Monday, March 23, 2009

chalo hum maan lete hai
tumhen hum kho chuke lekin
tumhari yaad ab tak kyu
hamen betaab rakhti hai
hamari saans ab tak kyu
tumhari aas rakhti hai
magar ab ye bhi sunte hai
tumhari raah roshan hai
tumhen mil jayega koi...
magar afsoos ... hum jaisa
agar paao kahin tum toh
mujhe do harf likh dena
ki manzil mil gayi mujhko ....

No comments:

Post a Comment

wel come