Tuesday, March 31, 2009

mushfik ki shayyiri

कितने अफसाने बनेंगे मेरे अफसाने के बाद।
गर्दिशें ढूँढा करेंगी खा़क हो जाने के बाद।
आ गये आँखों में आँसू जब्ते ग़म को क्या कहें
अपने रुदादे ग़में दौराँ को दोहराने के बाद।
मुन्तज़िर हैं हम कभी इस राह से लौटेंगे आप
एक ज़माना जा चुका है आपके जाने के बाद।
साँस का क्या है कहीं एक पल में ही रुक जाएगी
ज़िंदगी रुसवा करेगी हमको याराने के बाद।
गर्क थे हम अपने फिक्रोफन में ही आठों पहर
लोग दीवाने हुए हैं हमको समझाने के बाद।
वलवले हैं हलचले हैं मशगले हैं रात दिन
ज़िंदगी मीठी लगे है पेट भर जाने के बाद
क्यूँ हिरासाँ है तु ‘मुश्फिक’ सर ज़मीने हिन्द में
ज़िंदगी पाए सुखनवर जान से जाने के बाद

altaf husain haali ki shayyiri

दिल से ख़याल-ए-दोस्त भुलाया न जायेगा
सीने में दाग है, मिटाया न जायेगा
तुमको हज़ार शर्म सही, मुझको लाख ज़ब्त
उल्फत वो राज़ है जो छुपाया न जायेगा
मकसूद अपना कुछ न खुला लेकिन इस कदर
यानी वो ढूँढ़ते हैं कि पाया न जायेगा
बिगडें न बात बात पे क्यूँ जानते हैं वो
हम वो नहीं कि हमको मनाया न जायेगा

altaf husain haali ki shayyiri

dil se khayal-e-dost bhulaya na jaayega
seene mein daag hai, mitaya na jaayega
tumko hazar sharm sahi, mujhko laakh zabt
ulfat vo raaz hai jo chhupaya na jaayega
maqsuud apna kuch na khula lekin iss qadar
yaani vo dhundhte hain ki paaya na jaayega
bigden na baat baat pe kyun jaante hain voh
hum voh nahin ki humko manaya na jaayega

ibrahim ashk ki shayyiri

मोहब्बत का यही तोहफा बोहत है
मेरे पहलू में एक शोला बोहत है
अमर कर लूँ अगर में आज इसको
सदी के बीच एक लम्हा बोहत है
समंदर, मौज-ए-दरया सब तुम्हारे
मुझे शबनम का एक कतरा बोहत है
हजारों कारवाँ हैं रास्ते में
जो मंजिल पर है वोह तनहा बोहत है
हवस रखता नहीं में माल-ओ-जार कि
मुझे एक दर्द का सिक्का बोहत है
किताब-ए-इश्क़ जो पढ़ने लगे हैं
तो हर पहलू से दिल तड़पा बोहत है
समझ पाए नहीं हम उस की बातें
वोह है नादाँ मगर गहरा बोहत है

ibrahim ashk ki shayyiri

mohbat ka yahi tohfa bohat hai
mere pehlu mein ek shola bohat hai
amar kar luun agar main aaj issko
sadi ke beech ek lamha bohat hai
samandar, mauj-e-dariya sab tumhare
mujhe shabnam ka ek qatra bohat hai
hazaron kaarvan hain raaste mein
jo manzil par hai voh tanha bohat hai
hawas rakhta nahin main maal-o-zar ki
mujhe ek dard ka sikka bohat hai
kitab-e-ishq jo padhne lage hain
toh har pehlu se dil tadpa bohat hai
samjh paaye nahin hum usski baatein
vo hai naadan magar gehra bohat hai

jaan nisar akhtar ki shayyiri

रुखों के चांद, लबों के गुलाब मांगे है
बदन की प्यास, बदन की शराब मांगे है
मैं कितने लम्हे न जाने कहाँ गँवा आया
तेरी निगाह तो सारा हिसाब मांगे है
मैं किस से पूछने जाऊं कि आज हर कोई
मेरे सवाल का मुझसे जवाब मांगे है
दिल-ए-तबाह का यह हौसला भी क्या कम है
हर एक दर्द से जीने की ताब मांगे है
बजा कि वज़ा-ए-हया भी है एक चीज़ मगर
निशात-ए-दिल तुझे बे-हिजाब मांगे है

jaan nisar akhtar ki shayyiri

rukhon ke chaand, labon ke gulaab maange hai
badan ki payas, badan ki sharaab maange hai
main kitne lamhe na jaane kahaan ganwa aaya
teri nighah toh sara hisaab maange hai
main kis se puuchne jaaon ki aaj har koi
mere sawaal ka mujhse jawab maange hai
dil-e-tabah se jeene ki taab maange hai
har ik dard se jeene ki taab maange hai
baja ki vazaa-e-haya bhi hai ek cheez magar
nishaat-e-dil tujhe be_hizab maange hai

shabbir hasan khan josh malihabaadi ki shayyiri

सोज़-ए-गम दे मुझे उसने ये इरशाद किया
जा तुझे कशमकश-ए-दहर से आज़ाद किया
वो करें भी तो किन अलफ़ाज़ में तेरा शिकवा
जिनको तेरी निगाह-ए-लुत्फ़ ने बरबाद किया
इतना मानूस हूँ फितरत से, कली जब चट्की
झुक के मैंने ये कहा, ''मुझसे से कुछ इरशाद किया?''
मुझको तो होश नहीं, तुम को खबर हो शायद
लोग कहते हैं कि तुमने मुझको बरबाद किया

shabbir hasan khan josh malihabaadi ki shayyiri

soz-e-gam de mujhe ussne ye irshaad kiya
ja tujhe kashmakash-e-dahar se aazad kiya
vo karen bhi toh kin alfaaz mein tera shikwa
jinko teri nigah-e-lutf ne barbaad kiya
itna maanus hun fitrat se kali jab chatki
jhuk ke maine ye kaha,"mujhse kuch irshad kiya ?"
mujhko toh hosh nahi, tumko khabar ho shayad
log kehte hain ki tumne mujhko barbaad kiya

manzar bhopali ki shayyiri

एक नया मोड़ देते हुए फिर फ़साना बदल दीजिये
या तो खुद ही बदल जाइए या ज़माना बदल दीजिये
तर निवाले खुशामद के जो खा रहे हैं वो मत खाइए
आप शाहीन बन जायेंगे आब-ओ-दाना बदल दीजिये
अहल-ए-हिम्मत ने हर दौर मैं कोह[पहाड़] काटे हैं तकदीर के
हर तरफ रास्ते बंद हैं, ये बहाना बदल दीजिये
तय किया है जो तकदीर ने हर जगह सामने आएगा
कितनी ही हिजरतें कीजिए या ठिकाना बदल दीजिये
हमको पाला था जिस पेड़ ने उसके पत्ते ही दुश्मन हुए
कह रही हैं डालियाँ, आशियाना बदल दीजिये

manzar bhopali ki shayyiri

ek naya mod dete huye phir fasana badal dijiye
ya toh khud hi badal jaaiye ya zamana badal dijiye
tar nivaale khushaamad ke jo khaa rahe hain vo mat khaaiye
aap shaheen ban jaayenge aab-0-daana badal dijiye
ahl-e-himmat ne har daur mein koh[hills] kaate hain taqdeer ke
har taraf raaste bandh hain, ye bahana badal dijiye
tai'n kiya hai jo taqdeer ne har jagah saamne aayega
kitni hi hijratein kijiye ya thikaana badal dijiye
humko paala tha jis paid[tree] ne usske patte hi dushman huye
keh rahi hain daaliyan, aashiyana badal dijiye

meer ki shayyiri

ज़ख्म झेले दाग़ भी खाए बोहत
दिल लगा कर हम तो पछताए बोहत
दैर से सू-ए-हरम आया न टुक
हम मिजाज अपना इधर लाये बोहत
फूल, गुल, शम्स-ओ-क़मर सारे ही थे
पर हमें उनमें तुम ही भाये बोहत
गर बुका इस शोर से शब् को है तो
रोवेंगे सोने को हमसाये बोहत
मीर से पूछा जो मैं आशिक हो तुम
हो के कुछ चुपके से शरमाये बोहत

meer ki shayyiri

zakhm jhele daagh bhi khaaye bohat
dil laga kar hum toh pachtaaye bohat
dair se suu-e-haram aaya na tuk
hum mizaaj apna idhar laaye bohat
phuul, gul, shams-0-qamar saare hi thay
par hamen unn mein tum hi bhaaye bohat
gar bukaa iss shor se shab ko hai toh
ovenge sone ko ham_saaye bohat
meer se poocha jo main aashiq ho tum
ho ke kuch chupke se sharmaye bohat

maulana muhammad ali jauhar ki shayyiri

दौर-ए-हयात आयेगा क़ातिल कज़ा के बाद
है इब्तिदा हमारी तेरी इन्तेहा के बाद
जीना वोह क्या कि दिल में न हो कोई आरज़ू
बाकी है मौत ही दिल-ए-बे-मुद्दा'अ के बाद
तुझ से मुकाबले की किसे ताब है वले
मेरा लहू भी खूब है तेरी हिना के बाद
लज्जत हनोज़ माइदा-ए-इश्क़ में नहीं
आता है लुत्फ़-ए-जुर्म-ए-तमन्ना, सज़ा के बाद
क़त्ल-ए-हुसैन असल में मर्ग-ए-यजीद है
इस्लाम जिंदा होता है हर कर्बला के बाद

