Tuesday, March 31, 2009

jaan nisar akhtar ki shayyiri

rukhon ke chaand, labon ke gulaab maange hai
badan ki payas, badan ki sharaab maange hai
main kitne lamhe na jaane kahaan ganwa aaya
teri nighah toh sara hisaab maange hai
main kis se puuchne jaaon ki aaj har koi
mere sawaal ka mujhse jawab maange hai
dil-e-tabah se jeene ki taab maange hai
har ik dard se jeene ki taab maange hai
baja ki vazaa-e-haya bhi hai ek cheez magar
nishaat-e-dil tujhe be_hizab maange hai

No comments:

Post a Comment

wel come