Tuesday, March 31, 2009

manzar bhopali ki shayyiri

ek naya mod dete huye phir fasana badal dijiye
ya toh khud hi badal jaaiye ya zamana badal dijiye
tar nivaale khushaamad ke jo khaa rahe hain vo mat khaaiye
aap shaheen ban jaayenge aab-0-daana badal dijiye
ahl-e-himmat ne har daur mein koh[hills] kaate hain taqdeer ke
har taraf raaste bandh hain, ye bahana badal dijiye
tai'n kiya hai jo taqdeer ne har jagah saamne aayega
kitni hi hijratein kijiye ya thikaana badal dijiye
humko paala tha jis paid[tree] ne usske patte hi dushman huye
keh rahi hain daaliyan, aashiyana badal dijiye

No comments:

Post a Comment

wel come