maulana muhammad ali jauhar ki shayyiri

daur-e-hayaat aayega qaatil qaza ke baad
hai ibtida hamari teri inteha ke baad
jeena voh kya ki dil mein na ho koi aarzu
baaqi hai mauut hi dil-e-be_mudaa ke baad
tujhse muqaable ki kise taab hai vale
mera lahu bhi khoob hai teri hina ke baad
lazzat hanoz maaida-e-ishq mein nahin
aata hai lutf-e-zurm-e-tamana, saza ke baad
qatl-e-husain asl mein marg-e-yaziid hai
islaam zinda hota hai karbala ke baad

shakeb jalaali ki shayyiri

खामोशी बोल उठे, हर नज़र पैगाम हो जाये
ये सन्नाटा अगर हद से बढ़े, कोहराम हो जाये
सितारे मशालें ले कर मुझे भी ढूंडने निकलें
मैं रास्ता भूल जाऊं, जंगलों में शाम हो जाये
मैं वो आदम-गजीदा[आदमियों का डसा हुआ] हूँ जो तन्हाई के सहरा मैं
खुद अपनी चाप सुन कर लरज़ा-ब-अन्दाम हो जाये
मिसाल ऎसी है इस दौर-ए-खिरद के होश्मंदों की
न हो दामन में ज़र्रा और सहरा नाम हो जाये
शकेब अपने तार्रुफ़ के लिए ये बात काफी है
हम उस से बच के चलते हैं जो रास्ता आम हो जाये

shakeb jalaali ki shayyiri

khamoshi bol uthe, har nazar paigaam ho jaaye
ye sanaata agar had se badhe, kohraam ho jaaye
sitaare mashaalein le kar mujhe bhi dhuundne niklen
main rasta bhool jaaun, jangalon mein shaam ho jaaye
main vo aadam-gazida[आदमियों का डसा हुआ] hun jo tanhai ke sehra mein
khud apni chaap sun kar larza-ba-andaam ho jaaye
misaal aisii hai iss daur-e-khirad ke hoshmandon ki
na ho daaman mein zarra aur sahraa naam ho jaaye
'shakeb' apne taaruf ke liye ye baat kaafi hai
hum uss se bach ke chalte hain jo rasta aam ho jaaye

zafar sahbai ki shayyiri

यह दुनिया एक ख्वाबों की ज़मीन है
यहाँ सब कुछ है और कुछ भी नहीं है
तेरे छूने से पहले वाहमा था
मुझे अब अपने होने का यकीं है
जो सोचो तो सुलग उठती हैं साँसें
तेरा एहसास कितना आतिशीं है
मोहाजिर बन गए हैं मेरे आंसू
न आँचल है न कोई आस्तीन है
जगह दूँ कैसे तुझको अपने दिल में
यहाँ तो तेरा गम मसनद-नशीं ही
मेरे चेहरे पे कोई झुक रहा है
यह लम्हा तो खुदा जैसा हसीं है

zafar sahbai ki shayyiri

yeh duniya ek khwaabon ki zamiin hai
yahan sab kuch hai aur kuch bhi nahin hai
tere chhune se pehle vehma tha
mujhe ab apne hone ka yaqiin tha
jo socho toh sulag uthti hain saansein
tera ehsaas kitna aatishiin hai
mohaajir ban gaye hain mere aansuu
na aanchal hai na koi aastiin hai
jagah duun kaise tujhko apne dil mein
yahan toh tera gam masnad-nashiin hai
mere chehre pe koi jhuk raha hai
yeh lamha toh khuda jaisa hasiin hai

yaas yagaana changezi ki shayyiri

किसकी आवाज़ कान में आई
दूर की बात ध्यान में आयी
आप आते रहे बुलाते रहे
आने वाली एक आन में आयी
यह किनारा चला कि नाव चली
कहिये क्या बात ध्यान में आयी!
इल्म क्या इल्म की हकीक़त क्या
जैसी जिसके गुमान में आयी
आँख नीचे हुई अरे यह क्या
यूं गरज़ दरम्यान में आयी
मैं पयम्बर नहीं यगाना सही
इस से क्या कसर शान में आयी

yaas yagaana changezi ki shayyiri

kiski aawaz kaan mein aayi
duur ki baat dhayaan mein aayi
aap aate rahe bulaate rahe
aane wali ek aan mein aayi
yeh kinara chalaa ki naav chali
kahiye kya baat dhayan mein aayi
ilm kya ilm ki haqiqat kya
jaisi jiske gumaan mein aayi
aankh neeche hui aur yah kya
yun garaz darmiyan mein aayi
main payambar nahin yagaana sahi
iss se kya kasar shaan mein aayi

aadil mansoori ki shayyiri

आधों की तरफ से कभी पौनों की तरफ से
आवाज़े कसे जाते हैं बौनों की तरफ से
हैरत से सभी ख़ाक-ज़दा देख रहे हैं
हर रोज़ ज़मीन घटती है कोनों की तरफ से
फिर कोई असा दे कि वो फुंकारते निकले
फिर अजदहे फ़िरऔन के टोनों की तरफ से
बातों का सिलसिला जारी हो किसी तौर
खामोशी ही खामोशी है दोनों की तरफ से
फिर बाद में दरवाज़ा दिखा देते हैं आदिल
पहले वो उठा देते हैं बिछौनों की तरफ से

aadil mansoori ki shayyiri

aadhon ki taraf se kabhi paunon ki taraf se
aawaze kase jaate hain baunon ki taraf se
hairat se sabhi khaak-zada dekh rahe hain
har roz zamiin ghatti hai konon ki taraf se
phir koi asaa de ki voh phunkaarte nikle
phir azdahe firaun ke tonon ki taraf se
baaton ka silsila jaari ho kisi taur
khamoshi hi khamoshi hai donon ki taraf se
phir baad mein darwaza dikha dete hain 'aadil'
pehle vo utha dete hain bichhauon ki taraf se

abdulla kamal ki shayyiri

कोई उस शहर में कब था उसका
उसे यह ज़ोअम[pride] कि रब था उसका
उसकी रग रग में उतरती रही आग
उसके अन्दर ही गज़ब था उसका
वही सिलसिला-ए-तार-ए-नफस
वही जीने का सबब था उसका
सिद्क़[truth)]-जादा था वोह शाहज़ादा कमाल
बस यही नाम-ओ-नसब था उसका

abdulla kamal ki shayyiri

koi uss shahr mein kab tha usska
usse yeh zo'm[pride] ki rab tha usska
usski rag rag mein utarti rahi aag
usske andar hi gazab tha usska
vahi silsila-e-taar-e-nafas
vahi jine ka sabab tha usska
sidq[truth]-zafa tha voh shahzada kamaal
bas yahi naam-0-nasab tha usska

abdulla kamal ki shayyiri

लिखना उसे होंटों से, पढ़ना लब-ए-लालीना[red lips]
उस शोख को लिख पढ़ के सीखा है ग़ज़ल जीना
सब संग-ए-मलामत के रुख़ एक ही जानिब हैं
ज़द[target] पर हूँ मगर मैं ही, मैं ही हूँ मगर बीना[having eyesight, wise]
पाबस्ता सदाओं की जंजीर सी है आगे
आगे न जा इस हद से थम जा..दिल-ए-गमगीना
तलवार सी चलती है वो काट है साँसों में
किन खूनी बगूलों की ज़द पर है मगर मेरा सीना
कब चढ़ता हुआ सूरज धरती पे उतर आये
कब राह में रूक जाये यह चलता हुआ जीना

abdulla kamal ki shayyiri

likhna usse honton se, padhna lab-e-laalina[red lips]]
uss shokh ko likh ke shikha hai gazal jina
sab sang-e-malaamat ke rukh ek hi janib hain
zad[target] par hun magar main hi, main hi hun magar beena[having eyesight, wise]
paabasta sadaaon ki zanzir si hai aagay
aagay na ja iss had se tham ja .. dil-e-gamgina
talwar si chalti hai voh kaat hai saanson mein
kin khooni baguulon ki zad par hai magar mera seena
kab chadhta hua suraj dharti pe utar aaye
kab raah mein ruk jaaye yeh chalta hua ziina

abdul ahad saaz ki shayyiri

खुद को क्यूँ जिस्म का ज़िन्दानी करें
फिक्र को तख़्त-ए-सुलेमानी करें
देर तक बैठ के सोचें खुद को
आज फिर घर में बियाबानी करें
अपने कमरे में सजाएं आफाक़
जलसा-ए-बे-सर-ओ-सामानी करें
उमर भर शेर कहें खून थूकें
मुन्तखिब रास्ता-ए-नुक्सानी करें
खुद के लिए मोल लें इजहार का कर्ज़
दूसरों के लिए आसानी करें
शेर के लब पे खामोशी लिखें
हर्फ़-ए-ना-गुफ्ता को ला-सानी करें
कीमियाकारी है फ़न अपना साज़
आग को बैठे हुए पानी करें

abdul ahad saaz ki shayyiri

khud ko kyun zism ka zindaani karen
fikr ko takht-e-sulemaani karen
der tak baith ke sochen khudko
aaj phir ghar mein biyaabani karen
apne kamre mein sajaayen aafaaq
jaisa-e-be-sar-0-saamaani karen
umar bhar sher kahen khoon thuuken
mutakhib raasta-e-nuqusani karen
khud ke liye mol len izhaar ka karz
dusron ke liye aasani karen
sher ke lab pe khamoshi likhen
harf-e-naa-e-gufta ko laa-saani karen
kimiyaakaari hai fan apna 'saaz'
aag ko baithe huye paani karein
जिन्दगी जब भी तेरी बज्म में लाती है
ये जमी चाँद से बेहतर नजर आती है हमे

