na samjhe ham
husn tha ya jamaal tha kya tha
jiko ham roz-e-hizr samjhe thay
maah tha vo ke saal tha kya tha
'mussafi' kal jo chup sa baitha tha
kya tujhe kuch malaal tha kya tha

vo ahad ahad hi kya jise nibhaao bhi

vo ahad ahad hi kya jise nibhaao bhi
hamare vaada-e-ulfat ko bhuul jaao bhi
bhala kahan ke ham aise gumaan wale hain
hazaar baar ham aayen hamen bulaao bhi
bigad chala hai bahut rasm-e-khudkushi ka chalan
daraane walo kisi roz kar dikhaao bhi
tumhari niind mein duubi hui aankhon ki qasam
hamen ye zid hai ki jaago bhi aur jagaao bhi

rokta hai gham-e-izhar se pindaar mujhe

rokta hai gham-e-izhar se pindaar mujhe
mere ashkon se chhupa le mere rukhsar mujhe
dekh ae dasht-e-junoon bhed na khulne paaye
dhuundhane aaye hain ghar ke dar-o-diwar mujhe
sii diye hont ussi shakh ki majbuuri ne
jiski qurbat ne kiya maharam-e-asraar mujhe
meri aankhon ki taraf dekh rahe hain anzum
jaise pehchan gayi ho shab-e-bedaar mujhe
jins-e-viraani-e-sahara meri dukan mein hai
kya kharidega tere shahr ka baazar mujhe
jaras-e-gul ne kai baar bulaaya lekin
le gayi raah se zanjiir ki jhankar mujhe
naavak-e-zulm utha dashna-e-andoh sambhal
lutf ke khanjar-e-benaam se mat maar mujhe
saari duniya mein ghani raat ka sanata tha
sahan-e-zindan mein mile subah ke aasaar mujhe

aandhi chali toh naqsh-e-kaf-e-paa nahin mila

aandhi chali toh naqsh-e-kaf-e-paa nahin mila
dil jis se mil gaya vo dubara nahin mila
aawaz ko toh kaun samajhta ki duur duur
khamoshiyon ka dard-shanaasa nahin mila
ham anzuman mein sab ki taraf dekhte rahe
apni tarah se koi akela nahin mila
kachche ghade ne jeet li nadi chadhi hui
mazbuut kashtiyon ko kinara nahin mila

shola hun bhadakne ki guzarish nahin karta

shola hun bhadakne ki guzarish nahin karta
sach munh se nikal jaata hai koshish nahin karta
girti hui diwaar ka hamdard hun lekin
chadate huye suuraj ki parastish nahin karta
maathe ke pasiine ki mahak aaye toh dekhen
vo khuun mere jism mein gardish nahin karta
hamdardi-e-ahbaab se darta hun 'muzaffar'
main zakhm toh rakhta hun numaaish nahin karta

meri tasviir mein rang aur kisi ka toh nahin

meri tasviir mein rang aur kisi ka toh nahin
gher len mujhko sab aa ke main tamasha toh nahin
zindgi tujhse har ik saans pe samjhauta karuun
shauq jiine ka hai mujhko magar itna toh nahin
ruuh ko dard mila dard ko aankhen na mili
tujhko mehsuus kiya hai tujhe dekha toh nahin
sochte sochte dil duubane lagata hai mera
zahan ki teh mein 'muzaffar' koi dariya toh nahin

maana ke musht-e-khaak se badhkar nahin hun main

maana ke musht-e-khaak se badhkar nahin hun main
lekin hawa ke raham-o-karam par nahin hun main
insan hun dhadakte huye dil pe haath rakh
yun duubkar na dekh samandar nahin hun main
chehre pe mal raha hun siyahi nasiib ki
aaiina haath mein hai sikander nahin hun main
gaalib teri zamin mein likhi toh hai ghazal
tere kad-e-sukhan ke barabar nahin hun main

ab ke barsaat ki ruut aur bhi bhadakili hai

ab ke barsaat ki ruut aur bhi bhadakili hai
jism se aag nikalti hai, qaba gili hai
sochta hun ke ab anjaam-e-safar kya hoga
log bhi kaanch ke hain, raah bhi patharili hai
shiddat-e-qarb mein toh hansna qarb hai mera
haath hi sakht hain zanjiir kahan Dhili hai
gard aankhon mein sahi daag toh chehre pe nahin
lafz dhundhale hain magar fikr toh chamakili hai
ghol deta hai sama'at mein vo mitha lahja
kis ko mallum ke ye qind bhi zaharili hai
pehle rag-rag se meri khuun nichoda ussne
ab ye kehta hai ke rangat hi meri pili hai
mujhko be-rang hi na kar de kahin rang itne
sabz mausam hai, hawa surkh, fiza nili hai
meri parwaz kisi ko nahin bhati toh na bhaaye
kya karun zehan 'muzaffar' mera jibarili hai

beqarari sii beqarari hai

beqarari sii beqarari hai
din bhi bhari hai raat bhari hai
zindgi ki bisaat par aksar
jeeti baazi bhi hamne haari hai
todo dil mera shauq se todo
cheez meri nahin tumhari hai
baar-e-hasti utha saka na koi
ye gham-e-dil jahan se bhaari hai
aankh se chhup ke dil mein baithe ho
haaye kaisi ye parda-daari hai

