Tuesday, March 31, 2009

yaas yagaana changezi ki shayyiri

kiski aawaz kaan mein aayi
duur ki baat dhayaan mein aayi
aap aate rahe bulaate rahe
aane wali ek aan mein aayi
yeh kinara chalaa ki naav chali
kahiye kya baat dhayan mein aayi
ilm kya ilm ki haqiqat kya
jaisi jiske gumaan mein aayi
aankh neeche hui aur yah kya
yun garaz darmiyan mein aayi
main payambar nahin yagaana sahi
iss se kya kasar shaan mein aayi

No comments:

Post a Comment

wel come