सूर्ख फूलों से महक उठती हैं दिल की राहे
दिन ढले यूं तेरी आवाज बुलाती हैं हमे

याद तेरी कभी दस्तक, कभी सरगोश से
रात के पिछले पहर रोज जगाती हैं हमे

हर मुलाक़ात का अंजाम जुदाई क्यों है
अब तो हर वक्त यही बात सताती हैं हमे

waseem barelvi ki shayyiri

अँधेरा ज़हन का सिम्त ए सफ़र खोने लगता है
किसी का ध्यान आता है उजाला होने लगता है

किसी ने रख दिए ममता भरे दो हाथ क्या सर पर,
मेरे अंदर कोई बच्चा बिलख कर रोने लगता है
भले किसी और की जागीर थी वो
पर मेरे ख्वाबो की तस्वीर थी वो
मुझे मिलती तो कैसे मिलती वो..........
किसी और के हिस्से की तकदीर थी वो.........

josh maleehabaadi ki shayyiri

नक़्श-ए-ख़याल दिल से मिटाया नहीं हनोज़
बेदर्द मैंने तुझको भुलाया नहीं हनोज़

वो सर जो तेरी राहगुज़र में था सज्दा-रेज़
मैं ने किसी क़दम पे झुकाया नहीं हनोज़

महराब-ए-जाँ में तूने जलाया था ख़ुद जिसे
सीने का वो चिराग़ बुझाया नहीं हनोज़

बेहोश हो के जल्द तुझे होश आ गया
मैं बदनसीब होश में आया नहीं हनोज़

मर कर भी आयेगी ये सदा क़ब्र-ए-"जोश" से
बेदर्द मैंने तुझको भुलाया नहीं हनोज़ ........
dhoka na diya ussne kabhi mujhe pyar mein
bas ek hum hi thay jo usske pyar ke dhoke mein rahe...

"Daag" ki shayyiri

ज़बाँ हिलाओ तो हो जाए,फ़ैसला दिल का
अब आ चुका है लबों पर मुआमला दिल का

किसी से क्या हो तपिश में मुक़ाबला दिल का
जिगर को आँख दिखाता है आबला दिल का

कुसूर तेरी निगाह का है क्या खता उसकी
लगावटों ने बढ़ाया है हौसला दिल का

शबाब आते ही ऐ काश मौत भी आती
उभरता है इसी सिन में वलवला दिल का

निगाहे-मस्त को तुम होशियार कर देना
ये कोई खेल नहीं है मुक़ाबिला दिल का

हमारी आँख में भी अश्क़े-गर्म ऐसे हैं
कि जिनके आगे भरे पानी आबला दिल का

अगरचे जान पे बन-बन गई मुहब्बत में
किसी के मुँह पे न रक्खा मुआमला दिल का

करूँ तो दावरे-महशर के सामने फ़रियाद
तुझी को सौंप न दे वो मुआमला दिल का

कुछ और भी तुझे ऐ `दाग़' बात आती है
वही बुतों की शिकायत वही गिला दिल का

abdul hamid adam ki shayyiri

शब् की बेदारियां नहीं अच्छी
इतनी मय खवारियाँ नहीं अच्छी
वो कहीं किब्रिया[magnificence,an atrribute of god] ना बन जाये
नाज़_बरदारियाँ[excessive care and praise] नहीं अच्छी
हाथ से खो ना बैठना उसको
इतनी खुद्दारियाँ नहीं अच्छी
कुछ रवादारियों की मशक भी कर
सिर्फ अदाकारियाँ नहीं अच्छी
ए ! गफूर-उर-रहीम[God] सच फरमा कया
कया खताकरियाँ[mistakes] नहीं अच्छी

abdul hamid adam ki shayyiri

shab ki bedaariyan nahin achchi
itni mai-khwariyan nahin achchi
voh kahin kibriya[magnificence,an atrribute of god] na ban jaayen
naaz_bardaariyan[excessive care and praise] nahin achchi
haath se kho na baithna ussko
itni khudariyan nahin achchi
kuch ravadaariyon ki mashq bhi kar
sirf adaakariyan nahin achchi
ae ! ghafur-ur-rahim[God] sach farma kya
kya khata_kariyan[mistakes] nahin achchi

rahat indori ki shayyiri

उसकी आँखों में है जादू- वादू ..टोना-वोना..जंतर -मंतर ..सब
चक्कू -वक्कू.........छुरिया-वुरिया .........खंजर -वंजर सब

मैं कब डूबूँगा ये फ़िक्र करते है .......
कश्ती-वश्ती..दरिया-वरिया..लंगर-वंगर ..सब

और तू जबसे गयी है छोड़ के मुजको ....
रूठ गए है मुजसे .बिस्तर-विस्तर..तकिया-वकिया..चद्दर-वद्दर .सब

ऐसा भी नहीं के वो खुश है ..बिछड़ के मुजसे ....
फीके पड़ गए उसके .बिंदिया -विन्दिया ..गहिने-वहीने...जेवर-बेवर सब

rahat indori ki shayyiri

usski ankhon mein hain jaadu-vadu,tona-vona, jantar-mantar sab
chaku-vaku, churiya-vuriyan, khanjar-vanjar sab

main kab dubunga ye fikar karte hai
kashti-vashti, dariya-variya, langar-vangar sab

aur tu jabse gayi hai chhod ke mujhko
rooth gaye hai mujhse bistar-vistar, takiya-vakiya,chadar-vadar sab

aisa bhi nahin ke vo khush hai bichhad ke mujhse
finke pad gaye usske bindiya-vindiya, gehane-vehane, jevar-bevar sab

seraj ki shayyiri

aao qareeb ab tu juda ho raha hoon main,
mahfil se door tere sada ho raha hoon main !

mahwe khayal ho ke, tujhe yaad karoonga ,
waqt sahar ka jalta diya ho raha hoon main !!

jab tak tha saath, noor mein dhalti thi zindagii ,
tere baghair dasht-e saba ho raha hoon main !!

ye geet mere tujhko, dikhayen ge raaste ,
anjaan manzilon ka pata, ho raha hoon main !!

hamne wafa ki raah mein khaii , jigar pe chot,
ab dard-e dil se aaho baqa ho raha hoon main !!

afsos hai ki maen na , tujhe shaad kar saka ,
khud apni hi nazar mein khata, ho raha hoon main !!

likhta hoon geet-o sheir, ki tabeeyat ho kuchh bashash ,
iss tarh apne gham ki, dawa ho raha hoon main !!

taskeen dil ki khatir wazoo, karke maen "seraj",
hamd-e khuda mein harfe , dua ho raha hoon main !!

buniyad hussain ''zaheen'' bikaneri ki shayyiri

लोग ये कहते थे इक लम्बा सफ़र है ज़िन्दगी
मौत को देखा तो समझे मुख्तसर है ज़िन्दगी

खून से लिथड़ी हुई लाशें हैं देखो हर तरफ़
ज़ुल्म के इस दौर में फिर दांव पर है ज़िन्दगी

हिम्मतो - जुरअत ही से मिलता है मंजिल का सुराग़
हौसला जीने का हो तो राहबर है ज़िन्दगी

तेरे हर इक गाम पर हैं ठोकरें ही ठोकरें
क्या तुझे एहसास है; तुझको ख़बर है ज़िन्दगी

भूक; लाचारी; मुसीबत; मुफ़लिसी है मुल्क में
आज हम आज़ाद हैं और दर - ब - दर है ज़िन्दगी

क्या सुनाउं मैं तुम्हें टूटे दिलों की दास्ताँ
मुख्तलिफ़ राहों में इक तन्हा सफ़र है ज़िन्दगी

हाय ! किन आँखों से देखें हम ये मंज़र ऐ ''ज़हीन''
टूटती साँसें हैं और बे - बालो - पर है ज़िन्दगी

असरे - क़लम
buniyad hussain ''ज़हीन'' bikaneri

naushad ki shayyiri

न मंदिर में सनम होते, न मस्जिद में खुदा होता
हमीं से यह तमाशा है, न हम होते तो क्या होता

न ऐसी मंजिलें होतीं, न ऐसा रास्ता होता
संभल कर हम ज़रा चलते तो आलम ज़ेरे-पा[under-feet] होता

घटा छाती, बहार आती, तुम्हारा तज़किरा होता
फिर उसके बाद गुल खिलते कि ज़ख़्मे-दिल हरा होता

बुलाकर तुमने महफ़िल में हमको गैरों से उठवाया
हमीं खुद उठ गए होते, इशारा कर दिया होता

तेरे अहबाब तुझसे मिल के भी मायूस लॉट गये
तुझे 'नौशाद' कैसी चुप लगी थी, कुछ कहा होता

seraj ki shayyiri

mausam bahaar mujhko bikherne nahin deta
tashna jigar hai, mujhko sanwarne nahin deta

ehsaas-e judaii mujhe jeene nahin deti
phir milne ka wada mujhe marne nahin deta

chahat tujhe pane ki huee deir se sozaan
zalim zamana had se guzarne nahin deta

chamki agarche barq mere hi makaan par
hai shukr Khuda, ghar ye ujadne nahin deta

har lafz kitabon ka tera aks liye hai
ek phool sa chehra mujhe padhne nahin deta

ek dost mera aaj bhi aesa hai ke "seraj"
rone bhi nahin, aah bhi bhar-ne nahi.n deta !

qateel shifai ki shayyiri

प्यास वो दिल की बुझाने कभी आया भी नहीं
कैसा बादल है जिसका कोई साया भी नहीं
बेरुखी इस से बड़ी और भला क्या होगी
एक मुद्दत से हमे उस ने सताया भी नहीं
रोज़ आता है दर-ऐ-दिल पे वो दस्तक देने
आज तक हमने जिसे पास बुलाया भी नहीं
सुन लिया कैसे खुदा जाने ज़माने भर ने
वो फ़साना जो कभी हमने सुनाया भी नहीं
तुम तो शायर हो `क़तील` और वो इक आम सा शख्स
उस ने चाह भी तुझे और जताया भी नहीं

bekas ki shayyiri

मैंने देखा है,
सफीने से निकलता माजी.