sitam hawa ka agar tere tan ko raas nahin

sitam hawa ka agar tere tan ko raas nahin
kahan se laauun vo jhonka jo mere paas nahin
pighal chuka hun tamaazat mein aaftaab ki main
mera vujuud bhi ab mere aas-paas nahin
mere nasiib me.n kab thii barahanagii apanii
mili vo mujhko tamnna ki be-libas nahin
kidhar se utare kahan aa ke tujhse mil jaaye
abhi nadi ke chalan se tu ruu_shanaas nahin
khula pada hai samandar kitaab kii surat
vahi padhe isse aakar jo na_shanaas nahin
lahu ke saath gayi tan-badan ki sab chahkar
chubhan saba mein nahin hai kali mein baas nahin

kaise maanun ki zamane ki khabar rakhti hai

kaise maanun ki zamane ki khabar rakhti hai
gardish-e-waqt toh sirf apni khabar rakhti hai
meri pairon ki thakan tum rooth na jaana mujhko
ek tu hi toh mera raaz-e-safar rakhti hai
dosti teri darakhton mein havaayen bhi nahin
dushmani apne darakhton mein samar rakhti hai

jab kabhi bolna waqt par bolna

jab kabhi bolna waqt par bolna
muddaton bolna mukhtsar bolna
daal dega halaqat mein ik din tujhe
ae parinde tera shakh par bolna
pehle kuch duur tak saath chal ke parkh
phir mujhe ham_safar ham_safar bolna
umr bhar ko mujhe besada kar gaya
tera ik baar munh pher kar bolna
meri khanabadoshi se puuchhe koi
kitna mushkil hai raste ko ghar bolna
kyun hai khamosh sone ki chidiya bata
lag gayi tujhko kiski nazar bolna

khayal-e-qaba-o-taiba main kis tarah bhoolun

khayal-e-qaba-o-taiba main kis tarah bhoolun
ye zindgi ka sahara main kis tarah bhoolun
gunahgaron se ahkaron kam nasiib sahi
gulaam hun dar-e-aaka main kis tarah bhoolun
bahaar-e-subah-e-haram kyon na mujhe yaad aayen
sawad-e-sham-e-madiina main kis tarah bhoolun
maze uthaaye hain izhaar-e-dard-e-dil ke jahan
wo ashq-o-aah ki duniya main kis tarah bhoolun
hazar bekhudi-e-shauq hon magar 'taskeen'
khud apne dil ka fasana main kis tarah bhoolun

nazar nazar se milakar sharab piite hain

nazar nazar se milakar sharab piite hain
hum unnko paas bitha kar sharab piite hain
issi liye toh andhera hai maikade mein bahut
yahan gharon ko jala kar sharab piite hain
hamen tumhare siva kuch nazar nahin aata
tumhen nazar men saja kar sharab piite hain
unhiin ke hisse mein aati hai pyas hi aksar
jo duusaron ko pila kar sharab piite hain

sata sata ke hamen ashq_baar karti hai

sata sata ke hamen ashq_baar karti hai
tumhari yaad bahut beqrar karti hai
vo din jo saath guzare thay pyaar ke hamne
talash unnko nazar baar baar karti hai
gila nahin jo nasiibon ne kar diya hai juda
teri judaai bhi ab hamko pyar karti hai
kinare baith ke jis ke kiye thay qaul-o-qaraar
nadi vo ab bhi tera intzaar karti hai

ye bhi kya ehsaan kam hain dekhiye na aap ka

ye bhi kya ehsaan kam hain dekhiye na aap ka
ho raha hai har taraf charcha hamara aap ka
chaand mein toh daag hai par aap mein vo bhi nahin
chaudhavi ke chand se badhkar hai chehra aap ka
ishq mein aise bhi ham duube huye hain aap ke
apne chehre pe sada hota hain dhoka aap ka
chand suraj dhuup subah kehkashan taare shamma
har ujale ne churaya hai ujala aap ka

kuch na kuch toh zaruur hona hai

kuch na kuch toh zaruur hona hai
samna aaj unnse hona hai
todo phenko rakho karo kuch bhi
dil hamara hai kya khilona hai
zindgi aur maut ka matlab
tumko paana hai tumko khona hai
itna darna bhi kya hai duniya se
jo bhi hona hai vo toh hona hai
uth ke mehfil se mat chale jaana
tumse roshan ye kona kona hai

ab ye aankhen kisi taskiin se tabinda nahin

ab ye aankhen kisi taskiin se tabinda nahin
maine rafta se ye jaana hai ke aainda nahin
dil ye viran dam-e-iisa hai gaye waqt ki yaad
kaun sa aalam ka ye rafta hai ke zinda nahin
tu bhi chahe toh na aayegi vo beeti hui raat
hai wahi chaand magar waisa darkhshanda nahin
kabhi gunche ko mahakane se koi rok saka
shauq agar hai toh izaakhaar se sharminda nahin

kho kar mujhe ye ladki kahin dukh se marr na jaaye

khushbu hai vo toh chhu ke badan ko guzar na jaaye
jab tak mere vajuud ke andar utar na jaaye
khud phuul ne bhi hont kiye apne niim-vaa
chori tamaam rang ki titali ke sar na jaaye
iss khauff se vo saath nibhane ke haq mein hai
kho kar mujhe ye ladki kahin dukh se marr na jaaye
palkon ko usski apne dupatte se ponch duun
kal ke safar mein aaj ki gard-e-safar na jaaye
main kis ke haath bhejuun usse aaj ki dua
qaasid hawa sitara koi usske ghar na jaaye

