Monday, March 23, 2009

vali dakhani ki shayyiri

yaad karna har ghadi uss yaar ka
hai vazifa mujh dil-e-bimaar ka
aarzuu-e-chasma-e-kasoor nahin
tishna lab hun sharbat-e-didaar ka
aaqbat kya hovega ? maloom nahin
dil hua hai mubtila dildaar ka
kya kahe taarif-e-dil hai be-nazir
harf harf uss makhzan-e-israar ka
ae vali ! hona sri jaan par nisaar
muda hai chasm-e-gauhar-baar ka

No comments:

Post a Comment

wel come