अकाबत के काले समंदर में,
उतरते उसके पावों को महसूस किया है
अपनी साँसों में तड़प पायी उसकी

मैंने देखा
कि वो समझा रहा था मेरे फर्दा को,
मेरे कल को जो आनेवाला है,
कि आदत है इस शख्स को
गम उठाने की
मैंने देखा है
कि तबस्सुम के सफीने से निकल कर
मेरा माजी मेरे फर्दा से मिल गया है
मेरे कल को गमजदा करने से लिए,

और सोचा है,
कि अगर मेरा कल आ गया
तो मेरा माजी,
मुझे,
जीने नहीं देगा.........
क्यूँ मुझे बंद कमरे में रौशनी की ख्वाहिश है?
फिर तेरे जुल्म-ओ-सितम की आजमाइश है..

मैं भी ताउल्लुक रखता हूँ, इस सर-जमीं से
न सोच कही और की मेरी पैदाइश है...

गर राम को लगे चोट, दर्द अल्लाह को हो
छोडो इसतिकराह[नफ़रत], यही दोनों की रिहाइश है....
charaag apane thakan ki koi safaai na de
vo tiragi hai ke ab khwab tak dhikhaai na de
bahut sataate hain rishte jo toot jaate hain
khuda kisi ko bhi taufiiq-e-ashanai na de
main saari umr andheron me kaat sakta hoon
mere diyon ko magar raushani parayi na de
agar yahi teri duniya ka haal hai maalik
to meri qaid bhali hai mujhe rihaai na de
dua ye mangi hai sahame hue mu'arrik ne
ke ab qalam ho Khudaa surKh raushnai na de
बेकली, बेखुदी, बेबसी दे गया
कुछ नये तजुरबे, अजनबी दे गया

उस की सौदागरी में भी इन्साफ़ था
ज़िन्दगी ले गया, ज़िन्दगी दे गया

सोचने के लिए पल की मोहलत ना दी
जागने के लिए, एक सदी दे गया

उस के आजाने से हर कमी मिट गई
जाते-जाते वोह अपनी, कमी दे गया

ले गया जान-ओ-दिल, जिस्म से खींच कर
हाँ मगर, रूह की ताज़गी दे गया

बेकली, बेखुदी, बेबसी दे गया
कुछ नये तजुरबे, अजनबी दे गया
bekali, bekhudi, bebasi de gaya
kuchh naye tajurabe, ajanabi de gaya

usski saudaagari mein bhi insaaf tha
zindagi le gaya, zindagi de gaya

sochane ke lie pal ki mohalat na di
jaagane ke lie, ek sadi de gaya

usske aa jaane se har kami mit gai
jaate-jaate woh apani, kami de gaya

le gaya jaan-o-dil, jism se kheench kar
haan magar, rooh ki taazagi de gaya

bekali, bekhudi, bebasi de gaya
kuchh naye tajurabe, ajanabi de gaya
Fikar-e-Farda...
Na Yaad-e-Maazi...
Na Chain Dil Ko...
Na Be-qarari...
Na Hadh Se Guzra Hua Junoon Wo...
Na Khamoshi Wo Pehle Jesi...
Bus Ek Udasi Hai Dheemi Dheemi.....
Bus Ek Khamoshi Hai Be-Qarari....

Jo Zindagi Ke Adhure-pan Ko...
Hado'n Se Aage Barha Rahi Hai........!
अपनी मर्ज़ी से कहाँ अपने सफ़र के हम हैं,
रुख हवाओं का जिधर का है उधर के हम हैं।

पहले हर चीज़ थी अपनी मगर अब लगता है,
अपने ही घर में किसी दूसरे घर के हम हैं।

वक़्त के साथ है मिट्टी का सफ़र सदियों से
किसको मालूम कहाँ के हैं, किधर के हम हैं।

चलते रहते हैं कि चलना है मुसाफ़िर का नसीब
सोचते रहते हैं किस राहग़ुज़र के हम हैं।

farhat shehzad ki shayyiri

khwaab judaa rang bharna aur
kehana aur hai karna aur
seharaa ka dukh samjhe kaun
hona aur guzarna aur
ghar mein rehana baat judaa
dil mein jaan utarnaa aur
jaan dekar bhi lagta hai
mujho hai kuchh marna aur

muzaffar warsi ki shayyiri

mana ke musht[muthi bhar]-e-khaak se badhkar nahin hun main
lekin hawa ke reham-o-karam par nahin hun main
insaan hun dhadakte huye dil pe haath rakh
yun doobkar na dekh samndar nahin hun main
chehre pe mal raha hun siyahi naseeb ki
aaina haath mein hai sikandar nahin hun main
ghalib teri zamin mein likhi toh hai gazal
tere kad-e-sukoon ke barabar nahin hun main
meri aahon mein asar hai ki nahi dekh toh lun
ussko kuch meri khabar hai ki nahi dekh toh lun
woh jo tha baais-e-taskeen-e-gham-e-hizr[cause for alleviation of the sorrow of separation]
ab hui deeda-e-tar hai ki nahi dekh toh lun
woh toh aa jayenge sar-tapa[sar dard] tajali bankar
taab-e-nazaara magar hai ki nahi dekh toh lun
sham-e-gham roz-e-azal se rahi humraah mere
mere gham ki bhi sahar hai ki nahi dekh toh lun
kisi ki aas ban kar phir isse tanha nahi karna
bhale kuch bhi pade karna magar aisa nahi karna
khabar kiya kis ghadi vo raakh kar dale tere sapne
yunhi jalte shararon se kabhi khela nahi karna
na ho aisa ke yadein ruuh ka sartan ban jaye
kabhi had se ziyada tum usse socha nahi karna
mohabat mein sikayat ka kaha dastoor hota hai
gila kar ke mohabat ko kabhi ruswa nahi karna
wafaein dar haqiqat be panah anmol hoti hai
kabhi apni wafaon ka sila maanga nahi kar
kahin aisa na ho wo apni manzil ka nishaan ko de
kisi ka sath raste mein kabhi choda nahi karna
gusse se uth chale ho toh daaman ko jhaad kar
jaate rahenge hum bhi garebaan phaad kar
dil woh nagar nahin ke phir aabad ho sake
pachhtaaoge suno-ho yeh basti ujhaad kar
zaalim yeh kya nikaali raftaar, rafta rafta
is chaal par chalegi talvaar, rafta rafta
har aan humko tujh bin ek-ek baras hui hai
kya aa gaya zamana ae yaar, rafta rafta
yehi sulook usske aksar chale gaye toh
baithenge apne ghar hum naachaar[helpless], rafta rafta
they ek ham ve dono so ittehaad kaisa
har baat par ab aayii takraar, rafta rafta
garche kab dekhte ho par dekho
aarzoo hai ki tum idhar dekho
ishq kya kya hamein dikhaata hai
aah tum bhi toh ek nazar dekho
pohanchhe hain hum qareeb marne ke
yaani jaate hain duur agar dekho

hafeez hoshiarpuri ki shayyiri

mohabat karne vale kam na honge
teri mehfil mein lekin hun na honge
zamane bhar ke gham ya ik tera gham
ye gham hoga toh kitne gham na honge
dilon ki uljhane badati rahengi
agar kuch mashvare baaham[together] na honge
agar tu ittifaqan mil bhi jaaye
teri furqat[sepration] ke sadme kam na honge
'hafeez' unnse main jitna badguman hun
vo mujhse iss qadar barham[anger,upset] na honge

qateel shifai ki shayyiri

isska rona nahin ki tumne kiya dil barbaad
isska gham hai ki bohat der mein barbaad kiya
meri nazar se na ho duur ek pal ke liye
tera wajood hai laazim meri ghazal ke liye
kahan se dhundh ke laoon chirag se woh badan
taras gayi hai nigahein kanwal kanwal ke liye
ki kaisa tajruba mujhko hua hai aaj ki raat
bacha ke dhadkane rakh li hain maine kal ke liye
kya be_muravat khalq hai sab jamaa hai bismil ke paas
tanha mera qatil raha koi nahin qatil ke paas
,qateel, zakhm sahoon aur muskurata rahun
bane hain daayire kya kya mere amal ke liye