kuch faisla toh ho ki kidhar jaana chahiye

kuch faisla toh ho ki kidhar jaana chahiye
paani ko ab toh sar se guzar jaana chahiye
har baar ediiyon pe gira hai mera lahu
maqtal mein ab ba-tarz-e-digar jaana chahiye
kya chal sakenge jinka faqat mas'laa ye hai
jaane se pehle rakht-e-safar jaana chahiye
saara jawar-bhataa mere dil mein hai magar
ilzaam ye bhi chand ke sar jaanaa chahiye
jab bhi gaye azaab-e-dar-o-baam tha vahi
aakhir ko kitni der se ghar jaana chahiye
tohmat laga ke maan pe jo dushman se daad le
aise sukhan_farosh ko marr jaana chahiye

abr-e-bahaar

abr-e-bahaar ne
phuul ka chehra
apne banafshi haath mein le kar
aise chuuma
phuul ke saare dukh
khushbu ban kar beh nikle hain

rukne ka samay guzar gaya hai

rukne ka samay guzar gaya hai
jaana tera ab thahar gaya hai
rukhsat ki ghadii khadi hai sar par
dil koi do-niim kar gaya hai
maatam ki faza hai shahr-e-dil mein
mujh mein koi shaks marr gaya hai
bujhne ko hai phir se chashm-e-nargis
phir khwab-e-saba bikhar gaya hai
bas ik nigah ki thi ussne
saara chehra nikhar gaya hai

raat guzar gayi

sundar komal sapanon ki barat guzar gayi jaanaan
dhuup aankhon tak aa pahunchi hai raat guzar gayi jaanaan
bhor samay tak jis ne hamen baham uljhaaye rakha
vo albeli resham jaisi baat guzar gayi jaanaan
sada ki dekhi raat hamen iss baar mili toh chup ke se
Khaali haath pe rakh ke kya saugaat guzar gayi jaanaan
kis konpal ki aas mein ab tak waise hi sar-sabz ho tum
ab toh dhuup ka mausam hai barsat guzar gayi jaanaan
log na jaane kin raaton ki muuraaden maanga karte hain
apni raat toh vo jo tere saath guzar gayi jaanaan

zindgi tujhse mil kar zamana hua

zindgi tujhse mil kar zamana hua
aa tujhe aaj ham maikade le chalen
raat ke naam honton ke saagar likhen
apni aankhon mein kuch rat-jage le chalen
kya hassin log hain
aankh aahon ki hain aur lab pankhadi
innki aaraa_ish-e-khal-o-khat ke liye
apni aankhon ke ham aaiine le chalen
ajnabi chehre mein dost bante nahin
rishte-naaton ki chaandi barsti nahin
qurbaten sohabaten jinki yaad aayengi
aise kuch doston ke pate le chalen
unnki aankhon ne jalte sulagte huye
manzaron ke siva kuch bhii dekha nahin
chehra-e-afsoos ke sakinon ke liye
phuul-o-khushbu saba zam-zamen le chalen
zindgi tujhse mil kar zamana hua

khud ko yun mehsoos karta hun

guruub-e-shaam hi se khud ko yun mehsoos karta hun
ki jaise ik diya hun aur hawa ki zad pe rakha hun
chamakti dhuup tum apne hi daaman mein na bhar lena
main saari raat pedon ki tarah baarish mein bhiiga hun
koi tuuta hua rishta na daaman se ulajh jaaye
tumhare saath pehali baar baazaaron mein nikala hun
ye kis aawaz ka bosa mere honton pe kaanpa hai
main pichhali shab sadaaon ki halavat bhuul baitha hun
bichhad ke tum se maine bhi koi saathi nahin dhuundhaa
hujoom-e-rahguzar mein duur tak dekho akela hun

hai tere kaan zulf-e-muimbar lagi hui

hai tere kaan zulf-e-muimbar lagi hui
rakhegi ye na baal barabar lagi hui
baithe bhare huye hain kham-e-mai ki tarah ham
par kya karen ke muhar hai munh par lagi hui
mayyat ko gusal diijo na khaak_saar ki
hai tan pe khaak-e-kucha-e-dilbar lagi hui
nikle hai kab kisi se bhi usski mizha ki nok
hai phaans si kaleje ke andar lagi hui
ae 'zauq' dekh dukhtar-e-raz ko na munh laga
chhut'tii nahin hai munh se ye kaafir lagi hui

lete hi dil jo aashiq-e-dil-soz ka chale

lete hi dil jo aashiq-e-dil-soz ka chale
tum aag lene aaye thay kya aaye kya chale
bal be garuur-e-husn, zamiin par na rakhe paaon
maninde aaftab vo be naqashe pa chale
kya le chale gali se teri ham ke juun nasiim
aaye thay sar pe khaak udane, uda chale
aaluda chashm mein na hui surma se nigaah
dekha, jahan se saaf hi ahale safa chale
saath apne le ke tausane umre ravaan ko aah
ham iss saraaye dahar mein kya aaye kya chale
fikare qaynaat unnko mayassar hui kahan
duniya se dil mein le ke hirs-o-hawa chale
ae ‘zauq' hai gazab nigahe yaar, alhafeez !
vo kya bache ke jis pe ye tiir-e-qaza chale

