Tuesday, March 31, 2009

seraj ki shayyiri

aao qareeb ab tu juda ho raha hoon main,
mahfil se door tere sada ho raha hoon main !

mahwe khayal ho ke, tujhe yaad karoonga ,
waqt sahar ka jalta diya ho raha hoon main !!

jab tak tha saath, noor mein dhalti thi zindagii ,
tere baghair dasht-e saba ho raha hoon main !!

ye geet mere tujhko, dikhayen ge raaste ,
anjaan manzilon ka pata, ho raha hoon main !!

hamne wafa ki raah mein khaii , jigar pe chot,
ab dard-e dil se aaho baqa ho raha hoon main !!

afsos hai ki maen na , tujhe shaad kar saka ,
khud apni hi nazar mein khata, ho raha hoon main !!

likhta hoon geet-o sheir, ki tabeeyat ho kuchh bashash ,
iss tarh apne gham ki, dawa ho raha hoon main !!

taskeen dil ki khatir wazoo, karke maen "seraj",
hamd-e khuda mein harfe , dua ho raha hoon main !!

No comments:

Post a Comment

wel come