Monday, March 23, 2009

shujaa khaawar ki shayyiri

dosri baaton mein humko ho gaya ghaata bohat
varna fikr-e-shaoor ko do waqt ka aata bohat
aarzu ka shor bapaa kizr ki raaton mein tha
wasl ki shab toh hua jaata hai sanaata bohat
dil kil baatein duusron se mat kahon, kat jaaoge
aajkal izhaar ke dhandhe mein hai ghaata bohat
kaynaat aur zaat mein kuch chal rahi hai aajkal
jab se andar shor hai baahar hai sanaata bohat
maut ki aazadiyan bhi aisi kuch dilkash na thin
phir bhi humne zindgi ki qaid ko kaata bohat

No comments:

Post a Comment

wel come