na karta zabt main

na karta zabt main naala toh phir aisa dhuun uth'ta
ki niiche aasman ke aur naya ik aasman hota
jo rota khol kar jii tangna-e-dahar mein aashiq
toh juu-e-kehkashan mein bhi falak par khun ravaan hota
bagula gar na hota vaadi-e-vehshat mein ae majnuun
toh gumbad hamse saragashton ki tubat par kahan hota
na karta zabt main giriya toh ae 'zauq' ik ghadi bhar mein
katore ki tarah ghadiyal ke garq aasman hota

uss lab-o-chashm se hai

niim_cha yaar ne jis waqt bagal mein maara
jo chadha munh usse maidan-e-azal mein maaraa
uss lab-o-chashm se hai zindgi-o-maut apni
kab-kabhi pal mein jilaya kabhi pal mein maaraa
azal aayi na shab-e-hizr mein aur hamko falak
be_azal tu ne tamnnaa-e-azal mein maara
aankh se aankh hai ladti mujhe dar hai dil ka
kahin ye jaaye na iss joang-o-jadal mein maara
na hua par na hua miir ka andaaz nasiib
'zauq' yaaron ne bahut zor ghazal mein maara

apne chehre se jo zaahir hai chhupaayen kaise

apne chehre se jo zaahir hai chhupaayen kaise
teri marzi ki mutabik nazar aayen kaise
ghar sajane ka tassavur toh bahut baad ka hai
pehle ye tai ho ki iss ghar ko bachaayen kaise
qah-qaha aankh ki bartaav badal deta hai
hansnewale tujhe aansu nazar aayen kaise
koi apni hi nazar se toh hamen dekhega
ek qatre ko samundar nazar aayen kaise

aate aate mera naam saa reh gaya

aate aate mera naam saa reh gaya
usske honton pe kuch kanpata reh gaya
vo mere samne hi gaya aur main
raste ki tarah dekhta reh gaya
jhuuth wale kahin se kahin badh gaye
aur main tha ki sach bolta reh gaya
aandhiyon ke irade toh achchhe na thay
ye diya kaise jalta hua reh gaya

lahu na ho toh

lahu na ho toh kalaam tarjumaan nahin hota
hamare daur mein aansu zuban nahin hota
jahan rahega vahin raushni lutaayega
kisi charag ka apna makan nahin hota
ye kis maqam pe laayi hai meri tanhaai
ke mujhse aaj koi badguman nahin hota
main ussko bhuul gaya hun ye kaun maanega
kisi charag ke bas mein dhuan nahin hota
'wasim' sadiyon ki aankhon se dekhiye mujhko
vo lafz hun jo kabhi daastan nahin hota

main apne khwab se

main apne khwab se bichhada nazar nahin aata
tu iss sadi mein akela nazar nahin aata
ajab dabaav hai in bahri hawaaon ka
gharon ka bojh bhi uthata nazar nahin aata
main ek sada pe hamesha ko ghar chhod aaya tha
magar pukarne wala nazar nahin aata
main teri raah se hatne ko hat gaya lekin
mujh toh koi bhi rasta nazar nahin aata
dhuaan bhara hai yahan sabhi ki aankhon mein
kisi ko ghar mera jalta nazar nahin aata

usske ghar ka pata

mili hawaon mein udane ki vo saza yaaro
ke main zamiin ke rishton se kat gaya yaaro
vo be-khayal musafir main rasta yaaro
kahan tha bas mein mere ussko rokna yaaro
mere qalam pe zamane ki gard aisi thi
ke apne baare mein kuch bhi na likh saka yaaro
tamaam shahr hi jis ki talash mein guum tha
main usske ghar ka pata kis se puchhta yaaro

sirf ashq-o-tabssum mein uljhe rahe

sirf ashq-o-tabssum mein uljhe rahe
humne dekha nahin zindgi ki taraf
raat dhalte jab unnka khayal aa gaya
til-tiki bandh gayi chandani ki taraf
kaun sa zurm hai, kya sitam ho gaya
aankh agar uth gayi, aap hi ki taraf
jaane vo multafit hon kidhar bazm mein
aansuon ki taraf ya hansi ki taraf

nazar fareb-e-qaza kha gayi

nazar fareb-e-qaza kha gayi toh kya hoga
hayaat maut se takra gayi toh kya hoga
nayi sahar ke bohat log muntazir hain magar
nayi sahar bhi kahala gayi toh kya hoga
na rahnumaon ki majlis mein le chalo mujhko
main be-adab hun hansi aa gayi toh kya hoga
gham-e-hayaat se beshaq hai khudkushi aasaan
magar jo maut bhi sharma gayi toh kya hoga
shabaab-e-laala-o-gul ko pukaarnewalon
khizan-sirisht bahaar aa gayi toh kya hoga
ye fikr kar ki iss aasuudagi ke dhoke mein
teri khudi ko bhi maut aa gayi toh kya hoga


