Tuesday, March 31, 2009

hafeez hoshiarpuri ki shayyiri

mohabat karne vale kam na honge
teri mehfil mein lekin hun na honge
zamane bhar ke gham ya ik tera gham
ye gham hoga toh kitne gham na honge
dilon ki uljhane badati rahengi
agar kuch mashvare baaham[together] na honge
agar tu ittifaqan mil bhi jaaye
teri furqat[sepration] ke sadme kam na honge
'hafeez' unnse main jitna badguman hun
vo mujhse iss qadar barham[anger,upset] na honge

No comments:

Post a Comment

wel come