farhat shehzad ki shayyiri

ek bas tu hi nahin mujhse khaffa ho baitha
maine jo sang taraasha vo khuda ho baitha
uth ke manzil hi agar aaye toh shayad kuch toh
shauq-e-manzil mein mera ablaapan[छाले]ho baitha
maslehat chiin gayi quvvat-e-guftaar[strength of talk] magar
kuch na kehna hi mera meri sada ho baitha
sukriya ae mere qaatil ae masihaa mere
zehar jo tune diya tha vo dawa ho baitha
jaan-e-'shehzad' ko min_jumlaa-e-adaa[half hearted welcome] pa kar
huuk vo thi ki jii tan se juda ho baitha
tum hamare nahin toh kya ghum hai
hum tumhare toh hain ye kya kam hai
husn ki shokiyan zara dekho
gaahe[sometimes] shola hai gaahe sabnam hai
muskura do zara khuda ke liye
sham-e-mehfil mein roshni kam hai
ban gaye hai ye zindgi ab toh
tujhse badhkar hamen tera gham hai

akhter shirani ki shayyiri

mohabat ki duniya mein mashhoor kar dun
mera sada dil tujhko maghroor kar dun
tere dilko milne ki khud aarzo ho
tujhe iss qadar ghamse ranjuur kar dun
mujhe zindgi duur rakhti hai tujhse
jo tu paas ho toh usse duur kar dun
mohabat ke iqraar se sharm kab tak
kabhi saamna ho toh majbuur kar dun
ye be_rangiyaan kab take husn-e-e-rangin
idhar aa, tujhe ishq mein chuur kar dun
tu gar saamne ho toh main bekhudi mein
sitaron ko sajde pe majboor kar dun
nahin zindgi ko wafa varna 'akhtar'
mohabat se duniya ko mamoor kar dun

akhter shirani ki shayyiri

tamanon ko zinda, aarzuon ko javaan kar lun
ye sharmili nazar keh de toh kuch gustakhiyan kar lun
bahar aayi hai bulbul dard-e-dil kehti hai phuulon se
kaho toh main bhi apna dard-e-dil tumse bayaan kar lun
hazaron shokh armaan le rahe hain chutkiyan dil mein
haya innki izaazat de toh kuch be-bakiyan kar lun
koi surat toh ho duniya-e-faani mein behalne ki
thehar ja ae ! jawani maatam-e-umar-e-ravan kar lun
chaman mein hain beham parwana-o-shama-o-gul-o-bulbul
izaazat ho toh main bhi haal-e-dil apna bayan kar lun
kise malum kab kis waqt kis par gir pade bijli
abhi se main chaman mein chal kar aabad aashiyan kar lun
mujhe dono jahan mein ek voh mil jaayen gar 'akhtar'
toh apni hasraton ko be_nayaaz-e-do-jahan kar lun

ibrahim ashk ki shayyiri

tere shehr mein ek diwana bhi hai
jo sab ke sitam ka nishana bhi hai
bada silsila hai khuda se mera
falak pe mera aana jana bhi hai
hai maqsad toh apni hi takmeel ka
mohabbat yeh teri bahana bhi hai
ravayat hai aadam se yeh ishq ki
yeh sauda bohat hi purana bhi hai
bhatakte hain aawara galiyon mein hum
kahin ashikon ka thikana bhi hai
musalsaal safar mein hai apni hayat
yahan se kahin laut jana bhi hai
mile voh to kuch hall-e-dil hum kahen
bohat aaj mausham suhana bhi hai
kahi hai gazal humne usske liye
ki yeh 'ashk' jis se chhupana bhi hai

ali abbas umeed ki shayyiri

ruuh ki baat suni, zism ke tevar dekhe
iltija hai voh iss aag mein jal kar dekhe
tum voh dariya jo chadhe bhi toh ghadi bhar ke liye
main voh qatra hun jo gir ke bhi sumandar dekhe
chubta mahau, ghuti ruuh, gurezaan lamhe
dil ki hasrat hai kabhi inn se nikal kar dekhe
kaise kar le voh yaqeen tujh par fareb-e-gam-e-zaat
teri raahon mein jo tashkeek ke pathar dekhe
baat ho sirf hakikat ki toh seh le lekin
apne khwaabon ko bhikarte koi kyunkar dekhe
humse mat puchhiye kya nafs pe guzrii 'umeed'
ek ek saans se ladte huye lashkar dekhe

ali abbas umeed

iftikhaar arif ki shayyiri

samjh rahe hain aur bolne ka yaara nahi
jo humse mil ke bichhad jaaye, vo hamara nahin
samandaron ko bhi hairat hui ki doobte waqt
kisi ko humne madad ke liye pukara nahin
jo hum nahin thay toh phir kaun tha sar-e-bazaar
jo keh raha tha ki bikna hamen gavara nahin
abhi se barf ulajhne lagi hai baalon se
abhi toh karz-e-maah-o-saal bhi utara nahin
hum ahl-e-dil hain muhabat ki nisbaton ke amin
hamare paas zaminon ka ghoshwara nahin hai

iftikhaar arif

jigar Muradabadi ki shayyiri

dard badhkar fugaan[cry of pain] na ho jaaye
ye zamin aasman na ho jaaye
dil mein duuba hua jo nashtar hai
mere dil ki zuban na ho jaaye
dil ko le lijiye jo lena hai
phir ye sauda giraan[costly] na ho jaaye
aah kijiye magar latif-tarin
lab tak aa kar dhuaan na ho jaaye
hum raaton ko uth uth ke jin ke liye rote hain
vo ghair ki baahon mein aaraam se sote hain
hum ashq judai ke girne hi nahin dete
bechain si palkon mein moti se pirote hain
hota chala aaya hai bedard zamane mein
sachchai ki raahon mein kaante sabhi bote hain
andaz-e-sitam unka dekhe to koi samjhe
milne ko to milte hain nashtar se chubhote hain

bekas ki shayyiri

जब न आएगी दीवाने की सदा आज के बाद,
कौन पूछेगा तेरे घर का पता आज के बाद।

कैस पूछेगा असीरी क्या है बतला फ़िर तो,
कौन मानेगा मुहब्बत को खुदा आज के बाद।

मैं न रहूँगा तो गुलों मत खिलना तुम भी,
कौन आयेगा ऐ चमन तू बता आज के बाद।

आँख पुरनम है रहेगी ये सहर तक बस,
फिर न बरसेगी तबस्सुम की घटा आज के बाद।

यूँ तो आयेंगे कई तुझसे मिलने लेकिन,
वो न मानेंगे तेरे दर को खुदा आज के बाद।

माना दिलकश है सफर तनहा रातों का
गर न आए इस शब् की सबा आज के बाद।

ग़म है बेकस कि तुझे जाना है फ़िर भी,
तुझको ढूंढेंगी बिना दर की वफ़ा आज के बाद........।

bekas ki shayyiri

jab na aayegi deewane ki sada aaj ke baad,
kaun puchhega tere ghar ka pata aaj ke baad.

kais puchhega asiri kya hai batla phir toh,
jaun maanega muhbbat ko khuda aaj ke baad.

main na rahunga toh gulon mat khilna tum bhi,
kaun aayega ae chman tu bata aaj ke baad.

aankh purnam hai rahegi ye sehar tak bas,
phir na barsegi tabssum ki ghata aaj ke baad.

yun toh aayenge kai tujhse milne lekin,
vo na manege tere dar ko khuda aaj ke baad.

mana dilkash hai safar tanha raaton ka,
gar na aaye iss shab ki saba aaj ke baad.

gham hai "bekas" ki tujhe jana hai phir bhi,
tujhko dhundhegi bina dar ki waffa aaj ke baad........।

Monday, March 23, 2009

अपना तन और मन मैं तुझपे वार बैठी हूँ
कुछ साँसे बची थी अब वो भी हार बैठी हूँ,
कुछ बोल बैठी बस यूँ ही परेशानी-ऐ-खातिर
दुनिया की पैनी नज़र को भी तैयार बैठी हूँ,
तू भी अपना ना रहा,जग भी बेगाना हो गया
बिना किसी खता के ही मैं खतावार बैठी हूँ,
हयाते-दहर के बदले सोचा था जन्नत मिलेगी
अपने भी खो दिए अब ऐसी लाचार बैठी हूँ,
कहती है दुनिया जो गया वापस ना आएगा
मैं जिद्दी हूँ मोहब्बत का लिए खुमार बैठी हूँ,

parvin shakir ki shayyiri


Us ka mujh se bhi hai wesa hi saluk
Haal jo tera ana karti hai
Mas'ala jab bhi chiragon ka utha
Faisal sirf hawa karti hai
Daikh to kabhi aan ke chehra mera
Ik nazar bhi teri kaya karti hai
Ham ne dekhi hai wo ujli saa'at
Raat jab shair kaha karti hai
Khol kar band-e-qaba, gul ke, hawa
Aaj khushbu ko reha karti hai
dil ko us raah pe chalna he nahi
Jo mujhe tujh se juda karti hai
Dukh howa karta hai kuch or biyan
baat kuch or huwa karti hai