tum kinara dekhna

baad-baan khulane se pehle ka ishara dekhna
main samandar dekhti hun tum kinara dekhna
yun bichadana bhi bohat aasan na tha uss se magar
jaate jaate usska vo mud ke dobara dekhna
kis shabaahat ko liye aaya hai darwaze pe chaand
ae shab-e-hizran zara apna sitara dekhna
aaiine ki aankh hi kuch kam na thi mere liye
jaane ab kya kya dikhayega tumhara dekhna


dard sahna wa ranj-o gham karna

dard sahna wa ranj-o gham karna
mashghala ab hai aankh num karna
bekhudi mein bhi lab pe tera naam
baat teri hi aaye sanam karna
husn walon ke zimme kaam yahi
zulm dhana, faqat sitam karna
khush hoon tabiyat bashaash hai meri
qat-taii tum na mera gham karna
bas dua karna mere haq mein zaroor
baad marne ke na maatam karna
sar katana hamen raha manzoor
hum ko aaya na sar ko kham karna
dili sokoon mayassar ho 'seraj'
mujh pe malik mere karam karna


tai karunga yeh andhera main akela kaise

tai karunga yeh andhera main akela kaise
mera humraah chalega mera saaya kaise
chaandani uss se lipat jaaye, hawayein cheedein
koi reh sakta hai duniya mein achoota kaise
main toh uss waqt se darta hun ke woh pooch na le
yeh agar zabt ka aansu hai toh tapka kaise
iss liye khuda sirf se hai takhatib mera
mere jazbaat ko samjhega farishta kaise
jo mere dast-e-mushaqat ke hain mohtaaj, 'nadeem'
cheen lete hain mere munh ka niwala kaise


baith jaata hai woh jab mehfil mein aa ke saamne

baith jaata hai woh jab mehfil mein aa ke saamne
main hi bas hota hun usski iss ada ke saamne
tez thi itni ke sara shehr suna kar gayi
der tak baitha raha main iss hawa ke samne
raat ek ujde makaan pe ja ke jab awaaz di
goonj uthe baam-o-dar meri sada ke saamne
woh rangeela haath mere dil pe aur usski mehak
shama dil bujh si gayi rang-e-hina ke saamne
main toh ussko dekhte hi jaise pathar ho gaya
baat tak munh se na nilti bewaffa ke saamne
yaad bhi hain usse 'munir' iss shaam ki tanhaiyan
ek maidan, ek darakht aur tu khuda ke saamne

har ek baat ko chup-chaap kyun suna jaaye

har ek baat ko chup-chaap kyun suna jaaye
kabhi toh hausla kar ke nahi kaha jaaye
tumhara ghar bhi issi shehr ke hisaar mein hai
lagi hai aag kahan ? kyun ? pata kiya jaaye
juda hai heer se ranjha kai zamaanon se
naye sire se kahani ko phir likha jaaye
kaha gaya hai sitaron ko chuuna mushkil hai
yeh kitna sach hai, kabhi tazurba kiya jaaye
kitabein yun toh bohat si hain mere baare mein
kabhi akele mein khud ko bhi padh liya jaaye


dil ko haal-e-qaraar mein dekha

dil ko haal-e-qaraar mein dekha
yeh karishma bahaar mein dekha
jis ko chaha khumar mein chaha
jis ko dekha khumar mein dekha
khwahishon ko bohat hawa dena
wasaf yeh hum ne yaar mein dekha
ek bashar mein kai bashar dekhe
juzw e kul ke hisar mein dekha
jab se dekha hai iss zamiin ko 'munir'
qaid-e-lail-o-nahaar mein dekha

Monday, July 27, 2009

vo aatishi se dil behla rahe hain

vo aatishi se dil behla rahe hain
hum khud ko jalakar muskura rahe hain
dekha hai lal surkh jode mein unnko
wo saj-dhaj ke dekho kitna ithla rahe hain
gairon se milte hain apno ki tarah
apno ko jaane kyun bhulaye ja rahe hain
milegi zamane se jab bewaffai unnko
kahenge sabse aaj hamen phir vo yaad aa rahe hain

teri aamad ab na bane shayad

teri aamad ab na bane shayad bayas-e-wisaal na sahi
na ho ab girfat mein meri shayad tera jamaal na sahi
na ho ab naseeb mujhe tere honton ki haraarat shayad
na uthein ab tere dil mein shayad mere khayal na sahi
na sahi teri aamad mein nihaan ab mere khwabon ki taabir
na sahi ab mere hisse mein teri khushbu ki jaagir
teri aankhon mein umadte mere liye vo jazbaat ab na sahi
na sahi tere tarkash mein ab koi mere naam ka teer
na sahi yeh sab magar chupke se tumhen nihaar toh lunga
apne khwabon, jism-o-jaan mein utaar toh lunga

mohabbat ho hi jati hai

bachao lakh dil ko ,mohabbat ho hi jati hai.
najar akhir najar hai yah shararat ho hi jati hai.
safar is zindagi ka taya akele ho nahi sakta.
koi,apana bhi sathi ho yah chahat ho hi jati hai.
nahi kuch hosh apna dundhate hain har taraf unko.
diwane hain,diwano ki yah halat ho hi jati hai.
kare ab unse kya sikwa bhala anpni tabahi ka.
dilo ko tod dena zinki adat ho hi jati hai.
agar wo sath hon,apne to gulasan ho ya virana.
jagah koi bhi ho misle jannat ho hi jati hai.
chupaya ja nahi sakta mohbbat ke fasane ko.
jamane bhar ko jahir yah hakikat ho hi jati hai.
yah adat hi nahi yu to kisi se kuch kahe "janaa".
magar jab tootata hai dil,shikayat ho hi jati hai..

