Tuesday, March 31, 2009

bekas ki shayyiri

jab na aayegi deewane ki sada aaj ke baad,
kaun puchhega tere ghar ka pata aaj ke baad.

kais puchhega asiri kya hai batla phir toh,
jaun maanega muhbbat ko khuda aaj ke baad.

main na rahunga toh gulon mat khilna tum bhi,
kaun aayega ae chman tu bata aaj ke baad.

aankh purnam hai rahegi ye sehar tak bas,
phir na barsegi tabssum ki ghata aaj ke baad.

yun toh aayenge kai tujhse milne lekin,
vo na manege tere dar ko khuda aaj ke baad.

mana dilkash hai safar tanha raaton ka,
gar na aaye iss shab ki saba aaj ke baad.

gham hai "bekas" ki tujhe jana hai phir bhi,
tujhko dhundhegi bina dar ki waffa aaj ke baad........।

No comments:

Post a Comment

wel come