क्या सोचकर दोस्ती का हाथ आगे बढ़ाऊ...
मुझे तो अपना नाम भी, बताना नहीं आता...
aankhon se meri iss liye lali nahi jaati
yaadon se koi raat jo khali nahi jaati
ab umar na mausham na vo raste ke vo palte
iss dil ki magar kham khayali nahi jaati
mange tu agar jaan bhi tu hass kar tujhe de den
teri toh koi baat bhi tali nahi jaa
aaye koi aa kar ye tere dard sambhale
hum se toh ye jaagir sambhali nahi jaati
iss imtihan mein hun, dil ka hisab kis ko du ?
hisab-e-ishq pe likhi kitaab kis ko du ?
har ek shaks ko mujhse bohat mohabat hai
sawal ye hai waffa ka jawab kis ko du ?
mera khaloos, mohabat, wafa, hai sab ke liye
sochta hun ki lub-e-lubab kis ko du ?
mere liye toh sabhi log ek jaise hain
sakun kis ko du mein iztirab kis ko du ?
hajoom-e-husn ke mele mein sochta hun main
ke apne haath mein thama gulab kis ko du ?
chalo hum maan lete hai
tumhen hum kho chuke lekin
tumhari yaad ab tak kyu
hamen betaab rakhti hai
hamari saans ab tak kyu
tumhari aas rakhti hai
magar ab ye bhi sunte hai
tumhari raah roshan hai
tumhen mil jayega koi...
magar afsoos ... hum jaisa
agar paao kahin tum toh
mujhe do harf likh dena
ki manzil mil gayi mujhko ....

mohsin ki shayyiri

jala ke tu bhi agar aasra na de mujhko
ye khauff hai ke hawa phir bhujh na de mujhko
main iss khayal se mud mud ke dekhta hun usse
bichad ke bhi vo kahin phir sada na de mujhko
tere bagaiir bhi teri tarah main zinda rahu ?
ye hosla bhi, dua kar khuda na de mujh ko
bhar rahi hai mere dil mein pastiyon ki kashash
vo chand phir se zameen par gira na de mujh ko
main iss liye bhi usse khud manaunga 'mohsin'
ke mujhse roothne wala, bhula na de mujhko
barson ki rafaqaton ko bhulaya nahi karte
jo ho apne unnhen yun stataya nahi karte
aisa salok toh dushman se bhi nahi karte
jinse ho dil ka rishta unnhe chod ke jaya nahi karte
hum toh vo khud-gar hai ki gham mein jalne ki aadat hai
haal-e-dil hum kisi ko bataya nahi karte
be-nishan manzilion ke safar par kabhi miklo toh jaanoge
ke hum jaise musafir kyun ghar ka raasta bhool jaate hain

nizam rampuri ki shayyiri

अंगडाई भी वोह लेने न पाए उठा के हाथ
देखा जो मुझको, छोड़ दिए मुस्करा के हाथ
बे-साखता निगाहें जो आपस में मिल गयीं
क्या मुँह पे उस ने रख लिए आँखें चुरा के हाथ
क़ासिद तेरे बयां से दिल ऐसा ठहर गया
गोया किसी ने रख दिया सीने पे आ के हाथ
कूचे से तेरे उठें तो फिर जाएँ हम कहाँ
बैठे हैं यां तो दोनों जहाँ से उठा के हाथ
देना वोह उसका सागर-ए-मै याद है निज़ाम
मुँह फेर कर उधर को, इधर को बढ़ा के हाथ

nizam rampuri ki shayyiri

angdai bhi voh lene na paaye utha ke haath
dekha jo mujhko, chhod diya muskura ke haath
be-saakhta nigahein jo aapas mein mil gayin
kya munh pe ussne rakh liye aankhein chura ke haath
qaasid tere bayaan se dil aisa thehar gaya
goya kisi ne rakh diya seene pe aa ke haath
kuuche se tere uthen toh phir jaayen hum kahaan
baithe hain yaan toh dono jahan se utha ke haath
dena voh usska saagar-e-mai yaad hai 'nizaam'
munh phaer kar udhar ko, idhar ko badha ke haath

qateel shifai ki shayyiri

जब भी चाहें एक नई सूरत बना लेते हैं लोग
एक चेहरे पर कई चेहरे सजा लेते हैं लोग
मिल भी लेते हैं गले से अपने मतलब के लिए
आ पड़े मुश्किल तो नज़रें भी चुरा लेते हैं लोग
है बजा उनकी शिकायत लेकिन इसका क्या इलाज
बिजलियाँ खुद अपने गुलशन पर गिरा लेते हैं लोग
हो खुशी भी उनको हासिल ये ज़रूरी तो नहीं
गम छुपाने के लिए भी मुस्कुरा लेते हैं लोग
ये भी देखा है कि जब आ जाये गैरत का मुकाम
अपनी सूली अपने काँधे पर उठा लेते हैं लोग

qateel shifai ki shayyiri

jab bhi chahe ek na surat bana lete hain log
ek chehre par kai chehre saja lete hain log
mil bhi lete hain gale se apne matlab ke liye
aa pade mushkil toh nazrein bhi chura lete hain log
hai baja unnki shikaayat lekin iss ka kya ilaaj
bijliyan khud apne gulshan par gira lete hain log
ho khushi bhi unnko haasil ye zaruuri toh nahin
gam chhupaane ke liye bhi muskura lete hain log
ye bhi dekha hai ki jab aa jaaye gairat ka muqaam
apni suuli apne khandhe par utha lete hain log

parvin shakir ki shayyiri

दिल पे एक तरफ़ा क़यामत करना
मुस्कुराते हुए रुखसत करना
अच्छी आँखें जो मिली हैं उसको
कुछ तो लाजिम हुआ वहशत करना
जुर्म किसका था, सज़ा किसको मिली
अब किसी से ना मोहब्बत करना
घर का दरवाज़ा खुला रखा है
वक़्त मिल जाये तो ज़ह्मत करना

parvin shakir ki shayyiri

dil pe ek tarfa qayamat karna
muskuraate huye rukhsat kana
achchi aankhein jo mili hain ussko
kuch toh laazim hua vehshat karna
zurm kiska tha, saza kisko mili
ab kisi se na mohbat karna
ghar ka darwaza khula rakha hai
waqt mil jaaye toh zehmat karna

saahir ludhiyanwi ki shayyiri

तंग आ चुके हैं कशमकश-ए-ज़िंदगी से हम
ठुकरा न दें जहाँ को कहीं बेदिली से हम
मायूसी-ए-माल-ए-मोहब्बत न पूछ
अपनों से पेश आये हैं बेगानगी से हम
लो आज हमने तोड़ दिया रिश्ता-ए-उम्मीद
लो अब कभी गिला न करेंगे किसी से हम
उभरेंगे एक बार अभी दिल के वलवले
गो दब गए हैं बार-ए-गम-ए-ज़िंदगी से हम
ज़िंदगी में मिल गए फिर इत्तेफाक से
पूछेंगे अपना हाल तेरी बेबसी से हम
अल्लाह रे फरेब-ए-मशिय्यत कि आज तक
दुनिया के ज़ुल्म सहते रहे खामोशी के साथ

saahir ludhiyanwi ki shayyiri

tang aa chuke hain kashmakash-e-zindgi se hum
thukra na den jahaan ko kahin bedili se hum
maayusi-e-maal-e-muhhbat na pooch
apnon se pesh aaye hain begaangi se hum
lo aaj humne tod diya rishta-e-ummid
ubhrenge ek baar abhi dil ke valvale
go dab gaye hain baar-e-gam-e-zindgi se hum
gar zindgi mein mil gaye phir ittefaaq se
puchenge apna haal teri bebasi se hum
allah re ! fareb-e- mashiyyat ki aaj tak
duniya ke zulm sehte rahe khamoshi ke saath

satpal khayal ki shayyiri

हमारे दिल की मत पूछो बड़ी मुश्किल में रहता है
हमारी जान का दुश्मन हमारे दिल में रहता है
सुकून मिलता है हमको बस तुम्हारे शहर में आकर
यहीं वो नूर सा चेहरा कहीं महमिल में रहता है
कोई शाएर बताता है कोई कहता है पागल भी
मेरा चर्चा हमेशा आपकी महफिल में रहता है
वो मालिक है सब उसका है वो हर ज़र्रे में है गाफिल
वही दाता में मिलता है वही साइल में रहता है
वो चुटकी में ही करता है तुम्हारी मुश्किलें आसान
खुदा को चाहने वाला कभी मुश्किल में रहता है !

satpal khayal ki shayyiri

hamare dil ki mat poocho badi mushkil mein rehta hai
hamari jaan ka dushman hamare dil mein rehta hai
sukoon milta hai humko bas tumhare shehar mein
yahin vo noor sa chehra kahin mahmil mein rehta hai
koi shaaer bataata hai koi kehta hai pagal bhi
mera charcha hamesha aapki mehfil mein rehta hai
vo maalik hai sab usska hai vo har zarre mein hai gaafil
vahi daata mein milta hai vahi saael mein rehta hai
vo chutki mein hi karta hai tumhari mushkilen aasan
khuda ko chahne wala kabhi mushkil mein rehta hai !