tere dukhon ko apni taqdeer main bana loon

teri yaadon ke bikhare tukde chun kar
guzre maazi ki zara tasveer main bana loon
apni har khushi tere naam likh kar janaan
tere dukhon ko apni taqdeer main bana loon
kuch toh bol, hukm kar, ched toh sahi qissa
tere gham ki shayad kuch tadbeer main bana loon
thehr ja, mere iss khwab ko pareshan na kar
aankh khulne se pehle taabeer main bana loon
chahta hoon pehna doon insaniyat ke gale mein jo
tu saath ho mohbbat ki ek zanjeer main bana loon

usski nafrat bhi mohbbat hogi

woh qayamat ho, sitara ho ke dil
kuch na kuch hizr mein toote toh sahi
hum wahin par hi basa len khud ko
woh kabhi raah mein roke toh sahi
sab se hat kar hi manana hai usse
humse ik baar woh roothe toh sahi
dil ussi waqt sambhal jaayega
dil ka ahwaal woh pooche toh sahi

usski nafrat bhi mohbbat hogi
mere baare mein woh soche toh sahi
usske qadmon mein bicha doon aankhein
meri raahguzar se woh guzre toh sahi
usske sab jhooth bhi sach maan loon ae dil
shart sirf itni ke woh bole toh sahi

duniya ki har ek rasm ko todd de
wo humse bole toh sahi

yeh dil bhulata nahi hai

yeh dil bhulata nahi hai muhabatein usski
padi hui thi mujhe kitni aadatein usski
yeh mera sara safar usski khushbuon mein kaata
mujhe toh raah dikhati thi chahtein usski
ghirhi hui hun main cheezon ki bheed mein lekin
kahin nazar nahi aati shabahatein usski
main duur hone lagi hun toh aisa lagta hai
ke chhaon jaisi thi mujh par rafaqatein usski
yeh kis gali mein yeh kis shehr mein nikal aaye
kahan pe reh gayi logon sadaqatein usski
main barishon mein juda ho gayi hun uss se magar
yeh mera dil, meri saansein hai amanatein usski

tamana phir machal jaaye

tamana phir machal jaaye agar tum milne aa jaao
ye mosam b badl jaaye agar tum milne aa jaao
muje gham hai k main ne zindgi main kuch nahi paaya
ye gham dil se nikal jayee agar tum milne aa jaao
ye duniya bhar k jhagre,ghar k qisse,gham ki baaten
bala her ek tal jaaye agar tum milne aa jaao
nahi milte ho muj se tum to sab hamdard hain mere
zamana muj se jal jaaye agar tum milne aa jaao

mujhse khaffa ho ke

mujhse khaffa ho ke chup-chaap sa baith jaata hai
khud bhi jalta hai mujhe bhi saath jalaata hai
ussko manate huye main khud hi rooth jaaon toh
phir mere paas aa ke raat bhar mujhe manata hai
khud hi sawal kar ke khud hi jawab deta hai
phir mere seene mein meri toh har khushi gurbaan
uss ek pal ke sadqe mein meri toh har khushi qurbaan
jab vo shair kehte huye dheere se muskurata hai
subah ka sitara lagta hai zindgi se payara lagta hai
meri baahon mein aate huye jab vo bohat sharmata hai
meri yaad ke mausam ko palkon pe sajaye rakhta hai
beete huye har pal ki khabar mil kar mujhe batata hai
mere bagaiir kaise guzri usski kal ki raat
usski aankh ka phela kajal saari kahani sunata hai
iss shehr ke sawan mein barish ki raat jab aati hai
be-ikhtiyaar hi ek shaks yaad bohat aa jaata hai
main usske naam ki nisbat se mautbar hun apni zaat mein
mere khayal ka har ek saaz geet ussi ke gaata hai

samet lo mujhe

aaj phir udas hoon mein
daman na diya tum ne
toh ansoo bekhar jaayenge
dil jo toota toh sheshe ki tarha
unnko choban hogi
sapne jo bekhray
toh subha ka anchal bhi inhein samet na payega
baikarareeyan seene mein chupne ko machal jayengi
honton ki masoom si muskrahat
udasi mein badal jayegi
aaj phir udas hoon mein
tum khud mein seemat jane do..............!

