Tuesday, March 31, 2009

ibrahim ashk ki shayyiri

mohbat ka yahi tohfa bohat hai
mere pehlu mein ek shola bohat hai
amar kar luun agar main aaj issko
sadi ke beech ek lamha bohat hai
samandar, mauj-e-dariya sab tumhare
mujhe shabnam ka ek qatra bohat hai
hazaron kaarvan hain raaste mein
jo manzil par hai voh tanha bohat hai
hawas rakhta nahin main maal-o-zar ki
mujhe ek dard ka sikka bohat hai
kitab-e-ishq jo padhne lage hain
toh har pehlu se dil tadpa bohat hai
samjh paaye nahin hum usski baatein
vo hai naadan magar gehra bohat hai

No comments:

Post a Comment

wel come