Monday, March 23, 2009

shaharyar ki shayyiri

katega dekhiye din jaane kis ajaab ke saath
ki aaj dhuup nahin nikli aaftaab ke saath
toh phir bataao samandar sadaa ko kyun sunte
hamari pyaas ka rishta tha jab saraab[mirage] ke saath
badi ajeeb mehak saath le ke aai hai
nasiim raat basar ki kisi gulaab ke saath
fiza mein duur tak marhabaa ke naare hain
guzarne wale hain kuch log yaan se khwaab ke saath
zamiin teri kashish khinchti rahi humko
gaye zaruur thay kuch duur maahtab ke saath

No comments:

Post a Comment

wel come