sawaare-besamand

zamiin jis se choot gayi
baab[door] zindgi ka jis pe bandh hai
vo jaanta hai yeh ki veh sawaare-besamand[bina ghode ka] hai
magar vo kya kare
ki ussko aasman ko jaane wala raasta pasand hai

nazm - lambhi chup ka natiza

mere dil ki khauf-hiqayat mein
yeh baat kahin par darz karo
mujhe apni sada sun'ne ki saza
lambhi chup ki surat mein
mere bolne mein jo luknaat[tutlahat] hai
iss lambhi chup ka natiza hai

nazm - zamiin se duur

iss khala se zamiin ka har gosha
jitna dilkash dikhai deta hai
ussne khwabon mein bhi nahin dekha
veh nahin aayega zamiin pe ab

nazm - safar ki ibtida naye sire se ho

safar ki ibtida naye sire se ho
ki aage ke tamaam mod veh nahin hain
chintiyon ne haathiyon ki suund mein panah li
thake-thake se lag rahe ho
dhoondh ke gilaaf mein, udhar veh chaand rege-aasman se
tumhein sadayein de raha hai, sun rahe ho
tumhari yaad'daasht ka koi warq nahin bacha
toh kya hua
guzishta rozo-shab se aaj mukhtlif hai
aane wala kal ke intizaar ka
sajaao khwab aankh mein
jalao phir se aaftab aankh mein
safar ki ibtida naye sire se ho

nazm - khwab ko dekhna kuch bura toh nahin

barf ki ujli poshak pehne huye
inn pahadon mein veh dhoondhna hai mujhe
jiska main muntzir ek muddat se hun
aisa lagta hai, aisa hua toh nahin
khwab ko dekhna kuch bura toh nahin

nazm- - khalilur'rehman azmi ki yaad mein

dhool mein lipte chehre wala
mera saaya
kis manzil, kis mod pe bichada
oos mein bhegi yeh pagdandi
aage ja kar mud jaati hai
katbon ki khushbu aati hai
ghar vapas jaane ki khwahish
dil mein pehle kab aati hai
iss lamhe ki rang-birangi sab tasveerein
pehli baarish mein dhuul jaayen
meri aankhon mein lambhi raatein ghuul jaayen

nazm - neend se aage ki manzil

khwab kab toot'te hain
aankhein kisi khauff ki tariqi se
kyun chamak uthti hain
dil ki dhadkan mein tasalsul baaqi nahin rehta
aisi baaton ko samjhna nahin aasan koi
neend se aage ki manzil nahin dekhi tumne

nazm - badan ke aas-paas

labon pe reit haathon mein gulaab
aur kaanon mein kisi nadi ki kaanpti sada
ye saari ajnabi fiza
mere badan ke aas-paas hai

khwab khoob dekho tum

waqffe-judai ko usske naam kar do tum
apne dil ke andar hi baar-baar jhanko tum
kya khabar ki kya tumko jalwa usska mil jaaye
khwab achche hote hain, khwab khoob dekho tum
veh wahan tha, phir yaan tha, ab kahan hai batlao
aks usske saaye ka dekh kar na phoolo tum
ussne apne milne ki, ik jagah nahin tai ki
aasman se laut aaye, ab zamiin pe dhoondho tum
chaand aur sitaron ki saans phool jaati hai
phir bhi ae junoon walo usski samt daudo tum

magar ye shart hai

ye chahti hai hawa ussko ajmaaon na main
koi chiraag kahin bhi, kabhi jalaaon na main
sukoot-saaya rahe iss zamiin par har dam
koi sada, koi fariyaad lab pe laaon na main
yunhi bhatkta rahun umr bhar udas-udas
suraag bichade huon ka kahin bhi paaon na main
safar ye mera kisi taur mukhtsar ho jaaye
vo mod aaye ki jii chahe aage jaaon na main
bhula toh dun tere kehne pe tujhko dil se main
magar ye shart hai tujhko bhi yaad aaon na main

aisi tariqi hai

aisi tariqi hai, mera dil bohat ghabraye hai
khwab dekhoon kis tarah main, aankh khul khul jaaye hai
soa raha hai shehr sannaton ki chadar odh kar
meri yeh awaaz dar-dar jaaye hai, pachtaye hai
aa rahe hain chand saaye dhoondh ke uss paar se
dekhna hai, kaun meri uljhane suljhaye hai
aaj ka din haan koi achcha nahin tasleem hai
aane wala din bohat behtar hai, meri raaye hai

ek hi dhuun hai

ek hi dhuun hai ki iss raat ko dhalta dekhoon
apni inn ankhon se suraj ko nikalta dekhon
ae junoon tujhse taqaza hai yahi dil ka mere
shahre-ummid ke naqshe ko badalta dekhon
yeh safar veh hai ki rukne ka mukaam iss mein nahin
main jo thak jaaun toh parchai ko chalta delhoon
chahe tariqi mukhaliif ho, hawa dushman ho
mashale-dard ko har haal mein jalta dekhoon
wasl-aasaar koi lamha mayssar aaye
hizr ki saa'at-e-be_mehar ko talta dekhoon

dil mein rakhta hai na

dil mein rakhta hai na palkon pe bithata hai mujhe
phir bhi ik shaks mein kya-kya nazar aata hai mujhe
raat ka waqt hai suraj hai mera rehnuma
der se, duur se yeh kayn bulata hai mujhe
meri inn ankhon ko khwabon se pashemani hai
neend ke naam se jo haul-sa aata hai mujhe
tera munkir nahin e waqt magar dekhna hai
bichde logon se kahan, kaise milata hai mujhe
qisse-e-dard mein yeh baat kahan se aayi
main bohat hansta hun, jab koi sunata hai mujhe

bohat masroof ho tum

zamiin daaman kashan hai ab jiyan se
issi baies hai nisbat aasman se
bohat masroof ho tum, waqt kam hai
sunaate hain kahani darmiyan se
hawa ne kar diya be-samt phir se
juda kashti ko karke baadbaan se
musafir sab wahin ab tak khade hain
chale thay muddaton pehle jahan se
jo payse thay, sada payse rahenge
samandar dhak gaya rege-rawaan se
badalte manzaron se aankh hairan
sada khaief sukoot-e-bekran se