shaharyar ki shayyiri

कटेगा देखिए दिन जाने किस अज़ाब के साथ
कि आज धूप नहीं निकली आफताब के साथ
तो फिर बताओ समंदर सदा को क्यूँ सुनते
हमारी प्यास का रिश्ता था जब सराब[mirage] के साथ
बड़ी अजीब महक साथ ले के आई है
नसीम रात बसर की किसी गुलाब के
फिजा में दूर तक मरहबा के नारे हैं
गुजरने वाले हैं कुछ लोग याँ से ख्वाब के साथ
ज़मीन तेरी कशिश खींचती रही हमको
गए ज़रूर थे कुछ दूर माहताब के साथ

shaharyar ki shayyiri

katega dekhiye din jaane kis ajaab ke saath
ki aaj dhuup nahin nikli aaftaab ke saath
toh phir bataao samandar sadaa ko kyun sunte
hamari pyaas ka rishta tha jab saraab[mirage] ke saath
badi ajeeb mehak saath le ke aai hai
nasiim raat basar ki kisi gulaab ke saath
fiza mein duur tak marhabaa ke naare hain
guzarne wale hain kuch log yaan se khwaab ke saath
zamiin teri kashish khinchti rahi humko
gaye zaruur thay kuch duur maahtab ke saath

shujaa khaawar ki shayyiri

दूसरी बातों में हमको हो गया घाटा बोहत
फिक्र-ए-शऊर को दो वक़्त का आता बोहत
आरजू का शोर बपा[बरपा] हिज्र की रातों में था
वस्ल की शब तो हुआ जाता है सन्नाटा बोहत
दिल की बातें दूसरों से मत कहो, कट जाओगे
आजकल इजहार के धंधे में है घाटा बोहत
कायनात और ज़ात में कुछ चल रही है आजकल
जब से अन्दर शोर है बाहर है सन्नाटा बोहत
मौत की आज़ादियाँ भी ऎसी कुछ दिलकश न थीं
फिर भी हमने ज़िंदगी की क़ैद को काटा बोहत

shujaa khaawar ki shayyiri

dosri baaton mein humko ho gaya ghaata bohat
varna fikr-e-shaoor ko do waqt ka aata bohat
aarzu ka shor bapaa kizr ki raaton mein tha
wasl ki shab toh hua jaata hai sanaata bohat
dil kil baatein duusron se mat kahon, kat jaaoge
aajkal izhaar ke dhandhe mein hai ghaata bohat
kaynaat aur zaat mein kuch chal rahi hai aajkal
jab se andar shor hai baahar hai sanaata bohat
maut ki aazadiyan bhi aisi kuch dilkash na thin
phir bhi humne zindgi ki qaid ko kaata bohat

vali dakhani ki shayyiri

याद करना हर घड़ी उस यार का
है वजीफा मुझ दिल-ए-बीमार का
आरज़ू-ए-चश्मा-ए-कौसर नहीं
तिशना लब हूँ शरबत-ए-दीदार का
आकबत क्या होवेगा? मालूम नहीं
दिल हुआ है मुब्तिला दिलदार का
क्या कहे तारीफ़-ए-दिल है बे-नज़ीर
हर्फ़ हर्फ़ उस मखजन-ए-इसरार का
ए वली होना श्री जन पर निसार
मुद्दा है चश्म-ए-गौहर-बार का

vali dakhani ki shayyiri

yaad karna har ghadi uss yaar ka
hai vazifa mujh dil-e-bimaar ka
aarzuu-e-chasma-e-kasoor nahin
tishna lab hun sharbat-e-didaar ka
aaqbat kya hovega ? maloom nahin
dil hua hai mubtila dildaar ka
kya kahe taarif-e-dil hai be-nazir
harf harf uss makhzan-e-israar ka
ae vali ! hona sri jaan par nisaar
muda hai chasm-e-gauhar-baar ka

shakeb jalaali ki shayyiri

पास रह के भी बोहत दूर हैं दोस्त
अपने हालात से मजबूर हैं दोस्त
तर्क-ए-उल्फत भी नहीं कर सकते
साथ देने से भी माज़ूर हैं दोस्त
गुफ्तगू के लिए उनवां भी नहीं
बात करने पे भी मजबूर हैं दोस्त
यह चिराग अपने लिए रहने दे
तेरी रातें भी तो बे-नूर हैं दोस्त
सभी पज़मुर्दा हैं महफ़िल में शकेब
मैं परेशान हूँ, रंजूर हैं दोस्त

shakeb jalaali ki shayyiri

पास रह के भी बोहत दूर हैं दोस्त
अपने हालात से मजबूर हैं दोस्त
तर्क-ए-उल्फत भी नहीं कर सकते
साथ देने से भी माज़ूर हैं दोस्त
गुफ्तगू के लिए उनवां भी नहीं
बात करने पे भी मजबूर हैं दोस्त
यह चिराग अपने लिए रहने दे
तेरी रातें भी तो बे-नूर हैं दोस्त
सभी पज़मुर्दा हैं महफ़िल में शकेब
मैं परेशान हूँ, रंजूर हैं दोस्त

shakeb jalaali ki shayyiri

paas reh ke bhi bohat duur hain dost
apne haalat se majbuur hain dost
tark-e-ulfat bhi nahin kar sakte
saath dene se bhi manzuur hain dost
guftgu ke liye unvaan bhi nahin
baat karne pe bhi majbuur hain dost
yeh chiraag apne liye rehne de
teri raatein bhi toh be-noor hain dost
sabhi pazmurda hain mehfil mein 'shakeb'
main pareshan hun, ranjuur hain dost

zafar sahbai ki shayyiri

यह दुनिया एक ख्वाबों की ज़मीन है
यहाँ सब कुछ है और कुछ भी नहीं है
तेरे छूने से पहले वाहमा था
मुझे अब अपने होने का यकीं है
जो सोचो तो सुलग उठती हैं साँसें
तेरा एहसास कितना आतिशीं है
मोहाजिर बन गए हैं मेरे आंसू
न आँचल है न कोई आस्तीन है
जगह दूँ कैसे तुझको अपने दिल में
यहाँ तो तेरा गम मसनद-नशीं ही
मेरे चेहरे पे कोई झुक रहा है
यह लम्हा तो खुदा जैसा हसीं है

zafar sahbai ki shayyiri

yeh duniya ek khwaabon ki zamiin hai
yahan sab kuch hai aur kuch bhi nahin hai
tere chhune se pehle vehma tha
mujhe ab apne hone ka yaqiin tha
jo socho toh sulag uthti hain saansein
tera ehsaas kitna aatishiin hai
mohaajir ban gaye hain mere aansuu
na aanchal hai na koi aastiin hai
jagah duun kaise tujhko apne dil mein
yahan toh tera gam masnad-nashiin hai
mere chehre pe koi jhuk raha hai
yeh lamha toh khuda jaisa hasiin hai

Wednesday, March 18, 2009

Kitni badnaam hai baazaar-e-muhabbat mein wafa....
log is cheez ke paas aake chale jaate hain...!!

mohsin ki shayyiri

yeh dil yeh paagal dil mera kyu bujh gaya awaargi
iss dasht mein ek shehr tha vo kya hua awaargi
kal shab mujhe be-shakl si awaaz ne chaunka diya
maine kaha tu kaun hai uss ne kaha awaargi
log uss shahr mein bhala kaise jeyenge hum jahan
ho jurm tanha sochna, lekin saza aawargi
ek tu ke sadiyon se mere hum raah bhi hum raaz bhi
ek main ke tere naam se naaaashna awaargi
yeh dard ki tanhaiyaan yeh dasht ka viraan safar
Hum log toh ukta gaye apni suna awaargi
ek ajnabi jhonke ne jab pocha mere gham ka sabab
sahara ki bheegi rait par maine likha awaargi
Le ab toh dasht-e-shab ki saari vusaatein sonw lage
ab jaagna hoga hamein kab tak bata awaargi
Kal raat tanha chaand ko dekha tha maine khaab mein
`Mohsin' mujhe raas aayegi shayad sada awaargi
कीसी को हमसे हैं चाँद शिकवे
कीसी को बेहद शिकायतें हैं.....
हमारे हिस्से में सिर्फ अपनी साफयिया[safaiyaan]हैं
वाज़ह्तें हैं..........
कीसी का मकरूज़ मैं नहीं पर
मेरे गेर्बान पर हाथ सब के......
कोई मेरी चाहतों का दुश्मन
कीसी को दरकार चाहतें हैं....
मैं दूसरों की ख़ुशी की खातिर....
गुबार बन कर बिखर गयी हूँ......
मगर कीसी ने यह हक न माना.....
की मेरी भी कुछ ज़रूरतें हैं..........
kisi ko humse hain chand shikwe
kisi ko behad shikayatien hain....
hamare hisse main sirf apni safaiyaan hain
wazahatien hain....
kisi ka maqrooz main nahin par
mere gerebaan par haath sab ke....
koi meri chahaton ka dushman
kisi ko darkar chahatien hain....
main dosro ki khushi ki khaatir....
ghubaar ban kar bikhar gayi hoon....
magar kisi ne yeh haq na maana....
ke meri bhi kuch zarooratien hain....