teri gali se dabe paanv

teri gali se dabe paanv kyun guzarta hun
vo aisa kya hai jise dekhne se darta hun
kisi uffaq ki zaroorat hai meri aankhon ko
jo aaj khalq naya aasman karta hun
bade jatan se, bade ehtmaam se tujhko
bhula raha hun, muhbbat ka dam bhi bharta hun
utaarna hai mujhe qaez kitne logon ka
zara sukoon mile toh hisaab karta hun
azab nahin ki kisi yaad ka gohar mil jaaye
gaye dinon ke samandar mein phir utarta hun

main tanha gaya tha

mehfil mein bohat log thay, main tanha gaya tha
haan, tujhko vahan dekh ke kuch dar-sa gaya tha
yeh hadsa, kis waqt, kahan, kaise hua tha
payson ke taakub[peeche] mein, suna, dariya gaya tha
aankhein hain ki bas rozne-diwar[jharokha] hui hain
iss tarah tujhe pehle kabhi dekha gaya tha
ae khalq-khuda tujhko yaqiin aaye na aaye
kal dhoop tehffuz[protect] ke liye saaya gaya tha
veh kaun-sii sa'aat thi, pata ho toh bataao
yeh waqt, shab-o-roz mein jab baanta gaya tha

muddat se yahan tanha khada hun

haqiiqat hun ki bas ik vahma hun
ye pucha ja raha hai mujhse kya hun
bohat khush ajnabi logon se mil kar
hua hun dosto aksar hua hun
yahan se koi guzrega nahin kya
ki muddat se yahan tanha khada hun
kahan par saath choda yaade-jaanan !
sukoot-e-shaam se darne laga hun !
mujhe ab bhi hain suraj se ummidein
andheron tumse jo main lad raha hun
kahun, gar saath den alfaaz mera
main inn ankhon se jo kuch dekhta hun

suraj ka jalna

suraj ka jalna, bhujh jaana, khel hawa ke haath ka hai
mee shehr pe issi liye toh saaya kaali raat ka hai
qaid hun khud hi ik muddat se duuri ki diwaron mein
kya batlaon kaisa rishta mujhse meri raat ka hai
inn jhulse paudon ko dekho aasman ko taqte hain
kehne walon ka kehna hai, mausam yeh barsaat ka hai
meri tarah usski aankhein bhi khauff chamak se khali hai
ye aahu[hiran], ye vehshi aahu, shayad mere saath ka hai
badan-zaroorat se bhi jayda jism-hawas parvaan chadhi
hona tha jo vahi hua hai, shikwa kyun haalaat ka hai

chod kar jaane ko kehti hai

mujhe khwab aasman se phir utar jaane ko kehti hai
suno toh, neend aankhon mein thehr jaane ko kehti hai
har ik aalam mein jis ne darmiyan ik fansla rakha
vahi parchayi ab hadh se guzar jaane ko kehti hai
jahan bhi, jab bhi milti hai, hamesha zindgi mujhse
koi bilkul anokha kaam kar jaane ko kehti hai
mujhe iss dasht mein sab kuch mayssar hai magar phir bhi
koi awaaz hai, jo roz ghar jaane ko kehti hai
azab-sii dhoondh thi, mehfooz jisne raat se rakha
magar ab veh bhi mujko chod kar jaane ko kehti hai

shaam hone wali hai

ae musafir-e-tanha, shaam hone wali hai
jald laut ke ghar ja, shaam hone wali hai
baithne lage aa kar kya parinde shakhon par
dekh raks pedon ka, shaam hone wali hai
aaj paanv ke neeche, koi shai zamiin-sii hai
aaj kya gazab hoga, shaam hone wali hai
reit ke samandar mein ek naav kaaghaz ki
kaise sach hua sapna, shaam hone wali hai
jagmaga raha hai phir aasman chiikhon se
aur tuuta sanata, shaam hone wali hai
dhoondh ke dariche bhi bandh hone wale hain
bhool ja ki kya dekha, shaam hone wali hai

dua mein asar nahin aaya

padaav aaye kai, ek ghar nahin aaya
ki raas ab ke bhi humko safar nahin aaya
kiya tha khalq azab aasman aankhon ne
kahan ka chaand, sitara nazar nahin aaya
jo ek baar gaya sabz paaniyon ki taraf
suna gaya hai kabhi laut kar nahin aaya
chirag jalte hawaon ki sarparasti mein
hamare logo-tumhen yeh hunar nahin aaya
bhula ke tujhko khazil hote aur kya hota
bhala hua ki dua mein asar nahin aaya

Friday, July 24, 2009

barish ke baad


ho gayi rukhsat ghata barish ke baad
ek diya jalta raha barish ke baad
mere behte huye aansuon ko dekh kar
roa padi hawa barish ke baad
meri tanhai ka daaman thaam kar
kuch udasi ne kaha barish ke baad
chand dekh kar baadlon ki qaid mein
ek sitara roa diya barish ke baad
apni ghar ki har kachhi diwaar par
naam tera likh diya maine barish ke baad

wel come