khumar barabanqwi ki shayyiri

हुस्न जब मेहरबान हो तो कया कीजिये
इश्क की मगफिरत की दुआ कीजिये
इस सलीके से उन्से गिला कीजिये
जब गिला कीजिये हँस दिया कीजिये
दुसरो पे अगर तबसिरा कीजिये
सामने आइना रख लिया कीजिये
आप सुख से हैं तरक-ए-तालुक के बाद
इतनी जल्दी ना ये फैसला कीजिये
कोई धोखा न खा जाये मेरी तरह
ऐसे खुल के न सब से मिला कीजिये
अक्ल-ओ-दील अपनी अपनी कहें जब "खुमार"
अक्ल की सुनिए दील की कहा कीजिये

khumar barabanqwi ki shayyiri

husn jab meharbaan ho toh kya kijiye
ishq ki magfirat ki dua kijiye
iss saliiqe se unn se gila kijiye
jab gila kijiye hans diya kijiye
dusrao pe agar tabsiira kijiye
saamne aaina rakh liya kijiye
aap sukh se hain tark-e-taalluq ke baad
itni jaldi na ye faisla kijiye
koi dhokha na kha jaaye meri tarah
aise khul ke na sab se mila kijiye
aql-o-dil apni apni kahen jab " khumar"
aql ki suniye dil ka kaha kijiye
आता है जो खवाबों में तो सोने नहीं देता
हँसता है हमेशा कभी रोने नहीं देता
खुद उस का तालुक तो ज़माने से है लेकिन
हम को कीसी और का होने नहीं देता
*
aata hai jo kawabo mein toh sonay nahi deta
hasta hai hamesha kabhi rone nahi deta
khud uss ka taluq to zamane se hai lekin
hum ko kisi aur ka hone nahi deta,,,,,

तुम न मिल सके तोह क्या गम है
तुम्हारा अरमान हमें हर दम है

हमें ठुकराने का अंजाम सोचो ज़रा
तुम से हमारी दुनिया कायम है

यह किस मक़ाम पर ले आई जिन्दगी
जख्म तोह हज़ारों हैं, मरहम कम है

हमारा आशियाँ जलाकर तुम्हे रौशनी मिली
शुक्र-ऐ-खुदा, सफल मेरा जीवन है
पूरी होंगी उन्की सब फ़र्माइशे, एक भी हम से न टाली जायेगी
आ पड़ा है आशकी से वास्ता, अब तबीयात कया संभाली जायेगी
*
poori hongi unn ki sab farmaishe,ek bhi humse na tali jayegi
aa pada hai ashqui se wastaa,ab tabiyat kya sambhali jaayegi

ghalib ki shayyiri

कभी नेकी भी उसके जी में गर आ जाये है मुझसे
जफ़ाएँ करके अपनी याद, शर्मा जाये है मुझसे
खुदाया ! जज्बा-ए-दील की मगर तासीर उलटी है
की जितना खींचता हूँ और खिचता जाये है मुझसे
वो बद्खू[bad habbit] और मेरी दास्ताँ-ए-इश्क तुलानी[long]
इबारत मुख्तसर[consice] कासीद भी घबरा जाये है मुझसे
उधर वो बदगुमानी[suspicion] है,इधर यह नातवानी[weakness] है
ना पुछा जाये है उस से, ना बोला जाये है मुझसे
संभलने दे मुझे ऐ ! ना-उमीदी कया काय्मत है !
की दामन-ए-ख्याल-ए-यार छूटा जाये है मुझसे
तकलुफ़ बरतरफ़[suspend] नज्ज़ारगी में भी सही, लेकिन
वो देखा जाये कब ये ज़ुल्म देखा जाये है मुझसे
हुए है पाँव ही पहले नाबर्द-ए-इश्क[struggle of love] में ज़ख्मी
ना भागा जाये है मुझसे, ना ठहरा जाये है मुझसे
काय्मत है की होवे मुदई का हम सफ़र "गालिब"
वो काफिर, जो खुदा को भी ना सौंपा जाये है मुझसे

ghalib ki shayyiri

kabhi neki bhi uss ke jee mein gar aa jaaye hai mujhse
jafaayen karke apni yaad, shrmaa jaaye hai mujhse
khudyaaya ! jazba-e-dil ki magar taseer ulti hai
ki jitna khinchta hun aur khinchta jaaye hai mujhse
vo badkhu[bad habit] aur meri dastan-e-ishq tulaani[long]
ibaarat mukhtasar[concise] qaasid bhi ghabra jaaye hai mujhse
udhar vo badgumani[suspicion] hai,idhar yeh naatvaani[weakness]hai
na poocha jaaye hai uss se, na bola jaaye hai mujhse
sambhalne de mujhe ae ! na-umeedi kya qayaamat hai
ki daaman-e-khyal-e-yaar choota jaaye hai mujhse
takalluf bartarf[suspend] nazaaragi mein bhi sahi, lekin
woh dekha jaaye kab ye zulm dekha jaaye hai mujhse
huye hai paanv hi pehle nabard-e-ishq[struggle in luv] mein zakhmi
na bhagaa jaaye hai mujhse, na thehra jaaye hai mujhse
qaymat hai ki howe mudai ka hum safar "ghalib"
vo kaafir, jo khuda ko bhi na saunpa jaaye hai mujhse

waseem barelvi ki shayyiri

ये अपना ज़र्फ़ है जो दर ब दर होने नहीं देता
इधर हो जाये तो फिर उधर होने नहीं देता

ख़ुदा महफूज़ रखना चाहता है जब दिया कोई ,
तो फिर जालिम हवाओं को ख़बर होने नहीं देता
बेनाम सा ये दर्द ठहर क्यों नही जाता,
जो बीत गया है वो गुज़र क्यों नही जाता,

सब कुछ तो है क्या ढूंढती हैं ये निगाहें,
क्या बात है मैं वक्त पे घर क्यों नहीं जाता,

वो एक ही चेहरा तो नहीं सारे जहां मे,
जो दूर है वो दिल से उतर क्यों नही जाता,

मैं अपनी ही उलझी हुई राहों का तमाशा,
जाते हैं जिधर सब मैं उधर क्यों नहीं जाता,

वो नाम जो बरसो से ना चेहरा ना बदन है,
वो ख्वाब अगर है तो बिखर क्यों नहीं
उनको हे खुद पे गुमान
हुस्न ए जागीर है वो
मुस्कराहट ,आदये ,
क्या नहीं उनकी गुलाम
tasqeen-e-dil mahzoon na hui, vo sai-e-qaram farma bhi gaye
is sai-e-qaram ko kya kahiye, bahla bhi gaye tarpa bhi gaye
सब कुछ वही
एक प्यारी सी सूरत,
एक मासूम सा चेहरा,
दो झील सी आंखे,
कुछ मीठी मीठी बाते,
एक नाज़ुक अदा,
कुछ मस्ती कुछ मज़ा,
थोडी सी शरारत,
बहुत सारी मोहब्बत,
एक भोली सी मुस्कान,
ऊंचा उड़ने का अरमान,
सबसे अलग सबसे जुदा,
जिसकी है प्यारी हर एक अदा…
पर आज लगता, नया सा क्यूँ है
ये चिराग बेनज़र हैं , ये सितारा बेजुबां है
अभी तुझसे मीलता जुलता कोई दूसरा कहाँ है ...

मैं इसी गुमां में बरसो बड़ा mutamai रहा हु .. ( mutamaiin = satisfied )
तेरा जिस्म betagaiyyur हैं , मेरा प्यार जाविदा है . . ( betagayyur - untouched, jaavida = eternal )

कभी पा के तुझको खोना , कभी खोके तुझको पाना
ये जनम जनम का रिश्ता तेरे मेरे दरमिया हैं
aankh mein aaye jo pani dil mein rahe toh aag
jo bhi gaaye jal jaaye yeh pyar hai aaisa raag
ae dil teri aahon mein asar hai ki nahi
jo dil idhar hai vo udhar hai ke nahi
dil mahi-e-beaab ki maanid hai betaab
iss dard bhari shab ki sahar hai ki nahi
jinke liye raatein meri be-khwab hui hain
unnko mere gam ki khabar hai ke nahi

gulzar ki shayyiri

जमी भी उसकी जमी की नेमतें भी उसीकी
ये सब उसी का हैं घर भी घर के बंदे भी


खुदा से कहिये किसी दिन घर भी आये

gulab ki shayyiri

जिनदगी है की हरिक हाल में कट जाती है
आपने दिल् से भुलाया तो है, कोई बात नहीं
आपको याद हमारी भी तो आती होगी
नाम मुँह पर नहीं आया है, कोई बात नहीं
हमको खुशबू तो उन् आँखों की मिली है हरदम
प्यार अगर मिल नहीं पाया है, कोई बात नहीं
उन्के नाखून काटने की है चर्चा घर घर
हमने सर भी जो कटाया है, कोई बात नहीं
फीर बहारें आएँगी फीर बाग़ में फूलेंगे "गुलाब'
जी तो ऐसे ही भर आया है, कोई बात नहीं

gulab ki shayyiri

jindgi hai ki harik haal mein kat jaati hai
aapne dil se bhulaya hai,toh koi baat nahi
aap ko yaad hamari bhi toh aati hogi
naam muh par nahi aaya hai, koi baat nahi
humko khusbhoo toh unn ankho ki mili hai hardum
pyar agar mil nahi paaya hai, koi baat nahi
unnke na-khoon [नाखून] kaatne ki hai charcha ghar ghar
humne sar bhi jo kataya hai, koi baat nahi
phir bahare aayengi phir baag mein phoolenge "Gulab"
ji toh aise hi bhar aaya hai, koi baat nahi

wel come